hey ppl😊
this is my new fanfic of RN hope u guys like ita very sleepy sujal wakes up- arre yaar subah subah utha dete hai sone nahi dete 😭
karan- arre yaar sujal kaha hai tu
sujal- arre yaar sone nahi deta tu muje araha hu araha hu
sujal fone cut kar deta hai
sujal uth jata hai
yaha naina sujal k room me ati hai
naina- sujal beta tu abi tak bed pe hai
sujal- mom calm down uth raha hu
naina- sujal jaldi kar mann kabse tera intezar kar rahi hai
sujal- k mom araha hu
naina niche ati hai mann bhet k lov story pad rahi hoti hai
naina- kya pad rahi hai
mann- lov story aur kya 😳
naina apna sir hilati hai
mann- hum pyaar me kya lov story hai aisa lov kabi kisi ne nahi kiya hoga
sujal aata hai
mann- hi bhaiya
mann- bhaiya aap 10 min late ho aaj
sujal mann ko dhekta hai
sujal - mann kabi real life me b koi lov karta hai wo b aisa jiski story bane sab pagal hai 🤢
raj aata hai
mann- bhaiya pyaar to i mean
raj - kya baate ho rahi hai
mann- papa lov k bare me
mann- apne mama se kab pyaar kiya
raj naina ko dekhta hai
naina nazre nahi milati
naina- aap kuch lenge raj
raj - humari lov story bahot simple hai haa toast with butter
naina- abi layi
mann- papa batao na
raj - tumhari mama ko me pasand aaya aur muje tumhari mama aur bas phir shadi ho gayi
mann- apne propose kiya kisne propse kiya 😳 😳 😳
raj - tumhari mama ne
naina toast aur butter lati hai saath me chai
sujal - suru ho gaya pyaar ka lecture 🥱
mann maarti hai sujal ko table k niche se- bhaiya 😆
raj- sujal beta kma join karne k kya socha hai
sujal -- papa
sujal -- papa bas college khatam ho jaaye
mann- papa me nahi chahti bhaiya army me jaye
sujal -- mann ruk me abi aaya papa me chalu
mann- bhaiya muje dair ho rahi hai 😡
mann- mama bhaiya ko bolo na
naina- raj apne to kuch khaya nahi
naina- tandha ho raha hai nashta
raj soch me hota hai
naina usko hilati hai
naina- raj aap sahi hai
raj -- huh haa me thik hu
naina- apka nashta
raj -- its ok me office me kha lunga kuch me chalta hu
mann- papa
raj - ya beta
raj ruk jaata hai
mann- papa muje 200 rups milenge
mann- plz
raj -- 200 rups ye lo aur kuch
mann- nahi
raj waha se chala jaata hai
raj -- muje shaam ko aane me dair hogi
naina- raj jaldi ayega na
raj modta aur naina ko dhekta hai
raj- koshish karuga
mann- bhaiya jaldi karo
mann k cell pe call ata hai
mann- haa yaar arahi hu
alhek- wat the hell mann kaha ho 😡
raj chalta hai bahaar
mann aur sujal college pahochte hai
raj office
mann- bhaiya me apko baad me milti hu
sujal -- hey karan
sujal karan k paas jaata hai
karan mann ko dhekta hai
karan- hi sujal { mann ko dhekta hai }
mann ahlek ko leke jati hai
mann- tum pagal ho gaye ho kya bhaiya dhek lete to 😡
mann- are u krazy 😡 😡 😡
mann yaha ahlek ko daant rahi hoti hai
mann- mene kitni baar kaha hai k bhaiya k samne aaj tumne cell pe kar diya call 😡
mann leke jati hai ahlek ko ahlek mann ko dhek raha hota hai
mann- aise kya dhek rahe ho
ahlek achanak gana gata hai -- jab pyaar kiya to darna kya 😆
ahlek -- oh jab pyaar kiya to darna kya 😳 😆
mann annoyed- ahlek tum pagal ho 😡
ahlek--- pyaar kiya koi chori nahi ki chup chup aaye bharna kya 😆
ahlek mann ka haath pakad leta hai
mann- ahlek chodo
ahlek -- pagal to hu tumhare pyaar me
ahlek -- pagal hu jab se tumhe dekhta ha
ahlek -- pagal to hu tumhari aakho ka
mann- maska marna koi tumse seeke
ahlek mann k hotho k paas dhire dhire hoth lata hai aur kaheta hai -- aur b kuch sikha du kaho to 😉
mann blush karti hai- o shut up { usse dakka deke bhaagti hai } 😳
ahlek chilata hai -- thik hai class k baad milte hai
mann- haa muje ped k paas milna
mann bhaagti hai class ko
sujal aur karan canteen me hote hai
karan mann k bare me soch raha hota hai
sujal dhekta hai karan ghairi soch me hai
sujal snaps- kya hua karan
karan sujal ko dhekta hai
sujal -- aaj kya thinking day hai jo dekho soch me hai
karan- tumhari bahen sujal
sujal -- meri bahen mann kya hua ushko
karan- kuch nahi hua usse dhek dost bura nahi manna i mean she is a hot chick u kno and she is my type i like her
sujal -- dekh dost aaj bola hai aayinda se nahi 😡
karan- mene koi galat nahi kaha sujal mene apne dil ki baat kahi hai she is hot khubsurat hai mere type ki hai i like her
karan utha hai aur uske samne ata hai
karan- i want to go out wid her
sujal -- kahe diya, karan ko saamne se hatata hai aur chala jaata hai 😡
karan- tu gussa kyu ho raha hai { uske samne ata hai } mene koi galat baat to nahi ki
karan- i like her
karan- kab tak chipaega usse
sujal -- karan ki kuch nahi sunta bas chalta jaata hai 😡
karan- agaye agaye dheko hota hai kya 😈
yaha mann class khatam hone k baad ati hai class se aur sujal k paas jati hai
mann- kya hua bhaiya tensed ho
mann sujal ko observe karti hai
sujal mann ko dhekta hai
mann- kya baat hai tensed lag rahe ho
sujal -- kuch nahi kaha thi tum ab tak itni dair kyu ho gayi aaj ghar jaldi jana hai yaad nahi
mann- bhaiya muje bas 5 min do me ati hu
mann jati hai ahlek k paas lakin jate jate karan se takra jati hai
mann- srry karan
karan uper se niche tak mann ko dhekta hai
mann- me zara jaldi me thi aur tumse takra gayi u k
mann karan ko dhekti hai- hey kaha kho gaye
karan bas hasta hai
mann ko ajeeb lagta hai
mann- are u k
mann ahlek ko dekhti hai -- ok bye karan
mann bhaagti hai
mann ati hai- ahlek im srry jaan me late ayi
mann- muje jana hoga bhaiya w8 kar rahe hai
mann- kal milenge k
ahlek -- abi aayi ho aur abi hi jana hai aur ye saala tumhara bhai kam body gaurd jyada lagta hai 😆
ahlek haath pakad leta hai mann ka
mann- ahlek plz na
ahlek - ek sharat pe jane dunga
mann- kya
ahlek -- subah me mu mitha nahi hua to abi karne do 😉
mann- aaj raat ko k mere room me ajana 😉
mann- thik hai aaj raat ko 😳
ahlek -- pagal ho tum army walo k ghar wo b me
mann- arre kuch nahi hoga 😉
mann gana gati hai -- jab pyaar kiya to darna kya 😆
mann -- oh jab pyaar kiya to darna kya 😆
ye gaate gaate chali jaati hai
mann- ana zarur intezar rahega 😊
mann chali jati hai
sujal w8 kar raha hota hai
mann- srry bhaiya woh kuch kaam tha
sujal -- ye kya tumhe pata hai aaj kitna imp. din hai aur hume jaldi ghar b pahochna hai
mann- bhaiya woh bahot zaruri kaam tha
mann- aap itne gusse me kyu ho
sujal -- dad aur mama ki anniversery se jyaada jaruri kya ho sakta hai ab chalo gifts b pick karni hai
mann- bhaiya aap gusse me kyu bol rahe ho hua kya hai apko subah to thik the
mann chali jati hai gussa hoke
mann chalti jati hai
sujal mann k paas aata hai -- arre me nahi hu gusse me tumhe aisa kyu lag raha hai sujal apna haath deta hai mann ko ab chale
mann apna haath uske haath me deti hai
mann- haa chalo bhaiya
sujal aur mann car me bethte hai jaldi jaldi gifts lete hai aur ghar pahochte hai
naina darwaza kholti hai
naina- agaye tumlog
naina -- aaj itni jaldi
mann- mama woh bas aise hi
sujal - haa wo actually mama HAPPY ANNIVERSERY
sujal naina ko andar leke aata hai
mann- HAPPY ANNIVERSERY mama
sujal aur mann dono hug karte hai naina ko
sujal .-- mama aaj hume papa k liye ek surprise rakha hai
naina- acha dats gud
sujal red saari nikaalta hai bag me se
naina- beta iski kya jarurat thi
achanak ek corrior wala ata hai
mann corrior leti hai aur sign karti hai
mann- kma se
mann kholti hai letter
mann bilkul stunned hoti hai letter padne k baad 😲
naina- kya hua beta
mann- mama woh
episode khatam
k dosto yaha mera pehla epsiode khatam hota hai agar apko pasand aye to me continue karungi warna........
41