Poor tara apne MJ ke wait me baithi thi ki aa gaya wo ganja. Main bhopali MJ ko janta hu. Huh wo khud apne aap ko nahi janta or ye chala use janane. Le gaya tara ko bahane se apne ghar. Per tara to tara hai. Dikha diya apna asli avtar. Bhag gayi na waha se.
Us sanki kumar ne pure delhi me apne aadmi laga rakhe hai tara ko dhundhne ko. Her time tv pe bhi chalu ho jata hai. Thanks to pari kala ne tara ki pic nahi dekhi. But pari ke takrane se wire toot kaise gayi. Bechari nazuk si to bacchi hai. MJ ne jalebi bana ke kala ki zuban ka tikhapan to kum kar diya lekin english bol kar uski jalebiyo ka taste kadwa kar diya. Kala ko to aisa jhatka laga ki mat pucho. Uper se MJ ke que kala ne kisi tarah situation controle ki. But MJ ne dhamki de di ki agar uska bharosa toota to kala ko chorega nahi. Ek to MJ ki dhamki uper se us ladki ka tension jisne MJ ko MJ bulaya. Ab kala us ladki ko dhundhegi nd mujhe yakeen hai nandu mil jayegi use.
Waise nandu kafi badi chorni ban gayi hai pura police station behosh kar ke gehne le gayi nd uper se ved ko open challenge diya hai. Ab to ved use nahi chorega. Or isi chakkar me nandu ko tara ke baare me pata chal jayega.
OMG to is sanki kumar ko lagta tha ki sia nd mannu ke hubby ka affair tha. Ye to sanki hi nahi shakki kumar bhi nikla. Or isi liye usne sia ko maar diya nd may be mannu pe hubby ko bhi. Isliye to mannu usase badla le rahi hai.
Tara ne samajh liya ki agar use MJ ko dhundhna hai to use om ka use karna hi hoga. Isliye wo wapus aa gayi. Poor tara jab MJ ko tum yaad hi nahi ho to wo tumhe kaise le jayega. Shayad le bhi jaye tara ki jaan bachane ke liye.
Precap- very smart MJ Tara ko nahi marna pade isliye khud pe hi goli chalwa li. Lekin ye kala wo kisi or ko hire kar legi. Apni tara ko bachane ke liye tumhe khud hi jana padega. Waiting waiting