O Titli's TAKE on December 1st, 2015's episode O

TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#1
In today's episode, when BRM said, "Uthaayeee talvaar kaat dijiye humain...Kharay hain hum aap k saamnay..."
I was like "Haan Ranaji isay acha mauka aapko nahi milay ga, yehi mauka hai iss budhi ka kaam tamam karnay ka...Kaat k phenk dijiye budhi ko..."

But, when Ranaji said "Bas kijiye BRM..."
I was like "Awww...Humaray Ranaji waqai bahut sweet hain...Yeh such main inpe kabhi bhi haath nahi utha saktay..."
BRM: "Raja ki ankhon main aag honi chaye...Ansoon nahi...Agar aap apnay jaani dushman k saath humdardi karain gain toh wo toh apkay peet pe khanjar khoonp k chala jae ga phir aap kia karain gain...Agar hum nahi toh koi aur apkay peechay khanjar zaroor khoonp jae ga"
I was like "Tujhe bari fikar hai budhi hain...Tu kuch na hi bol toh acha hi hoga...Ek lafz aur mat bolna Ranaji k khilaaf mooh torr doon gi tumhara...WO chup hain isliye nahi keh wo kamzoor hain, balkay isliye keh kisi zamanay main wo aapse pyaar kartay thay apki izat kartay thay...Apka achanak aisa roop dekh kar unki himat nahi horahi keh wo apko jaan se maar dain likin haan agar phir bhi kuch agay limit cross kardi toh toh phir aap pakka gai BRM...You will be dead then..."

Iss dialogue k baad jab BRM nay Kunwarji ko murh k dekha aur Kunwarji nay BRM toh I was like "LO g yeh ishara inho nay apnay betay ki taraf kiya hai indirectly wo yeh btana cha rahi hain keh main toh chali jaoon gi likin mera Chandra hai na badla lainay k liye...Dimaagh waqai kharaab hogaya hai tera budhi..." Kunwarji bhi ishara samaj gae thay BRM ka...Saaf lag raha tha unki shakal se...WO samaj gae thay keh ab unhain hi agay kuch karna paray ga...
Ranaji: "Humain laga apnay jo bhi kiya ga ghussay main aakay kiya likin BRM aap toh humari maafi keh bhi kaabil nahi hain..."
Gayatri: "Nahi Ranaji aap inhain nahi maarain gain..."
I was like "Gayatri maar dainay daiti na...Maza ajaati na rehta baans na bajti baansuri...Aur jo uska chooza beta Kunwar hai wo bhi duffer kuch na kar pata..."

Ranaji nay Gayatri ki tareef ki sub k saamnay keh "Dekhiyee BRM yeh hai wo achai jisay aap humari kamzoor samaj rahiin hain...Yeh humari kamzoori nahi taaqat hain humari...Jab tak yeh humaray saath hain jeet suchai ki hi hogi...Hum humesha jeetay gain BRM...Aur hum apko vachan daitay hain keh humari har jeet dekhnay aap zinda rahain gi..."
I was like "Very well said Ranaji...SO proud of you...Yeh hoi na baat...Bilkul bhi sahi sunai budhi ko..." Rajmata kitna proud feel kar rahi thiiin Ranaji ka yeh dialogue sunnay k baad...
Ranaji: "HUM Raja honay k naatay...BRM ko Rani Sulakshana ki hathya ka doshi karar daitay hain...Inhain umer qaid ka dann diya jaata hai...Aur yeh ajkay baad Ameerkot main qadam kabhi nahi rakhain giin...Ajkay baad yeh apnay parivaar se kabhi nahi milain gi...Inho nay kabhi apnoon se pyaar nahi kiya...Isiliye aj se inkay apnay bhi inkay saath nahi hogain shaid phir inhain ehsaas hojae keh yeh singhaasan yeh taaj kabhi koi khushi nahi day saktay, insaan akelay khush reh sakta hai likin dukh main usay apnoon ki sub se zada zarorat hoti hai...Hum paratna kartay hain jis din inhain apni bhool ka ehsaas ho uss din bhagwaan inhain shama karday..."
I was like "Ranaji kia baat hai aj toh aap bara dana dann sunay ja rahay hain...Shaabasssh bahut hi acha kiya aapnay jo yeh sub kaha...Likin jab aapnay kaha keh inhain in sub sazaoon k baad apni ghaltiion ka ehsaas hojae ga toh aap ghalat hain Ranaji kyunkay aap nay dekha nahi jaisay hi aapnay akhri yeh baat kahiii BRM ki shakal aisi thi jaisay abhi bol parain gi keh 'WO din kabhi nahi ayega Ranaji...Jab humain lagta hai keh humnay koi ghalti ki hi nahi toh phir humain ehsaas hona toh bahut door ki baat hai' Saaf lag raha tha budhi k expression se keh kuch aisa hi soch rahi hogi...Uff yeh budhi bhi na such main pooori pagal hai..."
Jab Ranaji nay sipaahiyooon ko kaha BRM ko lay k jaanay k liye toh BRM nay unhain rokh diya aur jab wo boliiin "Iss mehel main sharyant panaptay hain...Yahan k hawaaoon main lalach k leharain dorti hain aur singhaasan apnoon k khoon ki qurbaani maangta hai aur yeh qurbaani aapko daini paray gi Rana Indravadhan Singh Deo aur yeh humara sharap hai..." And then she spits on Ranaji's feet and leaves with the Sipahis...I was like "WHAT THE HELL just happened? SHUT UP BUDHI...YOU JUST SHUT UP...Agar main iss waqt mehel main hotii na toh issi waqt teray pait pe itna zorr ka punch maarti aur phir mooh pe maar maar kar tera wo haal karti na keh tu kuch kehnay laiq na rehtii...Tumhari itni himat keh tumnay Ranaji ko sharaap diya I just hate you so much...Teri auqaat hai kia budhi...Tu hai kaun...Jahan se i thi wahiiin chali ja..Kyunkay yahan such main teri koi jaga nahi...Dafa hojaaa...How dare you budhi...HOW DARE YOU...Tumnay spit kiya saali teri #$%#%@$@#@...Aj tu iss Titli k haathoon se maray gi...Dil toh kar raha hai keh issi waqt teri saari pe aag laga k tujhe jalla k raakh kar doon..."
BRM jab apni bakwaaas karkay chalii gai toh Ranaji peechay Gayatri ko murhh k dekha I was like "Aww...Finally they are happy now..."😳😳😳






Then came RaGa's room scene, when Gayatri was praying I was like "Aww shhhooo sweet...Ab sub theek hai Gayatri bas jab tak tum Ranaji k saath ho na tab tak waqai unka koi kuch nahi bigaar sakta..."
Aur phir jab Ranaji room main enter hoy aur wo neechay baith gae...Hayyy meri toh jaisay thori dair k liye saansain hi rukh gaiiin...Hayyy I was like "OMG! OMG! Wo baith gae wo baith gae...Eee...Eee...Eee...Hayyy..."
Aur phir jab unho nay kaha "Humnay aap pe vishwaas nahi kiya...Humnay aap pe haath uthaya...Yehi humara aapraad hai aur humain saza milni chaye..."
Gayatri: "Ranaji beetay hoy kal ki baatain beetay hoy kal k saath bhool jaani chaye...Aur waisay bhi jo zakham bhar gae hain uskay baray main baat karkay kia faida...?"
Ranaji: "Zakham bhallay hi bhar jain unkay nishaan baaqi reh jaatay hain...Aur yeh nishaan tabhi mitay gain jab aap humain maaf karain gi..."
Gayatri: "Maine apko maaf kiya...AB uthyeee..."
I was like "Yeh dono bhi na...Kabhi nahi sudhray gain..."
Ranaji: "Aisay nahi Gayatri...Apko bhi humain thappar maarna hoga..."
Gayatri: "Ranaji aap pagal hogae hain...Mujpe itna paap matt charhaaye main aap pe haath nahi utha sakti..."
Ranaji: "Gayatri humari baat sunyeee..."
I was like "LO g shoro hogai inki nok jhok...Ab Ranaji aap thappar na maarnay pe bhi larain gain kia? Aaap bhi na hud kartay hain kabhi kabhi toh...Koi patni apnay pati pe haath uthati hai kia? Aur wo bhi tab jab wo ghalat na ho...Pleeease wo pagal nahi hai jo aisai haath utha day..."
Likin phir jab Gayatri ready hogai Ranaji k itnay zorr karnay parh...Aur wo apnay haathoon ko jis tarha tyaar kar rahi thiiinn...I was like "Ooopsss Ranaji aj toh aap gae...Aj toh aap apni Gayatri k haathoon se shikaar honay k liye tyaar hojaiyeee...Tyaar hojaiiyeee kusss k thappar khaanay k liye..." Pehlay toh thori dair k liye wo darr gae thay keh Gayatri toh such main ready hogai phir jab unho nay Rajputoon wali baat ki toh mujhe wo aur bhi cute lagay...Phir jab unhoo nay apni ankhain bunnd kiii aur Gayatri full speed main apna haath lay k Ranaji k cheek tak i hi thi keh wo choti si hansi uski nikal pari aur kaha "Apko dann nahi milay gi aur yehi apki saza hai..." And then she leaves, Ranaji bhi smile kartay reh gae...Hayyy kitna cute scene tha yeh...Ranaji aap khud hi sochyee aapko wo kyun maaray gi...Aap bhi na barayyy WO hain...!!!😆😳😳😳




Then lastly, Swarna-Lakshraj-Cheetah-Rajmata ki favorite wala scene AND Kunwarji-Kokila room scene, jab Swarna bechari k haath pe Lakshraj gadhay ki waja se cut laga hoa tha aur Cheetay usay theek kar raha tha toh I was like "Hayyy yeh sahi sucha wala pyaar karta hai Swarna se tabhi toh dekho zara kaisay pyaar se dekh raha hai Swarna ko aur uski chot ko theek kar raha hai...Hayyy he is so so so cute..."
Swarna nay kitnay din baad khul k hansna shoro kiya tha...Hayy uski smile dekh kar mujhe bahut khushi hoi...
I was like "Thank you Cheetay Swarna ko hansanay k liye..." Yeh sub chot ko theek karnay wala scene Rajmata ki favorite nay jab dekha toh I was like "Uh...Ooo ab toh yeh paakkka Rajmata ko ja k bata dain gi...Oh! Shit ab kia hoga pta nahi...Bas Swarna ko kuch na ho...Kyunkay ab main Swarna ko aur takleef main nahi dekh sakti..."

Abhi yeh scene khtam hoa hi tha keh Lakshraj nammoona aaa tapka...Ufff jalta hai wo Swarna ki khushiyooon se, I just hate him...Tera masla kia hai Lakshraj, apna kaam se kaam kar...Aur upper se tum jo yeh ajeeb si black color ki lenses laga k agae ho aur bhi ajeeb ganday walay vampire lag rahay ho...Cheap lag rahay ho in short...Door rahoo unn dono se...Warna tumharay liye acha nahi hoga...Jab Lakshraj aur Cheetay ki knife aur haath se larai shoro hoi
I was like "GO CHEETAH GO...Maar do aj isay...Chorhna matt isay aaj...Waisay bhi iski shakal koi khaas pasand toh hai nahi hum forum wasiiis ko toh tum nay agar isay maarna hai toh maar do humari permission hai tumhain Cheetay..."
Jab Cheetay nay kaha "Kahin apkay mard honay ki ghalat fehmi door na hojae..."😆😆😆
I was like "Yeh baat...Wah wah wah kia dialogue maara...Shaabaash Cheetayy..."👏👏👏
Likin jab Swarna nay kaha keh "Asli waja toh hum hain...Toh hum hi marr jaatay hain..." And she cuts her wrist, I was like "NOOO...Nahiii Swarna yeh kia kiya tumnay?" Aur Cheetah nay jis tarha chilaya "Rajkumari ji..." Hayy mera toh dil hi jeet liya usnay...Wohi Swarna ko deserve karta hai aur koi nahi...Please someone kill this Lakshraj...Main toh kehti hoon jo BRM nay apnay khoon wali baat ki thi na? Main toh soch rahi hoon Ranaji aap iss gadhay Lakshraj ko maar kar yeh sub khtam hi kardaalooo phir sub set hojae ga apnay aap...Udher Swarna aur Cheetah khush aur idher aap aur Gayatri khush...

Aur yeh Kunwarji aur Kokila ko toh rehnay hi do, inse pehlay kabhi kuch sahi hoa hai jo abh hoga sahi...Kilaa fateh karnay ki himat toh hai hi nahi chalay hain RaGa ki zindagi khaaraab karnay...Kabhi successful toh hoy nahi toh ab kia hogain...Aur BRM aap bhi pagal hain jab aap ko koi khaas pehlay Kunwarji qaabil hi nahi lagtay thay throne haasil karnay k liye toh ab kia lagay gain...Isliyee pleeease iss duffer se waqai kuch nahi honay wala...Mera mooh matt khulwaayeee aap...Jab aap nay itnay ursayyy baad ab ja kuch ukhaarnay ki koshish ki hai toh yeh toh phir beta hai apka aur wo bhi ek number ka duffer beta...
Pehlay kuch kabhi nahi kar paya toh ab kia karay ga...Haan wo alag baat hai keh achanak iskay unduur Maa k liye pyaar jaag gaya ho aur unkay liye badlay lainay ki aag itni zada ho k kuch bhi kar k guzar jaanay ki himat ho but you budhi aren't you forgetting something? Ranaji k paas Gayatri hai Gayatri...Wo chataaan ki tarhaa humesha Ranaji ki protection k liye khari rahay gi aur aap as usual kuch bhi nahi kar paiiin gi...Kuch bhi nahi...Aap aj bhi fail hoiiin aur aagay bhi fail hi hogiiin...Chahay wo fail honay wala aapka beta hi kyun na ho...BEEJ aap nay beshak boo diya likin uss beej ko KAAT kar JALA k raakh kardaina aur pathak k phenk daina wo skill sirf Gayatri k paas hi hai aur kisi k paas nahi...SO you better watch it...Panga mat layyy Kunwar...Pachtaayyy ga...!!! Aur agar pachtanay ka itna hi shoq hai toh phir tyaar hoja dobara zameen main girnay k liye...!!!😃😃😃



As far as the precap is concerned, my reaction is
..." "...



Do share your thoughts guys😳😳😳


Thank you so much 🤗🤗🤗

Created

Last reply

Replies

18

Views

1.1k

Users

8

Likes

22

Frequent Posters

gennyM thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Commentator Level 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#2
Liked the reaction on the recap
My reaction same to same too.

Our RNJi is very sweet. BRM ko sirf house arrest kiya in rangoon mahal.

Loved the "Gimme a slap scene " with G.

JIYA_22 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#3
awsome epi hayeee loved Raga scene
Ranaji is broken to see BRM truth but phr b he is soft polite to her.
Raga scene superrr
amazing precap i loved Sid dancing ;)
RM14 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#4
Loved the Raga scene and Swarna-Lakhan most..😳how cute Raja-Rani are..hayee..and Swarna also slowly slowly liking Lakhan..about BRM-Rassi jal gayi,bal nai gaye..😆
Awesome take.⭐️
YD.AH thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#5
lovely review dear 😊
ananya2010 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#6
Awesome review Titli.
Loved the RaGa scene very very much, hayee our Raja-Rani our so cute. Loved the precap, Ranaji dancing to manaofying his wife, very cute.
soumyamurali thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 9 years ago
#7
Hi This is Soumya. I started watching this show just recently. I read ur take. Its very lively n pleasant to read. u write ur review basing on the general viewer's POV. While reading ur take, we readers feel that we r reading our own POV. Its really great. Ur reviews r always light hearted n entertaining even though the epi. is not like that.👏 coming to the episode its really wonderful power packed one. All actors did their job well. RaGa r always very cute to watch. Am looking forward to the pre-cap😳
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#8

Originally posted by: gennyM

Liked the reaction on the recap

My reaction same to same too.

Our RNJi is very sweet. BRM ko sirf house arrest kiya in rangoon mahal.

Loved the "Gimme a slap scene " with G.


Aww😳
🤗

I know right😳😳😳

Yeah I loved it too dear😃😃😃
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#9

Originally posted by: JIYAMG

awsome epi hayeee loved Raga scene
Ranaji is broken to see BRM truth but phr b he is soft polite to her.
Raga scene superrr
amazing precap i loved Sid dancing ;)


Hayyy hainaaa...😳😳😳
Ranaji bahut sweet hain...Becharay...😊
😉
Yeahhh...Me too😉
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#10

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".