Thank you for your encouragement and support. Here is the next part I hope each one of u will enjoy reading it
love-Piya
PART 24
Khurana Constructions
Maan: Adi aaj ki party mein koi kami nahi rehni chahiye
Adi: Yes Sir
Everyone is busy in their work
Adi gets a call on his mobile
Adi: Hello Mr. Mehra
Mr. Mehra: Adi humare deal ki meeting jo next week honewali thi hum chahthe hai k wo meeting aaj hi ho
Adi: But how is it possible Sir aaj tho humare ek dusare important deal ki success party hai
Mr. Mehra: Adi agar ye meeting aaj nahi hui tho agle teen mahino tak ye deal nahi ho paayegi
Adi: Sir aap Maan Sir directly baat kar leejiye
Mr. Mehra: ok
Adi: Sir aap thodi der hold kijiye
Adi enters Maan's cabin
Adi: Maan Sir Mr. Mehra ka phone hai wo aaj meeting karna chahte hai
Maan: par meeting tho agle hafte thi na toh phir
Adi: Sir aap unhi se baat kar lijiye
Maan: Hello Mr. Mehra ye Adi keh raha tha k aap meeting aaj shaam ko hi karna chahthe hai...aisi kya urgency aan padi
Mr. Mehra: Actually ek personal matter hai jiske liye agle teen mahino tak mujhe sheher se bahar jaana pad raha hai... agar ye deal aaj nahi hui toh phir aapko aur hume teen mahino tak wait karna padega
Maan: Nahi ye deal aaj hogi aaj meeting zaroor hogi
Mr. Mehra: Thank you Mr. Khurana aapne meri ek badi problem solve kar di
Maan: It's okay Mr. Mehra toh hum shaam ko milthe hai
Mr. Mehra: Ji
Call ends
Geet, Dev and Arjun enter Maan's cabin
Arjun: Ye kya Maan aap aaj ki party mein nahi aayenge?
Maan: Haan wo ek bahut hi important meeting hai jisse main miss nahi kar saktha
Geet: Sir main bhi aapke saath chalungi
Maan: Nahi Geet agar hum sab chale gaye toh party ka kya hoga...iss meeting mein main hi jaa raha hoon aap sab party ki taiyaariyon mein dhyan dijiye
Arjun: Maan waise ye toh galat baat hai k aap party mein nahi aa rahe magar aapke paas ek valid reason hai issliye aapko maaf kiya...waise agar aap party mein aate toh party ki raunak kuch aur hi hothi
Maan: Meeting jaldi khatam hogayi toh main party mein zaroor aaunga
Dev: Thik hai bro aap meeting ki taiyaari kijiye aur hum sab party ki taiyaariyaan karte hai
Arjun: (thinking) Meeting toh aaj khatam nahi hogi maan... tum party mein nahi aa paoge
Arjun comes out and dials a number
Arjun: Mr. Mehra kuch bhi karke aaj ki meeting time par khatam nahi honi chahiye ... kuch bhi karke maan ko baato mein aur kaam mein uljaaye rakhiyega
Mr. Mehra: Aisa hi hoga Don't worry
Meanwhile,
Geet's cabin
Arjun: Kya main andar aa saktha hoon
Geet: Arjun aap aayiye
Arjun: Aap busy dikh rahi hai kahi maine aapko disturb tho nahi kiya
Geet: ji nahi...kya aapko koi kaam tha
Arjun: kuch khaas nahi buss main aapke liye kuch lekar aaya tha
Geet: Mere liye
Arjun: Haan...
He removes a parcel that was gift wrapped
Geet: ye kya hai?
Arjun: Aaj party hai na toh maine socha k aapko ek dress gift kar du...
Geet: Sorry main ye nahi le sakthi
Arjun: kyun nahi ab toh hum dost hai na
Geet: Dekhiye Arjun hume dost bane waqt hi kitna hua hai...aur waise bhi agar aapki harkate aisi hi rahi toh mujhe nahi lagtha k humari dosti thik sakthi hai
Arjun: Geet aap toh bura maan gayi...mera ye matlab nahi tha
Geet: Aapka matlab chahe jo bhi ho magar mujhe ye sab pasand nahi hai...so pls aap aise harkate dubara mat kijiyega
Arjun: Ok Geet abse main dhyan rahunga aap pls naaraz mat hoyiye
Geet: Thik hai
Geet: Mujhe zara kaam hai aapse baadmein milthi hoon
Geet takes a file and walks out
Arjun: Bahut hogaya sharafat ka naatak... abhi tumhe main shaamko party mein apni havaniyaat dikhatha hoon...
Evening
Outhouse
Geet: Ofho samaj mein nahi aa raha kya pehnu...aaj tak aisi party mein main kabhi gayi hi nahi
She starts removing different dresses
Maan opens the window of his room
he notices Geet and realizes that she is confused regarding the dress that she should wear in the party
Geet turns around and notices Maan
Geet ek dress uthakar maan ko dikhathi hai
Maan mana kar detha hai
Geet takes another dress
Maan once again disapproves her choice
Maan points his finger in one direction
It was a saree
Geet takes the saree and closes the window
Maan is waiting patiently
After some time geet opens the window
Maan is completly lost
Geet was looking like an angel...
Just then
Dev: Bro aap waha kya kar rahe ho
Maan immediately closes the window
Maan: Kuch nahi dev wo bus...
Dev: Bro hum bus party k liye nikal rahe hai aapki meeting kab hai
Maan: bus kuch hi der mein main bhi nikalnewala hoon
Dev: Thik hai bro main adi ko call karke puch letha hoon k saare arrangements pure hue ya nahi
Maan: Thik hai Dev
Dev leaves
Maan: Najaane kyun aaj aisa lag raah hai k mujhe party mein hona chahiye aur iss meeting mein nahi
Maan mobile se Mr. Mehra ko call kartha hai
Maan: Mr. Mehra mujhe aapki saari sharthe manzoor hai aap deal k papers taiyaar kar dijiye main baadmein sign kar dunga...
Mr. Mehra: magar aap meeting mein aa rahe ho na?
Maan :Nahi Mr. Mehra main aaj meeting mein nahi aa raha issiliye toh amine aapki saari sharthe manzoor kar li hai ...aur ab jab phone pe baate teh ho chuki hai toh meeting mein aake kya fayda
Mr. Mehra: No Mr. khurana aapne humari sharthe maan li hai magar humne nahi agar ye deal hogi toh aamne saamne baitkar hi hogi phone par nahi... ye deal hum khurana constructions k maalik k saath hi karna chahte hai
Maan: Thik hai meeting aaj hi hogi
Call ends
Maan kisi gehri soch mein dub jata hai
Meanwhile Geet had already reached the venue
Sabki nazar bus Geet par hi thi
Arjun: hello Geet aaj aap kafi khoobsurat lag rahi hai
Geet: Thanks Arjun...Waise aapko party ki arrangements kaisi lagi?
Arjun: O saare arrangements perfect hai... waise geet aap kuch le kyun nahi rahi ...kya main aapke liye ek cold drink la saktha hoon
Geet hesitates
Arjun: O common geet itna toh ek dost dusare dost k liye kar hi saktha hai
Geet :Thik hai
Arjun: Bus main abhi aapki cold drink lekar aata hoon
Arjun goes to get a drink
Arjun: Iss drink ko peethe hi tum meri baaho mein hogi geet...
Saying so he mixes a drug in her drink
Arjun starts approaching geet
Geet is smiling and wo bhi Arjun ki taraf badne lagthi hai
PRECAP: What do u think guys aage kya hoga?????
PLS PRESS THE LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love-Piya
Edited by piya- - 13 years ago
29