Subah woh mamool se pehle ghar se nikal ai neeche mukamal tor par khamoshi ka raj tha university pohanch kar woh thiek tarah se koi lecture attend nahi kar pai
Raat ko woh log teen baje ghar pohanche the aur subah saat baje soe the woh bhi sari raat jagte rahe thi teen baje jab sehar use bulane ai to woh soote ban gai sari raat jagne ki wajah se us ki aankhen aur tabiyat dono bhojal ho rahe the
Sidra: mahrukh (sidra ke awaaz dene par woh chonki) kahan gum ho tum tabiyat thiek hai tumhari
Mahrukh: hun………..woh raat ko der se soi thi na es liye (phir woh mazeed khudh ko soochon se bachane ke liye un ke saath baton mei nmasroof ho gai woh khudh nahi janti thi woh chahti kiya hai bus stop se utar kar woh dheere dheere chalne lagi gate ke saamne khare ho kar woh kitne der soochti rahi ke woh bell de yaan na de……phir kise nateeje par pohanch kar us ne bag se keys nikalen us ki tawaqo ke mutabiq abhi sab soo rahe the upper aa kar us ne rakshanda ke kamre mein jhanka to woh bhi soo rahi thin woh apne kamre mein chali aa gai fresh hone ke baad woh kitchen mein aa gai jo ke bilkul saaf tha yaani khane ko kuch nahi paka tha kuch der woh khari kitchen ko ghoorti rahi phir fridge khol kar us mein se egg nikal kar boil kiya aur saath fresh orange juice glass mein nikal kar table par rakhne ke liye juhin mure to aankhon ke saath us ka wajood bhi sakit ho giya aamne saamne khare woh dono ek doosre ko yun dekh rahe the jaise abhi palken jhapkain to sab khatam ho jae ga teen saal baad woh chahra us ke saamne tha us ne jaldi se nazren jhuka len
Tahmoor: kaise ho mahi (teen saal baad woh us ki awaaz sun rai thi us k isamajh mein nah iaya ke woh kiya kahe)
Mahrukh: asalamoalaikum (us ki nazrein jhuki huwen thi)
Tahmoor: w salam (he smiles) tum raat ko bhi mujh se nahi milen subah bhi jab main upper aya to tum jaa chuki thi ab gate khulne ki awaaz par soocha khudh tum se mil loon (woh ab bhi chup rahi tahmoor ne gor se us ke jhuke sir ko dekha) tum airport kyun nahi ayen (woh ab bhi kuch na boli) mahi tum ne jawab nahi diya
Mahrukh: sab gae to the
Tahmoor: lekin sab mein aur tum mein buhat farq hai main tumhari baat kar raha hoon (ab ke mahrukh ne nazren utha kar us ke fresh chehre ko dekha en teen salon main us mein koi farq nahi para tha sawai es ke keh woh aur ziada handsome ho giya tha
Mahrukh (to herself): kuch log hote hai n jo doosron ka sakoon barbaad kar ke unhe toor kar khush rehte hain (tahmoor ne gor se us ke chehre ke badalte rang ko dekha aur muskarate huwe ander aa giya)
Tahmoor: naraz ho (mahrukh ne apne kareeb us ki awaaz sune wohi behlata huwa shafqat se bharpoor lehja en teen salon mein yaan to who us ki galti bhool chukka tha yaan maaf kar chuka tha lekin woh na to tahmoor ko aur na hi apne aap ko kabhi maaf kar sakti thi us ne kuch kehna hi chaha tha ke rakshanda ki awaaz ati hai)
Rakshanda: are tahmoor uth gae tum (khush hote huwe)
Tahmoor: jee chahchi jaan neeche sab soo rahe the to soocha mahi se mil aon (us ne muskara kar mahrukh ke ghazabnak tewar dekhe)
Rakshanda: aacha huwa tum aa kar mil liye warna abhi tahmoor bahi karte neeche pohanch jate (un ki baat par mahrukh ki bardaasht jawab de gai aur woh kitchen se bahir nikal ai)
Rakshanda: are mahrukh khana to kah lo
Mahrukh: mujhe bhook nahi hai
Woh teeze se kamre mein aa gai bed par beht kar woh kitni der khudh par kaboo pane ki koshsih karte rahi woh uth kar khirki ke pass aa gai aur khirke kholne par thandi hawa ne us ka istakbaal kiya tha lekin woh thandh se beniyaaz neeche dekhne lagi
Mahrukh (to herself): aap bhool sakte hain aap ne kiya kaha tha leki n main nahi bhool sakti aaj teen saal guzarne ke baad bhi aap ka lehja aap ka ek ek lafz muje aachi tarah yaad hai aap woh sab kuch bhool kar tahmoor ban sakte hain lekin main woh mahi nahi ban sakti woh mahi to tab hi mar gai thi jab aap ne us ka maan toora tha us ki mohabbat ko pagal pan kaha tha main mahrukh hoon woh mahrukh jo aap se nafrat karti hai main aap ko kabhi maaf nahi kar sakti kabhi nahi (ek aanson us ki aankh se nikal kar us ke ruksaar par lakeer banata huwa gum ho giya)
coming up: family members feel mahrukh ignorance
do comment guys wese yeh part thora bore ho giya (i feel that)
324