Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 11th Sept 2025
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 27
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 11, 2025 EDT
KIARA EXPOSED 11.9
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏠Caption Writing Contest -Bring Pictures to Life!🏠
Navri and her eternal victimisation
Is it just me or…
MAJOR REVAMP TIME FOR STAR PLUS
HUM JEET GAYE 12.9
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 3 on pg 2
The 71st National Film Awards are September 23 in Delhi
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
Padma: kya hua shashank main dekh rahi hun ki aap kuch pareshaan lag rahe hain.
Shashank:lagta hai humari dono betiyaan ab bahut badi ho chuki hain kal tak jis baap ki ungli pakad kar chalti thi aaj uske decision par bharosa nahi hai unhe.vo to apna khud ka faisla lena chahti hain. Aaj pehli baar mujhe lag raha hai ki rishtey sirf khoon ke nahi hote. Anjali to meri beti hai tabhi usne meri baat sunna bhi zaroori nahi samjha , jo man mein aaya vo keh kar chali gayi. Ridhima, jo mera khoon nahi hai (these words shocked padma and even hurted her but she decided to listen) usne to tab bhi kaafi had tak meri baat maan li lekin vo ladka armaan jiska mere se koi naata nahi hai, jise mere se nafrat karni chahiye usne meri baat maani aur sirf meri baat hi nahi usne to meri beti ko chahe mere liye chahe apne pyaar ke liye meri baat maanne ko kaha.(he said this without thinking but later when he realized that unintentionfully he had blurted out something which was buried in his heart and he himself could not make out) he tried to give a clarification but even before uttering a word padma interrupted him
Padma: shashank ek baat puchu
Shashank: agar armaan ya uske baare mein hai to nahi
Padma: shashank aap mujhse apne dil ki baat keh sakta hain. Main vaada karti hun ki ye baat humare alava kisi tak nahi jaayegi.
Shashank: padma main nahi jaanta ki pichle kuch dino mein kya hua lekin pata nahin kyun mujhe armaan ab utna bura nahi lagta. Padma mujhe is baat ka dukh hain ki maine usse ridhima se alag kar diya lekin isse jyada dukh mujhe is baat ka hai ki maine apni gudiya se jhooth bola. Maine usse kaha ki main uski shaadi sirf sanjeevani ki vajah se karva raha hun lekin aisa nahi hai. Infact aisa kuch bhi nahi hai. Sahil ke parents ne to mere ko deal tabhi dedi thi jab vo jaante hi nahi the ki meri koi beti bhi hai but I seemed to be helpless because this reason sounded just so vague ki I am not satisfied. Padma main jaanta hun ki ridhima armaan se bahut pyaar karti hai lekin kya karun laadli hai meri, dar lagta hai ki kahin koi usse chot na pahuncha de. I know ki armaan bhi usse pyaar karta hai lekin ridhima bahut sensitive hai. Choti si baat par ro deti hai aur armaan bahut hi short tempered. Usse jab gussa aata hai tab vo kisi se bhi kuch bhi keh sakta hai, aur aisi rishtedaari jodne mein kya faayda jisme sukh se jyaada dukh ho. Vo log ek dusre ke liye sahi nahi hain. Shaadi ke baad unme pyaar se jyaada ladai hogi.
Padma : shashank aap thande dimaag se sochiye agar armaan itna hi short tempered hota to phir kya vo apni itni beizzati sehen karta, kya vo aapke is step ke against jaane ki jagah aapke step ko support karte huye ridhima ko samjhata. Kya vo chup chap apna pyaar kho kar baith jaata, nahi shashank vo aisa na karta, main maanti hun ki jis armaan se aap mile hai vo short tempered tha, disrespectful tha, jiske liye ladkiyan use karna ki cheez thi, jo tough tha , jo rishton ko nahi samajhta tha, jo humesha apne doston se ghira tha lekin us armaan ke peeche chipe us armaan ko aap nahi parakh paaye jo hum sab se bhi kahin jyaada calm tha, hum sab jaante hain ki ridhima ke gusse ko shaant karaana bahut iritating hai lekin vo aisa din me har ghante par karta hai, vo armaan jo apne se badon ki itni respect karta hai ki koi naata na hone ke bavajood unse dil ka rishta bana leta hai, vo armaan jo sivaaye tumhaari beti ke kisi aur ladki se baat karne mein bhi iritate ho jaata hai, vo armaan jo dusron ke dil jodte jodte khud ka dil tod baitha hai, jisko rishton ki aisi ehemiyat pata hai jo sage aur sautele se badkar hai, vo armaan jo khud to akela hai lekin us akelepan ko kisi aur ki duniya mein nahi aane deta. Jis din aap us armaan ko pehchaan lenge us din aap garv ke saath ek beti vida karne ke saath hi ek beta jeet lenge. Jis din aap us armaan ko apna kahenge us din vo dil se aapko itna apna lega ki aapko apni beti to bahu lagne lagegi jo paraye ghar se aayi hai aur damaadh duniya ka sabse caring aur acha beta. Shashank betiyon ka to sukh aapko bhagwaan ne de hi diya lekin aaj usne aapko aik beta diya hai. Us bete ko mat khoiye. Mujhe laga ki mera farz hain aapse ye sab kehna so maine keh diya aage aapki marzi. Main pehle bhi aapke decision ke saath thi aur ab bhi rahungi chahe vo sahi ho ya galat
Well now this truly ripped shashank into two pieces, one the head of sanjeevani and the other a caring father. Each second he was geeting a closer vision of the good hearted armaan and his previous image slowly blurred.
Shashank: mujhe insaan parakhne mein kabhi itni badi galti nahi hui pata nahi aaj kaise ho gayi, shayad anjali ne sahi kaha tha ki main hi insecure feel kar raha hun kyunki ridhima mujhe chodkar chali jaayegi, ye baat main to jaanta hun ki armaan se jyada pyaar meri beti ko koi nahi kar sakta lekin dill ye nahi maanna chahta , shayad isliye kyunki mujhe darr hai ki kahi meri beti uske pyaar ke rangon mein aise na lipat jaaye ki vo meri hi na rahe yaa phir kahin vo uski itni na ho jaaye ki phir apni hi na rahe, pata nahi mere dil mein ye kya chal raha hai lekin I need to get out of this. Kyun aaya armaan humari zindagi mein, aur itna pyaar diya sabko. Us ladke ko kaise itna dukh pahunchayu jisne meri beti ko sirf khushiyan hi khushiyan di hain. Why could I not realize it before? maine kyun nahi socha ki jis beti ki khushiyan main chaha raha tha main khud hi uski aansuon ki vajah ban gaya. I will have to change my decision. Lekin ab to ridhima ki engagement saahil se ho chuki hai. Main kya bolunga sahil ko ki mujhe pata tha tabhi maine tum teeno ki zindagi kharab karna ka socha ya phir mujhe pata nahi tha lekin phir bhi ye sawaal uthega ki ridhima ne kuch kyun nahi kaha. Ye galti meri hai aur mere ko hi sudharni padegi. I will tell everything to sahil. Kal shaam ka post engagement function khatam ho jaaye uske baad main sabse sach bata dunga. I can't spoil my daughter's life.
This time he was stern on his decision and decided to make the move before it is too late or it would be for this that he would lose a daughter as well as a son.
This decision done he felt loadless and he decided to talk to armaan as soon as possible. He even wanted to seek forgiveness but knew that armaan would not accept an apology from him
"We love ourself even after making mistakes, then how can we hate others for their mistakes. Seems strange but true. So think before you hate someone"
HEY GUYS HERE WAS THE PART HOPE U LIKE IT
I WUD DEFINITELY REPLY INDIVIDUALLY TO EACH ONE OF UR REPLIES BUT ONLY AFTER THIS WEEK
I AM SO SORRY FOR THAT
DO READ
CRITICIZE/COMMENT
R*R(RATE AND REVIEW)
LOVE
KAVYA
dmg fanatic
heyyyyy
fantastic part.
pls continue soon.
thanks for the pm.
luv
komal.
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
290