Aur Gayatri jo looks usay day rahi thi na...Main yahan se idher baith k ussay bhi buri looks day rahi thi iss phattay dhol ko kyunkay, honestly speaking, toh mera joota, chappal sub ready hota hai jab jab yeh kuch fazul bukta hai...!!!
Aur jab Ranaji nay kaha keh "Humari dosti hogai hai...Aur yeh Rajmehel main humaray saath kuch din reh saktay hain"...Gayatri was really shocked to hear all that...Hona hi tha...Itna fazul aur immature decision jo liya Ranaji nay...!!! Ranaji ki hogaya tennu...Aqal karo kuch...Dost bunn kar aapki patni pe full on line maar maarnay ka plan hai iska aur kuch nahi...Aapki dosti haasil karnay k liye nahi aaya...Gayatri k liye aaya hai...!!! Aur jab Avadhesh nay kaha "Jo humaray mitr ka hai wo humara bhi toh hai..." Aur Gayatri nay jo usay look wo bilkul bhi sahi thi...Saaf lag raha tha keh abhi agar usay angrezi aati toh bolti "SHUT UP" likin khair koi nahi uski look bhi kaafi thi...Phattay dhol tu kyun apna time barbaad karnay aya hai idher...Gayatri kabhi bhi tumhain bhaao nahi day gi toh tu koshish bhi mat kar...!
Jab Gayatri khaana lagwaanay chali gai aur Ranaji nay usay kaha keh chalo khaana khaatay hain aur wo thora gap se gaya aur phir se apnay haath ko dekh kar Gayatri k baray main sochnay laga toh I was like "Phattay dhol don't you dare...Warna bahut bura hoga tumharay saath..." Aur phir uska apnay haath se candle bhujana dekh kar toh I was like "Yeh bahut bahut bahut zada despo lag raha hai pta nahi kis hud tak chala jae...Uff bas Gayatri pleeease tum iski iss desperation se door rehna...Aur apna khyaaal rakhna..."😳😳😳
Then came the dining table wala scene, jab Avadhesh Ranaji ki jaga baithnay ki koshish kar raha tha aur Gayatri nay usay roka I was like "Shabaash Gayatri bilkul bhi sahi kiya tumnay aur Ranaji agar wo guest hai toh kia? Apki jaga wo kabhi nahi lay sakta chahay wo dining table pe baithna hi kyun na ho...Ranaji aapki jo jaga hai wo humesha wohi rahay gi...Aur pleeease itnay asaani se kabhi bhi kisi ko aisaiii apni jaga na day dijiye ga...Pleeease hosh kijiye Ranaji...Pleeease...Aur please phattay dhol tum zada ghar ki neeamooon ki baat na ho karo toh acha hai...Yeh tumhari personality pe baat suit nahi karti..."
Aur phir jab usnay Kunwarji k haath k saath kiya, bas uss waqt thori dair k liye wo mujhe kuch aisa laga tha...KUCH...Zada nahi...Bas thori dair k liye hi kyunkay usnay Kunwarji ko sabaq ek dum sahi diya...Uff Kunwarji ki jo haalat tight hoi thi wo dekhnay wali thi...Maza agaya tha unkay funny expressions dekh k likin phir jab usnay knife ko beghair dekhay chalana shoro kiya aur Gayatri ko dekhnay laga toh I was like "Bas kar kitna obsessed hai ray tu...Chipak hi gae ho...Stop staring Gayatri..." Aur phir jab Kunwarji k haath ko kuch nahi hoa toh I was like "Ohooo kaash thori chout lagti iss duffer ko bhi toh maaza hi ajaata likin khair knife chalanay wala torture bhi kaafi tha..." Phir jab Avadhesh nay kaha Kunwarji wohi same uskay upper karnay k liye toh I was like "Yeh Kunwarji pakka kuch garbar karain gain...Chorhna mattt Kunwarji iskay haath ko...Jitni takleef isay day saktay ho na day do...Bas day do yehi mauka hai aapkay paas..." Aur jab uskay haath pe knife laga toh bahut hi maza aaya yeh acha hai usay chout lagi...Likin phir maine Lakshraj ka expression dekha...Uff aisa laga keh usay dukh horaha tha keh phattay dhol ko chout lagi...Lagta usay apna naya pyaar mil gaya hai...Jab usay dard nahi hoa aur Gayatri ko aur ghoornay laga toh mujhe aur ghussa aaya...Likin hansi agai jab Kunwarji nay kaha keh "Meri ankhoon main kachra chala gaya tha..." Phir jab Avadhesh nay kaha keh "Agar Ranaji hotay toh wo kabhi na chuktay..." I was like "OMG! No ab yeh kahin Ranaji ko na keh day yeh karnay k liye..." Likin shukar hai nahi kiya warna pta nahi phir kuch ajeeb hi hojaata sub...Aur phir alag hi koi misunderstanding create hojaati Gayatri aur Ranaji k beech kyunkay Gayatri phir rookhnay ki koshish karti aur wo na rukhtay aur kuch aur hi hojaata likin shukar hoa nahi...Aur phir jab usnay 'bhaagya' ki baat ki I was like "Pleeease Ranaji k saath jab jab Gayatri hogi tab tab wo humesha tumharay evil iradoon se bachay rahain gain...Tum kuch bhi karlo unko kabhi kuch nahi ho sakta..."
Aur phir jab beech main uski dobara dialogue baazi shoro hoi hi thi keh achanak usay pta nahi kahan se daura para aur chilaya "Humari aur Ranaji ki mitarta k naam" I was like "Toh ismain itna chilanay wali kaun si baat hai? Araam se bhi yeh baat bol saktay thay...Likin nahi tum toh ho hi phattay dhol toh koi bhi baat araam se kaisay keh saktay ho?"
Phir jab Ranaji aur Gayatri k beech main acha bhalla wo khaana khilanay wala scene aanay hi wala tha keh uss stupid phattay dhol nay apna glass gira kar sub romance kharaab kar daala...I hate him so much...Yeh abh waqai koi mauka nahi choray ga Ranaji aur Gayatri ko door rakhnay ka...I will kill you Avadhesh Singh Chauhaan...!!! Aur background main wo 'Tum meray ho' jab play hoa toh dil toh kar raha tha ussi waqt kusss k usay thappar maar doon...Uff...Kitna ghoorta hai yeh Gayatri ko...!!!😡😡😡
Then came nishaanay wala scene, jab Avadhesh nay Ranaji ko challenge kiya nishaana laganay ko aur Ranaji nay bari khoobsurati se nishaanay lagay toh uski shakal dekhnay wali thi saaf lag raha tha keh unddur hi unduur sarha hoa tha keh inka toh such main nishaana acha hai...I was so glad to see Ranaji like that, jo elegance aur decency unn main hai wo iss phattay dhol main nahi...Sahi kaha tha Rajmata nay jaahil hi hai yeh...!!! Aur phir jab usnay Ranaji ko aankh bunnd karkay nishana laganay ko kaha aur Ranaji nay phir bhi baray hi araam se laga daal
I was like "Yaayyy Ranaji...Aap toh ho hi best..." Aur uss phattay dhol ki phir sarhi hoi shakal dekh kar mujhe kaafi maza aaya...Aur jab Ranaji nay nishaana laganay k baad kaha keh "Mujhe toh dekhnay ki bhi zarorat nahi hai..." Hayy I started clapping...I was like "Yeh baat...Yeh hoi na meray Ranaji wali baat...Bas Ranaji yehi confidence rakhyee ga humeshaaa Ranaji..." Likin jab usnay gun point ki Ranaji pe aur sahi time pe Gayatri agai usay pakarnay aur Ranaji nay kaha keh "Gayatri yeh gun toh khaali hai aap pareshaan na hoon..." I was like "Ranaji aap bahut masoom ho likin jo humnay dekha agar aap wo dekh laitay toh ussi waqt iss Avadhesh ko mehel se bahir phenkwa daitay..." Aur phir jab usnay 'Shart' wali baat ki aur dobara upper dekh k bolnay laga I was like "Lo g lagta hai yeh phir apnay dialogues bhool gaya hai tab hi toh baar baar upper dekh raha hai aur yaad karnay ki koshish kar raha hai...Isay kuch nahi honay wala..."😆😆😆
And lastly, milk wala scene, jab Ranaji nay Avadhesh k saamnay kaha keh "Gayatri ko bhi doodh aur shehad bahut pasand hai..." I first facepalmed, then was like "Ranaji apni patni ki yeh baat jo iss phattay dhol se milti hai btanay ki kia zarorat thi? Kia zarorat thi usay btanay ki keh wo bhi yeh peeti hai...Uff upper se yeh phir se isay pagaloon ki tarha dekhnay lag gaya hai...Aap k kehnay ki dair thi yeh Ranaji aur uska ghoorna phir shoro hogaya..." Jab unho nay Gayatri ko kaha phattay dhol k liye doodh bananay ko aur Avadhesh ko phone ka bahana kar kay wahan se bhaag gaya I was like "Uff yeh koi mauka nahi choray ga ab kia?" Phir jab wo Gayatri k paas agaya phone toh bas bahana tha Ranaji se bachnay ka...Aur unn dono ki takkar hogai aur doodh almost girnay hi wala tha aur gira nahi aur phir se uski dialogue baazi shoro hogai...I was like "Tum kyun impress karnay ki koshish kar rahay ho Gayatri ko tumse yeh bilkul bhi impress nahi hogi...Toh pleeease don't even try..."
Aur phir jab Gayatri nay uskay saaamnay clear kiya keh wo sub jo usnay bahir kaha wo Ranaji k liye aur usnay doodh ko jis tarha zoor se neechay rakha I was like "Acha hai sarh ja tu...Aur sarh...Sarh sarh k jall ja basss..."
Gayatri: "Waisay naraaz toh mujhe hona chaye aapnay Ranaji ko pehlay yudh ki chanauti di aur phir unse dosti karli...Itni asaani se toh mausam bhi nahi badalta jitni jaldi aap badlay..."
Avadhesh: "Mann bara chanchal hota hai Gayatri ji aur hum chahain toh kisi ka bhi mann badal saktay hain..."
I was like "Shut up...Just shut up..."
Phir wo doodh peenay lag gaya...Aur Ranaji baray hi sahi time pe agae...Acha hoa agae...Aya tha bara flirt karnay...!!! Jab Ranaji nay kaha keh "Aayeee hum apko kamra dikhatay hain..." I was like "Haan Ranaji wohi dikha dijiyeee...Aur agar waqt mila toh udher hi maar dijiyeee ga..." Phir jab wo Ranaji k peechay peechay gaya aur Gayatri ko haath se bye kiya I was like "What the...Just go away..."😡😡😡
As far as the precap is concerned, I will say only one thing, "Kisnay kaha tha khullay main romance karnay ko...? Kamray kis liye banna rakhain hain mehel main?!"
Do share your thoughts guys😳😳😳
Thank you so much 🤗🤗🤗