Ye likho ki ye dono bina bole bhi kitna bolte hai ya ye liko
Ki jab sravan jewelry rakne gaya aur urvashi irritate kar rahi toh uake expression bina bole hi keh rahein the ki ye engagement kitni chalne wali hain . he was like tu yaha SE Jane ka kitna legi
Ya ye likho ki sumo ki jagah urvashi ko hatne je liya bola
Ek second ye likho hu ki aj urvashi aur suman mein sirf ek dusre ke bal khichna hi baki rakh diya tha
Ek second ye toh likna hi padega ki thank God sumo NE Jake I am sorry urvashi mera irada tumhein chit pohuchana nahin tha nahin bola she was the sumo we all love
Ek second ye sab likha toh ye likna baki reh jayega ki sravan NE SHAYAD isliyebnahin ye engagement ke liye han krh di kyunki he wanted to hurt her too sahi bhi she proved ki usse udhari ka bhi rishta nahin rakna chati in the most hurtful way ab yehi shravan NE kiya toh galat
Chalo rehne do ye likho hoon ki I told u bandi NE majbori mein kiya tha boss meine tumhara sath nahin chida says a lot
Imp note pls read huh .
Yar meine pehele bhi request ki thi don't give advices ki kis character ko kaisa hona chaiye shravan NE aisa Kyun kiya sumo asi honi chahiye thi lots of post knowingly or unknowingly post ho rahin hain
Ek toh Kai bar aisa karne SE CVS tathastu keh dete hain phir serial ka charm chal jata hain best example is TMOC jetha itna rude Kyun hain daya SE itni rudly Kyun bat karta gain tappu NE zyada sharat kar di asit modi NE tathastu keh diya ab sab sanskari ban Gaye hain sab mein sab kuch hain comedy ke alwa
Dusra koi bhi writer tabhi sabse acha likh pata hain jab uake character ko judge Na karke woh Jo us character ke zariya message convey karna chata hain use samjhe . tabhi story ka charm bana rehta hain Na bina soche samjhke dekho Na liko agar lagtA kuch out of the blue a gaya toh ji bhar ke criticize karo par pls jab tak piri tarah SE character develop nahin ho jata tab tak sumo NE Asia Kyun kiya vaisa Kyun Kia rehne do
Socho mahan always right shravan and sumo kaise lagenge ðŸ˜
Disclaimer
Uparwala likho gai note kisi bhi vyakti ,post ya bhavnao ko tges pohuchana ke liye nahin thi krupiya talwar leke mere piche Na pade mein gun nikalongi (sumo effect ;-) ) .