Zindagi Ke Silsilay on RajeevAamna,Last Part pg-25 - Page 8

Created

Last reply

Replies

208

Views

61.6k

Users

18

Likes

42

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#71
iman aaj raat thak story post kar doongi pukka.... 😃
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#72
saara dear thanku soooo much i just love ur comments... 😳 i'am waiting for ur story please write it soon........ 😃 aur haan i'll post my story most probably by the evening....... 😃
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
#73
suri jaldi likho ab aur intezar nahi hota
illuminated. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 8
Posted: 19 years ago
#74
hey by the evening is alot post abhi klardoo nah cant wait just like u cant wait for my story i cant wait for urs i am being sooooo greedy but i am addicted to ur story
thankx for lovingmy comments but i am like this since birht always appreciate others work anyways continue no plzzzzzzzzzzzzzzzzzzz 😭



Saraa
JaViA thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
#75
ab yeh shaam kab aaye gi hehehe 😆 😆
jaldi likhna ..cant wait yaar
Iman
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#76
hey guys i'am sooo damn sorry i couldn't continue the story yesterday..but i promise today for sure i'll post it....pukka......... 😃
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#77
hey guys i'am so damn sorry i don't think i can post my story today..really sorry for that.. now to compensate for this i have written 4 short stories which will end in one go.. hope u like them.... 😃
i'll just post the stories in 5mins... 😃 😛 😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#78
well first i'am posting three stories which are based on the same concept "all's well that ends well ".. so here are the stories.....

" ALL'S WELL THAT ENDS WELL THE FIRST STORY "

1) do parivaar hain ek hain the garewal's ek hain
the basu's… garewals aur basu's business rivals hothe hain.. woh kabhi bhi dosto ki tarah nahi milthe woh jab bhi milthe dushmano ki tarah milthe… yeh baat hui bado ki tho phir in families ke bachche bhi is dushmani se durr kahaan the.. garewals ka ek beta hain
sujal garewal aur basu family mein unki ek beti hain kashish basu… kashish aur sujal ek saath college mein padthe hain.. par dono ek dusare ko ek aankh nahi bhathe.. woh dono hamesha ek dusare se jagad padthe ya phir koi argument karthe rehthe…. College khatam hua tho in dono ki zindagi aage badi… woh dono kabhi ek dusare ke saamne nahi aaye woh dono apni apni zindagi mein apni apni business mein mhasroof the…. Lekin sujal ko kashish ki yaad hamesha aathi thi.. woh
kahiin na kahii kashish ko pasand kartha tha lekin uska kabhi izhaar na kar paya…. Usse yeh baat ka ehsaas tab hua jab unka college life khatam hua… kashish ke dil mein bhi ek ajeeb tarah ka khichaav tha sujal ke liye joh hamesha usse sujal ki taraf kheechtha tha… lekin kyunke dono business rivals the woh ek dusare ke jazbaat kabhi samaj na paye… aur unke dil mein ek dusare ke liye rivalry badthi gayi par us mein bhi unka pyaar chupa hua tha…..
Ek baar business mein basu's ko nuksaan hotha hain.. aur kashish ke dil mein yeh baat baith jaathi hain ki yeh nuksaan unhe garewal's ki wajah se mila hain.. kashish ne kabhi koshish nahi ki woh problem ki teh thak pohanchche ya phir jaanne ki koshish kare ki nuksaan ka asli wajah kya tha..…
Sujal aur kashish ki business rivalry badthi gayi.. yeh baat dekhkar dono families ke bade pareshaan ho gaye.. woh sochthe hain ki ab is dushmani ko khatam kar dena chahiye… sujal aur kashish ke ghar wale yeh nischay karthe hain ki woh ab is dushmani ko dosti aur rishteydaari mein badal denge.. woh sochthe hain ki woh log sujal , kashish ki shaddi karwayenge…
Sujal ko uske ghar wale yeh baat batathe hain.. sujal ko pehle samjh nahi aatha ki woh is baat pe kaise react kare par woh phir khush hotha hain ki kashish uski zindagi ka hissa banne jaa rahi hain .. sujal sochth hain ki is dushmani ko khatam hona hi chahiye.. ek taraf jahaan sujal apni nayi zindagi ke bare mein soch raha tha aur khush ho raha tha tho duji taraf kashish ke pariwaar wale uski aur sujal ki shaddi ki baat karthe hain… kashish ko samaj nahi aatha ki kyun uske pariwaar wale uski aur sujal ki shaddi ki baat kar rahe hain kashish pehle mana kar dethi hain.. lekin phir kashish sochthi hain ki sujal se apne business ke nuksaan ke badle lene ke liye isse achcha mouka nahi milega.. woh sujal se shaddi ke liye haan kar dethi hain.. sujal yeh jaankar bohat khush hotha hain ki kashish ne shaddi ke liye haan kardi hain kyunke uske dil mein yeh shak tha ki kahiin kashish na na keh de.. dusari taraf kashish sujal ko barbad karne ki soch rahi thi… din guzarthe gaye.. aaj sujal aur kashish ki shaddi thi.. poora rasmo ke baad kashish ki vidaii hui.. woh sujal ke ghar mein apne pehle khadam rakthi hain yeh sochkar ki woh sujal ko kabhi chain se jeene nahi degi.
Us raat kashish sujal ko saari sachayi bata dethi hain woh usse yeh bhi kehthi hain ki woh uski zindagi mein uski barbadi bankar aayi hain… sujal yeh saari baatein sunkar toot jatha hain.. woh kashish ko samjhane ki koshish kartha hain ki unke business ke nuksaan mein uska koi haath nahi tha.. par kashish kuch nahi sunthi…
Waqt beettha gaya sujal kashish ab bhi ek dusare se durr the.. sujal har woh koshish kartha jisse ki woh kashish ka dil jeet sake lekin kashish par in sab baato ko koi asar na hua.. woh sujal ko har waqt tadpathi thi aur sujal sab kuch chup chaap kashish ki behrukhi sehtha tha…par kashish sujal ko chahne bhi lagi thi par uske badle ki bhavna uske pyaar se badi thi… aaj sujal aur kashish ki shaddi ki pehli saal gira { wedding anniversary} thi aur sham mein ghar par ek party thi……. Kashish subah apne ghar jaathi hain aur shaam ko party se pehle loutne ki sochthi hain.. kashish poora din apne mom aur dad ke saath bitathi hain… baton baton mein kashish &n bsp; ke father kashish se kehthe hain ki kashish bohat lucky hain ki usse sujal jaisa pati mila.. woh yeh bhi kehthe hain ki agar sujal business mein humari madat nahi kartha tho unka business dhoob jatha.. kashish ko yeh baat samaj nahi aathi tab uski mom usse samjhathe hue kehthi hain ki jab humme business mein nuksaan hua tha woh bhi isliye kyunke humare manager ne humme paiso ka dhoka diya tab sujal ne humari company mein paise invest karke humme bachaya tha..
Kashish shocked hothi hain aur kehthi hain :- par aap logo ne kabhi yeh baat mujhe kyun nahi batayi ??
Kashish's mom :- woh is liye kyunke sujal nahi chahtha tha ki tumhe kabhi is baat ka patah chale…
Kashish is feeling very guilty ki usne sujal ke saath itna bura kiya.. woh phir apne ghar garewal house ke liye nikal padthi hain.. kashish ghar pohnchthi hain aur party ke liye tayaar hothi hain.. sujal ab thak ghar nahi aaya…. ghar par mehmaan aana shuru ho gaye the.. kashish party hall mein aathi hain tho dekhthi hain ki sujal aa chukka hain aur apne dosto se baat kar raha hain.. woh har pal bas sujal ko dekhe jaa rahi thi jab sujal usse dekhtha tho woh apni nazarein neechi kar lethi thi……party bohat dher thak chali sab ne bada maza kiya. Sujal ko kashish ke andaaz badle badle se nazar aaye....phir party khatam hotha hain.. kashish apne kamre mein bed par baithkar ro rahi hothi hain.. sujal room mein aatha hain tho kashish ko aise dekhkar darr jatha hain.. woh kashish ke pass jaakar baiththa hain..
Sujal :- kashishh……
Kashish rothi hui nazro se usse dekhthi hain…
Sujal usse dekhkar pareshaan hotha hain aur kehtha hain :- kya hua kashish ro kyun rahi ho ??
Kashish bina kuch kahe sujal ke gale lagkar rothi hain aur kehthi hain :- kyun tumne aise kiya , kyun tum meri saari baatein sehthe gaye , kyun kabhi mujhe bahi bataya ki humare business ke nuksaan mein tumhara koi haath nahi tha , kyun tumne mujhse yeh baat chupayi ki woh
Tum the jisne humari business ko bachaya… kyun kyun kyun….. woh sujal se durr hothi hain aur sujal ko dekhthi hain joh bas usse hi dekhe jaa raha tha..
Kashish :- bolo sujal kyun ???
Sujal :- kashish tum meri zindagi ho aur tumhare liye main kuch bhi kar saktha hoon.. agar mujhe kabhi tumhare liye marne bhi pade tho main mout ko haste haste gale laga loonga.. { kashish yeh baat sunkar apna haath sujal ke mooh par rakhthi hain aur ishara mein kehthi hain aisa nahi kehthe } sujal kashish ka haath hatakar kehtha hain :- kashish bohat pyaar kartha hoon tumse jee nahi saktha tumhare bina…
Kashish sujal ko dekhthi hain aur kehthi hain :- main kabhi tumse yeh baat keh rahi payi main bhi tumse pyaar karthi hoon… yeh baat sunthe hi sujal ke chehre per ek halki si muskaan aa jaathi hain.. sujal kashish ko apni baho mein le letha hain.. aur unki zindagi ki nayi shuruwaat hothi hain…
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#79

" ALL'S WELL THAT ENDS WELL THE SECOND STORY "

sujal kashish business partners hain unke families ke beech achchi dosti hain.. sujal ,kashish bhi bohat achche dost hain.. woh ek dusare ko bachpan se jaanthe hain.. woh dono ek dusare se har ek baat share karthe the.. kashish ke mood aaj kal achcha nahi rehtha tha woh udass rehne lagi thi apni zindagi se root gayi thi.... sujal iski wajah jaantha tha.. woh poori ki poori koshish kartha ki hain ki uski woh poorani wali kashish lout aaye jisse har dum mazak soojtha tha.. kashish ke is tarah badalne ki wajah tha uska pyaar ka dhoka tha… woh piyush naam ke ek ladke ko apna dil de baithi par piyush ne usse pyaar mein dhoka diya… kashish yeh baat bardhast nahi kar payi aur apne aap mein ghut rahi ... sujal kashish ko aisa nahi dekh paya.. iski do wajah thi ek yeh tha ki kashish uski sabse achchi dost thi aur dusara yeh tha ki sujal hamesha se kashish se pyaar kartha tha lekin woh is baat ka kabhi izhaar nahi kar paya…..
dekhthe hi dekhthe kashish piyush ke dhoke se nikal aayi aur waqt bhi beettha chala gaya.. ek saal ka waqt guzar gaya.. sujal is baat mein kamiyaab ho gaya ki woh kashish ki khoyi hui hasi uski khoyi hui zindagi usse wapas de sake .. aaj kashish wohi kashish thi jisse sujal ne bachpan se jaana hain aur jisse sujal ne kahiin kuch pal ke liye kho diya tha… sujal aur kashish ki dosti aur ghehri hothi gayi.. sujal se jab bhi uske pariwaar wale shaddi ki baat karthe tho sujal baat ko kuch na kuch kehkar taaal detha tha.. wahaan kashish ke bhi yahii haal the.. chahe woh piyush ko bula chuki ho par woh kabhi shaddi nahi karna chahthi thi… kashish bhi kahii na kahii sujal ko pasand karne lagi thi par woh yeh sochthi thi ki agar usne yeh baat
sujal ko batayi tho woh usse mana tho nahi karega aur usse majburan rishthe mein jhud jayega.. sujal dusari taraf yeh sochtha tha ki kahii kashish ko koi majburi mein aakar usse haan na keh de.. inhi sab bato ke chalthe hue sujal aur kashish ke family wale un dono ki shaddi ki baat chalathe hain.. sujal , kashish dono haan kar dethe hain.. par dono is baat par kabhi ek dusare se koi baat nahi karthe the.. kashish sochthi thi ki sujal ne apni family ke wajah se shaddi ke liye haan ki hain aur sujal bhi yahii sochtha hain ki kashish ne apni family ke liye shaddi ke liya haan ki hain…
sujal ,kashish ki engagement aur shaddi ki date fix ho jathi hain..
aaj un dono ki engagement hain.. sujal ,kashish ke dil main ek ajeeb si khushi thi joh woh ek dusare se zahir na kar paye… ab bhi dono ne shaddi ki baat par koi baat nahi ki thi.. dono ko hi ek dusare se shaddi ki baat karne mein hichkhichahat hothi hain… sagai ki rasm shuru hothi hain.. sujal , kashish ek dusare ko anghooti pehan na the hain.. jab sab khush hothe hain tab ek unchaha mehmaan tapak padtha hain.. woh mehmaan sujal ,kashish ke pass jaatha hain sujal kashish usse dekkkar hairaan ho jaathe hain…….
Kashish :- piyush tum ?? yahaan kya kar rahe ho ??
Piyush :- hi kashish , kaisi ho ?? main tho bus tumhe aur sujal ko tumhari sagaai par badayi dene aaya hoon..
Congratulations… piyush yeh kehkar wahaan se chala jatha hain.. par kashish ko usse dekhkar uske dil mein ek ajeeb sa darr baith jaatha hain ki kahii woh unki zindagi barbad karne tho wapas unki zindagi mein nahi aaya…kashish piyush ke wapas aane se badi bechain ho jaathi hain…Sujal ko kashish ki bechaini ko dekhkar aisa lagtha hain ki kashish aaj bhi piyush se pyaar karthi hain…… lekin kashish ke dil mein sujal ko khone ka darr baith gaya tha isliye woh bechain ho rahi thi.. sujal yeh samaj na paya…..engagement party khatam ho jathi hain..
Agle din piyush kashish ko call karke kehtha hain ki :- woh yahaan sirf uske liye aaya hain… piyush yeh bhi kehtha hain ki woh usse pyaar kartha hoon hain aur yeh bhi kehtha hain agar tum meri zindagi mein nahi loutti tho main tumhe choduga nahi… kashish yeh saari baatein sunkar darr jathi hain.. woh apne kamre mein baithkar rone lagthi hain…kashish ko sujal ko khone ka darr satha raha tha aur woh roye jaa rahi thi.. .. tab sujal uske kamre mein aatha hain.. kashish ko aise dekhkar sujal ko lagtha hain ki shayad kashish aaj bhi piyush se pyaar karthi hain aur uske pass wapas jana chahthi hain…… sujal goes to piyush aur usse baat kartha hain.. sujal , piyush ko kashish ke pass le jatha hain & then sujal says ki woh un dono ki zindagi main nahi aayega.. sujal piyush aur kashish ka haath milakar wahaan se chala jatha hain…woh kashish ko kuch bhi kehne ka mouka hi nahi detha……phir piyush bhi wahaan se chala jaatha hain…. kashish sochthi hain ki shayad sujal is rishtey se chutkara chahtha tha isliye usne aisa kiya hain…..kashish sochthi hain ki agar sujal usse shaddi nahi karna chahtha tho na kare par woh piyush ke saath apni zindagi nahi beethayegi.. kashish sujal ke ghar jaathi hain usse apni feelings ka izhaar karne… kashish sujal ke kamre mein jaathi hain.. par sujal usse wahaan nahi miltha… kashish sujal ke kamre se bahar jane lagthi hain jab uski nazar bed par rakhi ek diary par jaathi hain.. kashish woh diary padthi hain.. us diary ko padkar kashish ko yeh ehsaas hotha hain ki sujal usse tabse pyaar kartha jab piyush uski zindagi mein tha bhi nahii.. kashish sujal ka cell try karthi hain par woh off rehtha hain.. usse suddenly yaad aatha hain ki sujal jab bhi akela hona chahtha hain woh sunset point pe jaatha hain…… kashish piyush ko call karke kehthi hain ki woh usse abhi issi waqt sunset point par mile….. piyush & kashish us jagah pohanchthe hain.. kashish sujal ko dekhthi hain aur apni gaadi se bahar nikalthi hain , piyush bhi bahar aatha hain par usne ab thak sujal ko nahi dekha… kashish sujal ki taraf badi piyush sujal ko wahaan dekhkar pareshaan ho jaatha hain.. sujal wahaan khada ro raha hotha hain jab usse lagtha hain ki koi uske pass khada hain…woh mudke dekhtha hain ki wahaan kashish aur piyush khade hain.. sujal foran apna chehra dusari taraf karke apne aasu pohanch letha hain.. aur kehtha hain….
Sujal :- tum dono yahaan kya kar rahe ho ?? jao aur party karo aur kashish tum uncle aunty ki fikar mat karo main hoon na..……
Kashish uske pass jakar khadi ho jaathi hain aur kehthi hain :- kiss se sach chupane ki koshish kar rahe ho sujal mujhse ya phir apne aapse { kashish sujal ko uski diary dikhathi hain sujal diary dekhkar shock ho jaatha hain}
Sujal :- nahi kashish yeh tho bas aise hi likh di thi maine..sujal kashish se aankh nahi mila raha tha.. sujal , kashish dono ki annkhon se halke se aasu beh rahe the..
Kashish :- theek hain sujal mana tumne is diary mein joh joh nhi likha woh jhoot hain par kya tumhari aankhein bhi jhoot bol rahi hain.. sujal kashish ko dekhtha hain.. aur dono ki annkhen milthi hain..
Kashish :- main tumse kabhi apne dil ki baat keh nahi payi yeh sochkar ki kahiin tum yeh na sochlo ki main tumhara fayada uta rahi hoonn.. lekin aaj main tumse kehthi hoon main tumse pyaar karthi hoon sujal piyush kabhi mera pyaar tha hi nahi woh tho bas ek dhoka tha..bohat pyaar karthi hoon tumse sujal…
Sujal kashish ko dekhtha hain usko uski kaano par vishwaas nahi ho raha tha woh kehtha hain :- kashish main bhi bohat pyaar kartha hoon tumse kashish jee nahi saktha tumhare bina….
Sujal aur kashish ki aanko se khushi ke aasu behthe hain aur sujal kashish gale lagthe hain….
Piyush yeh sab dekhkar shocked hotha hain aur woh undono ko warn karke jaatha hain ki woh unki khushiyo ko thaba kar dega……
Is baat ko hue ek saal beet gaya sujal ,kashish ki shaddi ho chuki thi...woh dono apni zindagi main bohat khush hain.. is ek saal main piyush badi koshish kartha hain un dono ko judaa karne ki.. par woh har baar nakamiyaab hotha hai aur woh tang aakar sujal , kashish ki zindagi se chala jaatha hain..
Aaj ka din sujal aur kashish ke liye nayi khushi laya tha.. aaj un dono ki pehli wedding anniversary hothi hain aur kashish sujal ko sabse achcha tofha dethi hain…kashish sujal se kehthi hain ki woh maa banne wali hain sujal kashish behad khush the.. .. waqt beetha tha gaya sujal ,kashish apni zindagi khushi khushi apne aane wale bachche ke sapne dekhkar guzarne lage……..
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#80

" ALL'S WELL THAT ENDS WELL THE THIRD STORY "

is kahani main chaar khirdaar hain sujal ,kashish , archie aur piyush.. kashish sujal ke company main kaam kar rahi hothi hain.. piyush bhi us company mein kaam kartha hain.. piyush aur kashish saath kaam karthe karthe woh dono achche dost ban jaathe hain.. sujal ko piyush aur kashish ki dosti hamesha khatakthi thi.. kyunke woh kashish ko chahne laga tha.. issi tarah sujal ki ek dost hain archie.. archie sujal ko pasand karthi hain par sujal usse avoid kartha rehtha tha.. sujal archie ko ek saath dekhna kashish ko ek annkh nahi baatha tha.. kashish bhi sujal ko chahne lagi par woh sochthi thi ki agar usne jakar sujal ko propose kiya tho kahiin sujal usko ghalat na samaj jaye. Sujal ek din kashish aur piyush ko saath dekhtha hain.. yeh baat usse achchi nahi lagthi.. jab kashish ghar jaane ke liye nikalthi hain tab sujal beech sadak mein kashish ko rokhkar ghusse mein apna pyaar ka izhaar kar detha hain.. kashish bhi sujal se apne dil ki baat keh dethi hain.. dono sujal aur kashish ek saath khush hothe hain.. lekin do log aise hothe hain joh in dono ko saath dekhkar khush nahi hothe.. woh hain piyush aur archie.. kyunke piyush kashish ko aur archie sujal ko chahthe the…
piyush aur archie ek dusare ka saath dena ko tay &nb sp;
karthe hain aur yeh bhi tay karthe hain ki woh
log sujal ,kashish ke rishtey ko thod denge…..
sujal ,kashish ek saath bohat khush hothe hain.. woh dono shaddi karne ka nischay karthe hain.. piyush kashish aur sujal ke pass jatha hain aur woh kashish se apni dil ki baat keh detha hain ki woh kashish se pyaar kartha hain.. kashish mana kar dethi hain.. par piyush nahi maantha.. sujal ko piyush pe bada ghussa aatha hain aur woh piyush ko warn kartha hain ki woh kashish se durr rahe.. sujal piyush se yeh baat bhi kehtha hain ki woh piyush ko jaan se maar dega agar usne kashish ko pareshaan kiya.. archie yeh baat sun lethi hain… ussi raat ko piyush ka qatal ho jaatha hain.. kashish sujal pe shak karthi hain kyunke woh jaanthi hain ki sujal apne ghusse mein kuch bhi kar saktha hain.. kashish ko aise kuch saboot bhi milthe hain joh ki uske saamne yeh saabit karthe hain ki sujal ne hi piyush ko maara hain.. kashish ab sujal se badla lene ke irada se usse shaddi karne ke liye haan kar dethi hain.. kashish sujal ko uske kiye par pal tadpana chahthi hain..
kashish aur sujal ki shaddi ho jaathi hain.. kashish sujal se durr rehna shuru kar dethi hain.. sujal ko samaj nahi aatha ki kashish uske saath aisa bartaav kyun kar rahi hain.. kashish sujal se durr rehkar usse tadpa rahi thi.. unki shaddi ko aaj ek hafte ho chukka tha ab bhi kashish ke bartaav mein koi badlaav na aaya…aaj sujal aur kashish ki shaadi ka reception hain.. kashish ko is mein koi dilchaspi nahi hothi.. par kashish ko sujal ke gharwale zabardasti karke kapde ki kharidari pe bhej dethe hain.. aur sujal office chala jaatha hain…kashish apni shopping khatam karke coffee shop jaathi hain..wahaan woh kissiki ki baatein sunthi hain.. kashish ko ehsaas hotha hain ki woh archie hain aur uske saath koi baitha hain..kashish unki baatein sunthi hain…
archie:- tumhe tumhare paise mil jayege , lekin tum apna mooh band rakho.. agar kissi ko patah chal gaya ki piyush ko maine marwaya hain aur kashish ke saamne woh sabot maine plant kiya hain joh ki uske samne yeh saabit karde ki sujal hi piyush ko qatil hain tho achcha nahi hoga... itna sab kuch maine sirf aur sirf sujal , kashish ko alag karne ke liye kiya hain aur ab main nahi chahthi ki tumhari koi bhi ghalthi ki wajah se poora ka poora bana banaya khel bigad jaye..
the person :- theek hain madam lekin mujhe mere paise mil jaane chahiye.. yaad rakhiyega agar mujhe mere paise nahi mile tho mera mooh zyada dher thak band nahi hoga…
archie:- theek hain..tumhe tumhare paise mil jayenge..
archie aur woh aadmi wahaan se chale jaathe hain.. archie kashish ko nahi dekhthi.. kashish archie ki baatein sunkar pareshaan ho jaathi hain.. usse is ek hafte mein sujal ke prati uska bartaav yaad aatha hain.. kashish apne aap ko maaf nahi kar paathi.. kashish bahar sadak par chalthe chalthe sujal ke saath bitaye har achcha lamha ko yaad karthi hain.. woh ghar nahi jaathi aur us jagah jaathi hain jahaan par sujal ne usse uska pyaar ka izhaar kiya tha.. barish badi zoro shoro se ghirne lagthi hain phir bhi kashish barish mein bheegthi rehthi hain.. yahaan sujal ke gharwale bohat pareshaan hothe hain ki ab thak kashish ghar nahi louti.. woh log sujal ko call karthe hain aur usse is bare mein batathe hain.. sujal kashish ko dhoondthe hue nikaltha hain..
woh kashish ko dhoondthe dhoondthe akhirkhaar us jagah par aatha hain jahaan usse kashish dikhayi dethi hain.. kashish ko dekhthe hi sujal ki jaan mein jaan aathi hain…sujal dekhtha hain ki kashish barish mein bheeg rahi hothi hain.. sujal kashish ke taraf bhaagtha hain .. kashish ab bhi apne khayalo ki duniyaan mein khoyi rehthi hain..
sujal :- kashish tum yahaan kya kar rahi ho ?? jaanthi ho main kitna pareshaan ho gaya tha…
kashish sujal ko dekhthi rehthi hain aur koi jawaab nahi dethi woh rothi rehthi hain..
sujal ek baar phir se apna sawaal doharatha hain aur woh samaj nahi pata ki kashish kyun ro rahi hain..
is baar bhi kashish kuch nahi kehthi aur chup chap sujal ke gale lagthi hain woh rothe hue sujal ko saari sachayi batathi hain ki kiss irade se usne usse shaddi ki aur kashish sujal ko archie ki sachayi bhi batathi hain aur woh kehthi hain :- sujal ab kya tum mujhe chod ke chale jaoge.... please sujal aisa kabhi mat karna main jee nahi paugi tumhare bina tum jo bhi saza doge woh mujhe manzoor hoga par aisa kabhi mat karna .. I love u sujal..
sujal bas kashish ko chup karane ki koshish kartha rehtha hain aur woh kashish se waada kartha hain ki woh hamesha kashish ke saath rahega aur usse yeh bhi kehtha hain ki woh kabhi usse zindagi ki rahon mein akela chodke nahi jayega……
sujal kashish aaj bohat khush the unhe aaj ek dusare ka saath mil gaya unhe aisa lag raha tha ki unhe zindagi ki har khushi mil gayi.. is din ke baad sujal , kashish hamesha saath the archie ko sujal aur kashish ne milkar uski kiye ki saza dilwayi aur sujal , kashish ne phir kabhi andhero ko peeche mudh kar nahi dekha… unki zindagi hasi khushi katne lagi…..


hope u liked the stories..
ab mujhe theeno stories padke ke batao kaisi hain…
I'll wait for ur replies

Take care……
Byeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

Love
Surya..



Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".