Loved Ariya convo!
Continue soon!
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
Is it just me or…
PARAYI AURAT 13.9
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aabeer Gulaal reviews and box office
Tanya was fab today👏🏻
Anupamaa 13 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
Silences Between Hearts ~ A Rumya SS ~ Chapter 4 on pg 1
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Katrina won't announce her pregnancy, is she?
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 13th Sep 2025 - WKV
Hello Ariyans...back with a new part...emotional hi hai but there is a bit of positivity too...!
pls read and reply...pls excuse errors...jaldi jaldi mein likha hai…..isiliye errors hone ke chances hai! srry.. bear with me!
Thanks for all the prev comments and likes
********************
Chapter 7B: Yeh pyar na hoga kam...
Arjun was feeling helpless and miserable hearing her past life…he hadn't even thought that she had gone through so much pain……
Riya turned to him and she had no tears now…"mujhe nahi patha ke yeh sab maine aapse kaise keh diya Sir…..aaj tak kisi se itna sab nahi keh paayi…..aur shaayad aage bhi…"
She cut short her words….
He smiled assuringly and replied "par mujhe pathaa hai ke tum yeh sab mujhse kaise keh sakhi Riya…."
But her mind was in turmoil…She had blurted out everything but she wasn't yet convinced that she did the right thing! She wanted to distance him away because she strongly felt that she cant accept his love now!
Jaanewafa hoke bekaraar
Jaanewafa hoke bekaraar
Barson kiya maine intezaar
Par kabhi tune nahin
Ye sab kaha jo ab kaha
Dil bebasi mein chupke se rota hai
Kya karoon hay kuchh kuchh hota hai
Kya karoon hay kuchh kuchh hota hai
**********************************
As she sits down on the couch sobbing after the emotional outpour, he walks to the dining table and brings back a glass of water
Holding out to her, "paani peelo Riya….aur inn aanzoon ke saat apna saara gham bhi bahaadho….main tumhe nahi rokhunga! Itna sab seh ke tumne kaise ek ek din ghusaari hogi, yeh main samajh saktha hoom!"
Taking the glass from him and wiping off her tears "nahi sir…aap nahi samajh sakthe….koyi nahi samajh saktha….yahaan tak ke mere maa bhi nahi samajh paayi…[in a lost tone] ya phir samajhna nahi chahthi…unne bas mujhe apne pati ke saat rehthe dekhna tha…typical parent psychology!...main kitna bhi khoshish karoom unne nahi samjhaa sakhi…unne abhi bhi lagtha hai ke maine apne haathon se apne zindagi barbaadh kiya hai…apna ghar aur shaadi thodi hai! unnke nazar mein Suraj ek bohat accha saccha insaan hai….aur main….apne hi family mein mera image bohat bhuri hai Sir…..ek wavered characterless…." [she stopped abruptly]
[The once stopped tears were rolling out again….Arjun kneeled down before her not able to withstand her tears….she didn't look up at him…her head was lowered as if embarrassed even to face him]
Arjun: [cupping her face and wiping the tears off her pale face with his fingers] Riya….Riya…plz mujhse nazaren milaao...[He shook her up and made her eyes meet his]…unke baare mein main nahi jaantha par mujhe kuch samjhaane ki zaroorat nahi hai Riya..tumaare innocence mujhe patha hai…u don't have to prove it to me Riya!. tumaare inn aankhon se sab kuch padh saktha hoom…aur yeh kabhi jhoot nahi bolthe….
Riya let out a sad and faint chuckle with the irony in what he said…If only he had read what was in her heart, or what her eyes reflected years back, all this would never have happened….
He could now read what her faint smile meant or what ran across her mind in those moments….he replied as if answering her unspoken words….
"main jaantha hoom ke tum kya soch rahe ho….Woh mera sabse badaa galthi hai Riya…..maine sab kuch dekh kar bhi undekha kiya ya shaayad sab kuch galath samjha….jo pyar mere liye tha usse Suraj ka samjhaa…..galath tha main…..tumhe inn sab mein uljhaana waala main hi hoom Riya…kaash main tumhe rokhletha….[letting a deep sigh] khair, jo hona tha woh ho gaya aur hum usse bathal nahi sakthe….par ab main uss galthi ko sudhaarna chahtha hoom….kya tum mujhe ek maukha nahi dhogi….kya tum mujhe maaf nahi karogi?? Main woh galthi ko mitaake humaare life ko phir se shuru karna chahtha hoom….kya tum mere saath dhogi?? [holds out his hand to her]
Riya smiles at his words "life mein kuch galathiyon ko kabhi sudhaar nahi sakthe Sir….aur yeh bhi aisa hi ek galathi hai! [when he saw her quizzical eyes] main jaantha hoom aap kya poochna chahthe hai…..Suraj ke saat shaadi, mere life ke sabse bade galathi thi aur main uss galathi se baahar nikhaalna chahthi hoom….par chaah kar bhi uss shaadi ke wajoodh ko apne lifese mitaa nahi sakthi….woh humesha rahega…jab tak main hoom, woh bhi mere saath zindha rahega"
Arjun holds her firmly and looks intently into her eyes as if trying to look beyond them….trying to read what lay hidden behind those words…
No her eyes weren't telling lies to him but what was it…why was she doing this to herself? …to him?…what was holding her back?
He longed to know…."kyun Riya??? Aisa kyun soch rahi ho? sach bathaao…kya tum ab bhi Suraj ke paas waapas jaane ke umeedh rakhthi ho?? kya tum usse maaf karna chahthi ho??
His questions were endless and it weren't stopping….She freed herself from his hold and stood up…Walking a few steps away…"Nahi….main usse ek insaan bhi nahi samajhthi…..waapas jaana toh..[stops midway]….usske baare mein soch bhi nahi sakthi…..I can never forgive him for what he did to me…to my baby! Ek patni shaayad apne pati ko maaf kardhe par ek maa kabhi apne bacche ke khooni ko maaf nahi kar sakthi! Usse maaf karna toh dhoor, I cant even stand his presence!"
Arjun heaved a sigh of relief, he didn't know why Riya's words of confirmation soothed him so much but he felt really calm now….but even now, many of his questions remained unanswered…But she continued with them soon….
"Zindagi mein pyar ek baar hota hai….shaadi bhi ek baar hota hai…." [she turned around to look at his shocked form and smiled weakly at him] koyi film ki dialog nahi hai…..aapka hi kaha hua lines hai…Rathod sir se aapko kehthe hua suna tha maine….sorry, aap dono ke baatein sunne ka iraadha nahi tha par…."
[she stops explaining herself as she knew that it wasn't important now while Arjun's mind wandered in those few moments back to the day when he and Rathod had that conversation….Arjun's only aim then was to somehow stop Rathod from interfering into it further…..and he also had this false impression that Riya loved Suraj….He didn't want Rathod to pursue the topic further and cause complications in Riya's life….He didn't know that he had unknowingly made it more complicated and tough for Riya!...Arjun's thoughts were snapped as Riya ranted on aimlessly…]
"Uss waqt aapka unn lafson ka matlab main samajh nahi paayi par ab samajh aa raha hai.….pyar toh maine ek baar kar li….shaadi bhi ek baar kiya…..afsoz bas iss baat ka hai ke maine apne pyar se nahi kisi aur se shaadi ki… pyar ke bina shaadi adhoori hoti hai..aur shaayad isi wajeh se meri shaadi tikh nahi paayi….mere hi khoshishon mein kuch kami reh gayi hogi……isiliye Suraj ko bathal nahi paayi, apna pyar nahi deh paayi!…. ….shaayad maa teek keh rahi thi mere wajeh se mere shaadi tooti…."
That was more than enough crap that Arjun could stand…he paced to her and firmly held her in his grasp
"bas…ab ek aur shabd nahi….aur kitna bhakwas kahogi Riya? Yeh sab keh ke mujhe tumse dhoor bhejna chahthi ho na?? par ek baat sunlo….chaahe jo bhi ho jaaye….jithna bhi tum khoshish karlo, I am not going anywhere away from you…Samjhi ya samjhaavum?"
Riya shrugged off his hold and replied "samajh toh aap nahi rahe ho Sir….jaise bhi ho, Suraj ke saat shaadi hui thi meri…..pati tha mera….uss rishte se azad toh ho jaavungi par uss sachaayi ko bathal ya mitaa nahi sakthi!"
Arjun was flaring up now "oh come on Riya...cut this crap…Suraj ko insaan nahi maan sakthi na??…phir??? kya usse pati ka roop deh kar usse zindagi barr yaadh karne waali ho?? kis samaane ki baat kar rahi ho tum???
Riya: [fed up of explaining] aap nahi samjhenge…forget it!
Arjun: [mellowing down and not willing to give up his efforts] toh phir tum samjaavo….main yahi hoom….aur sunn bhi raha hoom…
Riya:[after a deep long pause…takes a deep breath and voices out sternly] ok…aap sunna chahthe hai na? toh suniye…..Suraj jaisa bhi hai, ussne mujhe, mere aathma ko chooha hai…pati patni reh chukhe hai hum…[that obvious relevation from her hurt him somewhere deep….his heart ached and he balled his fist in anger but he was silent]…baley hi humaare shaadi mein pyar nahi tha par main usske bacche ki maa banne waali thi! Ek ladki keliye unn ehsaason ko, unn lamhon ko bhoolna naa mumkin hai…. aur jab tak main hoom, woh sab yaadein mere andhar rahenge….kabhi bhool nahi sakthi…aur unn yaadon ke saat kisi aur se pyar ya shaadi karna galathi hogi….ek baar woh galathi maine already kiya hai…..baar baar kiye hua galathi ko galathi nahi gunaah kehthe hai aur main yeh gunaah nahi karna chahthi…..
She quickly turned away hiding her tears from him….He was left dumbfounded by her words…..The very thought, the essence of what she said slowly dawned upon him like a slow storm….a high tide seemed to have started off in his mind….He took some time off to let that settle in him….He knew that she wouldn't change her views whatever he told her or try to counsel her now….She wasn't ready for any of those….He had to give her the much needed time to even get her ready to listen to his words……
***********************
After a few minutes of absolute silence…..he walked to her….and held out his hand to her again….
"pyar nahi kar sakthi..shaadi nahi kar sakthi…par dhosti?…dhosti toh kar sakthi ho na?
Lets be friends Riya…."
Dhundhla jaayein jo manzilein
Ik pal ko tu nazar jhuka
Jhuk jaaye sar jahan wahin
Milta hai rab ka raasta
Teri kismat tu badal de
Rakh himmat bas chal de
Tere saathi mere kadmon ke hain nishaan
Tu na jaane aas pass hai khuda
She didn't respond…she just looked at his held out hand and looked as if lost in her own thoughts….
[To be continued]
Arjun ek nayi khoshish, ek nayi beginning karna chahtha hai…kya Riya uske saat hogi…kya usska mindset change hoga??? Kya Arjun ko apna paayegi??….….To know all that and more…keep reading Yeh pyar maine kyun jaana?
I guess, I ended this part in a more pleasant mode rather than the usual rhona dona….i hope u liked it….and the song...i have used it another ff but i found it apt here too...hope u liked it...its my fav!
So how was it? pls reply to me in long comments….
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...
You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...
35