PART 47
Savitri: Aaj hume yakeen ho gaya hai k humari bachhi ko aapse zyaada pyar koi kar hi nahi saktha hum bhi nahi
Savitri: Geet aap janthi hai aap unn chan khushkismat ladkiyon mein se hai jine maan jaisa chahnewala humsafar mil raha hai...humari bus yahi dua hai k aap dono ki jodi yuhi bani rahe
Adi: Chalo finally sab thik ho gaya warna ye Manisha aur Romeo ne toh rishta todne ki naubat la khadi kar di thi
Manisha: Adi Sir galti meri nahi iss gadhe Romeo ki hai
Romeo: Ae Manisha mujhse panga mat le samjha warna...
Manisha: Warna kya?
Romeo :Abhi batatha hoon
Pandey: Tanik parisththi ko samajne ki koshish kijiye aap logh apne vyarth k ladayi jhagde baad mein bhi kar sakthe hai kintu iss samay hum jis karanhethu aaye hai wo hume pura kar lena chahiye
Before Manisha and Romeo could say anything Adi took charge of the situation
Adi: Pandeyji ka matlab hai hum yaha Maan Sir aur Geet k rishte k liye aaye hai aur hume ussi kaam pe dhyan dena chahiye
Savitri: Rishta toh hume manzoor hai kyun Geet?
Geet started blushing
Adi: Ye toh achhi baat hai auntyji abhi hume jald hi aage ki taiyaariyon mein lagna chahiye
Maan: Ek minute Adi iske pehle k baat kuch aage bade main ek cheez clear kar lena chahtha hoon
There was a sudden seriousness in Maan's voice
Savitri: Wo kya bete?
Maan: Mujhe gumha phirakar baat karne ki aadat nahi hai ma isliye saaf saaf baat kar raha hoon
Savitri: Ji bete kahiye aap kya kehna chahthe hai?
Maan: Ma ab jab shadi ki baat ho hi rahi hai toh lage haatho dahez hi bhi baat kar li jaaye
Everyone was shocked
Geet: Maan ye aap kya keh rahe ho?
Maan: Geet tum iss mamle mein na hi bolo toh achha hai aur waise bhi meri baat abhi tak puri nahi hui
Savitri: Maan bete aap toh jaante hai humare paas dene k liye kuch khaas nahi hai par apni beti ki khushi k liye humse jitna ho saktha hai wo hum zarur karenge
Maan: Ma aapke paas wo hai jo mere paas nahi hai aur mujhe dahez mein wahi chaahiye
Savitri: Agar aisi baat hai toh bataiye bete aap ki farmaish kya hai?
Maan starts moving ahead. He comes and places his hands on Savitri's shoulders and makes her sit on a chair
He then places his head on her lap.
Everyone was totally confused
Maan: Jaanti hai ma main aaj tak mamta k iss chau se vanchit raha... ma ka pyar kaise hotha hai ye maine aaj tak nahi jaana... ma k yaado k naam par toh bus kuch tasveere hi hai mere paas
Maan: Magar jab se Geet meri zindagi mein aayi uss dinse kuch hadh tak ye kami bhi puri ho gayi aapne humesha mujhe ek bete ki tarah mana aur mujhe apna pyar bhi diya
Maan: Ma kya aap yuhi humesha mere saath rahogi? Kya aap yuhi mere aur geet k sar par apne mamta ka achal bikherengi?
Savitri was really emotional
Geet: (thinking) Maine najaane aise kaunse achhe karm kiye the k mujhe aap jaisa humsafar mila
Maan: yahi meri farmaish hai mamta ka anmol khazana jo sirf aapke paas hai woh main humesha humesha k liye apni zindagi mein shamil karna chahtha hoon
Savitri: Magar bete hum toh humesha hi aap dono k saath honge toh phir aap iss tarah ki baate kyun kar rahe ho?
Maan: Ma main chahtha hoon k shadi k baad aap mere aur Geet k saath rahe...
Savitri: Magar bete ye kaise ho saktha hai duniyawale kya kahenge
Maan: Mujhe duniya ki koi fikr nahi ma meri puri duniya bus aap logh ho aur agar aap wakai mein mujhe apna beta maanti hai toh please mana mat kijiyega
Savitri: Magar bete...
Maan: Ma please meri yahi darkwasth hai
Saying so he touches her feet
Savitri was touched by Maan's words
Savitri: Thik hai bete humare liye bhi humare bachho ki khushi se badkar aur kuch nahi
Manisha: Wow kitni pyari family haina?
Maan: Aap sab bhi toh issi family ka hissa ho toh ye humari family hui haina?
Everyone started smiling
Adi: Ok ab emotional baate chodiye aur aage ki baat karte hai
Savitri: Maan aap Geet k saath bahar jaaiye aage ki baat hum karenge Dulha dulhan not allowed
Maaneet understood that Savirti was trying to give them some privacy
Maan: Thik hai ma
Maan: Chale Geet
Geet: Ji
Both of them leave
Meanwhile
Radio Station
Yash: Ye ho kya raha hai Meera ek baar bhi meri taraf dekh bhi nahi rahi hai baat karna toh dur ki baat hai
Meera was least interested in Yash
She was busy with her work
Lucky :Hi Meera
Meera :Hi Lucky kaise ho?
Lucky: Perfectly fine achha mere saath coffe peene chalogi
Yash: Iski himmat kaise hui Meera ko coffee k liye puchne ki
Meera: Lucky abhi kafi kaam hai yaar
Lucky: Are kaam toh chaltha rahega aur waise bhi coffee pene mein kaha ghanto lagte hai
Meera: magar Lucky
Lucky: Dekho main tumhara dost hoon na toh phir meri baat nahi maanogi chalo na pls
Saying so he holds her hand
Yash was fuming in anger
Meera: Achha baba chalo
Lucky: Yipee...
Meera goes with Lucky
Yash: Chali gayi ek baar bhi nahi socha k main bhi yaha hoon bus chali gayi
Yash: Par mujhe bura kyun lag raha hai..jaati hai toh jaaye mujhe isse kya?
He tries to keep himself busy in some work but he was unable to do so.
Meanwhile,
Maan: Geet bolo aaj kaha jaana chahthi ho?
Geet: Jaha bhi aap le chalo par haan mujhe aapki khatara car mein nahi jaana hai
Maan: Toh thik hai hum tumhari shahi scooty mein chalthe hai...mujhe koi aitraaz nahi hai tum chalana main tumhare peeche baitunga aur wo bhi ussi tareeke se jaise tumne mujhe pehli baar samjhayatha..yaad hai k yad dilau
Saying so he tries to kiss her
Geet: Sharam kijiye Maan koi dekh lega aap bhina kahi bhi shuru ho jaate ho
Maan: Ab ye kya baat hui mishty tum nahi car mein jaana chahthi ho aur nahi bike mein toh hum kaise jaaye...
Geet: hmm... aapko cycle chalane aathi hai
Maan: Cycle? Ab ye cycle beech mein kaha se aa gayi?
Geet: Maan aap na bilkul bhi romantic nahi hindi movies mein kaise hero apni heroine ko cycle pe kisi romantic jagah lekar jaata hai aur phir...
Maan: Phir..phir kya Geet bolo
Geet: Kuch nahi aap na bilkul bhi romantic nahi
Maan pulls her towards himself
She could feel his warm breath on her face
Maan started tracing his fingers along her back
Their lips were very close. Geet closed her eyes
Maan: Tumhe ab bhi lagta hai k main romantic nahi
Geet: Maan...
Maan was pleased to see the effect that he had on her
He lifted her in his arms and started walking
Geet: Maan ye aap kya kar rahe ho log kya sochenge
Maan: Sochenge k kitna romantic insaan hai jo apne pyar ko yun baho mein lekar ghum raha hai
Geet: Maan pls neeche utariyena mujhe sharm aa rahi hai
Maan: Na mishty tum complain kar rahi thina k main romantic nahi ab toh jab tak koi cyale ki shop nahi dikhthi main tumhe neeche nahi utarunga
Geet: Babaji main toh aivi inki taang keech rahi thi ye mazak toh mujhpar hi bahari ho gaya
Maan: Apne babaji se ye bhi dua karo k jald hi koi cycle ki shop dikh jaaye warna mujhe tumhe yuhi uthaye rehne mein koi problem nahi
Geet: Maan wo dekhiye waha ek shop hai ab toh zid chod dijiye
Maan: Hmm... hai meri phuti kismat itne jaldi shop mil gaya par nahi shop tak toh main tumhe lekar hi jaayunga
Geet tried protesting but Maan continued his teasing session
They enter the shop
Automatically they became the center of attraction of everyone present there
Geet just hid her face in Maan's chest in embarrasment
Maan: Hume ek cycle chahiye
Shopkeeper: Sir aap cycle kharednewalo meinse toh lagte nahi
Maan: Aap thik keh rahe ho par wo kya haina meri Mrs ko aaj cycle ride karne ka mann kar raha hai toh main unki khwaish ko nazarandaaz toh nahi kar saktha na
Shopkeeper: Kehna padega Sir aapki Mrs kafi lucky hai toh bataiye kaunsa cycle lena pasand karenge
Maan: Mishty ab batau kaunsa lena hai
But Geet just couldn't lift her face she tried to hide her face further. In this process she pressed her lips on Maan's chest
Maan: (whispered huskily in her ear) Geet itne kareeb ayogi toh kuch kuch ho jaayega
Maan was enjoying Geet's helplessness
Maan: Wo cycle dijiye jisme MG likha hai
Shopkeeper: Par Sir ye already kisine order kiya hai aap koi aur cycle le lijiye
Maan: Main aapko 50,000 dene ko taiyaar hoon iss cycle k liye
Everyone was shocked
Maan: Ab toh aap mujhe ye cycle dogena?
Shopkeeper: Aaj se ye cycle aapki hui Sir
Maan pays the amount
Maan: Chalo Geet ab hum ek romantic se drive par jaate hai humari romantic sawari pe
Geet was blushing
PRECAP: Geet: " Maan main college mein ek romantic play kar rahi hoon... romeo juliet..heer ranjha types"
PRECAP: Maan: "Iska matlab koi ladka bhi hoga tumhare play mein"
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love-Piya
Edited by piya- - 13 years ago
62