Radha chal tujhe maaf kiya tune aaj wo kar dikhaya jiski tamanna hume kab se thi. Tune MJ ko ehsas kara diya ki pyaar ko izhaar ki zaroorat padati hai.
Aaj kitne dino baad tara ki wo smile dekhi. Do hubby wife mithe mithe amarood tod rahe the bilkul apne pyaar ki tarah. MJ pe to aaj tara ke pyaar ka khumar kuch aisa chadha tha ki tara se nazare hi nahi hat rahi thi. Itna khoya tha biwi me ki radha ka dard bhi nahi dikha. Tara ko use batana pada or keh rahi thi ki apne haath se khila do but MJ ko pata hai uski limit kya hai. Ab or kuch kiya to biwi kahi naraz na ho jaaye.
Bechare baba waha pareshan hai or ye log yaha picnic mana rahe hai. Kitne aaram se baith ke kha rahe the na. MJ ke andaz se to aisa lag raha tha uska tara ke sath yahi apni duniya basane ka irada hai.
Haay ram ye to radha ka rape hua hi nahi tha or MJ itne dino se aadi ko culpit samjhkar jail ki saza bhugat raha tha. RP ne kya chal chali.
Next epi me tara MJ ko bata degi ki wo chahti hai MJ radha ek ho jaye. Or MJ ko 100 w ka jhatka lagega. Or wo bata dega ki he luvs only tara.