Rahul-Muskaan & Atul-Anjali Collections updt pg 51 - Page 5

Created

Last reply

Replies

409

Views

42.1k

Users

58

Likes

628

Frequent Posters

sweetsugar thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#41
I was very upset after watching the recent promo with rahuls farewell party n all (i dont want him to leave again 😭.😭)...then i started reading ur one shot and u made me cry more 😭😭😭 .....this was very beautiful ....u are an amazing writer... hatts off 👍🏼👏
unknowndesires. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#42
Awesome part!! Plzz PM me when u update!
AshiYuvi4life thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#43

Originally posted by: sweetsugar

I was very upset after watching the recent promo with rahuls farewell party n all (i dont want him to leave again 😭.😭)...then i started reading ur one shot and u made me cry more 😭😭😭 .....this was very beautiful ....u are an amazing writer... hatts off 👍🏼👏

Arre chill maar yaar! I don't think he's going anywhere. If so, Muski wouldn't be oh so happy! this is really irritating. When I wrote Yaadein, 3 days later I got the news of Mayank leaving DMG. Now I wrie something a bit similar, and I see promos of him leaving AGAIN! I swear I'm going to stop writing if they don't stop annoying me!
ejaz_lover thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 16 years ago
#44
I was in tears reading that part, Komal. I don't have appropriate words to appreciate you, but I loved it. How beautifully you have written, it's a brilliant piece of work 👏. Keep entertaining us with your amazing one shots.

Thank You :)
AshiYuvi4life thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#45
i don't think you'll have to wait long Maha. (don't mind. My friend got married and moved to Houston, Texas in May. Her name is Mahwish also. So I used to call her Maha. Nahi pasand toh bol dena. lol)
I'm going to be putting up another one REALLy soon!
StarshineHues thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#46

Originally posted by: AshiYuvi4life

Arre chill maar yaar! I don't think he's going anywhere. If so, Muski wouldn't be oh so happy! this is really irritating. When I wrote Yaadein, 3 days later I got the news of Mayank leaving DMG. Now I wrie something a bit similar, and I see promos of him leaving AGAIN! I swear I'm going to stop writing if they don't stop annoying me!



Don't you DARE stop writing Komzie !! "Creatives". Hmpf. Oh da ki hai ? Phittey muh !! If they let Rahul go na, ik thapera maar kay oh da moonh torr dangi, seriously. Don't stop writing because of the mahaan creatives. And good to hear that update's coming soon. *Squishy Jhappis*
Edited by StarshineHues - 16 years ago
sweetsugar thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#47

Originally posted by: AshiYuvi4life

Arre chill maar yaar! I don't think he's going anywhere. If so, Muski wouldn't be oh so happy! this is really irritating. When I wrote Yaadein, 3 days later I got the news of Mayank leaving DMG. Now I wrie something a bit similar, and I see promos of him leaving AGAIN! I swear I'm going to stop writing if they don't stop annoying me!



Hein !!!aisey mat bol yaar 😭......🥺🥺💔.mera dil thod diya..u have to continue writting whether maynak leaves or no Samjhi!!😈😈😆 asey khatarnak dhamki mat do na😔... but i m positive he wont leave ...he cant do this to us again😛
IshqDewaani thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#48
di.................u rock!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
I am sorrry main bahut late reply kar rahi hu bt mera pc kharab ho gaya tha ....silly pc.........bt ur ff was sooooo lovely..maine yaadein pehle padha tha & believe me di woh ff padhte padhte i could imagine the things happening & tears started flowing...otherwise i dont cry & all while reading ff.....agar SRK kissi movie me mar jata hai toh i cry bt u made me cry .............u rock!!!!! this ff was sooooooooo much adorable...i simply loved the way u wrote it....in fact u write every ff so differently to potray every emotion.....
Keep Rocking!!!!!!!!!!!
Edited by Love_RM_MAYUR - 16 years ago
AshiYuvi4life thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#49


okay guys this is going to be a 3-shot. I couldn't make it short enough to be a one-shot. Hope you enjoy as much as I did writing it. ROFL!

It's the middle of the night, and someone is lurking around the house… Muskaan walks right past him as he grabs her arm while leaning against a pillar.

Rahul- Oye chipkali.

Muskaan- Rahul… dekh tu mujhe aise milne mat aaya kar. (frees her hand from his grip and walks off)

Rahul- (follows her) Aise nahi toh kaise aaoon? Kya poore maholle mein bhonpu leke ghoomoon? Kalse chillaata hua aaoonga ki tujhse milne jaa raha hoon.

Muskaan- (stops and glares at him) Oye dekh mujhe naa, bohot tension ho rahi hai.

Rahul- Yaar tereko tension bohot zyaada hoti hai. Badaam khaaya kar. Dimaag bhi tez hoga, aur tension bhi nahi hogi.

Muskaan- Bakwaas mat kar Rahul. Yahaan main itni serious baat ko leke pareshaan ho rahi hoon, aur tujhe mazaak sooj raha hai.

Rahul- (care-free) Baat itni serious hai hi nahi jitna tu usse banaa rahi hai.

Muskaan- (pacing back and forth, tensed) Rahul, Rahul, Rahul! Tu samajhta kyun nahi hai? Dekh, agar mere pappa ji ko pata chal gaya ki main eik ghunde se pyaar karti hoon, toh woh toh mujhe chodenge nahi.

Rahul- Toh kya? Tere baap ko bhi uthaaloonga.

Muskaan- (looks at him shocked) Kya?! Tera dimaag toh theek hai? Tu mere pappa ji ko kidnap karega?

Rahul- Iss mein heiran hone waali kaunsi baat hai? Itno ko toh utthaaya hai. Tere baap ko bhi uthaaloonga.

Muskaan- Very good. Phir toh humaari shaadi hone se rahi. Rahul tu mere pappa ji ko jaanta nahi hai. Unhe maar peeth, ladhaai jhagada, chor daaku, kidnappers… inn sab se bohot nafrat hai. Aur tu… tu toh crime ki poori factory hai, factory! (Rahul pops his collar with a proud smile) Oye halkat! Khush kis baat pe ho raha hai? Teri wajjah se na, main marroongi.

Rahul- Tu tension kyun le rahi hai yaar. Dekh tere baap ko jo karna hai na, karne de. Buddhe ne zyaada kich kich ki toh…

Muskaan- (points her finger in his face) Oye! Mere pappa ji ke baare mein kuch nahi bolna. Samjha!

Rahul- Haan haan theek hai theek hai. Waise bhi yeh saara lafda tere baap ki wajjah se hi ho raha hai. Saale buddhe ke bheje mein pata nahi kisne ghalat screw ghumaa diya. (Muskaan hits him on the arm) Achha tere khadoos baap ko chod, pata hai main kya soch raha tha? (puts his arm around her shoulders and looks off into the distance with a smile on his face) Apna jo pehla ladka hoga na, usse main top ka Bhai banaoonga yaar. 4-5 saal Tihaar Jail mein rahega. (bright smile) Baap ka naam roshan karega.

Muskaan- (looks at him with a dumbfounded expression) Abbey oye halkat! Yahaan shaadi tak toh baat pohonch nahi rahi aur tune bachhe bhi paida kardiye? Paida kya, tune toh usse Bhai banaake Tihaar Jail bhi pohoncha diya? Gadha!

Rahul- Achha theek hai. Ladki hui toh…

Muskaan- Toh kya? Huh kya? Usse sheher ki Behen banaayega?!

Rahul- Abbey behen toh hogi hi. Kiski himmat hogi jo apni ladki ki taraf aankh utthaake dekhega? Eik aankh se maa (covers one eye), eik aankh se behen (covers the other eye).

Muskaan- Oye andhe! Family planning ki baad mein sochna! Pehle yeh soch ki pappa ji ko kaise bataoon?

Rahul- Sochne ko kya hai? Seedhe seedhe bol daal.

Muskaan- (smiles sarcastically) Bol daal? (expression changes to an angry one and then she stomps off to her room)

Rahul- (standing there scratching his head) Yaar yeh ladki ke chakkar mein phassna ka hi nahi hai. (goes after her) Muskaan…

Muskaan- (climbing up the stairs to reach her room) Dekh Rahul, mujhe kuch nahi pata. Apna dimaag lagaa aur SOCH! (enters her room and closes the door after he enters) Par woh toh tu kar hi nahi sakta. (sits down on her bed) Kyunki tere paas sochne ke liye dimaag hi nahi hai.

Rahul- (sternly) Oye!

Muskaan- Oye! Khabardaar jo mujhse unchi awaaz mein baat karne ki koshish ki toh.

Rahul- (sits down across from her on the bed) Saala achha khaasa chal raha tha sab kuch. Gali se guzarta tha toh dus log ruk ke salaam karte the. Yeh jabse tere lafde mein padha hoon naa, tabse log ghans toh kya sookha tinka bhi nahi daalte!

Muskaan- Kyun, tu koi ghoda hai jo log tujhe ghans daalenge? Rahul kuch soch!

Rahul- Abbey yaar kya faltu mein dimaag lagaa rahi hai. Seedhe seedhe bolde jaake apne baap ko ki tu merese pyaar karti hai.

Muskaan- (laughs sarcastically) Haan. Main unhe boloongi ki pappa ji, mujhe eik ladke se pyaar hogaya hai aur woh khush hoke kahenge " Oye aye te badi changgi gal hai puttar! Kaun hai, kya naam hai, kya karta hai, uske maa baap kya karte hain, kahaan rehta hai, kaise aur kab mili uss se? Tab main kya boloongi?! "Pappa ji, uska naam Rahul hai, aur woh naa sheher ka sabse bada ghunda hai. Ab tak pachhaas kidnappings, pachhis choriyaan, aur uh… dus-bees logon ko toh roz hi peet tha hai. Poora sheher usse Rahul Bhai kehta hai. Aur usske mummy-pappa ji toh bohot khaandaani log hain. Poori family daaku aur ghundon se bhari hai. Bohot izzat hai Rahul ki sheher mein. Aur main naa usse pehli baar tab mili jab main chaar-paanch mahine pehle uss mele mein gayee thi. Wahaan woh hafta lene aaya tha aur mujhe dekha, aur phir usske baad kuch teen hafton tak mera peecha karta raha. Usske baad ussne mujhe zabardasti apni car mein bitaaya aur bola ki "Dekh chamiya, mereko terese pyaar hogaya hai, kya? Aur main teen hafte se tere siva aur kisi ke baare mein nahi soch paa raha hoon. Theek se kidnap bhi nahi kar paata kisi ko. Dhanda behata jaa raha. Main jaanta hoon ki tu bhi merese pyaar karti hai. Toh phir koi lafda hi nahi hai. Bol daal." Mujhe woh achha lagne laga aur phir maine bhi keh diya ki main uss se pyaar karti hoon. Aur ab hum dono shaadi karna chahte hain. Aapko koi aitraaz toh nahi hai naa?"

Rahul- (smiles brightly) Dekhle. Maine toh pehle hi kaha tha. Khaali phokat dimaag ka kachra kar rahi thi. Aise hi jaake bindaas bol daal.

Muskaan- (hits him with a pillow) Abbey gadhe! Yeh sab sunnte hi naa pappa ji ko heart attack aajayega! Phir naa baat ho paayegi aur naa hi shaadi, samjha!

Rahul- Yaar yeh tera baap mere raste ka kaanta banaa hua hai. Sochta hoon buddhe ko utthvaadoon. Eik baar shaadi hojaaye, usske bad chod denge.

Muskaan- Dekh Rahul tu naa SUDHAR JAA!

Rahul- (makes a face) Main sudhar ke kya karoonga?

Muskaan- (slaps her forehead) Bhangra paa! Halkat! Tu agar thoda sudhar jaayega naa, toh mera kaam thoda sa ahsaan hojaayega.

Rahul- (sighs) Pyaar ke khatir kya kya karna padh raha hai. Chal, tere liye yeh bhi karne ko tayaar hoon. Bol kya karna hai?

Muskaan- Zyaada kuch nahi! Sabse pehle toh yeh… yeh chaaku rakhna bandh kar!

Rahul- (takes it out of his pocket) Aur?

Muskaan- Rahul… eik baar mein mummy-pappa ji se baat karloon, phir main unhe tere ghar le aoongi. Lekin… tere ghar pe sab…

Rahul- Tu fikar mat kar. Main sambhaal loonga. Waise bhi tu toh mili hain unn sabse. Itne bure toh nahi hain.

Muskaan- Tere ghar pe sab bohot achhe hain! Lekin yeh baat main jaanti hoon, mummy-pappa ji toh nahi jaante naa?

Rahul- Toh samjha. Aur phir bhi nahi samjhe toh, dono ko utthvaa lenge.

Muskaan- Teri sui hamesha kidnapping pe hi kyun aake atak jaati hai? Jab dekho utthaane ki baat karta hai.

Rahul- Arre dhanda hai apna. Khaandani kaam hai.

Muskaan- (slaps her forehead) Haiye rabba main isska kya karun?

Rahul- (gets up from her bed) Abhi toh tu so jaa, subha milke sochenge kya karna hai. Mereko bhi jaana hai. (heads towards her balcony)

Muskaan- (follows him) Oye chor! Wahaan kahaan jaa raha hai?

Rahul- Ghar naa jaoon?

Muskaan- Balcony se???

Rahul- Abbey toh jahaan se aata hoon wahin se jaoonga. Samjha kar. Image ka sawaal hai.

Muskaan- (rolls her eyes) Tu na, chor ka chor hi rahega!

Rahul- (bright smile) Kaha tha naa. Apna style hai yaar. (hugs her quickly and leaves)

Muskaan- (worried expression) Baba ji, mera toh bad luck hi kharaab hai! Pyaar bhi hua toh sheher ke sabse bade ghunde se! (stomps back to her bed)

Next morning… phone rings.

Muskaan- (feels around for her cell in a sleepy state) Hello… (eyes still closed)

Rahul- (standing on the terrace of his bungalow) Tu abhi tak so rahi hai?

Muskaan- (yawns) Tu itni jaldi utth gaya?

Rahul- Haan woh hai na apna, abbey yaar kya naam hai saale ka… haan. Seth Ameerchand. Usske saale ko utthaana tha.

Muskaan- (sits up abruptly) KYA??? Kyun?

Rahul- Kuch 6 laakh udhaar liye the humse. Bola tha do hafte mein lauta dene ka. Vasool karne gaya toh saala bolta hai ki paise nahi hain. Daddu ko phone lagaaya, toh woh bole usske saale ko utthaane ka.

Muskaan- (confused) Saale ko kyun? Seedha Ameerchand ko hi uttha leta.

Rahul- Abbey nahi re. Dekh, kya hai naa ki, asal mein Ameerchand eik number ka Fakirchand hai. Usski saari property aur paisa usski moti biwi ke naam pe hai. Ameerchand ko utthata, toh woh moti bhens eik phooti kaudi nahi deti. Ulta apneko jhelna padhta. Lekin woh apne bhai se bohot pyaar karti hai. Aur uss gainde ko bachaane ke liye, eik minute mein tayaar hojaayegi.

Muskaan- (laughs) Rahul… tujhe bohot takleef hui hogi naa usse kidnap karte hue. Maine dekha hai usse. Poora sandh hai. (laughs harder)

Rahul- Tu bohot bholi re. Yeh itne saare chamche leke ghoomta hoon, protection ke liye thodi na hain. Utthaane ka kaam toh yeh karte hai, woh bhi apne order pe.

Muskaan- (laughs again) Tujhe poora yakeen ki Ameerchand paise de dega?

Rahul- Ameerchand toh kya, usska baap bhi de dega. Warna usski biwi usska aisa band bajaayegi ki ke saale ki agli saath pushtein ganji paida hongi.

Muskaan- (laughs) Phir theek hai. Waise mujhe lag raha hai ki tera kaam hojaayega aaj kal mein hi. Zyaada der nahi jhelna padega uss ulloo ko.

Rahul- (smiles) Tune boldiya hai toh hojaayega. Waise bhi, apne liye tu bohot lucky hai. Jabse tu apni life mein aayee hai, dhandha aur bhi achha hota jaa raha hai.

Muskaan- (smiles and sighs) Bas ab tu yeh dua kar ki tu bhi mere liye uthna hi lucky ho. Warna pappa ji…

Rahul- (sighs and makes a face holding the phone away from him) Aye yaar subha subha kis kadhoos ka naam le liya. Ab toh pakka din kharaab jaayega.

Muskaan- (heard him even though he was holding he phone away from him) OYE! Mujhe sab sunaiyee de raha hai samjha!

Rahul- (bites his tongue) Nahi, main keh raha tha ki subha subha kitne MAHAAN aadmi ka naam le liye. Jiski tu ik lauti beti hai. (fake smile and then covers the mouth piece of the phone) Saala buddha meri shaadi rukvaa ke behata hua hai.

Muskaan- Achha Rahul, main soch rahi thi ki main kal pappa ji se baat karoon.

Rahul- Toh iss mein sochni waali kaunsi baat hai? Kal kyun? Aaj kar.

Muskaan- Nahi aaj nahi. Aaj naa, hum milke sochte hain ki bolna kya hai pappa ji se.

Rahul- Yaar ajeeb lafda khada kiya hai tere baap ne. Chal theek hai. Ghar aaja, baat karte hain. Waise bhi do chaar din se Parjaai ji pooch rahi thi tere baare mein.

Muskaan- (unsure tone) Ghar… achha theek hai. Main do ghante mein aati hoon.

Rahul- Main aaoon kya tereko lene?

Muskaan- Nahi. Main aajaoongi. (smiles)

Rahul- Okay theek hai. Chal do ghante mein milte hain. Bye.

Muskaan- Bye.

2 hours later….

Muskaan stood in front of the huge mansion and walked in through the gates as the security guard smiled letting her in. She walked up to the large front doors and rang the door bell waiting, looking here and there. Within a few seconds, the door opened.

Muskaan- (smiles) W oh uh…

Man- (bright smile) Satsriakaal Parjaai ji. (bends down and touches her feet as she backs up and gasps, afraid) Peri paina.

Muskaan, too shocked to respond, looked at him with an uneasy smile and raised her hand up slightly as if she was giving her blessings, and then walked in, only to be greeted by Rahul's bhabhi, Simran.

Muskaan- Satsriakaal Parjaai ji.

Simran- Oye Muskaan! (hugs her) Kaisi hai tu? Pata hai main tujhe bade dinon se yaad kar rahi thi. Kabse bol rahi thi Rahul ko tujhe ghar laane ko. Lekin tu toh ghayab hi hogayee.

Muskaan- Aisa kuch nahi hai Parjaai ji. Woh kya hai na ki main aur Rahul dono itne busy hogaye the. Uppar se itni tension ho rahi hai. Kuch samajh mein nahi aa raha.

Simran- Oye agar tu apni aur Rahul ki shaadi ko leke pareshaan hai na toh chod de.

Muskaan- Kya?

Simran- Pareshaan hona. Kyunki Rahul sab sambhaal lega.

Muskaan- Wohi toh tension hai Parjaai ji. Agar Rahul ne sambhaala naa, tab toh hogayee shaadi! Arre pappa ji ko kisi bhi tarhaan ki crime se nafrat hai. Aur… aapki toh poori family hi…

Simran- (smiles) Toh kya hua? (puts her hand on Muskaan's cheek) Iss ghar ke ladke shaadi nahi karte kya? Haan yeh baat toh hai ki tu iss ghar ki pehli bahu hogi jiske family background mein koi bhi chor, daaku, kidnapper, khooni… aisa koi nahi hai. Aur tujhe toh achhe se pata hai ki shuru shuru mein jab ghar pe pata chala ki Rahul eik aam ladki se pyaar karta hai toh sab ko kitne naraaz hogaye the. Sab tum dono ke khilaaf the, lekin ab sab theek hai naa. Agar Rahul humaare ghar waalon ko manaa sakta hai, toh tu bhi apne ghar waalon ko manaa. Humaare ghar ka usool hai yeh ki iss ghar mein jiski bhi shaadi hogi, who kisi achhe ghar ke criminal se hogi. Izzat ka sawaal hai. Lekin, tum dono ke pyaar ke khaatir yeh rule bhi thod diya. (smiles) Kyunki Rahul sabse chota hai. Aur ghar ke beton mein ab toh bas iss hi ki shaadi honi reh gayee hai. Tu tension mat le. Sab theek se hojaayega.

Muskaan- (smiles) Haan. Achha yeh sab chaddo. Praa ji kahin dikhaai nahi de rahe. Kahin bahar gaye hain kya?

Simran- (smiles) Arre woh? Woh toh sheher se bahar gaye hain kaam se. Latest hatyaar aur bombs ki delivery ayee hai naa. Bas wohi lene gaye hain. Kya hai naa, naya samaan hai issiliye khud chale gaye.

Muskaan- (smiles) Achha. Aur woh dono badmaash, Sonu, Sweety kahaan hain?

Sonu-Sweety - (hug her around the waste) Chaachi!

Muskaan- Oye. (smiles) Itne time se kahaan the?

Sweety- Hum Rahul Chachoo ke paas the.

Muskaan- (lowers herself down to her level) Aur tumhaare Rahul Chachoo kahaan hain?

Sonu- Woh toh kisi ko dho rahe hain abhi.

Muskaan- Kya?! (stands up straight) Dekho na Parjaai ji, mujhe bola ki ghar aake mil aur khud kaam mein laga hua hai. Main dekh ke aati hoon.

Simran- Haan tu jaa. (smiles as Muskaan heads towards Rahul's "headquarters")

Muskaan walked down a long hallway and ended up in front of door which was being guarded by 2 extremely large men. As they saw her approaching, their strict expressions turned into big smiles as they bent to take her blessings.

Both men- Peri paina Choti Parjaai ji.

Muskaan- (gasped and jumped back again) Uh… (nervous smile) Rahul andar hai naa? (she heard a man yelp in pain and she understood that indeed Rahul was there)

Man 1- Ji. (opens the door to let her in)

As she walked in, she saw him standing with a well dressed man. Seemed like Rahul had his hands full by the looks of the man he had just thrashed, the well dressed man looked quite pleased. She stood to one side, shaking her head.

Rahul- (to the guy he just beat up) Kal shyaam tak isske paise issko nahi mile naa toh tera thobda pehchaan mein nahi aayega. Aur sun, mereko baar baar tere ghar ke chakkar kaatne ka koi shauk nahi hai samjha.

One of Rahul's men- Samjha kya? Bhai ko dobaara na aana padhe. Chal phoot.

Well Dressed Man- (shakes Rahul's hand) Thank you Rahul Bhai. Naak mein dam karke rakha tha issne. Yeh… pakka mera paisa wapas kardega na kal tak.

Rahul- Nahi kiya toh dekhloonga saale ko. Tu jaa. (pats him on the back and the man leaves)

Just as Muskaan was about to say something, another one of Rahul's men came in dragging another guy behind. Rahul motioned for them to tie him up to the chair… as if he wasn't already tied up to begin with. Rahul walked over to him and ripped the white patch off of his mouth.

Rahul- (to one of his men) Kyun bey? Yeh kis chapadganju ko utthaa laaya hai?

Man- Bhai aap hi ne toh bola tha issko uthaane ko.

Rahul- Oh achha. Yeh woh hai? Saala isske liye koi chavanni bhi dede na toh bhi bohot badi baat hogi. Phone lagaa isske bhai ko.

Muskaan- (goes over to him and pulls him by the ear) Rahul!

All of his men including the kidnapped man laugh silently.

Rahul- (winces) Ahhh. Muskaan… adda hai yaar. Apni koi izzat hai yahaan.

Muskaan- (lets go of his ear) Oye teri izzat gayee bhad mein! Gadhe! (the men laugh silently) Mujhe bola ghar aake mil, aur khud yahaan pe logon ki haddiyon ka surma banaa raha hai.

Rahul- Do ghante ho bhi gaye itni jaldi?

Muskaan- (slaps her forehead) Tera main kya karoon Rahul?! Dekh, ab mujhe kuch nahi sunn na. Tu yeh sab chod aur mere saath chal. Humein baat karni hai ABHI KE ABHI! (grabs his hand and pulls him hard, heading for the exit of the large metal door)

Rahul- Chal raha hoon naa. Ghaseet kyun rahi hai?

Man 2 (At door)- (as RM head out, he whispers to Rahul) Sambhal ke Bhai. Bhabhi ka bheja bohot garam lagrela hai. (Rahul elbows him in the gut)

She drags him to his room…

Rahul- Muskaan kya karti hai? Udhar sabke saamne tu…

Muskaan- Oye chup!

Rahul- (looks down quickly) Okay.

Muskaan- Dekh Rahul, main mummy-pappa ji se akele baat nahi kar sakti.

Rahul- Theek hai main Parjaai ji ko tere saath jaane ko bolta hoon.

Muskaan- Abbey oye gadhe! Tu sirf kuch sochke bataa mujhe.

Rahul- (paces back and forth and tries to think, until he loses his patience) Muskaan, main abhi bhi keh raha hoon, yeh sab lafda chod. Main seedhe jaake dono ko utthaa leta hoon. Phir saath mein boldenge.

Muskaan- (throws his pillow at him) Tera dimaag kharaab hai!

Rahul- (paces a bit more) Daddu se poochoon?

Muskaan- (thinks a bit) Nahi Rahul. Woh bhi toh yehi kahenge ki dono ko utthaale.

Rahul- Yaar Biji se poochna toh bekaar hai.

Muskaan- Biji?

Rahul- Apni daadi.

Muskaan- Oye, tune toh kabhi nahi bataaya ki teri daadi bhi hai. (picks up the glass of water sitting on Rahul's night stand)

Rahul- Haan. Woh… pichle hafte jail se chooti thi na issiliye.

Muskaan- (spits the water out) Kya?!

Rahul- (makes a face) Kya yaar… Haan. (brushes the water off of his arms and shirt) Daaku hain naa. Bohot izzat karte hain saare unnki jail mein. Tereko pata hai. Inspector tak salute maarte hai apni Biji ko.

Muskaan- (slaps her forehead) Rahul… tere ghar mein eik bhi insaan hai jo normal ho?

Rahul- (matter-of-factly) Hai naa.

Muskaan- (excited) KAUN???

Rahul- Apna Bunty.

Muskaan- (disappointed) Bunty? Rahul woh toh bachha hai!

Rahul- Abbey mereko pata hai woh bachha hai. Uss se kya farak padhta hai? Tune pooche eik bhi insaan hai, toh bas hai. Kuch zyaada hi achha hai woh.

Muskaan- Matlab?

Rahul- School mein sabse achhe marks laata. Top karta hai. Apna family business join hi nahi karne ka hai.

Muskaan- (smiles) Yeh toh achhi baat hai.

Rahul- School mein sabka dost hai. Saala eik bhi bachhe ko nahi peeta! Eik bhi complain nahi aayee aaj tak usski.

Muskaan- (smile widens) Yeh toh aur bhi achhi baat hai!

Rahul- Bolta hai ussko iss sab lafde mein nahi padhne ka. Bada hoke scientist bannega.

Muskaan- (smile disappears) Bomb banaane ke liye.

Rahul- Nahi re. Bolta hai koi machine banaane ki hai.

Muskaan- Tune theek se suna nahi shayad. Ussne machine nahi, machine gun kaha hoga.

Rahul- Yaar tere kaanpur mein hartaal chal rahi hai kya? Lagta hai tu bhi defected piece hai.

Muskaan- (hits him hard on the arm) Kya?!

Rahul- (rubs his arm) Tagda haath hai. Kaam aayega. Shaadi ke baad kidnap karke jin sabko apne adde pe laaoonga, saalon ko tu dhoyegi. Yaar woh machine koi… apna woh… robot. Medical ke liye.

Muskaan- How nice.

Rahul- (pops his collar) Apna banjha hai. (Muskaan rolls her eyes) Achha, kaise bhi karke tu apne baap se baat kar kal. Aage apne ko sambhaalna aata hai.

Muskaan- (shakes her head) Sudhar jaa!

Rahul- Abhi eik minute mein toh nahi hona ka. Time lagta hai re. Chal tereko top class chai pilaata hoon.

Muskaan- (laughs sarcastically) Tu chai banaayega? Kamaal hai yaar!

Rahul- (puts his arm around her shoulder) Mereko lagta hai teri satak gayee hai. Chai Bandook banaayega.

Muskaan- Tu bandook se chai banaata hai???

Rahul- Abbey Bandook! Apna bawarchi. (they leave)

Outside in the huge garden!!!

Muskaan- Rahul!

Rahul- Kya?!

Muskaan- IDEA!

Rahul- Oh. Khaali phokat chilla rahi hai.

Muskaan- (whines) Rahuuuuuuuuuuuuuuuuullll…

Rahul- (imitates her) Muskaaaaaaaaaaaaaaaaaannnn…

Muskaan- Sunn naa!

Rahul- Sunaa naa!

Muskaan- Main naa, kal ki jaggah, aaj hi pappa ji ko bataa doongi humaare baare mein, aur tu naa, kal mere ghar pe aake pappa ji se mil lena.

Rahul- Tera bheja khisak gaya hai? Kyun mereko marrvaane ke chakkar mein hai?

Muskaan- Kyun?

Rahul- Oye tu jaake apne baap ko sab bataa degi aur phir mujhe ghar bulvaa rahi hai. Aur tereko lagta hai ki woh sanki buddha mereko…

Muskaan- (hits him on the back of the head) Oye!

Rahul- Matlab woh MAHAAN INSAAN, mereko accept karlega.

Muskaan- (cheery voice) Haan! Kyunki tu joh hai woh bannke nahi jaayega.

Rahul- Dekh, mera bheja na pakk gaya hai. Seedhe seedhe bol. Yeh ghooma phira ke mera bheja mat phira.

Muskaan- Tu toh gadhe ka gadha hi rahega. Rahul, main pappa ji ko boloongi ki mujhe eik ladke se pyaar hogaya hai. Iss se zyaada aur kuch nahi. Aage kuch poocha toh boldoongi ki kal khud tujhse mil lein. Aur tu! Tu shareef bannke aayega.

Rahul- Yaar itna mushkil kaam apne se nahi hoga.

Muskaan- Tujhe mujhse shaadi karni hai ki nahi.

Rahul- (sighs) Saala shaadi ki baat hai issiliye itni mehnat karni padh rahi hai! Bol kya karna hai.

Muskaan- (clings onto his arm) Dekh, mere pappa ji ko naa shareef ladke achhe lagte hain. You know... sata savitra types.

Rahul- (releases his arm abrupty) Oye! Eik minute! Tere baap ko ladke achhe lagte hain?! (horrified expression) Mereko nahi milna! (about to run off)

Muskaan- (grabs him from the back of his shirt, pulls him back, and then kicks him on the butt) Ulle de patthe! Pappa ji ko MERE liye shareef ladke pasand hain.

Rahul- Toh aisa bol naa. Maarti kaiko hai?

Muskaan- Rahul, yeh bohot zaroori hai. Samajhne ki koshish kar. Main aaj mummy-pappa ji se baat karoongi, aur tu kal aake unnse mil le. Kisi bahaane se hum sab bahar chalenge aur tu kuch bhi karke unn dono ko khush kardena bas.

Rahul- Khush? Achha yeh bataa, tere baap ne kisi se panga liya kya?

Muskaan- Nahi.

Rahul- Toh phir, kisi ko paisa udhaar diya?

Muskaan- Nahi.

Rahul- Kisi se peecha chudhaane ka hai?

Muskaan- Nahi, kyun?

Rahul- Toh khush kaise karoon? Kisi ko kidnap nahi karne ka hai, kisi ko dhone ka nahi hai, kisi se vasooli nahi karne ka hai, toh kaise khush hoga tera baap?!

Muskaan- Yeh sab jaan na tera kaam hai. Maine itna sab kuch soch liya. Ab tu bhi kuch kar.

Rahul- Tera baap meri jaan ka dushman kyun bana hua hai?

Muskaan- Rahul, mujhe kuch nahi pata! Tu kal mere ghar aa raha hai bas! Main tujhe aaj raat ko phone karke bataa doongi. Bye. (turns and starts walking)

Rahul- (calls out) Achha sun… 8 baje ke baad phone karna.

Muskaan- Kyun?

Rahul- (matter-of-factly) Uss se pehle apne ko kisi ko dhone ka hai re.

Muskaan- (rolls her eyes) Theek hai. 8 baje ke baad phone karoongi. Bye.

Rahul- (runs and catches up with her) Eik minute.

Muskaan- Ab kya hai?

Rahul- Apna dressing toh theek hai naa.

Muskaan- Haan! Kapdon se toh tu normal lagta hai. Bas harkatein normal nahi hain.

Rahul- (smiles and hugs her) Bye.

Muskaan- (smiles) Bye.


Edited by AshiYuvi4life - 15 years ago
VM_lover thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
#50
ohhhhhhhh myyyyy god pura khandan bechari mskan
it was fuuny

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 years ago

Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22 Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22

Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".