Maanvi's POV-
Wo Peela Pattha Jo uss shaakh par latka tha.
Hawa se Gir parta Kamjor seere se atka tha
Meri Tarah hai wo Maine Tumse Uss pal Kaha tha
Wo pal Tham gaya Tha tumhare liye,Wo bas wahan Tha
Andheri raat mein ,Tez Aandhi Toofan aur Baarish mein
Wo Pattha Na gire tum Ruke Rahe Bas Isi Khwaaish mein
Ye pyaar ki Intehaa Thi,Tumhara Pyaar Kitna ghehra hai
Bhigte Khade the Tum,Masoom sa Tumhara chehra hai
Maine kai Baar Tumhe Dhikkara...Laut jao kehke pukara
Tum Patthe ko pakde Khade rahe Dete rahe usse Sahara
Jhujhla kar Main Palti Uss Jagah se Ghar ki aur chal padi
Kaun hoon main tumhari Ye keh diya jhatak ke nikal padi
'Tumhara sawaal...Main tumhara kuch nahi lagta hoon
Sun ke Ruk Gayi main Andar mein jami barf Pighal padi...
Khud ko Rok paana phir Mere Liye tha nahi asaan
Tum mere sabkuch ho..meri saansien meri jaan
Keh Bethi sab Jisse Sunne ke liye tum Taras Rahe They
Sayad Hamri khusi mein hi Rimjhim Paani Baras rahe they..
thanks..Divya...
Commnts Awaited...😊