Then came BRM-Rageshwari wala scene, jab BRM bari hi khushi khushi Rageshwari k kamray main enter hoiin aur BRM baray hi confidence se bol rahi thi aur uski tareef kar rahi thiii keh Rageshwari nay jis tarha BRM k saath treat kiya aur jis tarha unko tikanay k baad kamray se chali gai toh I was like "Hawa nikal gai saari budhi teri hain? Hawa nikal gai na?! Bahut hi acha hoa saali budhi...Jaisay ko taisaaa...Maza aya na budhi...Muje toh bahut aaya teri aisi insult dekh...Bahhut acha hoa teray saath budhi...DO chaar aur maarti tujhe toh sonay pe suhaga ho jaaata...!!! I thi bari Gayatri k saath bura karnay wali khud k saath achi hoi...Tu yehi deserve karti hai budhi...Aur Rageshwari tum nay budhi se panga lay toh liya ab tum bhi apni ulti ginti shoro kardo kyunkay yeh budhi toh ab tujhe mera nahi khyaal taaj pehnnay day gi...Toh bas tum dono iss tarha chohay billi ki tarha larh maro aur RaGa ko ek kar jao...Maza hi ajae ga...!!!"😆😆😆
Then came RaGa ka ek dosray k baray main sochnay wala scene, jab Gayatri aur Ranaji ek dosray ko yaad kar rahay aur alag alag jaga pe ek dosray ko itna miss kar rahay thay k har pal jo guzara wo yaad araha tha toh I was like "Ek dosray ko yaad karnay se kia hoga...Jab tak saath nahi hogay toh kaisay ek dosray ki madad kar sako gay? Kaash Ranaji Gayatri ki feelings bina kuch uskay kahay hi samaj jaatay toh aaj yeh din na dekhna parhta..."
Then came Rageshwari-Kunwarji-Coca Cola wala scene, jis tarha wo Rageshwari ko Rani se Naukraani bula rahay thay maza araha tha...Likin jis tarha Rageshwari unkay saath treat karti usay dekh kar mujhe hota hai keh "Kitna aur neechay giray gain aap dono...Bas bhi kijiye...Jahan faida dekha bas wahan ghuss diyeee...Aisay thori hota hai...Pagal hain aap dono hi...Aqal toh ratti barabar bhi nahi hain aap dono main...Ab Rageshwari dekh laina usnay accept toh karliya aapka diya hoa tohfa likin yaad rahay wo bari tairhi cheez hai...Choray gi nahi aapko...Aisa use karay gi keh aap use hotay chalay jaoo gay aur kuch kar hi nahi paao gay...Kuch nahi ho sakta tum dono ka..."😛😛😛
And lastly, RaGa-Rageshwari wala scene, jab Gayatri pooja kar rahi hoti hai aur itnay main Ranaji ajatay hain aur Gayatri unka tilak kar hi rahi hoti hai keh wo gadhi Rageshwari aakay rokh laiti hai toh uss waqt mujhe hoa keh "Laga laiti agar wo foran toh kia ukhaar laiti tu Rageshwari hain? Chal chal zada over na ho...I bari haq jamanay wali..." Phir jab Rageshwari nay Gayatri ko haq ki baat ki keh tum daasi ho and all aur phir Gayatri ussay tikaati aur Ranaji halki si smile daitay phir wo kuch karti aur phir wo smile kartay Gayatri pe keh kia jawab diya likin jab Rageshwari k saath dainay ki baat i tab foran jath se uska saath day daala toh I was like "Uff banda pagal hi hojae aisay do roop dekh k toh...Hud hi hai waisay Ranaji...EK taraf toh aap Gayatri k jawab pe khush horahay ho aur dosri taraf aisay behave kartay ho jaisay Gayatri such main koi stranger hi hai...Hud hi kardaitay ho kabhi kabhi toh..." Aur phir jab Rageshwari nay wo invitation wali baat ki keh Gayatri khud pohchaay gi sub toh I was like "Haan bas yehi dekhna baaqi reh gaya tha...Mujhe samaj nahi aati...Aray jab abhi iss Rageshwari ko honay wali Rani keh rahay hain toh jo already Rani hai usay kyun peechay kar rakha hai...Matlab hud hai...Jab uski taaj poshi sub hoawa hai toh iska matlab Gayatri abhi bhi queen hi hai jab tak Rageshwari ka koi scene nahi toh Rageshwari tum haq dikhanay ki koshish bhi mat karooo...Samjhi...Aur Gayatri tumhain koi zarorat nahi hai invitations dainay ki...Bas..."😳😳😳
As far as the precap is concerned, my reaction is..."Iss Sartaj ki madad ki thi tumnay Gayatri...Ab dekho kia kar raha hai yeh...Pta tha kuch aisa hi karay ga..."😡😡😡
Do share your thoughts guys😳😳😳
Thank you so much 🤗🤗🤗