FF:Maurya- The Samrat [Part23 updated on pg 56] - Page 19

Created

Last reply

Replies

368

Views

89.2k

Users

35

Likes

534

Frequent Posters

justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago

Part 15

The next move??...

[In magadh]

Kalyani is sitting in a garden… nearby Bindusara and Yashodhara are also present who are playing… when a Kalyani's maid Mridula comes.

Mridula: Maharani…. Aap kuch soch rahi hain??

Kalyani [who was watching the kids playing]: Nahin kuch nahin… Bas soch rahi hoon ki Raajkumaar mujhse itni ghrina kyon karte hain???

Mridula: Shayad yahi baat swayam Maharaj bhi sochte honge… Ki aap unse itni ghrina kyon karti hain??

Kalyani: Main maharaj se ghrina nahin karti… Balki main to sadaiv unke hit ke bare mein sochti rehti hoon.. Haan bas jab bhi ve saamne aate hain… main ye baat bhul nahin paati ki Unhone mere pitaji ko….

Mridula: Par aap to maharaj ko tabse prem karti thi na jab aap yahan ki raajkumaari thi???

Kalyani: Aaj bhi karti hoon… bas pitaji ki mrityu ko bhula nahin paati… Aur waise bhi maharaj ke hriday mein keval Durdhara ke liye sthaan tha.. aur rahega

Mridula: Aap bura na mane toh ek salah dena chahoongi…..Hriday mein jagah banaayi jaati hai maharani… aap bhi bana lijiye isse pehle ki koi aur bana le!!!

[saying this Mridula leaves]

Meanwhile…

Bindusara: Kya lagta hai..yasho… maharani kya soch rahi hongi??

Yashodhara: Isse tumhe kya??? Tumhe kaun si unki parvah hai??

Bindusara: Kisne kaha nahin hai??? Mujhe parvah hai …ki unhone aaj mere pitaji aur acharya ko meri buraai karte huye kitne patra bheje!!! Wo yahin to karti hain…

Yashodhara: Wo buri nahin hain… ek baar unse thik se baat karke toh dekho!!! Kya pata unmein tumhe apni maa dikh jaayein??

Bindusara: Meri maa ki mrityu ho chuki hai…Yasho!!! Unki jagah koi nahin le sakta… Samjhi???

Yashodhara: Thik hai…raajkumaar!!!!!!! Jaisi aapki aagya!!!! Achcha ye bataao ki Maharaj kab aa rahein hain.?? Koi sandesh??

Bindusara: Abhi tak toh nahin… usi ki pratiksha kar raha hoon!!! Pata nahin pitaji se kab bhet hogi???

In Seleucus' palace… in Acharya's room

[CGM told Acharya about everything he knew about Cornelia and the information he got about Amatya]

CGM: To acharya…aapke hisaab se humein kya karna chahiye??

Chanakya: Karna kya hai?? Seleucus se apni tisri shart ko maangne ka samay aa gaya hai…

CGM: Hum seleucus se baat karenge??? Kya sakshya hai ki vo humaari sahayata karega..??

Chanakya: Use humaari sahayata nahin karni hai balki humaara 'aadesh' maan na hai…[gives a smile]

CGM: Ji acharya……

[they then moved to Seleucus' palace where the private meetings with VIPs were carried on … they went there on Seleucus' invitation]

Seleucus: Aaiye!! Aapka humaari sabha mein swaagat hai…

CGM: Humein aamantrit karne ka dhanyawaad!!

[Seleucus offers them to sit… They both had a seat… There was no one present there except, CGM, Chanakya, Seleucus and Seleucus' general, Tardus]

Seleucus: Samrat!![he hated calling CGM by this name but he had no other option] To bataaaiye…aapki teesri shart kya hai???

CGM: Hum chahte hain ki aap amatya ko humaare havaale kar de!!

[Seleucus tries to say something but is intervened by Chanakya]

Chanakya: ye kehne ki cheshtha mat kijiyega…ki aapko amatya ke bare mein kuch pata nahin.. Hum sab kuch jaante hain aur chahenge ki aaj raat aap unhe Macedonia na bheje aur unhe humein saup de!!! Aapko ismein koi apaatti toh nahin???

Seleucus was speechless for few moments…

Seleucus[in his mind]: Inhe ye sab kaise pata??? Amatya hi tha jise main inke virudhdha prayog mein la sakya tha…. Par ab!!!! Lagta hai mere sitaaron ne mera saath dena chod diya hai!!!![then to CGM] Ji avashya… parantu is shart ko pura karne ke liye mujhe ek din ka samay chahiye!!!

CGM: Jaisa aap thik samjhe!!

[both of them then went back to their resting places leaving Seleucus alone with his general to think over the clause]

Seleucus: Ye Chandragupta aur Chanakya toh mere anumaan se kuch adhik hi budhdhimaan nikle!!

Tardus: Ab kya karenge?? Maharaj??? Waise unhe is bare mein pata kaise chala hoga?? Ye baat to keval aapko aur mujhe pata hai ki… Raajkumaari ke shikshak koi aur nahin balki swayam Magadh ke pooorva amatya hain… Khud raajkumaari bhi is baat se aparichit hain…

Seleucus: Pata nahin… waise mujhe is baat ki chinta nahin ki unhe is bare mein kaise pata.. balki is baat ki chinta hai ki mere sochi huyi yojna par paani phir gaya… Maine socha tha ki amatya mere guptchar ban kar rahenge magadh mein …parantu ye jaan ne ke paschaat ki maine amatya ko chupa kar rakha tha.. chandragupt sachet ho chukka hai… ab wo nahin phasega!!!

Tardus: Ek tareeka hai maharaj…. Agar hum kisi aise ko chune jo aapke liye apne praan tak nyochawar kar de aur Magadh ke mahal mein ek mukhya sthan grahan kar le ..toh??? Parantu aisa kaun hoga??

Seleucus[after thinking or few seconds , an evil smile came on his face]: Magadh ki maharani se pramukh sthaan aur kiska hoga???

Tardus: parantu… magadh ki maharani humaare liye koi karya kyon karegi???

Seleucus: Karegi … avashya karegi…. Agar wo Greece ki raajkumaari Cornelia ho!!!

Tardus: Kya ??? Aap Raajkumaari ka vivaah Magadh naresh se karaane ki soch rahein hain??? Ati uttam!!! Raajkumaari to aapke liye haste haste pran tak de sakti hain….

Seleucus: Bas use is baat ke liye taiyaar karna hoga… Aur ye kaam…tumhaara bhai Omegas karega!! Jo ki vo uska priya mitra hai… Karega na??

Tardus: Ji!!! Avashya karega!! Main abhi usse baat karta hoon!!!

Seleucus: Aur suno!!! Raajkumaari ko ye baat pata nahin chalni chahiye ki ye mera prastav hai.. Use yahi lagna chahiye ki Usse vivaah karna Magadh naresh ki teesri shart hai… Amatya ke baare mein ya humaari yojna ke bare mein usse abhi kuch bhi pata nahin chalna chahiye…

Tardus: Parantu…aisa kyon?

Seleucus: taaki vo us Chandragupta se ghrina kare! Kyonki tabhi jaakar Cornelia vo karegi jo hum usse karana chahenge.. aur haan… Omegas ko bhi is baat ka tanik bhi sandeh nahin hona chahiye… Samjhe?? Ab jaao….

[Tardus leaves and seleucus is alone there to get proud of his treacherous plan]

In Cornelia's room

[Cornelia is sitting on a chair… sighing and lost in thoughts when Omegas and Agatha enter]

Agatha: Raajkumaari??? Kya hua…. Samrat ko koi sandeh to nahin hua na??

Omegas: Aur aap thik se toh mahal pahunch gayi thi na???

Cornelia: Hmmm…….. [still lost in thoughts] Thoda sa sandeh to hua.. aur aate samay kuch khaas nahin hua,,,,bas Cassender ke sainikon ne humpar aakraman kar diya tha!!

Omegas: Kya??? Itni badi baat ho gayi aur aanand se to aise baithi hain jaise nauka vihaar ki sair karke aa rahin hon!!Aap thik to hai na??

Cornelia: [still lost] Haan!!! Usne humein kuch nahin hone diya…. Vo sach mein ek veer hai…. Dekhne mein bhi achcha lagta hai…. Bolta bhi kitna achcha hai….

Agatha: Aap ko aaj hua kya hai??? Aaj se pehle to unki itni prashansa nahi ki!! Aaj kya ho gaya? Kahin prem to nahin ho gaya??[giggles]

Cornelia: Prem??? [then suddenly coming back to her senses] Nahin Nahin Nahin!!! Apni jihva ko thoda vishraam karne ko kaho!!! Kya bole jaa rahe ho tum dono… [the raising from her seat] Jaao yahaan se… humein akela chod do!!!

[Although Cornelia simply denied the fact yet.. Omegas could clearly see the changed attitude of Cornelia this time… The way she was sighing was similar to the sigh he made when he thought about her… It was clear to him that Cornelia has started liking CGM…. And the moment he realized this fact… he was broken down into pieces and left her room as soon as possible, Agatha followed him]

Agatha: Omegas!!! Kya hua??? Tum aise wahaan se kyon chale aaye… Raajkumaari ne toh aise hi keh diya tha… tum toh jaante ho na???

Omegas: Main wahaan se isliye nahin aaya.. kyonki raajkumaari ne kaha balki isliye aaya kyonki raajkumaari ye thik nahin kar rahin hai…

Agatha: Kya?

Omegas: Unhe ek bhartiye ke prem mein nahin panda chahiye!!aur vo bhi humaara shatru!!

Agatha: Tumhe ye kaise pata ki vo prem hi hai??

Omegas: Bas…pata hai…[then looking at Cornelia's room] pata hai mujhe!!!

[Leaves]

Agatha:[standing shocked there] Ye Omegas abhi abhi kya bol kar gaya??? Lagta hai ki iska bhi dimaagi santulan bigad gaya hai…Sahi kehti hain raajkumaari… Apna muh khol kar ye darshaane se ki aap paagal hain… isse behtar hai ki apna muh band rakhe aur logo ko is baat ka sandeh matra karne de ki aap pagal hain!!!!


Part 15 done guys... Feel free to comment kaisa laga???😉

swethasyam08 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
wow! Selucus part was good. shatir dimaag 😆 ( i hope i used correct word 😳)

awesome part. update soon.
anu93 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
Superb update jayati👍🏼...Waiting for next update. Thanks for PM
sambhavami thumbnail
Posted: 13 years ago
Twas Grrreaaat !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏
chand1234 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
Ati Uttam !! 😆

Awesome update !! Do continue soon...
sapphirose176 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 13 years ago
an awesome update as usual! superb ya⭐️ do continue.
i must say the story is moving ahead at a pace. i wish they could do the same in cgm😊
ashi.melodyfire thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
sorry yaar meri bahna mujhe padhne aaur reply karne mein time laga

~~~~~edited later~~~~~~

mast tha sis yippeee tum mere RushiKa ko vapas le aai yippeee !!!!
well batao whom to imagine as mridula????aur kya ab kalyani vamp ban jayaengi????
kya woh chandu aur corneia ke bich mein aane ko try karegi????

it will b'com more intrsting...



Edited by ashiach14 - 13 years ago
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
thnx swethu, ashi, pallavi, rose, anu, riu, radhikey, khushi [and others too, if i missed anyone..]🤗

@rose
thnx yaar.. yeah i m trying my best to move the story line at a fast pace so that the parts don't become boring and filler...
thnx for reading and commenting...😊


Edited by justjayati - 13 years ago
702755 thumbnail
Posted: 13 years ago
nice story,loved cornelia in it.
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
Thnx Lucy!! glad that u liked it...
Edited by justjayati - 13 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1018 page no 28 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1018 page no 28

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: abavi

4 years ago

Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 23.2 Updated 3rd Mar 2025)

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

RiKara SS : Safed (chapter 7 updated)

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

7 months ago

NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated) NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated)

[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".