Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 26th August 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai August 26, 2025 Episode Discussion Thread
AFTER MATHh. 26.8
A study On Mrs Geetanjali Armaan Poddar
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27 Aug 2025 EDT
Jhanak Written Update And Episode Discussion thread No "124"
Navri - The Hawasi Mistress
IMDB's most beautiful actresses in the world. Kriti & Hania in top 10
Punishment to kill one or five is same
🇮🇳 Big News for IndiaForums Members! 🇮🇳
Who killed Anshuman; mara kaise ?
Maza nahi aaya😒
How do you do this?
Suniel Shetty Looses Cool On Stage
Vicky Kaushal’s Mahavatar postponed to 2027
Kumkum Bhagya New Season BC ~ Results
Sunita Ahuja Claims Her Son Doing Better Film Than Saiyaara
Bollywood Wants Bootlicker's - Nadiadwala Grandson Sends Legal Notice
Alia Bhatt Slams Media For Sharing Video Of Her House
Pari should be sent to jail
d whole picture idea was great! i liked especially d one with d painting.. well i noticed that rahul looked a bit awkward but guess it was not that noticeable at all! and muskaan's painting completely made up for it!😃
love kunal of this story.. his smart retorts and witty remarks r real match to khushi's cunning ones.. 😆 waiting for d next part of this and d Dream as well.. 😛
thnx for d PM 😳
Part 3
Sanjeevani... 10:30 a.m., Oncology Head Office...
Knock Knock...
Atul- (busy with a case study) Come in...
Anjali- (walks in with two cups of coffee) Good morning Dr. Joshi. (smiles)
Atul- (without looking up) Good morning. Sister aap zara yeh file...
Anjali- Atulll!!! (looks at him disappointed)
Atul- (looks up quite shocked) Haaan??? Sorry Anjali! (gets up, hugs her, and kisses her on the forehead)
Anjali- (still kind of disappointed) What's this Atul? You know naa ki main roz iss hi time pe aati hoon tumhaare paas.
Anjali- (ruffles his hair and laughs) How sweet. (kisses him on the cheek and smiles) Coffee?
Atul- Hey thanks. Pata hai, subha se mera dimaag kharaab ho raha tha iss case ko leke. Tum aagayee ho naa, ab main relax ho sakta hoon. (regular Atul smile)
Anjali- (smiles) Of course. Tell me kis cheez mein confuse ho rahe ho?
Atul- (hesitates) Muskaan...
Anjali- (smile disappears) Atul...
Atul- Anjali, Khushi humaari beti jaisi hai. Aur ab mujhse uska dukh nahi dekha jaata. 8 saal... Anjali. (starts to tear up)
Anjali- (makes him rest his head on her lap) Atul... (rests her head on his) What can we do? Kitna try kiya sabne. Muskaan ko sirf eik insaan theek kar sakta hai. (cries)
Atul- (cries harder) Ussko kaun leke aayega Anjali? (hugs her tight around the waist)
I.C.U...
Khushi- Pata hai Mummy, yeh Kunal naa, bohot irritate kar raha hai aaj kal. Roz aajata hai aapki aur pappa ji ki life story sunn ne. Kaankhajura.
As she was talking, Kunal came and seeing her having a conversation with her Mummy, he stopped at the door with a smile on his face, listening in on what she was saying.
Khushi- (smiles) Waise... itna bura bhi nahi hai. Actually... bohot sweet hai. Haan, kabhi kabhi bohot dimaag kharaab karta hai, lekin itna toh chalta hai... Right? (Kunal smiles) Sach kahoon toh, mujhe uss se baat karna, usske saath rehna, usse irritate karna... (smiles at her own thoughts) achha lagta hai? (thinks, then smiles even more) Bohot achha lagta hai. (Kunal's smile broadens) Woh sabse alag hai. I mean, main usse bachpan se jaanti hoon, aur mera best friend bhi hai. Lekin... nahi nahi. (laughs at herself) Aisa kuch thodi ho sakta hai. Hai naa? (asking herself more than her mom) Nahi ho sakta naa? (looks at Muskaan quickly) Mummy... I think main paagal ho rahi hoon, lekin kya aisa ho sakta hai ki main Kunal se... (thinks then cracks up) Kunal??? (in between laughs) Aur... (laughs) aur MAIN??? (laughs harder) Tussi bade funny ho mummy. (laughs while Kunal rolls his eyes and walks in)
Kunal- Good morning Chachi! (bends down to hug her) Hey cracko.
Khushi- (hits him on the arm) Khud hi hoga! By the way tum... tum yahaan kyun aaye ho? (nervous) Aur... tumne kya suna?
Kunal- (matter-of-factly) Kuch bhi nahi... kyun? (evil smile) Kuch... sunn na chahiye tha kya? (Khushi looks away nervously) And what do you mean by kyun aaye ho? Oh hello, tumhaari mummy baad mein hain. Pehle meri Chachi hain samjhi! Poore 1 years pehle apni presence se world ko grace kiya hai maine. Dekhlo kitni ladkiyon pe ehsaan kiya hai. Kisi na kisi pe toh line maarengi na. (flashes a big smile and fixes up his lab coat with style)
Khushi- (scoffs) Yeah right! Aaj tak eik bhi ladki ko tumne haan kaha hai? Yaad bhi hai kitni ladkiyon ne tumpe line maari hai? God, even I've lost count.
Kunal- Yeah yeah. Jab sahi ladki milegi toh haan bhi boldoonga. Aur sabse pehle toh... tumhi ko pata chalega. (grins to himself) Tab tak ke liye, no dating, only flirting. (Khushi rolls her eyes while he does an evil laugh)
Nurse- (walks in) Good morning Dr. Khushi. (looks at Kunal and blushes) Morning Dr. Kunal. (smiles)
Kunal- (to irritate Khushi, flirts with her) Very good morning to you not my sister. Looking good. (winks)
Nurse- (blushes) Thank you.
Kunal- Waise aap...
Khushi- (butts in) ...YAHAAN kis kaam ke liye ayeen thi SISTER?
Nurse- Uh... woh... Mr. Khurana ki file layee thi aapke liye. (gives her the file and then stands there looking at Kunal who was flashing a sweet smile at her)
Khushi- (takes the file) Dedi? Ab jaaye.
Nurse- Ji???
Khushi- Jaaye! Kaam kariye. Hospital hai. Go.
Nurse- Ji. (leaves disappointed)
Kunal- (waves) Bye. Baad mein...
Khushi- Yeh kya ho raha tha?
Kunal- (acting confused) Kya?
Khushi- Kunal! Jutti maroongi!
Kunal- (laughs) Chillax. Tumhi ne toh kaha ki eik bhi ladki ko haan nahi bola. Socha ki aaj aisa kaam karoon that even you feel proud of me. You're proud naa? (evil grin)
Khushi- Proud? Abhi bataati hoon! (starts to run after him)
Kunal- (laughing) Abbey khade khade bataa naa! (running)
Khushi- Ruk kaankhajure ruk!
Kunal- (running out of the ward laughing) Himat hai toh pakad lo! Bye Chaachi!
Corridor...
Kunal... (sigh) paagal hai. Poora paagal. Aur isske saath rehke, aadhi paagal toh main bhi ho chuki hoon. Khair, achha ladka hai. Nahi? Actually, aaj kal main bohot confused rehti hoon. Kunal mere bachpan ka dost hai. Haan main uss se hamesha ladti hoon, lekin main uss se bohot pyaar bhi karti hoon. Nahi nahi nahi, WOH waala pyaar nahi. Sirf eik dost ki tarhaan. Shayad sirf eik dost ki tarhaan? (sigh) Wohi toh confusion hai. Kya main Kunal se WOH waala pyaar kar sakti hoon? (smiles seeing him in the childrens ward treating some kid) Kyun nahi kar sakti? Mujhe aaj tak kabhi kisi se pyaar nahi hua. I think iss department mein, main Pappa ji jaisi hoon. Studies mein hamesha itni busy rahi ki uss sab ke liye time hi nahi raha. Aur phir... itni young age mein, jo mere saath hua uske baad... Lekin, Kunal hamesha mere saath tha. Usske hote hue, main kabhi dukhi nahi hui. Kabhi kabhi bohot rone ka mann hota tha, lekin iss joker ke hote hue, rona bhi impossible sa lagta hai. Kunal ne kabhi meri aankhon mein ansoo nahi aane diye. Strange baat toh yeh hai ki Kunal hamesha se ladkiyon ka favorite raha hai. Just like Aryan, Saksham, and Sid Bhaiyya. Woh teenon toh phir bhi date karte the, lekin Kunal... pata nahi kyun, ussne kabhi kisi ladki ko importance hi nahi di. Jab bhi hum poochte the toh hamesha yeh keh ke topic change kardeta tha ki usske paas in sab bekaar cheezon ke liye time nahi hai. Lekin mujhe hamesha se aisa lagta tha ki uss ke liye koi toh hogi jo sabse special hogi. Ab woh koi kaun hai aur kahaan hai, yeh toh Rabba ji ko hi pata hai. Par pata nahi kyun... dil chahta hai ki woh koi... main hoon...
Sid- (snaps his fingers in front of her face and she gasps) Oye! Kitthe khoye ho?
Khushi- Sid Bhaiyya... sorry. Woh main...
Sid- My dear, sweet, innocent sister, yaar tum mujhe bhaiyya mat bulaaya karo. Kaanon ko lagta hai yeh word. (makes a disgusted face) BHAIYYA. Yuck! Pata hai, aisa lagta hai ki main pata nahi kitna buddha hoon.
Khushi- (laughs) Ab bhaiyya ko bhaiyya nahi bulaoongi toh kya bulaoon?
Sid- Kyun? Naam nahi diya mere parents ne mujhe? Hmm?
Khushi- Bhaiyya...
Sid- Phir bhaiyya?! Kyun gali de rahi ho mujhe choti?
Khushi- Choti? Bhaiyya, aapne mujhe last time choti pata hai kab bulaaya tha?
Sid- Kab?
Khushi- (bored expression) Meri 5th birthday par. Bhaiyya I'm 22 now! Choti???
Sid- 22 ho ya 92, tum choti hi rahogi. Samjhi?
Khushi- Yes bhaiyya.
Sid- (pats her on the head) Good girl. Ab aap thoda sa kaam karlengi Dr. Choti... I mean Khushi. Dad ne dekhliya toh bhadak jaayenge.
Khushi- Ainwaiyee? Mausa ji mujhpe kabhi ghussa nahi karte. That's why I love him. (smiles)
Abhi- Doctors. Kya ho raha hai yahaan pe?
Sid- Woh... Da... Sir... Dr. Modi sir, hum apni duties pe hi jaa rahe the.
Abhi- (firmly) Good.
Khushi- (smiles and hugs him tight) Good morning Mausa ji.
Abhi- (surprised but hugs her back) Good morning sweetheart. (Sid's expression was a completely dumbfounded one)
Khushi- Sid Bhaiyya... (taps him on the shoulder) Bhaiyya!
Sid- Haan?
Khushi- Chalein?
Sid- Haan. Bye SIR. (gives Abhi an odd grin)
Khushi- Bye Mausa ji... I mean Sir. (smiles then walks away with Sid)
Abhi- (smiles to himself) Sahi mein Muskaan ki beti hai. (laughs lightly and walks into his cabin)
Break time...
Mihika- God I'm so tired.
Saksham- Bas itne mein hi? Yeh lo. (hands her coffee) You need all the energy you can get.
Mihika- Thanks yaar.
Pari- (sees Mehak) Tujhe kya hua?
Mehak- (with her head in her hands) Yaar main paagal hojaoongi. Yeh case. It's too difficult!
Saksham- Kaunsa case? Wohi cancer patient waala?
Mehak- Haan yaar. Kuch samajh mein nahi aa raha.
Pari- Toh uss mein tension lene waali kaunsi baat hai? Tere dad toh Oncology ke senior doctor hain.
Saksham- Haan yaar. He's the head of the department. Tu unse eik baar kyun nahi discuss karti. I'm sure Champ Chachoo will help you.
Mehak- Haan I guess. Help toh woh kar denge. Even I know that, lekin main chahti thi ki khud figure out karoon. Ab jab nahi ho raha toh I have no choice. Dad se hi poochna padega.
Kunal-Khushi walking in...
Kunal- Please.
Khushi- No.
Kunal- Please.
Khushi- No.
Kunal- Arre yaar PLEASE!
Khushi- Kunaaaal. (looks at him with an annoyed expression)
Kunal- (puppy dog face) PLEASE?
Khushi- (sighs and gives him a defeated look) Later.
Kunal- Abhi!
Abhi- Yes beta?
Kunal- Nahi nahi aap nahi mausa ji.
Abhi- Tumhi ne toh kaha... Abhi.
Kunal- Arre kya baat kar rahe mausa ji. Aapko main naam se thodi na bulaoonga. Main toh Khushi ko bol raha tha ki mujhe... ABHI uss se baat karni hai. Lekin yeh hai ki sunn hi nahi rahi. (grins at her)
Abhi- Kyun? Bachha jab woh itna keh raha hai toh...
Khushi- Mausa ji mujhe abhi thoda kaam hai... and aap hi toh kehte hain... work comes first. (evil smile to Kunal, who makes a face at her)
Abhi- That's right. Work comes first. Kunal tum baad mein baat karlena. Khushi kahaan bhaagi jaa rahi hai right?
Khushi- Exactly! Bye Kunal. Bye Mausa ji. (walks over to her friends' table)
Abhi- (goes to the table) Hi kids.
All- Hello.
Pari-Mihika- Hey dad.
Abhi- (smiles) Mihika, are you busy?
Mihika- Nahi dad. Thoda break le rahi thi. Kuch kaam hai?
Abhi- Nahi. Mom's looking for you.
Mihika- Oh. Achha. Kahaan hain mom?
Abhi- Mere cabin mein. Shall we?
Mihika- Yep. See you guys later.
All- Bye.
Pari- Dad.
Abhi- Haan jaan?
Pari- Where's bhaiyya? Dekha kya?
Abhi- Not recently. Shayad Path Lab mein.
Pari- Okay. (Abhi-Mihika leave)
Armaan- (comes in with Riddhima) Lekin Riddhima symptoms toh itne severe nahi hain.
Riddhima- Haan lekin, consideration mein toh rakhna padega na Armaan.
Armaan- Yes boss. (smiles) Hello bachha party.
Saksham- (annoyed) Daaad!
Armaan- What???
Saksham- Bachha party? Please. Image...
Armaan- (smiles) Oh right right right. (both high-five)
Riddhima- (rolls her eyes) Dono eik jaise hain. (sighs and goes to get coffee)
Kunal- (elbows Khushi lightly and whispers) Please?
Khushi- (shouts) Kunal!
Armaan- (startled) Whoa! Helllllo! Everything okay Miss Theeki Mirchi?
Khushi- (smiles) Yeah Chachoo.
Kunal- No!
Armaan- Really? Why not buddy?
Kunal- Chachoo, main itni der se iss chipkali se baat karne ki koshish kar raha hoon. Sunn hi nahi rahi.
Armaan-Saksham- (laugh) Chipkali...
Khushi- (hits Kunal on the arm) Kaam kar rahi hoon! Gadha!
Riddhima- (comes back with coffee for both herself and Armaan) Kya hua? Ab kis baat pe jhagad rahe ho tum dono?
Khushi- Chaachi mujhe itna kaam hai aur yeh mujhe irritate kar raha hai.
Riddhima- Kunal, beta kyun tang kar rahe ho usse?
Kunal- (gets up and hugs Ridz) Aap kahogi toh nahi karoonga. (smiles)
Riddhima- (smiles and pats him on the cheek)
Atul-Anjali- (come in) Hey guys.
Kunal- (sits back down next to Khushi and whispers) Eik baar ghar chale jaayein, phir bataata hoon tumhe. (evil laugh out loud... all look at him strangely)
Saksham- Dude... you okay?
Kunal- Uh... (Khushi laughs to herself)
Mehak- (looks up from her file with an odd expression) Please kehdo ki tum mere bhai nahi ho, this is all just a big mistake, aur tum sirf humaare ghar mein eik paying guest bann ke reh rahe ho for the past 23 and a half years. (Anjali hits her lightly on the arm)
Khushi- (laughs) Humaari life itni fortunate nahi ho sakti.
Mehak- Damn! (laughs)
Atul- (puts his hand on Kunal's forehead) Beta... time mile toh mere office mein aajana. General check-up toh main bhi kar sakta hoon tera.
Kunal- Dad!
Mehak- Dad, iss bekar insaan ko chodo. I need your help! PLEASE PLEASE PLEASE DAD!
Atul- (innocent look) Arre yaar lekin maine kab mana kiya? Kya problem hai?
Mehak- (all panicky in one breath) Yeh case! Cancer patient hai. I really need your help. Kuch samajh mein nahi aa raha. Subha se...
Atul- Shaant meri bachhi shaant. (air kiss)(very calmly as if talking to a baby or his plants) Pehle tum sahi se inhale exhale karo phir bolna okay? Papa kahin nahi bhaage jaa rahe. Yaheen hain. Hai naa? Now come on. Inhale... (she inhales and he does it with her) Good. Now exhale. (again they both do it) Very good! (bright Atul smile) Ab bolo.
Mehak- (takes a deep breath) Okay.
Atul- Relaxed?
Mehak- Yeah.
Atul- Good. Laao file dikhaao. (flips through it) Hmmm. Itna difficult hai nahi jitna tum banaa rahi ho. (hits her on the head lightly) Eik kaam karte hain, tum mere saath mere cabin mein chalo. Wahin discuss karlete hain. Okay?
Mehak- (hugs him tight) Thank you Dad! I love you!
Atul- Love you too. (kisses her on the forehead) Chalo. Anjali, main baad mein aata hoon tumse milne.
Anjali- (smiles sweetly loving the bond that Mehak-Atul share) Okay.
4:30 p.m. Anjali's cabin...
Knock-knock...
Anjali- Come in Dr. Joshi. (smiles)
Atul- (walks in with flowers and a disappointed look) Arre yaar tumhe kaise pata chala ki main hoon?
Anjali- Woh aise my dear sweet husband, ki tum jo corridor se inn flowers se baat karte hue aa rahe the naa, I could hear it all the way in here.
Atul- (blushes) Haan. Pata hai, main inn se yeh keh raha tha ki...
Anjali- Ki woh yaad se mere face pe smile leke aayein kyunki tum mujhse bohot pyaar karte ho. (smiles) I know Atul.
Atul- (gives her the flowers with a smile) Tum kitni intelligent ho na Anjali.
Anjali- (laughs) Atul... (laughs again) I love you. (takes the flowers from him and gives him a hug)
Atul- (blushes) Anjali... woh... aaj raat ko hum dono... dinner ke liye bahar chalein?
Anjali- (smiles) Atul, maine SAHI SE khaana banana seekh liye tha remember?
Atul- (smiles and blushes) Nahi nahi woh baat nahi hai Anjali. Bohot din hogaye na humein bahar gaye, issiliye. Maine reservation bhi karliya. (smiles)
Anjali- (laughs) Okay Atul. Jab tumne already reservations karliye hain, toh theek hai.
Atul- Matlab tum meri date banogi? (blushes)
Anjali- Atulll... tumhaari nahi toh kiski date banoongi? (smiles and offers him her hand and he accepts it while placing a gentle kiss on it)
Back home in the evening...
Khushi- (walks into her room) Haiye rabba aaj kitna kaam tha!
Kunal- (already comfortable on her bed) I know right! Itna kaam ki tumne mujhe aage ki story bhi nahi sunaayee.
Khushi- (terrified) Oh no! You again?! Kunal kyun mere peeche haath dhoke pade ho?
Kunal- Arre haath kya main toh tumhaare peeche nahaa dhoke padoonga agar tumne mujhe aage nahi bataaya toh. Don't forget madam, main bhi iss hi ghar mein rehta hoon.
Khushi- UNFORTUNATELY, main apne ghar bhi toh nahi jaa sakti naa? (smiles and goes to put one of her files in her drawer)
Kunal- (gets up from her bed frowning) Apne ghar matlab? Yeh tumhaara ghar nahi hai?
Khushi- Woh baat nahi hai yaar. Mera matlab tha ki...
Kunal- Ki yeh tumhaara ghar nahi hai aur agar tum reh sakti, toh tum apne ghar mein hi rehti right?
Khushi- (kind of surprised at his reaction) Kunal...
Kunal- Forget it. (starts to leave)
Khushi- Kunal suno yaar. Itne senti kyun ho rahe ho? Main toh sirf eik baat keh rahi thi.
Kunal- Tumhaare liye sirf eik baat hogi. Mere liye bohot badi baat hai. (almost out the door)
Khushi- (thinks of a way to stop him when her evil brain starts working over time) Aage kya hua... nahi sunoge? Theek hai. Mat suno. (turns so her back is towards him and grins to herself)
Kunal- (stops in his tracks) Uhhh... waise... main tumhe eik baar toh maaf kar hi sakti hoon right? Chalo maaf kiya. (big smileand walks back to her) Ab aage? (sits back down on the bed)
Khushi- Arre! Aise kaise? Ab mera mood nahi. Tumne spoil kardiya. Sorry. (starts to walk away from him)
Kunal- (grabs her hand and pulls her on the bed) Sit! Aage!
Khushi- Excuse me! I'm not your dog! Yeh orders kisko de rahe ho?
Kunal- Meri maa! Aage.
Khushi- Okay okay. Sunaa hi deti hoon. Tum bhi kya yaad karoge. So, agle do din easily kat gaye. You know packing and all aur phir woh apne Honeymoon ke liye Greece chale gaye. Eik city se doosri city aur, phir... Santorini Island.
*flashback*
8:30 p.m. Oia Hotel, personal studio complex, Santorini Island...
Rahul- (falls on the bed) Muskaan tune thakaa diya aaj.
Muskaan- Ainwaiyee? Itni bhi shopping nahi ki maine samjha. (sits down on her side of the bed)
Rahul- Haan. Itni kahaan hai JAANA? Sirf aadha Greece hi toh khareeda hai.That's all.
Muskaan- Rahul... tu khush nahi hai?
Rahul- (fake smile) Of course I'm happy! My... my wife went shopping! Khush kaise nahi ho sakta?
Muskaan- Rahul! Hum Honeymoon pe aayein hain naa, toh please mujhe enjoy karne de!
Rahul- Muskaan, sirf tu hi enjoy kar rahi thi poore din. Aur kitna enjoy karegi?
Muskaan- Kya matlab?
Rahul- Aaj ke liye itna bohot hai. My turn to enjoy. (bright smile and moves closer to her)
Muskaan- (backing away) Dekh Rahul... mujhe teri neeyat kuch theek nahi lag rahi.
Rahul- (moves in even closer and grabs a bag that was behind her) Tu bohot zyaada sochti hai! Yeh le. Jaldi se change karke aa.
Muskaan- Yeh kya hai?
Rahul- Gift. (winks) Change karke aa. Surprise hai tere liye. Jaldi jaa!
Muskaan- Rahul... teri tabeeyat toh theek hai naa?
Rahul- (gets up from the bed and literally leads her to the bathroom and shut s her in) Do ghante mat lagaana Muskaan! (calls to her)
Muskaan- (standing with the bag inside the bathroom) Gift... surprise... Rabba ji... mujhe aisa kyun lag raha hai ki mera pati paagal hogaya hai? Bachaa lena mainnu!
15 minutes later...
Muskaan- (comes out) Rahul...
Rahul- (reading an article on Greek art, looked up and did a double take) Mus... Muskaan...
Muskaan- (blushes) Kaisi lag rahi hoon?
Muskaan- (smiles deeply) Uh, Rahul...hum kahin jaa rahe hain kya?
Rahul- (still in a trance) Pari...
Muskaan- Rahul!
Rahul- Haan?! Kya hua?
Muskaan- Tujhe kya hua?
Rahul- Muskaan tu toh bilkul...
Muskaan- Pata hai. (smiles) Eik pari jaisi lag rahi hoon.
Rahul- (bursts out laughing) Kis gadhe ne tujhse yeh kehdiya? Bhootni lag rahi hai! (cracks up)
Muskaan- (angry) Rahul! (runs at him) Main tujhe chodoongi nahi piddhe!
Rahul- (doesn't move from his spot) Muskaan dheere! Giregi!
Too late... Muskaan got a hold of Rahul, but before she could do any physical harm to him, she tripped off her dress and fell on the bed, taking Rahul right down with her. She struggled to get up, but Rahul was lost in her completely. He maintained his position while searching into the depths of her eyes.
Muskaan- Oye!
Rahul- (coming back to reality) Huh?
Muskaan- Utth!
Rahul- Haan. (moves) Maine toh tujhe pehle hi bola tha ki tu gir jaayegi. Lekin meri toh koi sunnta hi nahi hai. (Muskaan makes a face) Ab tu shakal bigaadna bandh kar aur chal.
Muskaan- Kahaan?
Rahul- Surprise. (winks and gets up to grab his jacket)
Muskaan- (looks him up and down) Hmmm...not bad Dr. Rahul. Tussi te bade handsome lag rahe ho.
Muskaan- Oye... eik minute. Waise, yeh dress aur yeh suit... VERSACE??? Tune liya kahaan se??? Yahaan toh milega nahi. Toh phir...
Rahul- (smiles) Athens mein... Syntagma Square... remember?
Muskaan- Lekin tu toh...
Rahul- ...thodi der ke liye "coffee shop" mein jaana chahta tha. (smiles)Pasand aaye issiliye le liye... tera dress bhi aur yeh suit bhi. Ab chal. (leads her out)
Muskaan- Par kahaan?
Rahul- Tu chal toh sahi.
Rahul- (smiles lovingly and whispers) Surprise...
Muskaan looked right back at the yacht, now putting the pieces together and understanding everything. Instantly her face lit up with a glowing smile. Rahul led her onto the yacht which he had arranged for the evening. Just for the two of them. He had planned on taking the yacht out to the long-time dormant volcano which was located at some distance from the shore in the middle of the ocean, and then back. As Muskaan stepped onto the yacht, she couldn't feel the solid flooring beneath her. The floor of the boat was covered with rose petals and as she turned to look at Rahul once again with a beautiful smile, musicians started playing a beautiful song... Rahul gave her a rose and asked her for a dance as the yacht took off on the evening's journey and they began to lose themselves in their own world...
Rahul:
Tum Aaye Toh
Hawaaon Mein Ek Nasha Hai
Tum Aaye Toh
Fizaaon Mein Ek Rang Sa Hai
Ye Rang Saare
Hain Bas Tumhare
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya
Muskaan:
Tum Aaye Toh
Hawaaon Mein Ek Nasha Hai
Tum Aaye Toh
Fizaaon Mein Ek Rang Sa Hai
Yeh Rang Saare
Hain Bas Tumhare
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya...
Rahul:
Aye Hey Hey
Aa Haa Aa Haa Aa
Aye Hey Hey
Aa Haa Aa Haa Aa
Tum Aaye Ho, Toh Dekh Lo
Naya Naya Sa Lage Yeh Jahan
Ho, Haa Haa Haa Haa Haa
O Ho...
Muskaan:
Haseen Haseen Hai Yeh Zameen
Dhula Dhula Sa Hai Yeh Aasman
Tum Ho Toh Hai Yeh Samaa
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya...
Dhadak Raha Hai Dil Mera
Jhuki Jhuki Hain Palkein Yaahan
Ho, Aa Haa Haa Aa Haa
O Ho...
Rahul:
Jo Dil Mein Ho Woh Keh Bhi Do
Ruki Ruki Si Hain Yeh Daastan
Jasbaat Maange Zubaan
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya...
Muskaan:
Tum Aaye Toh
Hawaaon Mein Ek Nasha Hai
Tum Aaye Toh
Fizaaon Mein Rang Sa Hai
Rahul:
Ye Rang Saare
Hain Bas Tumhare
Rahul-Muskaan:
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya
Aur Kya, Aur Kya, Aur Kya...
Rahul- Muskaan... apni aankhein bandh kar.
Muskaan- (holding his hand) Rahul... tune mere liye yeh raat itni special banaa di hai. Ab kuch karne ko reh gaya hai kya?
Rahul- (turns to her and smiles) Haan. Surprise ka sabse bada part.
Muskaan- Rahul...
Muskaan- (looks forward with a doubt) Rahul aisa kya...
Within seconds the sky lit up with a beautiful display of fireworks... ending with something extremely special for both of them... the words "I Love You Muskaan
-Rahul"
came flashing across the night sky, followed by the last part. Two hearts joined with the names Rahul-Muskaan in the midst of them.
Muskaan- (hugged him tight with a huge smile) I love you Rahul!
Rahul- (spins her around in his arms and then kisses her on the forhead) I love you too.
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
193