Shanti Nagar, Maharaja Shashadhar Salunkhe ka nagri, aaj khushi me khilkar
utha hain.Hazaro rang se saza huya aasman, sarsarati hawa, hawa me phaili
huyi phoolo ka khushboo..sab kuchh jaise intezaar kar rahe hain shubh ghari
ka.....kyuki aaj Rajkumari Tarika ka swayambar hain...woh bhare swayambar
sabha me safalta prapt veer ki gale me mala dalke use apni bar rup swikar
karegi aur unhi ke sath apne sasural ki taraf ravana ho
jayegi....isliye..khushi ke sath sath kahi pe biday ki ek karun sur bhi baj
rahi hain...
------------------------------------------------------------ -----------------
-
[Swayambar]
( Pap pay rayyyyyyyyyyyyyyyyyy, pay pay pay pay pay pay pap pay
rayyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy yyyyyyyyyyy)
Maharaj Salunkheeeeeeeeeee....Maharani Tejaswiniiiiiiiiiiiiiiiiii......Yuvraj
viveeeeeeeeeek.....aur...Rajkumari Tarikaaaaaaaaaa...padhar rahe
haaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaain.
Swayambar me aye huye sare ke sare Rajkumaro me Rajkumari ki taraf apna nazar
dala aur man hi man betab hote raha.......kab ayega woh
ghari.....jab...Rajkumari.....gale me barmala...dalegi?.....sabhi Raja,
Yuvraj ya pher Rajkumaro ne yehi sochte raha........
Maharaj Salunkhe ne apni singhasan pe tashrif rakha aur pher binamra hokar
sabko apne apne sthano par tashreef rakhne ke liye kaha....
Maharaj: dur durant se aye huye Maharaja yo, aur rajkumaro,.........main aap
sabhi logo ka bohot abhari hun........aaj aap logo ne mere suputri Rajkumari
Tarika ke swayambar me akar......mujhe dhanya kiya hain.....main puri
Shantinagar ki taraf se aap logo mera hardik pyar aur subechchha dena chahta
hun.
Sabha me upastheet sabhi logo ne apne apne sar jhukakar Maharaj ke
subhechchha ko swikar kiya..
Maharaj: aab main aap logo ko is swayambar ke riti aur niyomo ke bareme
abaheet kar dena chahunga...waha par shiv dhanush rakha huya hain..aap logo
ko woh uthake uska muh bandhna parega....aur pher....upar me....ek ghumta
huya panchhi hain...aur neeche pani me uska pratichhabi hain jinko dekh ke
aap logo ko uske aankh ko teer se biddha karna parega....jo sabse pehle ye
veerta pradarshan karega....woh mere suputri Rajkumari Tarika ko jeet
lega..to der kis baat ki? Shubh kam me der nehi hona chaiye.....chaliye...ek
ek karke...aap log shuruyat kijiye.....
Ek Rajkumar khare ho gaye. aur peechhe se dhwani utha---Rajkumar Veerta
padhar rahe haaaain..... woh aye.......par bohot koshish ke bawajood bhi
dhanoosh ko utha hi nehi paye...Vyarth manorath se woh wapas akar tashreef
rakha.
Is tarike se bohot sare Raja yo, aur Rajkumar o ne ate gaye aur
jategaye....Raja Vashist, Rajkumar Shashank, Rajkumar Dheeraj, Raja Navindra
Kumar, Rajkumar Gaurav,Raja Shashipal, Raja Khemprasad....par koyi bhi
safalta prapt nehi huye.....Maharaj Salunkhe aur Maharani Tejaswini ki akho
ki upar chinta ka rekha ye prakat huya...woh log chintagrast ho gaye ke agar
kisine.....ye dhanush ko uthane me hi....
woh byakul hokar kuchh pal ka birati manga...aur turant aapne kaksh me chale
gaye.....
Rajkumari Tarika ko Maharani Tejaswini apne mahal me leke gaye...Rajkumari ki
sakhiya bhi bohot chinteet the...ek akar use kaha---Priye...tere mann me kya
chal raha hain? bar to tujhe aaj hi chun na hain...magar..
Rajkumari ki andar koyi chanchalta, koyi chhatpatahat, koyi bhi shanka ya
pher dukh ka saya bhi nehi tha...woh bohot dheere se boli---mujhe maloom
tha...ke koyi bhi us dhanush ko utha nehi payega...unke elaba kaun use utha
sakta hain? wohi mera swami hain...kuldevta ki samne maine unhe usi din maang
liya tha ....jisdin...woh.....is Shantinagar me....pehli baar apna kadam
rakha tha..
sakhi Kaveri: magar hey priye, woh to bohot purani baat hain..tab to aap ek
bara sal ka balika the....
Purane us din ko yaad karke Rajkumari ki surat ek ajeeb si roshni me alokeet
ho gayi...woh un dino ke beech me kho gaye.....aur kehne lage---aur
woh......sola saal ka ek kishor......mohit nayan me woh kehne lagi----unke
akho me jhak ke dekhi.....to mujhe ...puri...duniya..dikhai di.....unka akho
me gehraiya tha...aur hotho pe mithi si muskan...jo.....jo....ek bara saal ki
balika ko .....chahat ka ehsaas dilaya.....chanda ki roshni ki tarha madhur
tha unka upastheeti, ........phulo ki khushboo ki tarha pavitra tha unka
saasein, aur.....aur...ugta huya suraj ki tarha....sundar tha....unka
haasi...woh....mere jeevan ka ek anat satya hain.......mujhe pura vishwas
hain....ke ...aaj shringar karke...ye jo mera mann mehek utha
hain...ye...unhi...ki.....mehek hain......Rajkumari Tarika apne aakh band kar
liya....aur us mehek ko paane ke liye....apna saasein...tez kiya....mujhe
vishwas hain......ke unka....ek.....Rajkumari sharmake murjha gayi...aur pher
kaha-----unka ek chhuyon se....mere jeevan ki sare dhul....chandan ban
jayega.......sapno me ...kitni baar...punya jhulan teethi me jhula me jhule
hain hum dono......
sakhi Kaveri Rajkumari ko satane ki koshish ki---aur priye.....aaj woh ek
chhabish saal ka yuvak hain.....
Rajkumari sharma gayi aur kahi---aise maat sata mujhe....main bhi to dekhna
chahti hun......kaisa ...kya..woh waise,,,hi......Rajkumari phir se sharma
gayi.
sakhi Lavanya: magar priyeeee, woh hain kaha? aur....aaj swayambar me woh
aye kyu nehi?
Rajkumari: woh ayega....mere vishwas se ayega woh....aur main agar
kisiko....ye barmala samarpan karungi....to.....sirf unhe........
Teesra Sakhi: magar....agar unki ane se pehle hi....kisine us dhanush se
panchhi ki aankh biddha kare to?
Rajkumari ye sunke byakul ho gayi...woh dheere se khirki ki pass
gayi......aur aasman ki taraf dekh ke prarthana karne lagi---hey
sarbadhipati, hey jagadhipati.....tumhe to sab kuchh abaheet hain.....tum to
jante ho....ke mere...pran nath ke darshan ke liye.....main....kitni byakul
hun.....Tumhe to ye bhi abagat hain sarbadhipati...ke......main aapne tan
mannn sab kuchh unko baar diya...to.kaise...kaise....aur kisike gale me...ye
mala dun?...tumhare pair meapne aapko saup kar main ye vinti karti hu
Bhagwan...ke. ya to tum unhe yaha par le aao....taki woh...yaha bhare
swayambar me...apna veerta pradarshan karke...mujhe.....jeete...ya
pher.....ya pher.....tum mujhe....aapni godh me le lo...Bhagwan...mere
saasein rukva do.....main aur...jeena nehi chahti hun.
Udhar Maharj ke kaksh me Maharaj bohot chinteet the...woh byakul ho kar apne
kaksh me apne mitra Susheelnagar ke Maharaj Raja Dhaneswar Veeradhipati ko
bulaye.....
Raja Dhaneswar: Kya huya mitra? itna ashant kyu ho?
maharaj salunkhe: ha...mitra...mujhe meri putri ke liye bari chinta ho raha
hain....mann me tarha tarha ka ashanka phail raha hain......
[Yuvraj Abhijeet ka Pravesh]
Yuvraj Abhijeet jo ki Maharaj Dhaneswar ke ek matra putra hain...woh bhi apne
peetashree aur nayi naveli dulhan Yuvrani Shruti ke sath yaha Shanti nagar me
aye huye hain.
Yuvraj Abhijeet: Maharaj ka aggya ho...to...main andar ayu....
Maharja salunkhe: arrey, aao, aao, Yuvraj....tum to mere putra saman ho.....
Yuvraj: Pranam ho Maharaj...agar apka aggya ho...to..main...Rajkumari ki
swayambar ke bareme kuchh kahu?
Maharaj Salunkhe: abashya putra, bolo kya kehna chahte ho?
Yuvraj: Maharaj, mera ek mira hain...jo ki bohot veer hain, susheel hain,
sundar hain aur Rajkumari ke upayukt hain.
Maharaj: ye to ati uttam hain..magar woh aye kyu nehi?
Yuvraj: woh apne hi bhai ke hath bandi the, unhi ke chhote bhai Yuvraj banne
ke liye..kuchh senao ko lekar unhe bandi kar liya tha....
maharaj Salunkhe: to pher?
Yuvraj: Maharaj.....unke chhote bhai ko aur un sena yo ko to woh khud hi
khatam kar sakta tha....magar....woh apne chhote bhai ko ....hath nehi
lagaiga.....isliye.......isliye...mujhe hi kuchh karna para....main...unlogo
ka kuchh sena...aur...susheelnagar ka kuchh senayo ko lekar unhe uddhar kiya
hain........
Maharaj Dhaneswar chakeet aur vismieet hogaya...woh rusht ho kar apne putra
ko puchha---itna kuchh ho gaya...aur tumne mujhe abagat nehi karvaya? ye
kaisa vavhyar hain yuvraj?
Yuvraj: Kshama chahta hun Peetashree...magar..mere....mitra ko main us halat
me dekhna.....mere liye asahaniya ho gaya tha...isliye main
thora....jaldbaazi ki thi...
Maharaj: magar yuvraj....
Yuvraj: Maharaj, agar apka aggya ho, to abhi, isi waqt main mere mitra ko
yaha par lane ka ayojan karunga...
Maharaj bara byast ho gaya aur utsuk hokar kaha---ha Yuvraj, mera pura aggya
hain...
------------------------------------------------------------ -----------------
[Swayambar]
Phir se swayambar Shuru huyi......kuchh aur raja yo aur rajkumaro ne apne
apne bhagya pariksha kiya...Samrat sthairya,Rajkumar keshav,Raja
Abantipuram....par koyi bhi safalta prapt nehi huye.Thik isi waqt ek soumya
kanti, susheel, veer swayambar me pravesh kiya.....unka hulchul rajbangshiyo
ki tarha to tha....par unka malin beshbhusha waha par upastheet sabhi ke
dristi akarshan kiya, sabhi ne kehne laga---kya ye Rajkumar hain?beshbhusha
se to koyi brahman putra lag rahe hain...
Kumar dhanush ke pas aye.....aur pher Maharaj ka aggya lene ke liye unhe
pranam kiya. Maharaj ne unko sammati dete huye ashirbaad kiya.
Rajkumari Tarika betaab ho rahi thi...unhe apni premi ko pehchan ne me koyi
ghalti nehi huya tha.....
Kumar ne dhanush ka samne khare ho kar apne guruyo ko pranam kiya
aur...pher...dhanush ho hath lagaya.
Rajkumari Tarika ka dil zor zor se dharak raha tha...woh apne akhe band kar
liya....
Kumar dhanush ko pakra huya tha aur achanak ek hi dum me woh dhanush ko utha
liya....
Susheelnagar ki yuvrani Shruti jo Rajkumari Tarika ke pas baithi huyi thi,
woh Rajkumari ko kaha---Rajkumari, akhe kholo, dekho......woh dhanush ko utha
liya hain......
Maharaj aur Maharani bhi bohot utsuk ho gaya aur prarthana karne lage kumar
ka safalta ke liye....
Kumar apne dhanush ki muh bandhkar usme teer lautkaya....aur....pher....paani
ki taraf dekh kar teer chalaya......aur woh teer sidhe jakar upar ghumta huya
panchhi ki ankh biddha kar diya......
Maharaj aur Maharani anand se kheel utha.....aur Rajkumari .....sharm se apni
sar ko jhuka liya....
Chalro taraf se kumar ke liye jayadhwani dhwanit hone laga.
Rajkumari Tarika uthkar Kumar ke samne ayi aur....unke akho me jhak kar
dekhi......Kumar has raha tha......aur ye haasi ......Rajkumari ko dus saal
pehle ka yaad dilayi.......woh apni barmala Kumar ke gale me dal diya......
Charo taraf se harshdhwani hone laga. sabha me upastheet sabhi Raja yo ne
chillane laga--- ye humara apman hain....Ye Kumar Rajput hain nehi, kaise ye
Rajkumari ko jeet sakte hain? Rajkumari ko hum me se hi kisi ek ko chunna
parega....nehi ..to...unhe agni me jwala diya jayega......
Rajkumari darr gayi.....aur Kumar apne nayi dulhan ki raksha ke liye tyar ho
gaya.
Yuvraj Abhijeet ne sabko shant karne ki koshish kiya aur
kaha----dekhiye....aap log shant ho jaiye......ye koyi brahman kumar hain
nehi.....balki ye Kauvantipur ka honewala Yuvraj Daya hain.
Maharaj Salunkhe chakket ho gaye---kya kaha Yuvraj? Kauvantipur ke honewale
Yuvraj? Kauvantipur ka Raja to Maharaj Pradyumna hain, haina?
Yuvraj Abhijeet: jee ha Maharaj
Maharaj: to main kaise meri putri ko Kauvantipur bhejunga?
Maharaj Dhaneswar: kyu mitra.....isme aapko apatti kyu hain?
Maharaj salunkhe:: pichhle kuchh salo se Kauvantipur hamare sath dushmani
nibha rahe hain.....main hairan hun ye sochke ke waha pe meri putri ke sath
kya vavhyar kiya jayega.....
Rajkumar daya: Maharaj ka aggya ho to main kuchh keh sakta hun?
Maharaj: abashya.....
Rajkumar Daya: Rajkumari aab Kauvantipur ka bahu hain...main aapko bachan
deta hun Maharaj....ke..main Rajkumari Tarika ke sath koyi bhi anyay hone
nehi dunga.
Maharaj: magar tumhare peeta Maharaj Pradyumna? kya woh meri putri ko bahu ka
samman aur maryada pradan karega? aaj se kuchh char paanch saal pehle mere
saath unka kuchh anman huya tha.....aur tab se hi tumhare Kauvantipur mera
Shantinagar ke sath dushmani nibha rahe hain.
Rajkumar Daya: kshama kijiye Maharaj....par aapko shayad Kauvantipur ka
bartaman paristheeti ke bare me ...kuchh jankari nehi hain...... Maharaj
...atyanta dukh ke sath ye keh raha hun ke mere peetashree Maharaj Pradyumna
aur mere matashree Maharani Deepshikha...abhi bhi mere chhote bhai Yuvraj
Uday ke hath bandi hain........Kauvantipur ke raj karma sab Yuvraj Uday hi
chalate hain....aur...mitrata ya pher shatruta ye bhi unhi se hi tyar hote
hain.......
Maharaj salunkhe chinteet ho gaye ...aur pher kaha----ye to bohot ghambhir
baat hain.....to pher tumhe to Kauvantipur ke sath yuddha karke tumhare peeta
aur mata ko uddhar karna chaiye.......chinta maat karo....hey veer
kumar.....ab...ye tumhara sasural hain...aur hum...tumhare mitra hain.....hum
logo ko tum to sath me payogi hi....aur...humare mitra desho ko bhi
payoge....hum sab sath milke.....
Rajkumar Daya: Kshama kijiye Maharaj.....aap bohot dayalu hain.....par
main......main....mere chhote bhai ke khilaf...yuddha nehi karunga.....ha
mere peetashree aur matashree ko main abashay uddhar karunga.....par yuddha
se nehi.....
Sabhi ne vishmeet ho gaye , Maharaj ne puchha --to pher kaise?
Rajkumar Daya: Maharaj....Yuvraj Uday yehi chahte hain ke hum Kauvantipur se
chale jaye.....aur woh Maharaj ban sake.....agar main kahu ke main
Kauvantipur chhorkar hamesha ke liye ja raha hun ....to woh peetashree aur
matashree ko chhor dega.....magar.....magar.....main kauvantipur chhorkar ja
bhi nehi sakta tha....kyuki....mujhe yaha..shantinagar me ana
tha......Rajkumari se milne ke liye......anya tha....Yuvraj uday ne to
Rajkumari Tarika ko haran karne ka yogana bhi kiya tha.....main Tarika ki
sath hote huye itna bara anyay dekh nehi sakta tha......Rajkumari Tarika
Rajkumar Daya ki taraf dekha......aur mann hi mann socha--puja to main karti
hi hun tumhe......,pichhle dus saal ki har pal bas tumhare naam lekar
guzara....tumhare prati mere bhakti ko.....kya aise barate rahoge
Rajkumar?.....kahi main mar na jau.
Rajkumar Daya: aab jo mera lakshya safal ho gaya hain....aab main Kauvantipur
chhorke hamesha ke liye ja sakta hun.
Maharaj: par hey kumar, tum jayoge kaha?
Rajkumar Daya: dakshin ki aur...ek khanda bhumi hain.....waha par...ek chhota
sa prasad bhi hain....jaha par....Kauvantipur ke sena...kabhi pravesh nehi
kar payega.....
Maharaj phir se byast ho gaya aur apne suputra Yuvraj Vivek ko puchha---
Yuvraj Vivek, aap ko ye pata hain ke ye Shantinagar aap hi ka hain.....magar
apne behn ka is durdeen me kya tum....
Yuvraj Vivek: peetashree....mera kuchh bhi nehi hain...sab aap hi ka
hain....main mere behn Rajkumari Tarika aur jeejashree Rajkumar Daya ke liye
adhe Shantinagar chhor sakta hun Maharaj.
Maharj bohot praful ho gaye aur kaha---dekha kumar....aap.yaha pe hi ruk
sakte ho....
Rajkumar Daya: aapka udar mann mujhe mugdha kiya hain Maharaj....magar main
phir se kshama chahta hun, main yaha pe ruk nehi sakta hun Maharaj.....mujhe
dakshin ki prasad me rehna hain...apne peeta maata ke godh me.....hum waha pe
ek chhota sa rajya banane ki koshish karenge...aur waha ka Raja honge maharaj
Pradyumna. aur Rani banenge Maharani Deepshika......aur hum dono unhi logo ke
pyar aur sneh ke barsat me anand se din guzarenge....
Maharaj prafulla ho gaya...magar chandi pal ke andar woh phir se gabhir
chinta me dub gaye----kumar...to abhi tum to Kauvantipur me ja nehi sakte ho,
to pher?
Ek duut dhandora pitate huye ghoshana kiya----kauvantipur ka Maharaj
Pradyumnaaaaaaaa aur Maharani Deepshikaaaaaaaa padhar rahe hain.....
Sabha me upasteet sabhi jan chakeet ho gaya......Rajkumar Daya sabse adhik
vishmeet ho gaya---peetashree....matashree.....magar......
Susheelnagar ke Maharaj Dhneswar aur Yuvraj Abhijeet swayambar me pravesh
kiya....aur Yuvraj Abhijeet Rajkumar Daya ke samne akar use alingan kiya aur
kaha---ha mitra....main tumko mere ye gupt yoyana ke bareme abagat nehi
kiya.....tumhare peeta maata mere bhi peeta maata hain....main unlogo ko
bandi nehi dekh sakta tha mitra......aur ha....main tumhare chhote bhai
yuvraj uday ko bhi bandi kiya hain...
Rajkumar Daya: nehi mitra....nehi.....tum use...mukt kar do.....woh mera anuj
hain.....
Yuvraj Abhijeet: uttam, agar tum yehi chahte to to main abashya use mukt kar
dunga....magar phir se ek baar gale to milo mitra.....tumhare is khushi ki
ghari me ....Rajkumari ko hasil karke mujhe bhul mat jana mitra....
Rajkumar Daya: tum jaise mitra ko kaun bhul sakte hain ? janam janam me hum
aise mitra bankar hi janam lenge....
Maharaj Pradyumna Rajkumar Daya ko apne baho me bhar lekar kaha---kitna
khushi ka din hain aaj......aaj...aaj....main.....tumhe...kya kahu?
Rajkumar Daya ke akho se ansu behne laga.....aur thore der baad woh
kaha---chaliye peetashree, chaliye matashree...hum log dakshin ki prasad me
chale jaye......
Maharani Deepshika apne nayi bahu ko dekh rahi thi.....ab woh kehkar
uthi---abashya putra....magar pehle mere bahu ko to dekho tum........pichhle
dus salo se woh sirf tumhare rah hi dekh rahi thi.......jao putra tum mere
bahu ko lekar amrapallav baag me thora bihar karke aao, kyu sakhi?
Maharani Tejaswini jo ki Maharani Deepshika ke bachpan ka sakhi hain woh bhi
apne sakhi se sahmat huyi aur amra pallav baag me jane ke path prashath kar
diya........
[Amrapallav baag]
Rajkumar Daya aur Rajrani Tarika ek nauka me premajal hrad me bihar kar rahe
the......Rajrani Tarika ki khule huye lauto ko lekar Rajkumar Daya khel raha
tha.....aur Rajrani Tarika apne samagra hriday se unki chhuyon ko mehsus kar
rahe the.......kuchh samay baad woh kehkar uthi---priye.....jab se aye
ho.....mujhse ek bhi baat nehi kiya.....kya mujhse koyi bhul huyi hain
priye.....
Rajkumar Daya bari shararati se has raha tha aur Rajrani ko bechain karne ki
chesta kar raha tha.
Rajrani: wo priye...aise...na hasa karo......mere jaan nikal jati hain....
Rajkumar: kaha? pakar lunga use jab jab woh nikalne ka chesta bhi karega.....
apne baato ko pura karne ki baad phir se kumar hasta hain,
Rajrani apne andar khoyi huyi thi....sab bahar ki bato ko raheet ho kar...aur
rajkumar phir se use satane ki chesta ki
Rajkumar: kaise lag raha hai?
Rajrani ne aab rajkumar ke akho me jhanka aur kaha---achchha lag raha hain.
Rajkumar ke ankh ghane hote raha---kya?
rajrani sharma gayi..aur kahi---tumhe..
Rajkumar: main yaha ka prakritik soundarya ki bareme keh raha tha.....
Rajrani ne apne mugdha nayan se Rajkumar ko dekhte huye uttar diya---sundar
hain..
Rajkumar ne phir se muskuraya aur kaha--kya sundar hain?
Rajrani Rajkumar ke andar khoyi huyi thi.....woh waise hi kahi---tum.
Rajrani Tarika ki beetabi se rajkumar ko bari anand mil raha tha......
Rajrani Tarika nuaka ke andar se lehrata huya hrad ke paani se khel rahi
thi.....aur shararat se Rajkumar ke upar bhi kuchh chhirak rahi
thi...achanak........................................ woh apna santulan kho
baithi.......aur..........paani ki andar geer
gaye.........ahhhhhhhh...Rajkumar....bachaiye.......bachaiii yeeeeeeeeee......
aaaaaaaaaaaa....Tarika waked up with heart rending wail.....& then realised
it was a dream....the book was just beside her pillow & she was reading a
fairy tale last night....--oh God it's eight in the morning, kya ho gaya
mujhe.....itna gehra sapna dekh rahi thi..ke....neend tak nahi tuta....
office jana hain..chal Tarika ...jaldi kar.
She was rushing towards Forensic lab & just outside the door she was
just..... stumbled against........Daya!!!
Daya: Hi, Dr.Tarika, Good morning.
Tarika didn't answer but smiled mysteriously & then let out a belated
greet--- good morning to you too,
Daya was about to go but... he stopped as Tarika was speaking
---aiseeeeeee....jeet yuvraj uday ko nehi.......balki.rajkumar Daya ko hi
huya hain......
Daya was totally stupefied & nonplused & could only let out---jee???
Tarika again smiled mysteriously & turned back to go away..but Daya was
riveted there..as he couldn't understand not a single word of dr.Tarika...he
was thinking if Tarika made a joke in this lovely morning...& suddenly Tarika
came back...& this time just infront of him & again said---Rajkumari ko jo
jeet te hain........jeet usi ki hote hain....she glanced obliquely at him &
then turned back & went on to enter into forensic.
Daya gawped for a while & then shrugged & started to nodd his face to think about Tarika's sly comments to flirt with him......& went towards ACP's cabin with the forensic report
Edited by suchi_dev2006 - 17 years ago
2