Thank you for your love and encouragement. Here is teh next part I hope each one of u will enjoy reading it.
All those who want a pm please add me to your buddy list
love-Piya
PART 55
Geet: Ye jo kuch bhi hua kya wo galat tha aur agar ye galat tha toh ye itna sahi kyun laga kahi mujhe Maan se pyar toh nahi ho gaya
She started smiling
But then after a few seconds her smile vanished
Geet: Magar Maan k dil mein kya hai ye mujhe kaise pata chalega?
Geet: Waise dekha jaaye toh main jaanti hoon k wo bhi mere liye wahi mehsoos karte hai jo iss waqt main mehsoos kar rahi hoon par abhi tak shayad wo iss baat ko samaj nahi paaye
Geet: Yaa phir samajkar bhi nasamaj ban rahe hai...
Geet: unki shadi ko lekar wo nafrat kya wajah hai iske peeche... chahe jo bhi ho main uss din ka intezaar karungi jab aap khud mujhe apne dil ki baat batayenge bhale hi uske liye mujhe puri zindagi hi kyun na guzaarni pade
Geet: Aaj se Geet ne puri zindagi aapke intezaar k naam kar di Maan... Geet par pehle bhi aaphi ka haq tha aur aage bhi aaphi ka haq hoga
Geet: Maan ki Geet humesha Maan ki hi rahegi
Meanwhile,
Maan: Ye mujhe kya hogaya tha... Main geet ka saamna kaise karunga?
Maan: Kya soch rahi hogi wo mere baare mein? Kahi wo mujhe nafrat toh nahi karne lagegi?
Maan: Nahi main aisa nahi hone dunga main usse maafi maang lunga usse saza dene k liye kahunga par meri Geet ki nafrat main bardash nahi kar paaunga
Maan: Ab main Geet ko kaise samjhau k wo mere liye kya maiyne rakthi hai aur jo kuch bhi hua wo mehes ek kamzoor pal nahi tha ...shayad main usse...
Maan :nahi Maan aisa sochna bhi mat warna tu usse humesha k liye kho dega
He gathers courage and comes out of the washroom
Geet was sitting on the bed and was perfectly relaxed
She was admiring the bracelet that maan had gifted her
Maan clears his throat
Maan: Geet wo main keh raha tha...
Geet looked at him
Maan lowered his gaze
Geet understood his dilemma
Geet: Maan ab mujhe yakeen ho gaya hai k iss bracelet mein koi word engraved hai
Maan: Kya? Nahi Geet main wo tumse maa...
But Geet did not allow him to complete his sentence
Geet: Maan aap waha khade rahoge toh aapko kaise samaj mein aayega. Yaha aayiye..aaiyena
Maan comes and sits besides Geet
He was still uncomfortable
Geet: Maan aap kisi urdu specialist ko pehchanthe ho toh hum waha jaakar iss bracelet ka raaz pata karenge
Maan looks at Geet his eyes were full of guilt
Geet caresses his face
Geet: Maan aap itne pareshan kyun ho?
Maan: Geet wo jo kuch...
Geet: Maan aap na aivi aisi vaisi baate kar rahe ho...lagta hai aapka irada aaj mujhe bhooke maarne ka hai..waise bhi main jeeyu ya maru isse aapko kya lena dena
Maan covers her mouth with his hand
Maan: Geet aisa dubara mat kehna tumhare bagair mera kya hoga...maut bhi mere hothe hue tumhe chukar nahi guzarsaktha... bus main tumhe humseha khush dekhna chahtha hoon
Maahi maahi...
Geet: Jab itna khayal hai mera toh yun baato mein waqt kyun zyaya kar rahe hai kyun aap apne aap ko pareshani mein daalkar mujhe takleef de rahe ho?
Maan :Geet main tumhe takleef de raha hoon...nahi Geet mera ye maksad nahi tha
Geet: Bus Maan agar aap meri khushi dekhna chahthe ho toh aap iss waqt jo kashmakash se guzar rahe ho usse bhool jaaiye...aur apne maathe ki shikan ko ek pyari si muskurahat se mita dijiye
Maan: Geet...
Geet: Agar aapne aisa nahi kiya toh main samaj jaayungi k aapki zindagi mein meri koi aihmiyat nahi hai
Maan: Geet dubara aisa mat kehna tumhare bagair main adhura hoon aur ek pal k liye main khud ko mita saktha hoon khud ko bhula saktha hoon par tumhe khokar main jee nahi paaunga
Maan: Meri zindagi k maaiyne tumhi se hai warna main kuch bhi nahi
Geet: (thinking) Aapki baato se yakeen ho gaya Maan k aap bhi mujhe chahthe ho par shayad ye waqt sahi nahi hai apne jazbaato ko bayan karne k liye
Geet: (thinking) Magar ek din aap khud mujhse saaf saaf lafzo mein kahoge k Geet main tumhe chahtha hoon aur uss din ka main intezaar karungi
Geet: Haan intezaar karungi...
Maan: Intezaar karungi kiska?
Geet: Khane ka kabse intezaar kar rahi hoon par aap ho k baato mein hi lage hue ho chaliye isse pehle k mere peth k chuhe uhal khud karne lage khana kha lethe hai
Maan: Tum kha lo mujhe bhook nahi hai
Geet: Phir wahi baat main bhi dekhthi hoon k aap kaise nahi khate...
She takes the food in a plate and comes and sits besides Maan
Geet: Hmm...agar kisi ko meri parwaah hai toh wo ye zarur khayega
Maan takes the food and gives the first bite to Geet
Geet accepts it and happily gives the other piece to Maan
They feed each other.
In between Geet was trying to irritate Maan to make him feel comfortable
Slowly Maan was back to his normal self
After some time
Maan took a pillow and a sheet and went to sleep on the couch
Geet: Maan aap waha kaha ja rahe ho?
Maan: Geet tum bed par so jaau main couch par leth jaata hoon
Geet did not say anything she was constantly looking at Maan
Maan:Kya hua Geet aise kyun dekh rahi ho kuch puchna chahthi ho?
Geet: Bus ek sawal
Maan: Pucho?
Geet: Aapko khud par bharaosa nahi hai ya phir mujhpar bharosa nahi hai jo aap couch pe sone jaa rahe ho...shayad mujhpar bharosa nahi hai
Maan was shocked after hearing this
He took the pillow and the sheet and without saying anything he lied down on the bed
Geet was happy
She also made herself comfortable
Geet: (thinking) Main nahi chahti maan k aap ko ya mujhe kisi bhi tarah ka pachtawa ho humne jo bhi pal ek saath guzare woh behet ki khoobsurat pal the...aur inn lamho ko main humesha apne dil k kareeb rakhungi
Geet:(thinking) Aaj k baad humare beech kabhi bhi koi fasla nahi hoga bus dheere dheere ye faasle nazdeekiyon mein badal jaayengi aur ek din aap khud mujhse kahoge k Geet main tumse pyar karta hoon
She started smiling and went off to sleep
Next Day
Maan woked up first
He could feel some weight on his chest.
Geet was resting her head on his chest and was sleeping peacefully.
There was a glow on her face which was further enchancing her beauty
Maan placed a kiss on her forehead and stared caressing her face
Geet: Sone dijiyena Maan
Maan: Good morning Geet utho subah ho chuki hai aur hume client se meeting bhi toh karni haina?
Geet: Nahi mujhe sona hai aur waise bhi ye pillow kafi comfortable hai
Maan: Achhaji tumhe main pillow nazar aa raha hoon khair tumhari toh mauj hai dard toh mujhe ho raha haina itna wajan jo jhelna pad raha hai
Geet gets up immediately
Geet: Aapne mujhe mothi kaha ab toh main aapse baat nahi karungi
Maan: Geet tum bhina baat ka batangad bana rahi ho main ek pyari si pari ko mothi kaise bula saktha hoon
Geet: Aapne mujhe Pari kaha
Maan: Haan ji ab jaldi se taiyaar ho jaaiyeye hume meeting k liye jaana hai ok
Geet: Ji abhi taiyaar hokar aathi hoon
She places a kiss on his cheek and rushes to the washroom
Maan: Pagli kahiki
After some time
Manager: Sir aapki car repair ho chuki hai aur kya aap checkout karna chahte hai?
Maan: Nahi hum yahi rahenge kyun Geet?
Geet: Haan mujhe ye hotel kafi pasand hai issliye hum yahi rahenge
Maan: Hum filhaal ek meeting k liye ja rahe hai aap room k keys apne paas rakhiye
Manager :Ji Sir
Maaneet leave for the meeting
PRECAP: Maan: "Geet utho hosh mein aau...ye tumhe achanak se kya ho gaya..hosh mein aau"
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
IT MOTIVATES ME TO GIVE THE NEXT UPDATE QUICKLY
Love-Piya
PART 56: PAGE 30
Edited by piya- - 13 years ago
29