writting for the first time on this page
Jaahan dekhun wahan tum,
Har baat har soch mein tum hi tum,
Tum mein kya woh mithi baat hai jo is kashmakash mein khiche ja raaha hai hum'
Tumhare har woh baat, woh andaaz ke saaye mein khiche jaa rahe hai hum'
Kaise yeh din guzra hai' Kaise yeh raat guzregi'
Kaise yeh waqt thamsa lagta hai'
Kaise yeh pal intezaar jaise lagta hai'
Yeh saza nahi imtihaan hai' Apni is dillagi ki' Ise jeetenge hum'
Yeh kiseke pyaar ki daastaan nahi humare mohabbat ki sachai hai' Ise nibhaange hum'
Aapke saath waqt bitana ko jee karta hai'
Pata hai aap hamare paas nahi hai'
Aap door kahin apni duniya mein khoye hain'
Par phir bhi is waqt sirf -
Aapke kareeb aakar aapko humare dil ke haal kehne ka jee karta hai'
Aapse ankahee baatein kehne ki' Kaise bitaye yeh beete din aapke bina'
Humse ab saha nahin jaata'
Aapse dil ke haal kehne ki' Kaise samjhaya dil ko jo apna na tha aapke bina'
Aur kya kya kahein aapse' Bas itna samaj lijiye'
Jab jab aapse yeh baatein kehne ki koshish ki'
Tab tab yeh dil sirf khamoshi se rone laga tha aapke bina'
Aapko pata na tha hum kitne bechain the'
Khud apni palken gehrai se jhapakne ke intezaar mein'
Is intezaar ki wajah aap hi the'
Pata chala aap apne us khwab mein humari hi palkon mein khokar apne aap ko dekh rahe the'
Sunkar ye teri baatein . .... meri raaton me ek kashish hai....
Tere chehre pe ek kashish hai.... in adaaon me ek kashish hai....
Ye teri hai khushbu jise apnakar..... in hawaaon me ek kashish hai....
Tere chalne me ek kashish hai... tere rukne me ek kashish hai.....
Dekh kar teri or in phoolon ke..... jhukne me ek kashish hai......
Tere agaaz me ek kashish hai..... Tere anjaam me ek kashish hai......
Kashish kyu na ho tujhme itni..... jab tere naam me KASHISH hai................
324