Next Day:
Varrun already uth ker chala gaya hotta hai aur Sujal Kashish abhi takk so rahay hain...aj pehley Sujal uth jata hai...fresh ho ker ata hai aur change karta hai aur Kashish abhi takk so rahi hai...woh ussay sottay huay dekhta hai aur phir uss ke pass ja ker bethata hai...Kashish uss ki godd main sarr rakhti hai aur neend main magan so rahi hai...Sujal uss ko uthanay ki koshish karta hai lekin woh gehri neend main soyi hai...uss ke chehray sey baalon ki lattay hatata hai aur uss ko cheek per kiss karta hai...Kashish halkay se ankhain kholti hai aur Sujal ko apnay itnay pass dekh ker smile karti hai
Kashish: tum itni jaldi uth gaye?
Sujal: haan...main ne socha rozana tum jaldi uthati ho aj main uth jata hoon...
Kashish smiles....Sujal halka sa wink karta haia ur phir utahata hai...pass table se gharri utha ke pehanta hai...Kashish bed se nikalti hai aur bathroom ki taraf jannay ke liye Sujal ke pass se guzarti hai...aik damm se uss ka paon slip hota hai...Sujal ussay peechay se pakar leta hai...Kashish ka paon bed ki nokilay side per lagti hai...uss ki payal tootati hai aur uss ke paon main lag jati hai...uss ke paon per bhut zorr ki lagti hai aur bleeding shuroo ho jati hai....jab Sujal ussay pakarta hai to he doesn't see the injury...Kashish pain se cheekhti hai
Kash: OUCHHHHH!!!!
Sujal: Kashish!!! kia hua...are u ok??
Kash: Sujal..mera paon!!!
Sujal ussay bed per bithata hai aur phir neehey beth ker uss ka paon dekhta hai
Sujal: oh no! yeh to bhut zorr ki lagi hai...(uss ko dantata hai) dekh ker chala karo na Kashish...kitni baar samjhaya hai keh dehaan se chala karo..lekin tum kisi ki baat sunti ho?? ab lag gayi na ziada..
Kash: Sujal...itni zorr ki nahi lagi...i am ok!
Sujal: i know tum kitni ok ho (danta hai)....tumhara khoon niakl raha hai Kashish....aur tum keh rahi ho tum ok ho...khoon...oh God!
Kash: SUJALLL!!! main theek hoon...payal ki tootanay ki wajah se lag gayi aur khoon beh raha hai...
Sujal: tum argue kyun kar rahi ho? mujhey nazar araha ai na keh tumhain itni zorr ki lagi hai (uss ke zakhm ko apnay handkerchief se khoon band karta hai)
Kash: tum dant kyun rhaay ho?? (very innocently)
Sujal: kyunki dantanay wlai baat hai....mere peechey parri rehti ho ke main apna dehaan rakhoon...sahi khana khao, garri araam se chalao...ekin apna koi khyaal nahi hai
Kash: acha baba sorry!!
Sujal: sorry kehnay se kuch nahi hota....ab lag gayi hai na to ab dehaan se chalna...ok??
Kashish nods very innocently like a child...
Kash: Sujal....aik baat poochon??
Sujal: poocho...(abhi takk neecehy beth ekr paon ko dekh raha hai)
Kash: mere zakhm se tumhain itni takleef kyun hoti hai?
Sujal: (looks up at her) yeh sawal tum apnay ap se poocho....meri takleef se tumhain dard nahi hota??
Kash: hota hai na...lekin tum batao
Sujal: tumhari takleef se mujhey itna dard iss liye hota hai kyunki tum mere wajood ka, meri aatma ka mere shareer ka jaissay aik hissa ho...tumhain takleef hoti hai to mere andar bhi takleef hoti hai..jaisay ke woh takleef merey andar ho
Kash: main bhi tumharay barray main aissa hi mehsoos karti hoon!
Sujal: acha ruko main First-Aid Box le ker ata hoon
woh neechey Veena ke kamray main jata hai aur wahan ussay Veena milti hai....Sujal is quite worried cuz of the khoon
Sujal: mumma...
Veena: arey Sujal tu yahan...itni jaldi uth gaya?
Sujal: jee...woh...
Veena: Kashish kahan hai??
Sujal:ooper kamray main hai..mumma woh first aid kit dey dain
Veena: kyun beta sab theek hai na?
Sujal: jee mumma bass woh Kashish ke paon per chot agayi hai...khoon nikal raha hai
Veena: kyun kia hua?? kaisay lag gayi?? ruk main chalti hoon tere saath
Veena aur Sujal ooper kamray main jattay hain with first aid kit...Kashish is still sitting on the bed uss ne handkerchief ko zakhm per rakha hua hai
Veena uss ke pass ja ker bed per bethati hai aur Sujal samnay kharra hota hai
Veena: dikha kahan chot kagi hai
Kash: mumma main theek hoon...ziada chot nahi lagi
Veena: ziada chot nahi lagi to khoon kyun beh raha hai? dikha mujhey....
Kash: mumma woh...
Veena: chup ker ke betho Kashish aur mujhey dekhney do!
woh handkerchief hatati hai aur phir zakhm per ointment laganay ke liye nikalti hia...Kashish Sujal ko dekhti hai very innocently..Sujal looks at ehr liek seh deserves it
Veena: ab thori jalan ho gi haan....iss liye cheekhna matt....jallay ga (uss per ointment lagati hai...Kashish dard se awaz nikalti hai)
Veena: kaha tha na jallay ga...ab apna dehaan nahi rakho gi to aissa hi hoga na...tum na Kashish....doosron ke barray main sochti rehti haia ru apna koi khyaal hi nahi hai iss larki ko...
Kash: Mummaa....please ab ap na dantiye...pehley hi Sujal itna daant chukay hain aur ab ap...main ab theek hoon!
Sujal: ab promise karo ke ainda dehaan rakho gi...ok??
Kash: promise!
she smiles at him
Veena: acha ab neechey aker nashta kar lo!
woh wahan se jati hai aur Sujal ussay help karta hai neechey annay ke liye!
80