PART 46
*
Next day
Maan calls Adi, Romeo, Pandeyji and Manisha to his house
Khurana Mansion
Adi: Good morning Sir
Maan: Good morning Adi
Pandeyji: Mahodey kuch veshesh karya hethu aapne hume yaad kiya hai
Manisha: O pandeyji ye karyahethu ya jo bhi hethu mere Maan sir se milna chahtha hai usse kahiye appointment lekar aanek liye haan
Romeo: Pandeyji aapse kitne baar kaha hai k manisha k saamne hindi mein baat mat kiya kare
Adi: Aap logh bus bhi kijiye Maan Sir aap kuch keh rahe the koi problem toh nahi
Maan: Adi aaj main apne zindagi ka ek bahut hi important kadam uthane ja raha hoon aur ye kadam main aap logo k bagair kabhi bhi teh nahi kar paaunga
Romeo: Kya baat hai Sir aap hukum kijiye aapke liye toh jaan bhi haazir hai
Maan: Aap logh toh jaante hai mera iss duniya mein koi nahi... pariwar k naam par agar main kise apna keh saktha hoon toh wo aap logh hai aap hi mera parivaar ho aur mere life k har ek ehem faisle mein aapka utna hi haq hai jitna mera
Adi: Sir aaj aapne ye baat kehkar hume jo izzat di hai wo hum kabhi nahi bhool sakthe aapne hume apna pariwaar kaha aur isse badi baat kya ho sakthi hai
Pandey: Aap bus apne vichar humare samaksh pesh kijiye mahodey baaki aap jaisa chahenge hum waisa hi karenge
Maan: Aaptho jaante hai k main Geet ko chahtha hoon
Manisha: Yes Geet baby...she is so gorgeous... My sexy hot boss and the beautiful darling Geet make a perfect couple
Maan just smiled on this comment
Adi :ji Sir
Maan: Main chahtha hoon k humara ye rishta ek naye mukaam ki aur bade... main Geet se shadi karna chahtha hoon aur aap logo ko...
Everyone together: Humare dulheraja ka rishta lekar jaana hai
Maan was really happy to hear this
Maan nodded his head in approval
Adi :Toh ismein kaunsi badi baat hai hum dhulewale hai pure shaan se jaakar dulhan ka haath maangenge
Romeo :Chaliye Maan Sir aap jaakar taiyaar ho jaayiye hum issi waqt rishta lekar jaayenge
Manisha: Aapko kuch help chahiye taiyaar hone mein toh main aapki madat karu
Maan: Thanks Manisha main manage kar lunga
Everyone starts laughing
Romeo dials the landline number of Geet's house
Romeo: Hello Aunty Romeo bol raha hoon
Savitri: Ji bete kahiye kaise yaad kiya
Romeo: Kehna sunna toh ab milkar hoga aunty baaratiyon ka swaagat karne k liye taiyaar rahiye hum aapki beti k liye humare Maan sir ka rishta la rahe hai humari khaatirdari mein koi kami nahi honi chahiye
Savitri: Thik hai pehle aap yaha aayiye toh sahi
Romeo: Bus ye sochiye k hum pauchh hi gaye
Meanwhile,
Maan dials Geet's number
Geet: Hello Maan
Maan: Mishty yun samjhjo k baarat lekar aa raha hoon meri dulhaniyaan ko taiyaar rakhna
Geet starts blushing and cuts the call
Maan was looking dashing as ever
Geet wore a beautiful saree and was looking gorgeous as ever
Savitri: Kisiki nazar na lage humari gudiyaan ko Maan k pyar ki behet hi khoobsurat chandni aapke chehre par jhalak rahi hai
Geet just hugged her mom in reply
Meanwhile,
The entire group reaches Geet's house
Savitri: Aap logh aa gaye andar aaiye
Maan takes the blessings of Savitri
Savitri: Khush rahiye bete
Maan eyes were searching for his Geet Savitri: Aap jise dhund rahe hai woh taiyaar ho rahi hai hmm...lagta hai kisi khaas insaan k liye itna sajsavar rahi hai
maan: Nahi ma main geet ko nahi dhund raha
Savitri: Maan bete humne kab kaha k aap Geet ko dhund rahe the
Maan was a bit embarrased
Savitri: Khair hum abhi Geet ko lekar aate hai
Savitri goes to get Geet
Adi: waise rishte ki baat kaun shuru karega
Pandey: Hum sabse bade hai issliye shuruwat hum karenge
Romeo: Lo ho gaya rishta pakka
Adi starts laughing
Geet arrives
Maan is totally bowled over by her beauty .He gets up and starts moving towards Geet
But Adi stops Maan by holding his hand
Adi: Maan Sir khud par thoda control kijiye yaha hum bhi maujood hai
Maan gives him an angry glare
Savitri: Maan bete aap khade kyun ho gaye baitiyena
Maan: Ji Ma
Pandey: Kyunki hum umr mein sabse bade hai issliye hum vartaalap ki shuruwat karenge
Savitri: Ji
Pandey: Hum yaha ek vishesh karyahethu upastit hue hai. Hum yaha aapki suputri k liye vivah ka prastav lekar aaye hai
Pandey: Jis var ka prastav hum lekar aaye hai wo behet hi yogya aur sarvagun sampan hai
Manisha: Sorry for the disturbance guys but Pandeji pls mujhe apne har ek sentence ka meaning samjhaiyena mere palle kuch nahi pada
Romeo: Mainsha hum yaha hindi k classes mein nahi aaye hai hum yaha kisi aur wajah se aaye hai
Manisha: Jaanta hoon u dumbo par jab tak mujhe samaj mein nahi aayega tab tak baat aage kaise badegi
Romeo: Tumhare samajne ya na samajne se iss baat k aage badne ka kya taluk
Manisha: Main samjhunga tabhi toh aap logo ko translate karke samjha paaungana
Romeo: Hume tumhare help ki koi zarurat nahi hai
Adi :O god ye ho kya raha hai
Pandey: Zara dheeraj se kaam lijiye kyun vyarth mein krodith ho rahe hai
Romeo and Manisha continued their silly fights Adi and Pandeyji tried to stop them
Geet and Savitri were just confused
Maan: Ye logh mera rishta teh karne aaye hai ya phir bigadne...mujhe hi kuch karna hoga
Maan: Bus ab koi kuch nahi bolega
There was absolute silence
Maan got up from his chair and moved towards Geet
Geet stood up as she realized Maan was approaching her
Maan kneeled down and took her hand in his and then he started speaking
"Tumhari shaan mein aaj ek gustakhi karne ki chah hai
Tumhara naam humesha k liye mere haatho ki lakeero mein saj jaaye aaj ye armaan hai
Jaanta hoon meri haiysiyat nahi k main tumhe paasaku
Magar ye bhi sach hai k mujhmein itni himmat nahi k main tumhe kho saku
Sochtha hoon shayad ek din kismat mujhpar meherbaan ho jaaye
Aur uss din mere daamaan mein tumhari masumiyat ki bauchar ho jaaye
Apni zindagi mein shamil hone ki izajat dekar ek ehsaan kardo mujhpar
Vaada karta hoon rahunga tumhara karazdaar yuhi umrbhar
Tumhari khwahisho ko palko par sajakar rakhunga
Tum kaato parbhi chalne ko kehdo muskurakar apne kadam aage bhadaunga
Har bure saaye se tumhe mehfoos rakhunga
Chahe fir iss koshish mein mujhe maut ko bhi apne aagosh mein lena pade wo bhi karunga
Agar tum mera haath tham lo toh zindagi ki har suni tanha raah ek khoobsurat mehfil ban jaayegi...aanewali har mushkil ek manzil bun jaayegi
Andhere mein bhi diye ki ek jhoth nazar aayegi...har toofani raat aasha ki ek nayi subah laayegi
Jaanta hoon khudgarz hoon jo itne nayaab heere ko paane ki aas liye baitha hoon
Jaanta hoon tumhe laakh chahnewale mil jaayenge par tumhare alawa iss batkismat ko koi aur samal nahi paayega
Ehsaas hai mujhe k maine aaj kuch zyaada hi maang liya...shayad khuda se uski khudaiyi hi maang li maine
Gustakhi ki hai maine saza ka haqhdaar bhi hoon
Tumhara faisla chahe jo kuch bhi ho tumhare lafzo k daiyre k bahar nahi hoon
Tumhara intezaar hi mere jeewan ka maksad hai
Aag aur patange k rishte ki tarah tumhare mohabbat mein jalkar fanna ho jaaunga par aakhiri dum tak tumhare mohabbat k nishaan apne dil se mitne nahi dunga"
Tears of happiness started rolling down her cheeks
Maan got up Geet hugged him with her full love she wanted to say many things but her happiness was so huge that she could not find the correct word to express it.
Both were lost in each other's embrace
Savitri was a happy women today she knew that no one could love her daughter more than Maan
Everyone started clapping as if expressing their happiness
Maaneet finally break the hug
Savitri showers them with her blessings
Meanwhile,
Radio Station
Yash: Ye Meera abhitak aayi kyun nahi?
Meera arrives.
Yash pretends as if he is busy in some work
Yash: (thinking) Ab dekhna kaise mere aage peeche mandarathi hai
Meera goes and starts her work. She ignores Yash completely.
Yash: ye abhi tak mujhse baat karne aayi kyun nahi
He was stealing glances at her but Meera did not give any preference
Yash was now becoming restless
PRECAP: Maan: "Ab dahez ki baat kar le"😲😲😲
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love-Piya
Edited by piya- - 13 years ago
61