Hey guys, I am Nitya. Most of you might know me. I already write a story on this forum but this idea just popped into my head so I thought of giving it a try. So here's presenting the prolouge.
Prologue
Manyata: Uday please leave me. Chodo mujhe.Uday tightens the grip on her shoulder more.
Uday: Nahi Manyata nahi. Pehle tum humein yeh batao ki tumne waha neeche kuch kaha kyu nahi. Bolo. Jab pyaar saabit karne ka waqt aaya toh bhool gayi woh saari batein. Haan
Manyata: Kuch nahi bhuli main Uday, par shayad tum bhul rahe ho ki main tumhari company ke manager ki beti hai. Tumhe kya lagta hai woh yeh baat accept karte ki hum dono ek doosre se shaadi karna chahte hai.
Uday: Tum kaise keh sakti ho ki woh yeh baat nahi accept karte
Manyata: Uday yeh baat sab jante hai ki hum ek doosre se pyaar karte hai. Fir bhi koi is baat ka zikar nahi karta. Iska kya matlab hota hai.
Uday: Chalo mana ki sahi ho sakta hai. Par Ragini tumhari bachpan ki dost hai tum use toh is shaadi ke liye haan karne se rok sakti thi na.
Manyata: Uday, Ragini tumse pyaar karti hai. Main uska dil nahi tod sakti. Bachpan se usne mera sath diya hai, meri madad ki hai. Aaj jab mujhe pehli baar mauka mila hai uske liye kuch karne ka toh (interrupted)
Uday jerks off her shoulder and turns his back towards her.
Uday: Toh tumne humein qurbaan kar diya. Tum uska dil nahi tod sakti par hamara dil tod sakti hai
Manyata: Nahi Uday tum galat samajh rahe ho.
Uday turns towards Manyata to face her.
Uday: Bas Manyata bas. (After a pause) Par ek baat batao tum Ragini se bahut pyaar karti ho na?
Manyata nods in yes.
Uday: Toh agar hum use khush hi na rakhe toh. Tab tum kya karogi?
Manyata: Please aisa mat kaho. Main janti hun tum gusse mein ho par
Uday: Aur agar woh mere sath khush nahi rehti hai toh iski zimmedar sirf tum hogi.
Manyata: Uday please. Tum aisa nahi kar sakte
Uday: Bilkul kar sakta hain. Akhir hum uske hone wala pati hain. Par
Manyata:Par kya
Uday: Par tum yeh ensure kar sakti ho ki woh khush rahe.
Manyata (Confusingly): Woh kaise
Uday smirks
INDEX
Chapter 1: Pg. 5- http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=4600553&TPN=5
Note: Pg. 8- http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=4600553&TPN=8
Edited by nityatandon - 9 years ago