THE SHOOT OUT
Kunal Kriplani ko kidnap kia gaya..Jayant Kriplani ka beta hai Kunal.Par Police k paas koi nahi aaya..report likhaane.Political Lobbies me baat fail gayi..usually aise waqt par Police ki haalat kharab kar dete hain aisi Political families..par Kunal k kidnap ko le kar bahut hi khamosh hai yeh Kriplani Family.
Bahut bada naatak hua..kidnap hone k 12 ghante k andar Kunal ghar waapas aaya,ransom money kitna bheja gaya..kuchh malum nahi..kis gang ka kaam hai..kuchh pata nahi..yeh koi Political game hai yaa nahi..kuchh malum nahi.Par Sanjay ne Kunal ko ek sunsaan jagah se rescue kia..Kunal behosh tha..ek Car k andar.
ACP Sanjay Khanna ne Kunal ko bulaya..interrogation k lia..
Kunal--Dekhiye..mujhe kuchh nahi malum..maine unko nahi dekha..meri aankho me kala kapda baandh dia gaya tha..
Sanjay--Kidnap me aisa hi hota hai..par yeh batao..tumko kyaa lagta hai..kidnap k peechhe wajah kyaa thi?
Kunal--Paise lootna..
Sanjay--Tumhare paas kitne paise the..
Kunal--Mere wallet me kareeb Rs.7000/_ the..aur credit cards..that is all..
Sanjay--Tumhe aisa hi lagta hai..k kidnap paison k lia kia gaya tha?
Kunal--Jee..
Sanjay--Okey..you can go..shaayad tumko fir bulana pade..but ..darrna mat..tumse koi badsulooki nahi ki jaayegi..relax..
Kunal--Thank you Sir.
*************************************
16th August,2004
Moti Mahel me..Raj ,Nirmal aur Sanjay..raat ko mile..dinner k lia..
Raj--Aur..tujh par toh kal kaafi pressure raha..aaj kal Delhi ki haalat kuchh theek nahi...
Sanjay--Main in sab se ghabrata nahi..par do din pahle jo hua..main usse kaafi pareshaan hoon....Kunal Kriplani ka kidnap..aur uska bayaan..
Raj--Kunal Kriplani..?Kahi yeh..
Sanjay--Jayant Kriplani ka beta hai..woh jab behosh haalat me mila..tab maine socha.. kuchh clues milenge..par us ladke ne jhoot kaha..
Nirmal--Kyaa kaha..?
Sanjay--Yehi..k kidnapping ka motive mamuli tha..paisa..uske wallet me the saat hazaar rupai..theek hai..woh nikaal lia gaya..par yaar..paison k lia yeh kidnapping nahi hui thi...
Raj--How can you say that?
Sanjay--Uska wrist watch..gale me chain..haath ki anghoothi..yeh mamla paison ka toh nahi..agar paisa hi chahie tha..toh gold bhi le jaate kidnappers..sirf wallet le kar kyon gaye?
Raj--Serious problem...
Sanjay--Maze ki baat yeh hai..koi hungama nahi hua..varna yeh Neta log hi naaraa lagate.. k Police so rahi hai..insaan ki zindagi khatre me..baat kuchh aur hai..
Raj--I think..gadbad kahi aur hai...aur logo ka dhyaan hatane k lia..yeh kidnapping ka game khela gaya..
Sanjay--Fir to report karte yeh log..
Raj--Isi lia report nahi kia..taa k..Police ko yeh mamla zyada important lage..aur Police apna focus kho de...
Nirmal--Well..mamla kuchh aur hi hai..
Sanjay--Matlab..?
Nirmal--Jayant Kriplani ..
Sanjay--woh toh out of India gaya hai..
Nirmal--Nahi..woh apne ghar me nahi hai..par hai woh yehi par..India me hi...woh Ambala me hai..apne firm house par..
Sanjay--Woh kyon chhoop raha hai?
Nirmal--usko chhoopaya jaa raha hai..because..he had a gun shot..us par kisine goli chalai hai..chaar goli lagi hai usko..aur saamne Election hai..mamla bigad sakta hai..
Raj--Lekin Political faida bhi utha sakta hai Kriplani,...is baat ko uchhal kar..
Nirmal--Yehi toh gadbad hai..mujhe lagta hai..Police ko gumraah karne k lia..Kunal k kidnapping ka naatak khela gaya..
Sanjay--Tumhe kaise pata..?
Nirmal--Mera ek dost hai..Medical College me saath saath padhte the hum.Dr. Hemant Bajwa..usi ne Kriplani k body se bullets nikaali hai..yeh baat usne khud batai hai..actually woh pareshaan tha..aur hadhbadhahat me usne mere saamne yeh bak dia..
Raj--Mamla gadbad hai...Sanjay..
Sanjay--Haan..
Aise me Sanjay ka phone baja...Kranti k ghar se phone tha..
Sanjay--Hello..haan..kyaaaaaaaaa?
Nirmal --Kyaa hua Sanjay..?
Raj--Kuchh toh bata...
Sanjay--Kranti ka pone tha...keh rahi hai..Kunal ko dobara Police station me main naa bulaoon..
Raj--What?
Sanjay--Haan..Raj..mujhe kuchh theek nahi lag raha hai...yaar..Kranti ko samhaal....agar investgation CBI k haath gaya..toh..ho sakta hai..Kranti buri tarha se fanse..kyonki..Kunal k kidnap k peechhe Kranti ka haath hai..this is my strong intution..
Raj khud yeh baat samajh raha hai...kyonki Jayant Kriplani Kranti k nishaane par tha.. Kranti apna badla lene k lia kisi bhi hadh tak jaa sakti hai..
Achanak Nirmal ka phone baja....
Raj--Kyaa hua?
Nirmal--Appollo me Kriplani ko laaya gaya hai,par baahar k logo ko yeh pata hai,k Kriplani k car k breaks fail ho chuke the..isi wajah se..Ambala se Delhi lautte waqt.. accident hua hai..
Sanjay--Ohh..Media ko bhi gumraah kia jaa raha hai...
Raj--Yes....matlab jis waqt Kriplani ko Appollo me shift kia jaa raha tha...usi waqt..
Sanjay--Haan..usi waqt Kranti ka phone aaya..
Nirmal--Tum is maamle me mat pado..
Sanjay--Mere area ka case nahi hai,aur khamokha jhamele me fansna Kranti ki aadat hai, meri nahi,Raj,Kranti ko samjha.Ministry level ki baat hai,main kuchh nahi kar paoonga.. woh yeh raasta chhod de..kyonki...yeh Hardev Dayal aur Kriplani..kal ko Kranti ko hi nishana banayenge..yeh kahenge..k Kranti ne zyatti dushmani nikaalne k lia..yeh kaam kia hai..
Raj--Ek minute...tujhe kaise pata..Dayal aur Kriplani k baare me..
Sanjay--Raj..I am a ACP...mujhe khabar hoti hai har baat ki...jis tarha Kranti k Baojee ko raaste se hataya..usi tarha Kranti ko bhi kal..
Raj--Fir Kranti ko party me shaamil kia un logone...
Sanjay--Kranti ka background..zameen se joodi hai..Student leader hai..aur Kisaan ki Beti hai..ek bahut bada Vote bank hai Kranti k haath me..Kranti ko koi faida ho yaa naa ho Kriplani aur Dayal se..par yeh dono Kranti ka kaafi faida utha rahe hain..Dayal..aur Kriplani..gehre paani me rahte hain..magar machh hai dono..
****************************************************
"What the hell is this?"
Yeh thi Kunal ki pehli baatein..apne kidnap..aur Dad k injury ko lekar kaafi pareshaan hai woh...Kunal ki Maa..Radhika Kriplani..Kunal ko shaant karne ki koshish kar rahi hai..par Kunal ka gussa kum nahi ho raha hai..
Dayal--Kunal..Beta..yeh waqt dhiraj rakhne ka hai..tum khamokha utawole ho rahe ho.. kuchh nahi hoga tumhare Dad ko..
Kunal--Saaf pata chal raha hai..Dad par goli chali hai...fir accident kyon bata rahe hain aap log?
Dayal--Kunal..sahi waqt aane do...sab..
Kunal--Main Police me report karne jaa raha hoon..
Kunal aage badhne hi jaa raha tha..aise me Kranti saamne aai...
Kunal--Raaste se hato...
Kranti--Dekh Kunal..baat ko samajh...
Kunal--I said..leave my way...
Kranti ne Kunal ka collar pakad lia..aur ghaseet kar le gayi..Kunal k bed room me..aur baahar keh kar gayi..do ghante k lia Kunal aur Kranti ko koi disturb naa kare..
Kunal--koi mujhe bayaaega..k ho kyaa raha hai?
Kranti--Bhaijee ko goli lagi hai..Ambala gaye the Bhaijee...fundraising k lia..jab ghar me aaye..tab hi un par kisine goli chalai..yeh baat Police tak naa pahooche..isi lia..tera kidnap karvaya ..maine..
Kunal--Didi...sar par bhoot sawaar hai tumhare?
Kranti--Kunal..mauke ki nazaakat ko samajh..jo bhi kia gaya hai..Bhaijee ki safety k lia..
Kunal--Police ko batao...k Dad par humla hua hai...
Kranti--Kunal..accident hua hai..isi lia..zyada Police nahi aai hai..zyada press k aur TV k log nahi hain..agar batate ..k goli chali hai..toh bahut log aate..aur ho sakta hai..Police k bhes me..yaa fir reporter k bhes me..fir se koi umla nahi karega?Baat ko samajh..isi party me kuchh log hai..jo chaahte the ..baat ko baahar uchhali jaaye..par maine aisa nahi hone dia..baat ko samajh Kunal...ho sakta kal ko..aur taiyyari k saath humla kare...tera kidnap isi lia karvaya..kyon ki..Police ki nazar tujh par rahegi..koi bhi tujh par humla karne se pahle sau baar sochega..why don't you understand Kunal..Bhaijee k saath saath..Bhaabhi aur tu bhi nishane par hai...varna tu hi soch..Election se pahle yeh humla..kyon hua?Political faida lootne k lia..aur koi baaharwala..nahi hai..andar ka hi koi aadmi hai...
Kunal--Main kyaa karoon..?
Kranti--Bhaijee khatre se baahar hain..tu bass apna mooh bandh rakh...aur haan..koi tujhse kuchh bhi kahe..mujhse baat kie bina...tu kuchh nahi bolega..aur naa hi kuchh karega..
Kunal--India k baahar chala jaaoon?
Kranti--Nahi..tab tujh par humla hoga..toh yeha ki Police kuchh nahi kar paayegi..shaayad kuchh log yehi chaahte hain..k tu chala jaaye out of India..tujhe yehi rehna hai..Kunal..par savdhaani se..
Kunal--Maa..
Kranti--Unko maine samjh dia hai..aur tujhe hi unka khayaal rakhna hai..aur ek baat..Dayal Saab ki baaton me nahi aana..yeh baat gaanth baandh le..
Kunal--Okey..
Kranti--Aur ab se normal tareeke se baat kar..jaise kuchh nahi hua..hospital me jaayega toh media se bach...koi bhi ulti seedhi baat..haalaat ko bigaad sakte hain............main chalti hoon..
Kunal--Ek baat batai jaao...mere Dad ne tumhare Dad k saath bura kia..toh tum meri jaan kyon bachana chaahti ho..?
Kranti--Bhaijee mere Baojee par pressure zaroor dala tha,par,Baojee k maut k peechhe Bhaijee zimmeadr nahi the..yeh baat der se pata chali..aur agar Bhaijee ka dosh hota bhi..toh iska badla main tujhse nahi leti..Bhaijee chhoti moti herapheri karte zaroor hain.. par kisiki jaan nahi lete...par is daldal me woh fanste chale gaye..aur unki aur meri deal hai..kal ko mujhe kuchh hua..toh Meri Maa ki zimmedari Bhaijee lenge..aur Bhagwan naa kare..Bhaijee ko kuchh hua..toh teri aur Bhabhi ki zimmedari..mujh par honi hai..toh.. dimaag thanda kar..
Kunal--Samjha...
Kranti--Aur ek baat..Bhaijee jo project shuru karna chaahte hain..Hoshiyarpur me..tujhe maine waha Partner banaya hai..Party k kaam se mujhe time nahi milta...tujhe is me kaam karna hai..roz nahi..par kaam par nazar rakh..aur main keh rahi hoon...zara bhi gadbad dikhe..toh tu Police aur Anti Corruption walon ko khabar dega..
Kunal--Par..humara Project hai...
Krantii--Maximum profit Dayal saab lenge..toh agar is project ka kuchh bhi bigadta hai.. toh..tera kuchh nahi jaayega..tu itna kar..aage ka kaam main tujhko samjha doongi...bass itna samajh...Dayal Kriplani family k kandhe par bandook rakhna chaah raha hai..par uski chal usi pe humen chalni hai...samjha?
Kunal--Haan..
Kranti--So..chill...dimaag thanda rakh..control yourself..gusse me aa kar kuchh mat karna.. aur tere aas paas Civil dress me ..kuchh security guards maine laga die hain..tu khud unko dekh nahi paayega..par unki nazar tere par rahegi..
Kunal--Achha..
Kranti--Kal ..meeting hai..isi Project k silsile me..meri taraf se tu jaayega..samjha?
Kunal--Haan..
Kranti--chalti hoon..Bhabhi ka khayaal rakhna..
***************************************
Kunal ne project k papers dekhe..is Project me bahut zyada paisa laga hai..Grewal Empire ka..aur Grewals ki taraf se isko handle karne ki zimmedari hai Rajveer Grewal ki...
1.6k