P. S
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 25 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai August 26, 2025 Episode Discussion Thread
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 26th August 2025
ANSHUMAN GONE 25.8
AFTER MATHh. 26.8
A study On Miss Geetanjali Armaan Poddar
Navri - The Hawasi Mistress
Jhanak Written Update And Episode Discussion thread No "124"
IMDB's most beautiful actresses in the world. Kriti & Hania in top 10
A Study on Miss Abhira "Jogan" Sharma
Parineeti Chopra is pregnant
Punishment to kill one or five is same
🇮🇳 Big News for IndiaForums Members! 🇮🇳
Maza nahi aaya😒
Who killed Anshuman; mara kaise ?
Suniel Shetty Looses Cool On Stage
Vicky Kaushal’s Mahavatar postponed to 2027
Bollywood Wants Bootlicker's - Nadiadwala Grandson Sends Legal Notice
Kumkum Bhagya New Season BC ~ Results
Sunita Ahuja Claims Her Son Doing Better Film Than Saiyaara
PART 2
NOTE: Ok so this OS has turned out a little longer (just like most of the times 😳) But hopefully next part will be the last one, hope you all don't get bored.
One week passed, Sid never changed his mind. Riddhima tried to talk to him but he once again told her it was just the right thing to do and though he might take a while to digest it but he would come out of it, but he made clear that divorce was what he wanted and she needed. Meanwhile Armaan had noticed something was fishy but no one informed him about their divorce. Even the entire new gang was upset with Sid's decision but when he confronted them, they realized he was sad but also he was correct in his place. He had the right to step out of the marriage if there was no love. And moreover he was doing it to get two people together who truly loved each other, somewhere deep down they all knew Riddhima still loved Armaan and they could see it too, so they supported Sid eventually but they all waited until Armaan recovered while Riddhima had still not met Armaan.
The day Armaan got a little better, he started to find out what was wrong and questioned Sid. Sid tried his best to avoid him but he could not. The minute Sid informed him of the divorce Armaan was clearly furious. He knew Riddhima would be devasted, cause leaving every fact apart he had seen how hard she had been fighting to save the marriage. She was practically fighting every minute of her day to make things better and work this out and Siddhant had decided to end it in a snap. He tried to change Sid's mind but he walked away under the pretext of his duty. The very night; Armaan sneaked out to meet Sid. There was no way he was going to let Sid ruin everything, and with determination he walked in when he found Shashank already having a discussion with him. He had just returned from a conference and as soon that he understood of the divorce he too had come to talk too Sid.
Shashank and Sid both turned as they saw Armaan walk in. Armaan hesitated a bit seeing Shashank, but Sid himself initiated calling him in;
"I know aap dono hi mujhe ye samjhana chahte hai ki main apna faisla badal du, par usse pehle main aap logon se kuch kehna chahta hu. Sir maine aapki beti se pyaar kiya hai ye sach hai, par utna hi sach ye bhi hai ki vo mujhse pyaar nahi karti, na karti thi... na kabhi bhi kar paayegi."
"Sid tu----"
Armaan tried to retort but he stopped him;
"Nahi Armaan maine kisi jald baazi mein ye faisla nahi liya hai. Sir I understand ki aap bhi mere faisle se khush nahi hai, par aap khud jaante hai ki ye shaadi kin haalaton mein hui hai."
"Haan par haalat badalte bhi hai, aur ab toh sab theek chal raha tha fir achanak kya hua?"
Armaan somewhere had an idea and he sighed feeling guilty for no particular fault of his, but he decided to speak up, cause it was now or never situation; he could see!
"Dekh Sid agar us din jo hua us vajah se tune ye faislaliya hai toh aisa mat kar. Trust me Riddhima tujhe hi call kar rahi thi, maine bhi tujhe call karne ki bohot koshish ki par tu phone hi nahi utha raha tha..."
"Baat vo nahi hai Armaan-----"
"Nahi Sid tu samajh, us waqt usne sirf mujhe help ke liye call kiya tha. Lekin sabse pehle usne tere hi baarein mein socha. Infact hosh mein aane pe bhi pehle usne tere hi baarein mein poocha tha. Maine toh sirf-----"
"Armaan... Armaan stop!"
He stopped him sternly as he kept on justifying the incident, but Sid really did not want it he knew all of it already;
"Armaan tu galat samajh raha hai. Mujhe us par, uski honesty par yakeen hai."
"Toh fir problem kya hai Sid? Tujhe agar mujhse problem hai toh main... mujhe bata, tujhe jo chahiye main karne ke liye tayyar hu, tu chahta hai toh amin abhi isi waqt yaha se chala jaaunga tum dono se dur, par ye rishta mat tod. Riddhima-----"
"Yahi problem hai ki tu har baar peeche hat jaata hai, aur fir Riddhima aage badh nahi paati."
"Tu kehna kya chahta hai?"
Shashank who had been a silent spectator too questioned Sid a he looked all calm but determined, he knew what he wanted, he knew what he was saying!
"Aap kya keh rahe hai meri bhi kuch samajh nahi aa raha. Aakhir chal kya raha hai?"
Sid turned to Shashank and smiled;
"Sir main chahta hu ki aap Armaan aur Riddhima ko unki zindagi firse ek baar nayi tarah se shuru karne de... ek dusre ke saath."
"Aap jaante bhi hai aap kya keh rahe hai?"
Shashank stood up with his blood now boiling and Armaan looked at him utterly surprised;
"Sid tu pagal ho gaya hai... ye kya bakwaas kar raha hai?"
"Aap dono please shaant ho jaiye aur meri poori baat suniye."
"Sid tu is waqt bina soche samjhe kuch bhi bol raha hai hai. Tu jaanta hai ki Riddhima ----"
"Armaan just shut up and listen to me!"
Siddhant snapped back in a no nonsense tone looking straight in his eyes;
"Main jaanta hu ki main kya keh raha hu, infact aap dono samjhte hai meri baat ko par sabne sirf apni aankhein band kar rakhi hai."
He cooled down and walked to Shashank;
"Main aaj abhi isi waqt ye divorce vapas lene ke liye tayyar hu, agar aap poore vishwaas ke saath ye keh sake ki hum is liye is shaadi ko nibhaye kyunki hum ek dusre se pyaar karte hai; Riddhima mujhse pyaar karti hai! Kya aap ye keh sakte hai ki kisi din vo mujhe apni zindagi mein, apne dil mein vo jagah de paayegi jo usne Armaan ko di thi. Sach yahi hai ki ye rishta majboori mein juda aur samjhote mein nibhaya gaya."
"Aur Armaan tu... tu isi liye ye sab keh raha hai kyunki tu jaanta hai ki humara rishta tootne ki vajah tu ho sakta hai, par agar humara rishta thoda bhi normal ho paye toh uski vajah jaroor tu hoga. Infact agar hum dono mein aaj job hi rishta hai vo sirf teri koshisho se hai. Fir hum kyu apne aap se jhoot bol rahe hai? Vo tu hi than a jisne mujhe tips diye taaki main Riddhima ko impress kar saku, use khush rakh saku, kya bolu kaise kahu, kya karu... sab kuch. Vo sab kaam aaya, aur kahi na kahi humara rishta banne laga. Par haqeeqat ye hai Armaan ki Riddhima ne mujhe nahi, mere andar tujhe dhund ki koshish kar rahi hai. Har vo cheej, har vo harkat jo use teri yaad dilaati hai bas usike sahare vo ye rishta chala rahi hai, aur main nasamjh use uska pyaar samjh raha hu."
"Nahi Sid aisa na----"
"Armaan rehne de mujhse aur jhoot bolne ki jaroorat nahi hai. Aur fir mera bhi toh haq banta hai ki meri zindagi ka faisla main le saku. Main ye jhooti zindagi nahi jee sakta, ye jaante hue ki Riddhima humesha tujhse pyaar karti rahegi... main kaise tum dono ke beech aa sakta?"
Shashank snapped at him still unhappy;
"Aur meri beti ki zindagi ka kya? Aapne mujhse vaada kiya tha ki aap uska khayaal rakhenege, use humesha khush rakhenge."
"Un vaadon ka kya jo Armaan aur Riddhima ne kabhi ek dusre se kiye the, vo bhi toh aaj tak poore nahi ho paaye?"
Both Armaan and Shashank turned speechless, unable to reply anything to that question;
"Sir main kabhi Riddhima ko khush nahi rakh paaunga, kyunki uski khushi mere saath hai hi nahi."
"Lekin aap..."
Shashank tried to defend but Sid interrupted;
"Sir I respect you a lot, par Riddhima agar mere saath hai toh vo sirf aap ke liye. Armaan kabhi humare beech nahi aaya tha, main un dono ke beech aa gaya tha. Vo toh humesha se usi se pyaar karti thi, mujhse shaadi nahi karni thi use par Padma aunty ki haalat ki vajah se use ye shaadi karni padi. Uske paas koi option nahi tha, par main chahta toh vo shaadi rok sakta tha. Par kahi na kahi main thoda sa selfish ho gaya tha, maine socha tha ki shayad shaadi ke baad vo dheere dheere Armaan ko bula degi. Par main galat tha, kyunki jis insaan ke liye vo jeeti hai use vi kaise bhula sakti hai.
Main jaanta hu aap uski khushi chaahte hai, is liye aapse keh raha hu, use is rishte se azaad hone deejiye. Aapke kehne par Armaan ne poori koshish ki mere aur Riddhima ke rishte ko sambhalne ki, aur usne koi kasar nahi chodi, apne jasbaat, apna har ehsaas sab bhulkar usne sirf Riddhima ka faisla support kiya."
Shashank looked away while Armaan just stood still;
Par main kab tak ye sab chup chap dekhta rahu, main uska dost hu agar vo mere liye apni poori zindagi mere hawale kar sakta hai, toh kya main use sirf uska pyaar nahi lauta sakta? Aur Riddhima kab tak ye jhoot nibha paayegi? Kisi din toh use sach accept karna hi hoga, toh aaj kyun nahi? Sir aap ne bhi dekha hai ki vo mere saath kabhi vo khushaal zindagi nahi jee payegi jo vo Armaan ke saath jee sakti hai. Vo poori zindagi mere saath beeta legi, lekin zindagi bhar ye sach hum sabko andar hi andar chubhega, ki uski zindagi isse kahi behtar ho sakti thi, vo khush ho sakti thi, apni man chahi zindagi jee sakti thi, par aisa nahi kar paayi kyunki usne mujhe... Is shaadi ko chuna, aur hum mein se kisine bhi use nahi roka. Kya aap sirf ek rishte ko bachane ke liye apni hi beti ko zindagi bhar ka samjhauta dena chahenge, ye jaante hue ki uski khushi use lautana aapke haathon mein hai. Uski shaadi ko bachaneke liye aap uski poori zindagi use ye jhooth jeene denge?"
-------------
For a minute there was pin drop silence, but regaining his senses and thinking of Riddhima Armaan spoke up;
"Sid tu Riddhima ko humesha khush rakhega main jaanta hu. Sab kuch theek ho raha hai, ise ab mat bigaad. Aur agar vo aaj tujhse pyaar nahi bhi karti toh kal karne lagegi. Vo tujhe chun chuki hai Sid, vo tere saath rehna chahti hai----"
"Vo aapke alawa kabhi kisi aur ko nahi chun sakti Armaan. Aap ne toh kaha tha ki aap meri beti ko sabse achi tarah samjhte hai, toh ab kya hua?"
This time Shashank spoke up surprising both Armaan and Sid. Armaan looked back at him with a blank look;
"Jee? Aap... ye kya-----"
"Haan ye main keh raha hu. Main yaha Siddhant ko samjhane aaya tha ki vo apna faisla badal de, par inhone jo kuch bhi kaha hai sab bilkul sach hai. Hum sabne aaj tak bas apni aankhein band rakhi hai, kyunki is sach se ab main aur muh nahi fer sakte ki Riddhima sirf aapse pyaar karti hai."
Armaan was baffled would be an understatement, the words he just spoke were never ever expected by Armaan, expecially now that she was someone's wife;
"Sir... Main, aap jaante hai ki vo Sid ki----"
"Haan jaanta hu uski shaadi hui hai aur Siddhant mujhe maaf kar do. Galti meri hai, main humesha se sach jaantha tha, par apni beti ki zindagi sawarne ke liye maine aap dono ki zindagi ulajh di. Aap sahi keh rahe hai, aapko poora haq banta hai apni zindagi ko sahi karne ka."
Siddhant smiled at him happy that finally he had understood what he meant and could see through the truth; accept it! But Armaan was totally on a parallel opinion;
"Aap ye kya keh rahe hai. Agar Riddhima ko pata chala toh vo toot jayegi sir."
"Lekin main jaanta hu har baar ki tarah is baar bhi aap unhe sambhal lenge."
"Ek minute... matlab aap... aap keh rahe hai ki aapko is divorce se koi problem nahi hai?"
"Main ye keh raha hu Armaan ki mujhe lagta hai aapko ab aur jhoot bolne ki jaroorat nahi hai. Mujhe lagta hai ki hum sab milke kitni bhi koshish kar le, hum aapko Riddhima ke dil se kabhi nahi nikaal paayenge, is liye behtar hoga ki hum sach ko accept kar le aur aap dono ki zindagi asaan kar de. Aap aaj bhi Riddhima se pyaar karte hai, haina?"
Armaan stood staring at him dumbfound, but after a minute or two, he smiled while a tear escaped his eyes. He shook hs head and turned around to leave;
"Rukiye Armaan... aapne mera jawab nahi diya."
"Main aapko jawab jaroor deta, agar mere jawab ka ab matlab hota toh."
"Toh aap aise hi chale jaayenge... jab Riddhima ko aapki sabse jyaada jaroorat hai."
"Use meri nahi waqt ki jaroorat hai, aur mujhe yakeen hai ki vo sab theek kar degi. Agar maine aapka saath diya toh Riddhima mujhe kabhi maaf nahi karegi. Main uski shaadi tutne ki vajah nahi ban sakta, varna main khud apne aap ko zindagi bhar maaf nahi kar paaunga."
He had taken a step further towards the door when Shashank's words stopped him in his tracks;
"Ye jaanne ke bavajud ki main apni beti ka haath aapko saup raha hu!"
Armaan turned back and sighed giving away his thoughts;
"Sir aapki beti ka saath main pehle hi kho chukka hu, agar aaj maine Sid ka saath diya is divorce ke hone mein, toh vo mujhe zimmedar tehrayegi. Maine usse vaada kiya hai un dono ke beech na aane ka, lekin agar aisa hua toh... toh vo mujhse zindagi bhar nafrat karegi... aur vo main bardaasht nahi kar paaunga."
"Armaan maine socha tha tere paas har problem ka solution hota hai. I can't believe tu ye sab keh raha hai!"
Sid looked at him meaningfully as he knew Armaan was never a loser, he always fought till he won...' Cause he always did, in the end! Armaan smiled at him and replied with a stoic smile;
"Shayad hote hai... par Bas--- Riddhima ke mamle mein main humesha haar jaata hu."
"Par tu apni Basket ko nahi haar sakta Armaan, come on!"
Armaan looked up at him surprised;
"Tu sach mein ye chahta hai, tu usse pyaar----"
"Pyaar toh tu bhi usse karta hai par tune bhi toh meri help ki thi!"
"Toh tu ehsaan chukka raha hai?"
"Dude ab tu aur bakwas karega na toh dekh le."
Armaan was about to turn away but sid stopped him;
"Armaan ruk yaar... Main jaanta hu tu Riddhima ko hurt nahi karna chahta is liye ye sab kar raha hai, par dude agar tu ab kuch nahi karega toh usko kho dega, kya tu ye chahta hai?"
Shashank looked at Armaan as he stood quietly;
"Toh kya decide kiya aapne?"
He turend to Sid still with a frown and uttered his biggest worry;
"Par tera kya? Teri shaadi... Main tere saath aisa-----"
"Oye chup kar yaar. Haan maine Riddhima se pyaar kiya tha, lekin hum dono ek doosre ke liye nahi bane.Tu bhi achi tarah jaanta hai ki vo tujhse kitna pyaar karti hai, is liye vo tere saath humesha hush rahegi. Aur tum dono ko khush dekhke I will be happy yaar, ki main finally tum dono ko mila paaya. Besides..."
He leaped closer and whispered in his ear winking at him; so that Shashank couldn't hear;
"Teri setting hone ke baad tu meri help kar dena, vaise bhi tu toh is mein expert hai. Mere liye bhi koi dhund diyo."
Shahsank and Siddhant stood awaiting his reply, when Armaan looked up at Sid and pulled him in a tight brotherly hug, finally giving in. Shashank smiled as finally his daughter would be happy, he was sure.
"Theek hai fir main jaake Riddhima se baat kar leta hu, aur fir aapke parents se bhi-----"
Shashank frowned as he suddenly stopped him;
"Nahi Sir... Aap Riddhima se koi baat nahi karenge."
"Kyu, kya hua?"
"Kyunki aapki beti kaafi ziddi hai!"
"Jee?"
Shashank snapped while Sid widened his eyes at his frankness while Shashank stood right in front; he controlled his laugh though silently agreeing;
"umm...vo... Nahi mera matlab tha... I think use thoda waqt dena chahiye hume, and I guess I need some time too."
He could not think of any other cover up, and to his luck Shashank's phone buzzed. Shashank attended the call and it was Padma who had called him home as it was almost time for dinner;
"Theek hai toh mujhe ab chalna padega, aap keh rahe hai toh main Riddhima se abhi baat nahi karunga. Vaise bhi aap dono ek dusre se baat kar le toh behtar hoga."
"Thanks Sir. Bas mujhe kuch din ka waqt de deejiye."
"Hmm theek hai."
Sid looked at Armaan and suggested as he had found Armaan's hands warm while he hugged him;
"Armaan tujhe shayad firse bukhar chad raha hai, tujhe Sanjeevni chalna chahiye vapas."
Shashank who had already started walking; stopped midway and turned and Armaan shut his eyes tight bowing hishead down with guilt. It seemed almost impossible for him to be in Shashank's good books, it had just been a few minutes he was happily thinking of Riddhima and him together; and now this!
"Yes... that reminds me, Dr.Keerti ne toh kaha tha aapko pneumonia hai aur aapki haalat bohot kharab hai. Ab aap kaise hai, aur aap Sanjeevani se chupkar nikle hai?"
"Vo... Actually... Mujhe Sid se baat karni thi aur vo phone pe nahi---- toh main..."
"Of course aap Dr.Armaan hai... man maani karna toh humesha se hi aadat hai aapki."
Armaan stood tongue tied while Sid bit his tongue for blurting out but instead of scolding him; Shashank offered politely; surprising both of them;
"Chaliye aapko Sanjeevani drop kar deta hu varna aapki tabiyat aur kharab ho jayegi."
"Nahi Sir it's okay main chala jaunga."
Before Shashank could snap back Sid suggested;
"Sir it's okay aap jaiye Aunty aapka intezar kar rahi hongi. Main Armaan ko drop kar dunga."
"Hmm theek hai."
-----------
As they reached Sanjeevani Keerti scolded them them left and right as his temperature had once again shot up a bit, but since it was not too high she left soon just with a warning. Once they were alone Sid finally asked him;
"Tune Sir ko baat karne se mana kyu kiya?"
"Sid jitna main Riddhima ko jaanta hu, vo is waqt is baat ko bilkul accept nahi karegi. Jitna tu use samjhayega ki vo sach admit kar le vo utna hi inkaar karegi. Uski poorani aadat hai, kuch cheejein vo khudse kabhi nahi admit karti; usse accept karvani padti hai. Aur vaise bhi I really want some time, main jaanta hu itna sab hone ke baad vo bohot disturbed hogi. Haalat job hi rahe ho, Riddhima humesha se shaadi aur rishton mein bohot yakeen karti aayi hai, aur koi bhi rishta todna vaise bhi aasan nahi hota, so I guess I will just wait for her to come around."
He looked up at Sid and continued with a serious voice meaning every word;
"Sid thanks... for everything. Muje ya Riddhima ko galat nahi samjhne ke liye aur----"
"Abey yaar bas kar... Ye sab senti baat na kar ab, aur so jaa. Aar teri halat jara bhi kharab hui na toh is baar mera suspension pakka hai."
Armaan was about to retort but Sid nodded at Armaan meaningfully and he simply smiled.
--------------
Shashank spoke to Riddhima about the divorce and convinced her to sign the papers, just letting her know that Siddhant had the right to take the decision for his life and it was only fair if she respected his decision and moved out of the marriage. Because there was no point of holding onto a relationship; if he had decided to not be in it anymore! They told her about how the marriage had always been a compromise and they could see it and did not want her to just take it up as a responsibility as it would destroy both (Riddhima & Sid's) life. After a long conversation and convincing he and Padma convinced her to go ahead and sign the papers. However they did not give any of their opinions as Armaan had suggested Shashank.
The next day Armaan resumed duty, though he was supposed to be resting for another week but since his fever was now under control and he looked fine, Keerti somehow allowed him to get back to work. Riddhima was surprised to see him standing by the reception checking some file, but he had not seen her yet. Though it was soon that he sensed her presence around and looked up but she had changed her route and quickly walked away to the cafeteria to avoid him. She wasn't expecting him to be here for another week considering his health. After that night, she could not face him. Though he was unconscious and not heard what she had spoken but everything that had happened, made her weak. She was scared of herself, her feelings. She had been avoiding him because seeing him again would once again bring back all the memories of the night, his vulnerable state, his pain, his words that had hurt her deep and beyond repair. Seeing him in pain was something she could never tolerate, it seemed like her emotional test, and she almost always failed it. She closed her eyes tight as uncalled for, the memories flooded her thoughts once again and she felt the same pain seeping in as she had felt seeing him withering, telling her to leave him alone, that he would take care of himself and she need not worry. Did he really think that was possible. Armaan had soon noticed her but did not bother her.
Riddhima kept wondering about him, he was supposed to rest for few more days but she did not question him. She made sure their path never crossed, and he too let her be. It was really awkward for her to share the duty with Sid now, but by the end of the day he spoke to her and told her that they would be friends forever and there was no need to feel guilty or awkward for any reason. The decision was taken at mutual consent and nobody's was at fault so he told her to be herself, as the situation would rather turn awkward if she tried to behave normal instead of being normal with him!
-----------
Armaan was not given long duties owing to his weakness, but after a matter of two days he realized that she had still avoided him like plague. He had decided to give her space and some time to think, but when he realized she was simply going to keep running away he decided to talk soon. But the same day when she requested Dr.Keerti to change her duty, as it was in the same ward as Armaan, he couldn't stand that. He understood she needed time, but pushing him away deliberately even on work grounds was not so necessary and he knew it was about to take things in hand, before she as always shut all the doors.
Getting done with her duties she was walked back to the locker room, and there he stood. Everybody had already left and it was just the two of them. Suddenly the tension filled the air around, she stood still for a moment and then turned away but he stopped her;
"Ek minute Riddhima... kaha ja rahi ho?"
"Nahi it's okay, mujhe kuch kaam hai main baad mein----"
"Riddhima enough, I need to talk to you, please yaha aao."
But she still did not turn trying to think of some excuse when he once again called her out;
"Riddhima!"
She simply walked in towards the locker and started placing her stuff inside so that she could quickly get done and leave;
"Tum bataogi ye kya chal raha hai? Mujhse is tarah bhaag kyu rahi ho tum?"
"Aisa kuch nahi hai Armaan, main bas busy thi."
"I know tumne Dr.Keerti se kehke apni duty badal li!"
She stilled and looked up at him surprised as he knew, but soon got back to setting things in the locker. Placing everything away she shut the locker and made her way to leave when he held her wrist as she was completely ignoring him;
"Riddhima ruko... Main kuch baat kar raha hu tumse, mujhe jawab do. Aur kuch nahi toh kam se kam meri taraf dekho toh sahi!"
He sighed as she still stayed quiet;
"Riddhima I know tum bohot disturbed ho, itna sab kuch ho gaya hai in kuch dino mein. Par hum roz milenge Riddhima, ek saath kaam karna hai hume yaha, tum aise kab tak nazrein churati rahogi mujhse? Kam se kam hum doston ki tarah toh-----"
"Armaan hum dono ke liye yahi acha hoga ki jitna ho sake hum apne kaam se matlab rakhe. Humare beech na baat karne ke liye kuch bacha hai... aur acha yahi hoga ki hum koi bhi rishta na rakhe."
"Kya? Ye tum kya keh rahi ho Riddhima, ----"
"Armaan jo hona tha ho chuka, ab behtar yahi hoga ki hum apne apne raaste chale."
"Of course, kyunki ab jo us raat tumne apne dil ki saarei baatein keh di hai mujhse toh sachai se bhaagna toh hai hi tumhe, poorani aadat jo hai tumhari."
"Armaan maine vo sab sirf... main dar gayi thi aur-----"
"Ki shayad dubara main kabhi aankhein na kholu, is liye tumne apna last chance use kar liya apne dil ki baat kehne ka, aur ab kyunki main theek hu toh kya farak padta hai, right?"
She turned back and shot him a surprised and an angry look;
"Armaaan!?"
He pulled her through her arm looking straight through her eyes;
"Riddhima tum Sid se divorce ke baad bhi dosti rakh sakti ho, par mujhse ajnabee ki tarah bartaav kar rahi ho, kyu? Just understand I did not want this divorce either, ye Sid ka faisla hai, aur main is baar ye bhi nahi keh sakta ki uske reasons galat hai. I know ki haalat jo bhi rahe ho, divorce ek bohot bada faisla hota hai, , I know ki tumhe waqt lagega khud ko sambhalne mein. Ek rishte ke tutne ko accept karne mein. Jo bhi hua... Us din jo kuch bhi tumne kaha uske baad.. Main ye bhi jaanta tha ki tum mujhse bhi dur rahogi, and I wanted to give you that space Riddhima. Par is baar toh tumne had hi kar di Riddhima; tum mujhse ye keh rahi ho ki na main sirf tumhari un baton ko bhul jao, par tumhe hi bhula du. Tum khud se mujhe tod kar alag kar do, apni zindagi se nikaalkar yun phek do aur main kuch poochu bhi nahi?! Now don't you think that's a little too much to ask for Riddhima?"
She shrugged his hand and came out of his hold;
"Armaan main sirf koi nayi umeed nahi dena chahti tumhe. ... Is liye mujhse dur raho."
"Kyu... dar lag raha hai, ki mere paas hone se kahi sach na nikal jaye? Kahi tum khud ki feelings par control na rakh paao, aur tumhara dil firse meri taraf na jhuk jaaye? Isi liye itne dino se bhaag rahi ho na mujhse!"
"Tum paagal ho gaye ho Armaan. Tum samajhte kyu nahi ki hum dono kabhi ek nahi ho sakte..."
"Tum pehle mujhe ye toh yakeen dila do Riddhima ki hum dono kabhi alag hue bhi the."
She looked up at him completely surprised;
"Aise kya dekh rahi ho... Riddhima tumne mujhse apna rishta toda hoga, tumhare dil ne kabhi mujhe nahi bhulaya hai. Tum lakh mana kar lo, par tumhari aankhon ne aaj tak mujhse jhut bolna seekha nahi hai. Aur agar aisa nahi hota toh tum aaj Sid ke saath hoti."
"Tum... Armaan tum jaante nahi tum kya keh rahe ho. Ye sirf tumhari galatfemi hai, main tumse keh chuki hu ki vo sab maine bas un haalaton mein keh diya tha. Un baaton ka koi matlab nahi hai. Aur tum ye nahi manna chahte toh tumhari marzi, main bas itna jaanti hu ki hum dono ke raaste alag ho chuke hai. Ek baat samajh lo Armaan, chahe jo kuch ho jaye mera faisla yahi hoga... I am not getting back with you. yahi hum dono ke liye sahi hai."
He dragged her closer and pinned her to the locker, she tried to move away but the determined look on his face stopped her, she faltered and just stood still, listening to what he had to say;
"Humare raaste alag hue nahi, tum unhe alag kar rahi ho. Pata hai maine socha tha, ki main tumhe waqt dunga, tumhe humare pyaar ka firse yakeen dilaunga, tumhe pyaar se samjhaunga ki apne dil se poochkar dekho ki vo kya chahta hai, intezaar karunga..."
He smiled and shook his head as if it all sounded funny to him and suddenly bent in closer to her; making her hold her breath to stop a gasp;
"Par tum Riddhima... you always surprise me in your own way. Aur is baar bhi tumne poori tayari kar li hai, mere paas vapas aane ka har darwaja band karne ki zid pakad li hai. Ok then!... agar yahi tumhari zid hai toh main tumhe yaad dila du ki zid karna main bhi jaanta hu. Tum shayad ye bhul chuki ho ki jab main apne dil ke khatir koi zid karta hu toh jeete begair peeche nahi hat ta. Main tumse jaroor haar sakta hu lekin tumhara dil mujhse kabhi nahi jeet sakta."
Riddhima turned weak, she knew what he meant and she could not totally deny what he said. She looked away trying to think of a reply, a way to deny his words, but his next words made her feel defeated already;
"Ek hafta! Agle ek hafte mein tum khud mujhse apne dil ki baat kahogi Riddhima. I promise you that. Aur agar aisa nahi hua..."
He stepped back and she straightened at once but her ears were all attentive as she saw his smile fade, and his face turned blank;
"Toh is baar main tumse kehta hu Riddhima ki main khud tumse dur chala jaaunga. Uske baad na main kabhi tumse sawaal karunga, na tumhe pareshaan karunga. Apni haar maan lunga aur khud tumse saare rishte tod dunga... Just like you wish, or atleast say so!"
She stood frozen while he started backing away still looking at her and then left with a final declaration;
"Ek hafta!!"
------------
P.S: PMs will be send later at night.
Banner Credit goes to -chamkilli- A girl full of enjoyment lives in a chawl, never tries to get effected by any one, she and her sis live with
new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...
Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...
317