"Raj beta aakhi tum ko chahiye kaise ladki kuch bataoge?" Raj ki mom ne finally poocha Raj se.
"Haan Geeta ye 25th photo hai jis ko dekh k janab mana kar chuke hain." Siddhartha Singh Shekhawat replied.
"Dad aap pareshaan mat hoiye, vo apne aap jaldi hi milegi." Raj assured his mom n dad and left for his office party.
"Pata nahi kya hoga is ladke ka." Geeta ji pareshaan hain apne bete se.
"Are maa kya hua aap ko aur ye Raj kahan gaya abhi abhi." Raj ki badi behan Mansi ne aate hue poocha.
"Kuch nahi Mansi beta vahi purani baat Raj ko phir se ladki pasand nahi aayi is baar bhi." Mr. Shekhawat ne kaha.
"Aap chinta mat karo maa, mai aaj ek photo le kar aayi hoon aur pata nahi kyoun jab se maine is ladki ko dekha hai tab se mera man keh raha hai ki Raj is ko dekh k mana nahi karega."
"Beta ab ek baar aur koshish tu hi kar mai to thak hi gayi hoon." Ye keh kar Geeta jee chali gayi aur Mansi ne photo vahi mej par chod k apne maa k paas chali gayi.
Yahan party me:-
"Hey Raj , congrats buddy ye sab tumhare hard work ka hi result hai ki aaj humari company yahan hai." Raj's friend Aman Sharma( played by Ankur Nayaar) ne kaha.
"Thanks yaar par akele maine hi nahi kiya ye sab. Tum sab ne bhi bahut saath diya hai mera." Raj ne Aman ko gale lagate hue kaha.
"Vaise maana padega Raj tum ab is company k C.E.O. ban hi gaye ho to ab shaadi kyoun nahi kar lete?" one of them suggested.
"Chodo yaar tum log bhi na." Raj said.
"Raj sir khade hain vahan jara mil k aa na un se." Aman indicated him.
"Yes abhi aaya mai, excuse me." Raj left.
"Good evening my boy." Mr. Mehra ne Raj ko aate hue dekha.
"Good evening sir, good evening mam." Raj greeted Mr. n Mrs. Mehra.
"Good evening beta kaise ho?" Mrs. Mehra asked.
Kuch der tak youn hi baat cheet hoti rahi aur achanak Raj ki najar ek taraf gayi aur us ne jo dekha us k baad vo vahin khada ka khada reh gaya.
Yahan Raj k ghar par:-
"Maa kam se kam ek baar photo to dekh lo na us ladki ki." Mansi said again.
"Nahi agar tere bhai ko pasand aayi tabhi mai dekhoongi varna ab nahi. Mujhe nahi accha lagta ki itne saari ladkiyon ki tasveer dekho aur pasand kisi ko bhi mat karo." Geeta jee made a face.
"Maa tum bhi na." Mansi said n left par jaane k pehle vo photo dena bhool gayi maa ko.
"Are kya hua tum aise muh fula k kyoun baithe ho?" Mr. Shekhawat ne poocha.
"Bus aise hi ab aap so jaaiye Raj ka to pata nahi kab aayega party se."
"Theek hai par tum bhi ab aaram karo."
Raj jab party se lauta to pata nahi us ka dimaag kahan gayab tha andar aate hue vo table se takraya aur table par rakha envelope neeche gir gaya.
"Offoo koi yahan jaroori cheejin bhi theek se nahi rakhta hai." He was just going to pick up that envelope when his eyes fell on a pretty face n he was shocked for sometime. Kuch der tak Raj aise hi photo ko dekhta raha phir sochne laga, 'Pata nahi mujhe kya hua hai jab se us ko party me dekha hai har jagah vahi dikh rahi hai. Jaroor abhi bhi mera bhram hi hoga ye bhi.' Ye keh kar us ne photo vapas envelope me rakh di par fir us ko laga ki kyoun na ek baar dekh hi liya jaaye ki kahin sach me ye photo us ladki ki to nahi hai na. Us ne dubara envelope me se photo nikali aur jab dekha us ko to shayad us ko apni aakhon par bharosa nahi ho raha tha ki jo dekha vo sahi hai.
Party me hua kuch aisa tha:-
Raj ki najrein us or gayi jis or ek ladki ka dupaatta ek vase me fuss gaya tha aur vo us ko nikalne ki koshish to bahut kar rahi thi par vo nikal nahi raha tha. Raj sochne laga 'aakhir in ladkiyon k bhi kya shauk hain ki itne badi saari ya itna bada dupatta pehan lengi aur jab kahin fuss jaaye to nikalti rahengi. Ya fir aisa expect karengi ki koi handsome sa ladka aaye aur in ki help kare.'
"Kya kar rahi hai yaar?" us ladki ki ek dost ne poocha.
"Dekh nahi rahi hai kya?" she replied frustrated.
"Isiliye kaha tha maine ki ye sab kitna uneasy rehta hai parties me par aap ko samajh aaye tab na." Her friend teased her.
"Tu kya yahan meri khichai karne me lagi hai? Atleast help to kar meri varna koi ladka yahan aayega help karne k bahane aur mujhe us ko bina man k thanks bolna padega." She replied making a face.
Raj just laughed at her because she was giving a perfect reason.
"Ok baba ruk". Us ki dost nikalne ki koshish karne lagi tabhi ek ladka vahan aaya.
"May I help u gals?" he asked politely.
"Dekha maine kaha tha na." Us ladki ne kaha aur hasne lagi.
Vo ladka kuch samajh nahi paya aur dono ko dekhne laga. Dono hase jaa rahi thi. Kuch der tak hasne k baad jab dono ruki to dekha ki abhi bhi vo ladka vahan khada hai aur un dono k saath bewkuffon jaise has raha hai.
"Aap kyoun has rahe hain?"
"Aap dono has rahi thi to mai bhi hasne laga." Kya jawab diya na us ne.
"Are ajeeb aadmi hain aap kam se kam reason to pata hona chahiye hasne k pehle varna saari duniya pagal kehti hai bekar me hasne vale ko." Us ladki ki friend ne kaha.
Ab vo ladka embarrass ho gaya kya bolta in dono ne us ki aise band baja di thi . Kahin door khada koi ye sab bahut dhayan se dekh aur sun raha tha aur has bhi raha tha in dono par. 'kuch bhi ho ye ladki hai bahut cute.' Raj soch raha tha tabhi Aman vahan aa gaya.
"Are Raj kab se hum dhoondh rahe hain kahan tha tu?" Aman ne poocha.
"Are vo mai bus…………………" par Raj ko batana nahi pada kyoun tabhi Aman ka phone ring hone laga aur vo excuse me keh k chala gaya vahan se. Jab Raj ne fir us taraf dekha to vo dono hi vahan nahi thi.
Kuch der baad:-
"Chal Raj khana kha lete hain yaar, mujhe to kaafi bhook lagi hue hai aur fir teri bhabhi ka bhi phone aaya tha ki mujhe nikalna hoga bus jaldi." Aman ne kaha.
"Ok chal chaletin hain." Keh k Raj gaya khana khaane to dekhta hai ki vahan par vo ladki khadi hai. Raj us ko hi dekhne laga.
"Priya kya kar rahi hai?" us ladki ne poocha.
"Di mujhe ye khana hai." Priya ne kaha.
"Tu khaa nahi paayegi mujhe pata hai na bus le kar chod degi.'
"Pls. di khane do na nahi choodongi pakaa." Priya promised.
"Theek hai par thoda sa le." She served her a bit.
Jaise hi vo turn hue ek waiter pani le kar jaa raha tha us ka paani ka glass gir pada us ladki par. Waiter bechara dar gaya ki ab pata nahi kya hone waala hai. Darte darte us ne bus itna kaha, "Maaf kar djiyega madam, maine dekha nahi. Extremely sorry."
"Ye koi tareeka hai kaam karne ka? Agar kaam nahi aata to chod kyoun nahi dete ho kuch aur kar lo. Kharab kar di na dress."
"Maaf kar dijiye madam." Bechara bahut dar gaya tha.
"It's ok aap jaaiye, koi baat nahi."
"Kaise koi baat nahi di aise logon ko kaam par kaise rakha jaata hai mujhe samajh nahi aata hai." Priya ne gusse me kaha.
"Priya, silent." She indicated her aur fir us ladke ki taraf muh kar k boli, "aap jaaiye bhaiya koi baat nahi."
Vo aadmi chala gaya aur fir us ladki ne Priya se kaha, "Priya ye bhi koi tareeka hai kisi se baat karne ka?"
"Dii aap ne dekha na vo kitna ill mannered tha." She reasoned.
"Kuch bhi ho Priya hum sab insaan hai aur hum sab ko koi hak nahi hai ki kisi ki ek choti se galti par kisi ko aise daatein. Aakhir galti sab se hoti hai na."
"Dii par us ne aap ki dress bhi to kharab kar di na."
"Paani hi to hai na sookh jaayega, tu bhi na itne se baat k liye bechare ko kitna data diya."
"Diiiiiii aap bhi mujhe bol rahi ho na, jaao mai aap se baat nahi karoongi. Galti us ki aur data mujhe rahi ho."
Par us ladki ne pyaar se badi hi jaldi apne sis ko mana liya. Aur dono ek doosre se fir se vaise hi baatein karne lagi. Raj kahin door khada ye sab dekh raha tha us ko accha laga ki kis tarah se us ne us aadmi ko jaane diya aur kuch nahi boli.'hmmmmmmmm interesting kuch alag hai is me maana hoga.'
Back to present:-
Raj soch soch k smile kar raha hai tabhi us ki maa Geeta jee aayi kamre me aur Raj ko vahan dekha unhone vo photo liye hue.
"Tu kab aaya?"
Raj apne khayalon se bahar aaya apni maa ki awaaz sun k, "Bus maa kuch der hue."
"Oh, tere haath me ye…………….." bina kuch pooche hi unhone aage kaha, " Theek hai mai samjah gayi ki tujhe ye ladki bhi nahi pasand aayi na Mai Mansi ko bata doongi kal subah phone kar k." Bahut maayusi se Geeta jee ne kaha aur jaane hi vaali thi ki tabhi kuch unexpected hua.
"Maa mujhe ye ladki pasand hai agar tum ko pasand ho to tum is se baat kar sakti ho." Ye keh kar Raj seedhe apne room me chala gaya aur door close kar liya.
Geeta jee hairaan reh gayi. Un ko abhi bhi lag raha tha ki vo koi sapna hi dekh rahi hain. 'Kya Raj ne sach me is ladki k liye haan kaha hai?' abhi bhi yahi soch rahi thi vo.
Yahan kamre k andar Raj buri tarah se sharmaa raha tha ki us ne kaise apni maa se achanak hi keh diya ki vo ladki us ko pasand hai aur vo us se shaadi karma chahta hai. Thoda ajeeb jaroor lag raha tha kyounki aaj k pehle us ne kabhi aisa kuch nahi kaha tha apni maa se.
Yahan:-
"Kya kehti ho?"
"Kis bare me?"
"Vo jo Mansi le gayi hai Naina ki photo us baare me?"
"Mujhe lagta hai ki haan jaroor hogi , kyounki Mansi ne Naina ko dekhte he us ki photo jis tarah se maangi thi mujhe to poora bharosa hai."
"Par Shalu tum jaanti ho na ki us k nak chade bhai ko aaj tak koi bhi ladki pasand nahi aayi hai."
"Naveen tum bhi na, ho sakta hai is baar humari Naina pasand aa hi jaaye." Shalu said.
"Mujhe thodi kam umeed hai, baaki aage bhagwaan hi jaane." Naveen said.
Dono ko hi nahi pata tha ki koi chup k un ki baatein sun raha hai aur vo hai Naveen ka chota bhai Alekh jo us ka cousin hai par Naina ko vo apni behan se bhi jyada manta hai. Kahin na kahin us ka akelapan Naina hi door karti thi na to bus yahi rishta tha ab un dono ka. Alekh Priya se utna pyaar nahi karta tha jitna vo Naina se karta tha. Naina us ki best friend aur behan sab kuch thi us k liye.
"To ye baat hai?" he murmured.
"Kya baat hai Alekh bhaiya?" Priya asked.
"Are chutki tu yahan kya kar rahi hai?" Alekh ne Priya ko dekhte hue poocha.
"Pehle aap batao aap yahan kya sun rahe the?" Priya insisted.
"Yahi ki jaldi hi humari Naina humare paas nahi rahegi, hum se door chali jaayegi." Alekh said making a sad face.
"Kahan jaa rahi hai didi , bhaiya?" Priya ne fir poocha.
"Vo bhi tujhe jaldi hi pata chal jaayega well ab chal sone ka time ho gaya hai." Alekh Priya ko apne saath le gaya.
Actually Priya aur Alekh bhai behan the aur Naina ki massi aur masaa ki death k baad se hi dono yahi reh rahe the. Mr. n Mrs. Shekhawat un dono ko bhi apne bacchon ki tarah pyaar se paala tha.
Next day morning:-
"Mansi utho maa ka phone aaya hai." Mansi k pati Abhimanyu ne us ko uthate hue kaha.
"Kya Abhi sone do na, raat me bhi tum…………….let me sleep na." ye keh kar Mansi ne dubara apna muh pillow se chipa liya.
"Baat kar lo na maa se keh rahi hain koi urgent baat karni hai." Abhi insisted.
"Maa se kaho, mai uth k phone kar loongi na." Mansi abhi bhi uthne ko ready nahi thi.
"Mummy jee aap ki beti uth nahi rahi hai to agar aap sahi samjhe to mujhe bata dein main in Maharani jee ko uthne par bata doonga." Abhi said sincerely.
"Haan beta kyoun nahi? Ye baat mai tum dono ko nahi bataoongi to kis ko bataoongi." Ye kehne k baad unhone jo kaha us ko sun kar Abhi ki ankhon me chamak aa gayi aur us ne bus itna hi kaha, " Kya sach me maa?"
"Haan beta." Geeta jee bahut khush thi aaj un ko lag raha tha ki har shukravaar ko unka vrat rakhna safal ho gaya Mata Rani ka.
"Theek hai maa mai bata doonga." Ye keh kar Abhi ne phone rakha.
Abhi dheere se Mansi k paas gaya aur us ko kiss kiya lips par.
"Abhi is time nahi pls na." she murmured.
"Tum bhi na , pagal ho kya ye to mai bhi jaanta hoon." Abhi said dramatically.
"Vaise maa ne kya kaha?" she asked.
"Oho, nahi bataoonga jaao. Kyounki mai jaanta hoon ki is khabar ko sun ne k baad tum mujhe khud itna pyaar karogi ki mai bhi tum ko rok nahi paaonga." Abhi announced cheerfully.
"Aisa kya hai?" ab poori tarah se aankehin khul gayi thi Mansi ki.
"Nahi bataoonga." Abhi said naughtily.
"Pls Abhi batao na kuch jaroori baat to nahi hai na?" she asked panickly.
"Nahi pehle promise karo jo mai kahoonga vo karogi." He demanded.
"Ok baba I promise." She said without thinking much.
"To suno Raj shaadi k liye maan gaya hai us ladki se jis ki tum photo de kar aayi thi maa k yahan.." Abhi ne bataya.
30