Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 22nd Sept 2025.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
ENTRY INTO RESORT 22.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 23, 2025 Episode Discussion Thread
Why is Deepika ALWAYS the victim?
Mardaani 3 Rani Mukherjee 27 Feb 2026
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
MOOH KHUL GAYA 23.9
Anurag Kashyap disliked Chhaava
Complaint Against The Ba***ds Of Bollywood
Anupama bags some Star Pariwaar Awards
Katrina and Vicky officially announce her pregnancy!!!
New timslot of Show
OSO was based on Divya Bharti death?
Sonam Kapoor Announces Bollywood Comeback
🏏Pakistan vs Sri Lanka, Super Four,15th Match (A2 v B1) Abu Dhabi🏏
Neela..i extreamly sorry for quoeting and commenting on your thread..Thankss for your comment about me
@all readers...Hey Neela.
Hmm…last part padha maine….and samajh mein hi nahi aaya ki kya jawaab doon. Ek tarah Mayank hai…jisse woh pyaar karti hai…and usne use itna dard diya….Doosri tarah Tanmay hai….joh usse pyaar karta hai…uske liye itna kuch karta hai…
Isiliye…mere comment mein tumhe do log dikhenge…ek taraf hoga mera dil…aur doosri taraf dimaag…
God…I literally had tears in my eyes while reading what Nupur said to Tanmay. And I really felt bad for Tanmay…and when he said those words to Nupur, I felt like crying for him…
Agar Nupur ki jagah khud ko rakhoon, toh itna dard hota hai ki Tanmay ke woh shabd sirf ek goonj hi paida kar paate hain…Mayank ka diya hua dard itna zyada hai ki Tanmay ki baatein sirf ek choti si lau ko bujha paati hain…
And agar Tanmay ki jagah khud ko rakhoon….toh hurt ke saath saath…..darr lagta hai….dar ki jisse pyaar kiya….use is tarah kho na doon… Bhale hi Nupur use na mile…par kam se kam khush toh rahe….
Aur Nupur ki haalat dekhkar taras bhi aata hai… jab pyaar karna se pehle nahi socha…toh ab dard bhi jhelna padega hi…. Jiski dulhan banna tha…usi ki dost banker reh gai…
Tumne joh options diye hain..sach kahein toh kuch samajh mein hi nahi aa raha hai…
Mayank sach much Simran ko pehle se hi jaanta tha…kaafi time ho gaya engagement ko…use achanak se Nupur ki yaad kaise aa gai? Agar Mayank ke part par, yeh ek mazak tha, toh sach much….bahut hi behooda mazak tha…As per extra-marital affair, jahan tak hamne Nupur ko sach mein jaana hai..woh toot jaayegi is baat se…
Ho sakta hai ki Mayank ne sach much Simran ke saath kuch physical relations rakhe ho…and agar aisa hai….toh ham Mayur ko ek hota nahi dekh paayenge…Even if he genuinely loves her, agar Mayank ne Simran ke saath kuch relations kayam kiye ho…toh he is unforgivable…kya pata kal woh kisi aur ke saath bhi yahi kare?
Lekin kya yeh nahi ho sakta hai ki woh sach much Nupur se pyaar karta ho? Uski koi na koi vajah hai Nupur ko thes pahunchaane ki? Kya yeh nahi ho sakta ki jab usne simran se engagement ke liye haan kaha tha, tab use apni feelings ko lekar confusion ho? Aur woh Nupur ko sach batane waala ho…par isse pehle hi sach saamne aa gaya?
Aur doosri taraf…Tanmay hai…bahut pyaar karta hai usse…par kya sach much woh usse pyaar karta hai? Won't a friend do the same things he did? Kya pata ki uski feelings pyaar hai ya sirf dosti? Nupur use friend maanti hai…par ham uske bare mein bhi kuch nahi jaante hain…sivay uske pyaar ke…
Aur….Mayank ke bare mein ham sab kuch jaante hain…sivay uske reason-to-betray Nupur ke…..
But then….ek dost ke saath zindagi bitana zyada asaan hoga…
Agar main Nupur ki jagah hoti [God forbid it ever happens], toh I would have chosen the one who loves me…rather than the one whom I love…lekin phir main zindagi bhar usse pyaar nahi kar paati…So, am I allowed to be selfish and just think about myself? Kya itni khudgarz hone ka hak hai mujhe?
Mujhmein aur Mayank mein fir kya fark rahega? Mayank ne bhi kisi aur ke saath hota huye Nupur ke saath diya…aur main bhi toh! Mera dil bhi kisi aur ke paas hoga…aur main kisi aur ka saath doongi. Is it right to have double standards in life? Sorry, par main aisi nahi hoon.
Isiliye I just can't choose Tanmay. Kyunki agar main Nupur ki jagah hoti aur tanmay se meri shaadi ho jaati, toh bhi main use uska hak kabhi nahi de paati….
Aur Tanmay bhi insaan hai, use bhi koi ek aisa jeevansaathi chahiye joh usse pyaar kare…aapke pooche huye sawaal ka talluk Tanmay se bhi toh ho sakta hai…Woh apni zindagi Nupur ke liye kyun barbaad kar kare? Usse bhi toh koi usse pyaar karne waala mil sakta hai…
So, I would have never chosen Tanmay…regardless of Mayank being culprit or not.
^^^ Yeh hua mera khud ka faisla...as a reader using my brain and heart…
#############################################
But then, I went through every comment…each post…and viewed them with my writer's eye….dekha ki har kisi ne Mayank ko hi chuna hai…unki galti nahi hai…
"Finally, we don't know each other but I'd want to say this one thing about myself. I am one of the hard core MaYur fans you will probably ever come across. Any love stories that I can think of, tragic or romantic, they always fit my MaYur profiles. And I love my characters...each one of them. Be it Mayank or Nupur or Tanmay or Mahak or Diya or Aparna. The reason why I can give such detailed touches to each character is probably because I can see them when I write and I feel what they feel. And I will never do anything to tarnish their persona...thats not my style. Everyone is just a victim of circumstances and sometimes because of the way we are, we lose the most precious thing in our life...Love. ."
I wanted to quote this paragraph of yours. @Bold- Yeh achanak se 'Mahak' kahan se aa gai? Woh toh tere doosre FF ki character hai…in which, u unknowingly took my name and gave me a happy ending with Mayank.
Aur hamne saare replies padhe. Chahe woh tumne kiye ho…ya kisi aur ne…
Sach kahein...toh na tum galat ho…aur na hi koi aur…Aur thoda thoda main bhi kuch kehna chahti hoon…
~~~~~~~~~~~
Agar main Roshnee ki baat sunoon, toh lagta hai ki haan…shayad Mayank ek chance deserve karta hai…Ho sakta hai ki sach much woh Nupur se hi pyaar karta ho…aur isse pehle ki woh Nupur ko sab kuch bata paata, uski shaadi ka card pahunch gaya… and yes, love surely is mad…agar pyaar ki aakhein hoti..toh shayad kisi ka aaj dil na tootta. Aur Tanmay, sach mein…woh bilkul Dia ki tarah hai. Usne kabhi nahi kaha ki woh Nupur se pyaar karta hai. And agar Nupur ne sach much Mayank se pyaar kiya hai, toh itna hak toh woh de hi sakti hai Mayank ko ki woh apni fariyaad kar sake…Aur sach much…kya bharosa hai ki Tanmay ki kahani Mayank ki kahani ki tarah nahi hai? Ki tanmay ne koi sach nahi chupaya?
Aur agar Mayank galat hai bhi…to bhi main Tanmay ko kabhi nahi chun paoongi… aakhir woh sirf ek dost hai…and I am never going to fall for him.
Love happens only once.
Aur agar tanmay ko benefit of doubt milta hai….toh Mayank ko kyun nahi? Aakhir Mayank se toh maine pyaar kiya hai…aur Tanmay….Tanmay toh sirf ek acha dost hai…
To be honest…Mayank ne ki hai khata….par who is anyone else to decide that he don't has his reasons? Agar maine Mayank se pyaar kiya hai, toh chahe kuch bhi ho, I would give him a chance. How can I love a person if I can't trust him or give him a chance to explain? Kya itna kamzor tha mera pyaar ki apne hi pyaar ki baat bhi nahi sun paaya?
Batao hamein…kya bharosa hai ki agar ham Tanmay ko chune…toh use shaadi ke baad mera Mayank se pyaar karte rehna manzoor hoga? Kyunki bhale hi kitni bhi chot lagi ho mujhe….I can never forget my love for him…
Aur tanmay….tanmay ne ek dost ki tarah saath diya hai hamara…usse uski khushiyon ko kaise cheen le ham? Yeh jaante huye ki kabhi pyaar nahi kar paayenge usse, kaise saath de uska?
~~~~~~~~~~~'
So, mere hisaab se...mayank ko ek mauka milna chahiye….to prove he is innocent. Or atleast convey his heart.
^^^^ This is what I think…as a reader…using my heart….giving preference to Mayur more than anything….
####################################################
Then tumhari baat sunoon….tumne itna yakeen kiya hai mujhpar…yeh sochkar ki main shayad ek sahi faisla loongi…aur tumhari yahi baat mujhe phir se sochne par majboor kar deti hai…
Agar khud ko Nupur ki jagah rakhoon…toh main kya kar sakti hoon? Tab mere liye Tanmay ek bahut acha dost…aur Mayank mera gunehgaar hoga. Kyun doon main mauka Mayank ko? Ek baar diya tha…sab kuch sach kaha tha….phir kyun chupaya usne sab kuch mujhse? Jab uske paas samay tha….tab kyun nahi bata diya usne apni haqequat? Kya tab woh mere dil tootne ka intezaar kar raha tha?
Kyun usne apni shaadi ka card mujhtak pahunchne ka intezaar kiya? Kyun dhoka diya usne mujhe? Usne kya yeh socha ki agar main usse pyaar karne lag gai...toh uske kisi bhi sach ko sweekar kar loongi? Kyun karoon main? Har rishte ki buniyaad hi sach hota hai..aur agar woh rishta hi jhoot ki buniyaad par bana ho…toh koi kya kare? Is waqt main is status mein hi nahi hoon ki Mayank ke kisi bhi alfaaz ko sunoon. Kya pata woh phir kuch chupaye? Kyun use phir se hak doon khud ko tod dene ka? Kya ek baar kaafi nahi hai?
How can I give him another chance, when I don't trust him anymore? Kya pata woh phir se jhoot bole? Ya koi sach chupaaye? Kya pata uske liye yeh sab kuch mehez ek mazak ho…Isiliye I just can't give another chance to mayank. Not at all.
So, I just can't give another chance to mayank..he has hurt me more than anyone or anything else. Although I won't be able to take tanmay as an option, I still won't be able to give mayank another chance to break my heart.
^^^^^This is what I think when I am Nupur.
#########################################
Toh ab tum batao…kya faisla loon main?
Nupur bankar….bhale hi main Mayank ko mauka na de sakoon, par kabhi bhi…Tanmay ko apna nahi paaongi….coz my heart would belong to Mayank...despite his betrayal to me…
Main bhi hairan hoon…Aaj tak aisa kabhi nahi hua ki kisi ne mujhse jawaab maanga ho…aur main woh na de paaon…par….kisi ek ko nahi chun sakti hoon…kyunki dimaag kehta hai ki Mayank deserves a chance…aur dil itna toota hua hai ki koi jazbaat hi nahi bache hain usmein.
Ek toote huye dil ka jawaab kya hoga?
- Mahak
Few lines from me...which i wanna say are…
Jawaab kaise dein, jab dil hi toota hai,
Kisi ko kaise chunein, jab sab kuch jhootha hai,
Kaise kisi ko parkhen, jab raaz chupe hain,
Dil ko kaise sunein, jab dil hi ghayaal ho?
P.S. – Maaf kar dena hamein…par iss faisle mein ham tumhara saath nahi de paayenge... Hamare sabhi khyaal…tumhare saamne hain…chunna khud hai tumhe… Dekhte hain hum…ki…tum hamare kis khyaal ka saath deti ho…aur joh bhi ho…ham tumhare saath hain…chahe tum mayank ko chuno ya phir tanmay ko….I won't be disappointed. I would be happy with your decision :)
Originally posted by: -roshnee-
well my vote goes to mayank.
firstly,cuz i think there could be another explanation of his behavior. what if mayank and simran was good friends and could understand each other very well and decided to spend the life together. then nupur enters his life and with time mayank fell in love with her. mayank couldnt tell her about simran before knowing nupurs feelings. so he proposed her. and eventually he was going to call off the marriage but the card reached nupurs house before that. and you know what happened later.
besides i still believe he deserves chance to explain. just think what if mayank was right and nupur misunderstood him and never gave a chance to explain. and she goes on with tanmay. still it'll haunt her all her life. still she'll feel cheated. and mayank on the other hand will feel not trusted by his love! then the lives of all four will be destroyed.
secondly, i dont consider tanmay as an option. when i started reading this ff i totally hated him just being a typical mayurian. but as the story progressed, i found out he wasnt someone that special. he has almost no effect on nupurs life. and even if he has some effect, thats only as a good friend. i find him no exceptional from dia except for he's a boy. he cares for her which is the basic rule in friendship- you care for a friend. and as you said he has not expressed any emotion for nupur, he doesnt qualify for the category of '' who loves you''.
as for your question about the intikhaab, well they say one should choose the one who loves them. but i dont agree with that. cuz i think its utter selfish. when you choose the one who loves you abandoning the one you love, you choose your comfort, your happiness over love. and love doesnt work that way. cuz either you love or you act selfish, these two dont go together.
and well yes nupurs decision could be childish and immature but love is childish and immature! the emotion named love doesnt exist in the real mature world. there exists want and need not love. love is mad and thats why it makes people go mad on it. love cant be explained or formulated and thus cant be maturated.
so once again i'd want nupur to give her love a chance and choose mayank ,cuz loves worth all the chances in the world.
Originally posted by: -roshnee-
i am not talking about practicality dear. in this ff i dont think neither nupur nor mayank is practical.i'm saying that in a broken state with no logic working on my mind would i fall for just a friend of mine? my answer would be no. cuz in a broken state i cant feel any emotion rather than feeling lifeless.
Salaam Neela Ji!
aakhir faisle ki ghari aa hi gaye
mei ne pichle kuch chapter bohat ghaur se parhe
haan i am a hardcore mayurian
mujhe bhi mayur ke aage peeche kuch nai dikhta
jo bhi ho bas mayur hi chahiye
Par ye kahaani thori mukhtalif hai
Mayank,Nupur aur Tanmay ko janane ke baad aur Nupur ki haalat ko dekhte hue maine ye faisla lia hai ke
Nupur ke liye Tanmay hi behter hai
aur waise bhi kaha jaata hai ke humain us ko chunana chahiye jo hum se pyaar kare, na ke wo jis se hum pyaar karte hon
shayad Mayank bhi Nupur se pyaar karta ho par us ne jo kia wo kam us kam mere nazdeeq to maafi ke qaabil nahin...kisi bhi rishte ki bunyaad SACH par honi chahiye...aur Mayank ne Nupur ko sachai se dur rakha
aur Tanmay ko dekha jaaye to us ne har baar Nupur ka saath diya hai...us ne Nupur ki khushi hi chahi hai chahe is khushi ke badle us ki khushi chin jaaye.Us ne Nupur ki khushi ki khaatir apni mohabbat ka izhaar nahin kiya...mujhe lagta hai wo Nupur ko zyada khush rakhe ga
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...
In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...
Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
35