Part 3d:
Nisha gets tired of chasing Taani.
Nisha: Bas bas, mein thak gayi. (Nisha, you're only 22. Kaise thak gayi yaar?)
Taani: Di! I missed you so much. 🤗
Nisha: I missed you to Tans. Par, kuch hua hein kya?
Taani: Nehi toh. (Taani, jhut bolna buri baat hein. Especially apni di se. Even if tumhari di tumse do teen inch choti ho. 😆)
Nisha: Taani, tu mujse jhut nehi bol sakti aur yeh sab jante hein. Ab bol, kya hua?
Taani: Di, sachme, kuch nehi hua hein. (Phir jhut! 😡 Jaise kanoon tareek pe tareek deti hein, Taani apni di se jhut pe jhut bolti jaa rahi hein. 😆)
Nisha: Acha? Taanisha Shekawat Bakshi, mein tumhari badi behen bhi hoon, aur usse pehele tumhari best-friend hoon. Aur mein tumhe pichle chauda (14) saal se janti hoon toh mujhe itna toh pata hein, ki jab tum jhut bolti ho, toh aise smile karti ho jaise tum koi barbie doll ho jispe ek smile plaster kar diya gaya hein. Aur, tum mujhe di tabhi bulati ho jab tum upset ho ya phir jab tum mujse jhut bol rahi ho ya phir jab tum mera gussa thandha (cool) karne ki koshish kar rahi ho ya phir jab tumhe kuch chahiye. I'm guessing it's first two kyunki nahi mein gusse mein hoon, aur nahi tumhe kuch chahiye kyunki agar tumhe kuch chahiye hota, toh compliments ki barish hoti aur tumhari awaz itni meethi (sweet) hoti, ki mujhe cavities aa jati. Ab sach bol! 😡
Taani: Di, mein aapse ek baat poochu?
Nisha: Pooch. 😕
Taani: Kya mein selfish hoon?
Nisha: *thinking* Yeh Taani aise kyun pooch rahi hein? Kuch toh gadbad hein! Par mein iss duffer ko kaise samjhaoon ki voh selfish nehi hein. Agar usse sirf yeh kahoon ki voh selfish nehi hein, voh nehi manegi. Thoda ghuma phira ke kehna padega. Haan, tu bohot selfish hein Taani. (😡 Haw! Nisha, tumne apni pyaari Taani ko selfish bola?! Guys, ande, tamatars, joote, chapal, sab ready rakho. Now ready, aim, fire!)
Taani: I knew it!
Nisha: 😡 Oh hello? Meri baat abhi tak khatam nehi hue hein. (😡 Aur kya bolna hein?! Guys, aur pheko!) Tu selfish isliye hein, kyunki tu hamesha roti hi rehti aur apne aap ko hamesha insult karti hein. Par kabhi yeh nehi sochti hein ki jab hum sab jo tujse itna pyaar karte hein, humein kaisa feel hota hein yeh sab dekhne, aur sunne mein. (Oh, I see your plan. Guys, hold fire!) Aur agli baar jab kisi se yeh poochogi, toh please, at least tere pyaare Krishna ji ke liye toh meri baat yaad rakhna.
Taani's stunned. Mainly because her emotionally challenged di can say something to make her feel so guilty. She thinks about what Nisha said.
Taani: *thinking* Kya Nisha sahi keh rahi hein? Haan, mein selfish hoon, par isliye nehi kyunki meine indirectly apne boyfriend - sorry, ex-boyfriend ko uske passion aur uske doston se dur rakha, par jo Nisha ne abhi abhi kahan, uske liye. Bas, no more rona dhona. 😈 Taanisha Shekawat Bakshi is officially back, and better than ever. Par pehele apni akdu behen ka gussa thandha karna padega! Damn this akdu ladki man! (in her sweetest voice) Nisha di, aap apni choti behen se naraz ho?
Nisha immediately melts seeing her cute little sister but then she remember her plan.
Nisha (in fake anger): Haan, bohot naraz hoon.
Taani: 😭 Aaj kal sab mujse naraz hi kyun rehte hein?
Nisha (melts seeing her baby sister cry and forgets all about her plan): Taani, I'm sorry bacha. Come here. 🤗 Kya hua? Swayam ne kuch kaha kya?
Taani breaks down crying and tells her everything from the comments and the gang's insults to what happened last night. Nisha got angrier by each word. (You and me both! 😡)
Nisha: Taani, voh sab idiots hein, jisne tere andar ka talent nehi dekha hein. Par phirbhi, tere pas ek awesome family hein, amazing friends hein aur tu talent ki dukaan hein meri maa.
Taani: Par mein toh apki behen hoon, aapki maa kaise ban gayi? 😆
Nisha: Very funny. Ab chal, dinner ka time ho gaya hein aur mujhe bohot bhuk lagi hein.
Taani: What else is new?
Nisha: Shut up! Vaise bhi aaj subha mera break-fast kharab ho gaya tha.
Taani (to herself): Aur ab dinner bhi kharab hone wala hein.
Nisha: Tune kuch kaha kya?
Taani: Nehi. Let's go!
Downstairs.
The door bell rings.
Taani: Mein dekti hoon.
Taani opens the door and it's Varya (Varun + Anya). Everyone's happy to see them. But then Nisha sees Varun. (Hey Taani ke Krishna ji, sab ko bacha lena!)
Nisha (to Taani): You didn't!
Taani (damn scared): I can explain.
Anya (saving her best-friend from this problem): Nisha, Puru kahan hein? (Vah, kya baat hein Anya. Tu ban gayi humari Taani ki knight in shining armor. 😆)
Nisha: Oh, Champu Vinnie ke saath date pe gaya hein. Pata nehi kab aaega. Nisha goes away to eat 😆.
Taani: Thank you Krishna ji, baar baar mujhe di se bachaa liya.
Anya: Tans, saara kam meine kiya, aur tu apne Krishna ji ko saara credit de rahi hein?!
Taani: Oh, sorry yaar Anya. I owe you one.
Anya: Big time!
They have dinner. Varyani (Varya + Taani) goes to Taani's room (which has a flat screen TV) to watch Glee.
Taani's bedroom:
Nisha: Tum log kya kar rahe ho?
Varun: Tujse matlab?
Tanya (Taani + Anya): Varun!
Anya: Hum Glee dekh ne wale hein.
Nisha: Have fun! Mein bahar jaake dad aur Karan 😳 ke saath basket-ball khelne jaa rahi hoon. Bye! Nisha leaves.
Varun: Finally! Voh idiot chali gayi.
Tanya glares at Varun and he just slowly turns on the TV. For the next two to three hours, the three best-friends are enjoying watching their favorite TV show until Taani turns the TV off.
Varun: Tans, tune TV kyun band kiya?
Taani: Kyunki Anya madam ne abhi tak humein yeh nehi bataya hein ki unhone yeh sudden decision kyun liya Imperial jaane ko?
Varun: Baat toh sahi hein.
Taani: Mein humesha sahi hoon. (to Anya) Chal Anya, ab bata ki tu aise suddenly Imperial kyun jaana chati hien?
Anya: Guys, tum dono ko pata hein na, ki music mera one and only passion hein?
Varun: Anya, tu aise ghuma phira ke baate kyun kar rahi hein? Seedhe seedhe bata na.
Taani (hits the back of his head): 😡 Rockstar, bolne de na usko. (to Anya) It's okay babes. Isse ignore kar, aur continue kar.
Anya: Thank you. So as I was saying, music mera passion hein, par mere aur bhi bohot talents hein, hobbies hein, par mein voh sab nehi kar sakti. (to Varun) Varun, tu law student hein. Par phirbhi tu gaata hein, guitar bajata hein, compose karna seekh raha hein, sports khel ta hein, dance kar sakta aur events bhi organize karta hein. (to Taani) Tans, Nisha sahi kehti hein, tu sachme talent ki dukaan hein. And I'm damn serious about that. Music tera passion hein. You live and breathe music. Par phirbhi, tujhe khana banana aata hein, dance karna aata hein, sports khel na aata hein aur tu events bhi plan karti hein. (to Tarun) 😭 Now coming to me: pa-the-tic. I am pathetic. Mein fattu hoon. Sab mujhe aur meri life ko itna perfect samajte hein. Tum sab mujhe fearless samajte ho. Par mein fearless nehi, fattu hoon. Mein apni mom ko yeh bhi nehi bata sakti ki mujhe voh sab karna hein jo mein ek singer banne se pehele karti thi.
Mujhe tennis acha lagta hein aur mein vapas apne tennis camp mein jaana chati hoon. Par mom kahegi: Anya, you'll too much energy for your concert.
Mujhe horses bohot pasand aur usse zyada horse-back riding. Mein vapas riding camp jaana chati hoon. Par mom kahegi: Anya, ghore (horses) bohot gandhe hein. Jab public mein jaogi, toh log kahenge ki Anya Gujral se itni badboo aa rahi hein aur tumhare saath saath humara bhi naam kharab ho jaega.
Mujhe acting bhi pasand hein. Acting ke liye tune aur Aliya ne mujhe inspire kiya tha Taani. Par mom kahegi: Anya, pehele movies mein gaana toh shuru karo, phir acting ki baat karenge.
Guys, graduation ke baad mom ne mujhe India's Got Talent ke liye contestant banne ko kahan, aur mein jeet bhi gayi. Par phir unhone kahan ki mujhe abhi abhi apna career banana chahiye. College gaya bhad mein. Par mom ne kabhi yeh nehi samjha ki mein college jaana chati thi, padna chatithi. Media college jaana chatithi mein, kyunki mujhe yeh seekhna tha ki short films kaise bante hein, different camera angles ke bare mein seekhna tha aur special effects bhi. Mein journalism bhi pad leti, taaki mein mein yeh jaan sakoon ki reporters ke paas sara khabar itni jaldi kaise pauchti hein, voh kaise kaam karte taaki mein scandals avoid kar sakoon. Kya tum log jante ho ki mom ne meri Imperial jaane ki baat itni asani se kaise maani? Kyunki ab unke liye Kiya zyada important hien, do you know why? Kyunki meri mom apni vahi beti ko zyada attention deti hein, jo media mein zyada popular ho and currently, that's Kiya. (she breaks down at that point) Voh ek achi mom hein aur Kiya ek bohot achi behen hein par... par voh mere dad aur bhaiya nehi hein jo mujse itna pyaar karte the, mujhe aur mere passion ko support karne ke saath saath jo mein chaatithi voh mujhe karne dete the. Un dono ki life mein sabse important person thi par meri vajay se voh... voh...
Tarun comes and hugs Anya. They didn't know their best-friend was in so much pain. In fact, no knew that Anya, who's life seemed so perfect, was completely broken inside.
Taani (trying to calm her down): Shh... Anya, it's okay. Nehi rote.
Taani looks at Varun and he assures he'll take care of everything.
Varun: Anya, tu apne aap ko fattu kaise samaj sakti hein?
Taani (understanding his plan): Haan. I mean, you kicked out of one of the most prestigious boarding schools in India after only 9th standard as in only one year.
Varun: Haan. Vahan ke princi ne kya kahan tha uske parents se?
Taani: Jab uske parents ne poocha tha ki aur bhi students toh honge jinhone school ke rules break kiye honge unhone kahan tha ki school ke history kisi bhi student ne itne rules nehi break kiye jitne Anya ne break kiye the.
Anya smiles at this.
Varun: Toh kaunse rules break kiye the madam ne.
Taani: Let's see... Um, January 10th, she dyed her hair purple.
Anya: Burgundy! There's a huge difference.
Varun: February 14th and 21st, madam ne first aur second period bunk kiya tha.
Anya: I was sick!
Taani: 😲 Acha? Sirf kuch ghanto ke liye tu bimar (sick) thi?
Anya: Whatever.
Taani: Let's see... March 5th, tu after hours ek ladke ke saath pool mein pakdi gayi thi. Ab isse kaise justify karegi?
Anya only looked away and blushed.
Varun: March 15th-
Anya: Bas bas! Samaj gayi mein.
Taani: Good!
Varun: Guys! Abhi abhi 12:12 baje hein.
Taani: Toh?
Varun: Arre, wish mango na!
Anya: Oh! Pehele kyun nehi bataya?
Taani: Tu wish mang.
Taani: *thinking* I wish ki mein sab ko dikha sakoon ki mere paas sapne bhi hein, aur talent bhi. Sab ko galat sabith kardoongi. Aur ki mere saare friends aur meri poori family ko duniya ke saare kushiyan mile! 😊
Varun: *thinking* I wish ki mujhe Sanju mil jaye! ☺️
Anya: *thinking* I wish ki mom mujhe aur Kiya dono ko equally pyaar kare aur ki voh iss baat pe dhyaan na de ki kaun media mein zyada popular hein.
Yeh iss gang ka tradition hein. Jab bhi 12:12 ya 11:11 (you get the point) baje, toh voh ek wish mangenge.
Anya: Thank you guys! Tum dono jaise kaminey best-friends meine kabhi nehi dekhe.
Taani: Anya, mujhe kamini keh kar meri insult ho rahi hein, but as you know, mere liye har insult ek compliment hota hein. 😆 Par Varun ko kamina keh kar tu Shahid Kapoor ki bezati (insult) kar rahi hein. Shahid Kapoor jaise mahan insaan ko tum Varun ke saath kaise compare kar sakti ho?
Anya: 😆 You're right. Bechara Shahid.
Varun (throws pillows at both of them): 😡 Very funny.
Taani and Anya are laughing their heads off.
Anya: 😆 Varun, ab toh subah ho gayi hein. Yahan sone ka plan hein kya?
Varun: Kash so sakta. Ek taraf Taanisha Shekawat Bakshi, aur ek taraf Anya Gujral.
Anya: Shut up! Mein toh mazak kar rahi thi.
Taani: Anya, ab tak toh tujhe pata ho na chahiye ki humara Varun jo hein, kabhi sudrega nehi.
Anya: Yeh toh sahi hein. (to Varun) Varun ji, kya aap Karan ke kamre mein jaakar sone ka kasht karenge?
Taani: Haan. Vaise bhi, dono ka dostana bohot acha hein. 😆
Anya bursts out laughing an Varun throws a pillow at Taani before leaving.
Anya: Vaise Tans, on a serious note, thank you. Meri help karne ke liye.
Taani: Tu nikal mere ghar se! Tu ab meri best-friend toh kya meri dushman bhi nehi ban sakti hein!
Anya: Kya?! Par kyun?
Taani: Kyunki dosti mein no thank you, no sorry and absolutely no secrets.
Anya: Acha baba so- I mean, ab gaali gaali please bulwaogi kya? Maafi mangne ke liye?
Taani: Acha tikh hein. Chal, maaf kiya.🥱 Bas, mein thak gayi. Ab sone jaa rahi hoon, good night.
Anya: Good night. *thinking* Taani, Rey bohot bara gadha hein. Tujhe rulaya na? Ab mein usse rulaoongi. Yeh Anya Gujral ka vaada hein. (Yes, she knows everything.)
Alright. Next part... surprise hoga meaning no precap. Kab update karoongi yeh toh mujhe bhi nehi pata. Sorry for any mistakes.
Edited by diyadawda13 - 12 years ago
294