Vishvaas 2 Part 8
my apologise for being late yet again😳
hey before carrying on just wanted to know if u like the new colourful updates to the normal black font?
nways getting back to the story:
Everyone had had breakfast and now getting back to their daily jobs. Dharam and Veer had gone for horse riding while Sia had gone with Sanchi to pay a visit to the shramiks of aryanagar... it's weird thought Sia that some time back she used to look down at these people and think them to be filth but that was before she meet her Prince who not only bought a remarkable change in her behaviour but her thoughts also....she had realised that shramiks were just the same as them and the only difference was they were in much worse conditions and they were poor where as Aryavraths were richer...Every fortnight Sia went down to the Shramiks area and gave charity and tlked to the people and got a positive response...the kids loved her and the ladies thought of her to be a fantastic queen who was helping Dharam take Aryanagar in the right direction.
Vishva on the other hand was in her room looking a little impatient as she paced the room
Vishva: arre ye abhi tak aya kyun nahin...ab tak toh ajana chahiye tha....
Parth: Maharani Vishva ki jai ho
Vishva: Iss waqt hum apki maharani nahin ...didi hai...ab bolo kuch baat bani
Parth: Hum..muj...woh...didi...humme paata nahin hum kaise kahe usse...kya kahen...
Vishva: ye ladke apne dil ki baat baatane mein itna waqt kyun lagate hai...(she taps her head to her forehead)
Parth: ye..ye itna asaan thode hi hai...ek ladki ko apne dil ke baat kehna...soh sainik se ladne ki barabar hai...woh bhi sanchi jaisi ladki....usko dekh kar ye paata nahin lagta ke uske maan mein kya chal raha hai...woh kya mehsoos karti hai
Vishva: shyad tumne teekh se dekha nahin...uski ankhon mein tumhare liye kahin na kahin pyar hai...uske chehra kitna kilh utaha tha jab meine tumhari baat kar rahi thi
Parth: sach..usne kya kaha...
Vishva: woh sab baatein badh mein...pehle usse baat karlo...usse kaise baataoge....
Parth looks somewhat confused and troubled as to what to say next and merely shrugs
Vishva: acha...maan lo ke hum Sanchi hai aur tum humse apne dil ki baat keh na chahte ho...kaise kaho ge
Parth: Sa...San...Sanchi...hum..hum tumse kuch kehna chahte...chahte hai....woh hum... app...tum...mein ....achi ....lag ti ho...aur...mein...hum...
Veer enters the scene as Vishva looks at Parth with a "that-was-pathetic" expression on her face
Veer: kya ho raha hai
Parth: kuch...kuch nahin maharaj...kuch bhi toh nahin
Veer: Parth tum shayad mujhese jooth bol bhi lo...Vishva nahin bol sakti...ab batao kya baat hai
Vishva: Veer apko toh paata hai...Parth ko Sanchi pasand hai...par woh apni dil ki baat nahin keh paata...aur hich kicha raha hai kyun ki usse ye paata nahin sanchi iske bare mein kya janti hai
Veer: kya usse pyar karte ho?...uske liye kya kuch bhi kar sakte ho?
Parth: woh humme achi lagti hai pasand hai... par shayad hum unhe itna nahin chahte...jitna ap maharani ko...humme paata nahin ye pyar hai...suna hai pyar mein log ek dusre ke liye mar mit te hai...pyar mein aisi takat hai jo isaan ko badaal sakti hai...ek aise shakti jo takdeer ko palat sakti hai...ek ehsaas jo zindagi bhar ka hai
Veer: sach suna hai tumne pyar ke bhare mein...ek ehsaas jo zindagi bhar ka hai...aur ye bhi sahi hai ke tum shayad is waqt nahin jante ke tumme pyar hai ya phir kuch aur....humare saath bhi aisa he hua tha....
Parth: sach...apki pehli mulakat kahan hui thi
Veer: shiv mandir ki yatra mein
Vishva looks uncomfortable and looks down
Veer: jante ho tumhari Vishva didi ne pehli mulakat mein he humse talwar bazi karni shuru kar di thi
Vishva joins the conversation...he voice was slightly unsteady as the went on to tlk about her past
Vishva: aur woh pehle baar talwar bazi mein har gaye teh...par humme woh haar mein bhi jeet mili...agar hum usss din nahin harte toh ajj humare paas Veer jaisa saathi na hota...aur woh haar ne humme humara pyaar se milaya jisne humari takdeer palat di...humme insaan banaya aur humme pyar ke ehsaas ko mehsoos karne ka moka diya...hum ye sab kuch der ke liye bhool gaye teh...Parth, Veer teekh keh rahe hai...pehle kudh janlo ke tumhe pyar hai aur agar hai toh usse ye mehsoos karne ka waqt do
there was a pause then Vishva made her exit while Veer remain with Parth
Parth: apko kab paata chala tha ek apko pyar hogaya tha
Veer: mujhe pehle tumhari tara lagta tha ke mujhe pyar hua hai par jab meine vishvaas ka pyar dekha tab laga ke mujhe waqt chahiye sab samaj ne ke liye aur jaise waqt chalta gaya mujhe vishvaas ho gaya ke mujhe pyar ho gaya hai...is duniya ka sabse khoobsurat ehsaas
there was another pause
Veer: ye tasveer dekh rahe ho...humne banayi hai...jab humme raat ko neend nahin ati thi sirf Vishva ke khayal ateh teh...hum apni ankhein bandh karke Vishva ko dekh te teh aur uski tasveer banate teh....
Parth: ap...ap maharani si bohat pyar karte hai....apka prem aur prem kahaani bohat alag hai...kya ap mujhe puri sunayenge...ap kab mile...kab baat pehli bar ki...
Veer: phir khabhi...aaj tumhari prem kahaani sajani hai....Sanchi ke saath kuch waqt batao....aur haan uske maan mein kya chal raha hai paata lagane ke liye uski chooti se chooti baat ko dimag mein rakhna...jaise ke jab vishva parishan hoti hai woh apne dupatte ko ungaliyon mein lipat te rehti hai....jab woh khush hoti hai tab palke ziyad bar jokati hai aur bohat muskurati hai...jab woh kuch soch rahi hai tab woh apni laton se khelti hai...jab woh kuch kehna chati hai tab ungaliyon se khelti rehti hai (she intwines them)
Parth looks at Veer
Later when Parth is walking back to the guest chamber he clashes with someone who was carrying a small bowl in their hand...teh bowl falls out of their hands and Parth catches it and feel the other persons soft hand catch his hand which just caught the bowl....he looks up to see the person....
Her hair was coming in her face because of teh wind coming through the windows...she was dressed in red and light blue....looking mezmerizing thought Parth as he looked on at Sanchi
Precap:
Parth: do din mein do bar ap humse takrayi...kahin ye takrar pyar na ban jaye
Sanchi: nahin bane gi
Parth: dekh te hai
Sanchi: dekhiye ga
Enjoy
Shona