Scene 1
The atmosphere in the bureau is really tensed. They working on an NRI Vansh Vardhan's murder case. Vardhan was a multi millionaire born and brought up in India. But settled in USA. He was amongst the 100 richest people in the world. He has come to India to fund a anti terrorism project along with Indian Government. He had already received a lot of threats to avoid such funding but he refused to listen. After finishing his meeting with the ministers in Delhi he came to Mumbai for some official meetings with certain Indian corporates however when he reaches Mumbai, he is killed outside Mumbai airport. ACP Pradyuman is in Delhi over an important defense meeting. It's up to Abhijeet to lead the case and nab the culprit.
Vardhan is killed in a Bomb Blast. His car was blasted few kilometers away from the airport. The car had a bomb attached. Special Task Force was responsible for his security however in this blast some courageous STF officers died along with Vardhan and his driver. Purvi and Freddy came up with the information that the car directly came from Mintoo Auto Garage. The mechanic who was suppose to service his car is found dead few kilometers away from the garage. He is killed by strangulation. There is no evidence found about his murder.
All the evidences are scattered on the table. Everyone is busy trying to find certain information. Daya finishes a call. He is observing Abhijeet who is constantly staring at the evidences scattered on the table. He is analyzing the photographs of the blast car and Dead body of the mechanic. However his mind is roaming somewhere else. Daya could sense it.
Daya: Sachin, Freddy, Saare Evidences file kar do aur ek initial investigation report banao. (While he is talking to Sachin and Freddy he focusing on Abhijeet from the corner of his eye) Umm main aur Abhijeet filhaal ghar jaa rahe hai... Koi baat ho toh phone karna... (Moves towards Abhijeet) Boss.. Kuch pata chala?
Abhijeet: umm (chucks) kuch nahi, kuch bhi toh pata nahi chal raha hai naa yaar...
Daya: Accha chalo ghar chalte hai...
Abhijeet: kya baat kar rahe ho? Abhi itne crucial case ki beech tum ghar jaane ki baat kar rahe ho?
Daya: (smiles) Rest karne ki baat kar raha hoon yaar... Pichle do dinon se hum soye nahi hai... Iss liye dimaag kaam nahi kar raha hai... Thak gaya hai Boss... Thoda dimaag ko rest denge to shayad koi aise baat nazar aaye jo ab tak nazar nahi aa rahi thi... Hmm?
Abhijeet agrees. Duo leave for their home. Daya notices calm yet disturbed Abhijeet.
Daya: Kya baat hai boss? Kya baat hai jo tumhe itna pareshaan kiye jaa rahi hai?
Abhijeet: (smiles) meri bechaini tum se chupti nahi hai, Hain?? ... Khair... Daya ye case... Pata nahi mujhe aisa kyun lagta hai jaise... iss criminal se main pehle bhi deal kar chuka hoon... ye jurm karne ka tarika kafi had tak jaana pehchana hai...
Daya: Matlab?
Abhijeet: Matlab kya hai! Mujhe bhi nahi pata! Aur jab tak pata nahi chal jaata yeh bechaini toh aisi hi rahegi...
The car halts near Abhijeet's house... Abhijeet gets down... Daya wanted his buddy to relax
Daya: Boss! Ek cup chai pilaoge kya?
Abhijeet smiles and motions Daya to get into the house... Daya parks the car and enters the house... Abhijeet enters the kitchen and and starts searching for something...
Abhijeet: Tumhare liye Green Tea lekar aaya tha... Bagal wale kamre me table par rakhi hogi... Zara lekar aao naa
Daya nods and enters next room...
Daya: (shocked) Woooh yeh kya hai Boss?
Abhijeet enters the room, the room looks messy with lots of things scattered here and there.. He just laughs...
Abhijeet: woh bahut Dino baad chutti mili thi toh ghar ki safai kar raha tha... Tabhi yeh mahine ka saman bhi aaya tha pass wali dukan se (pointing at the supermarket bag) sub kuch sameet ke rakhta uss se pehle tumhara phone aaya Vardhan ki Maut ho gayi hai blast me... Toh sab bas yahi reh gaya...
Daya: (looking at the heap of dairies) yeh kya hai? Wahi case details wali daires toh nahi...
Daya knew Abhijeet had a habit of writing notes about every case while he was solving it. It gave him a clear picture of the crime...
Abhijeet: (laughs) haan wohi hai...
Daya: 2013, 12, 11... Baapre yeh toh bahut saari hai... Aareee 2000 ki dairy 14 saal poorani dairy tum ne ab tak rakhi hai? Baapre...
Abhijeet: haan rakhi toh hai (winks) Criminals ka lekha jhoka hai aise phenk toh nahi sakta naa...
Daya: (flips the dairy) Aaree Boss yeh Dairy padh ke toh poorani yaadien taaza ho gayi... Yeh dekho yeh woh highway robbery wala case... Yeh toh woh churayi hui gaadi ka case... Kaise tumne woh Bomb defuse kiya tha... Aaj bhi yaad aata hai toh romte khade hi jaate hai...
Abhijeet: (embarrassingly smiles) Accha ab chalo chai peene... (Picks up Green tea Packet from the table)
Daya: Ek min... ek min boss... Yeh kya hai? Iss page pe tumne red mark bana ke likha hai Unsolved...
Abhijeet: Dekhu kaunsa case? (Keeps green tea packet back on the table and takes dairy from Daya's hands just runs his eyes over the details) Dekha maine kaha tha naa... Case jaana pehchana hai... Ye dekho... American citizen Wilcox ki jaan humne bachayi thi... Yaad hai...
Daya: haan yeh wahi case hai naa jis me uss terrorist Vasudev ne Southern Times akbaar ka Farzi office khola tha...
Abhijeet: ye dekho (shows the dairy)
Daya: Uss ne Mechanic Baldev ke zariye Wilcox ki gaadi me bomb fit karaya tha... Aur uss ke office me kaam karne wali ladki, Neena uss ki jaan lene ki koshish ki thi... (Recollecting) Mujhe yaad hai yeh ladki mujhe hi mili thi sunsaan raaste par ek gaadi ki dikkie me...
Abhijeet: aur ab Iss case ko dekho... Vardhan ki gaadi ke neeche bomb ka lagaya jaana... Woh Mechanic Raj jisne Vardhan ki gaadi service ki thi uss ki maut ho jaana...
Daya: Tumhara matlab hai Vasudev wapis aa gaya hain?
Abhijeet: Shayad...
Daya (phone rings) haan Purvi... Accha!! Hum aatee hai... Tum bureau pohoncho...
Scene 2
Sachin is working on the initial investigation report when Dr. Salunkhe enters.
Dr. Salunkhe: Aaree Sachin! Akele kaam kar rahe ho? Tumhare Seniors kahan hai?
Sachin: Sir woh
Dr. Salunkhe: Chutti lekar ghar chale gaye kya? (Laughs)
Duo enter
Abhijeet: Aap ke rehte hume yeh sunehara avsar mil sakta hain Salunkhe Saab? (Winks at Daya)
Dr. Salunkhe: Kya Matlab?
Abhijeet: Matlab Dr. Saab aap kaam kare aur hum aaram aisa ho sakta hai kya?
Daya: haan... Hum log toh chai peene gaye the... Aap bataiyee aap bureau me kaise?
Dr. Salunkhe: Mujhe Raj (mechanic) ki maut ke baare me kuch baatien naye sirre se pata chali hai so batane chala aaya...
Sachin: Kya pata chala sir?
Dr. Salunkhe: Raj ki maut bomb blast ki subah nahi hui balki raat ko hui thi...
Daya: Kya? Aap ka matlab bomb blast se pehle?
Dr. Salunkhe: haan Daya... I am sorry mera andaza chook gaya...
Abhijeet: Par yeh aap ko kaise pata chala sir?
Dr. Salunkhe: Tumhe yaad hain maine kaha tha ki Raj ki maut dum ghootne ki wajah se hui hai... Zara Raj ke dead body ke photographs dena Sachin... (Sachin passes the photographs, pointing at the neck of the dead body) yeh dekho... Iss ke gale pe jo patli patli lines hai... Hume lag raha tha ki yeh shayad kisi patli rassi ke nisshan hai... But hum galat the... Yeh kisi rassi ke nahi snap bag ke nishaan hai... Tumhe yaad hai... Hume Raj ke haat paav par tape lagi hui mili thi... Saath hi Raj ke shareer se sedatives ke ansh bhi mile the...
Daya: Aap ka matlab hai... Humara yeh andaza ki Raj ko kidnap kiya gaya aur fir Mara gaya galat tha...
Dr. Salunkhe: Asal me huva aise hoga... Raj kisi aise se mila jise woh jaanta tha... Uss ne Raj ke drinks me dhoke se sedatives milayi aur fir jab woh behosh huva tab uss ne Raaj ke haath pav tape se bandhe.. Aur Snap bag uske sir par daal diya aur lock kar diya... Jis ke wajah se uska dum ghoota aur woh mar gaya! Maut ke baad uss ne tapes aur snap bag nikal li... Aise cases me time of death pata lagana thoda mushkil hota hai... Par ab calculate kar ke pata chal gaya..
Sachin: Par sir Raj ke mobile location ke mutabik toh woh Raat ko garage me hi tha... Toh kya uska khoon garage me huva hai? Aur maut ke baad katil usse garage se bahar le gaya?
Daya: Baat sirf itni hi nahi hai Sachin, woh aadmi jisne Raj ko maara usee Raj jaanta tha... Aur agar humara shaq sahi hai toh... Raj ne yeh kaam apni khushi se paison ke liye kiya hai... Bas usse andaza nahi tha ke woh log usse maar bhi sakte hai...
Purvi: (enters) Sir,
Abhijeet: haan Purvi baato kya pata chala...
Purvi: Sir, Woh mobile number jo Raj ki call list me uske maut se do din pehle baar baar dikh raha tha uska pata chal gaya hai...
Daya: Kiska number hai?
Purvi: sir woh number chori ka hai... Mr. Swaminathan ka... Yeh dekhiyee... (Shows a file) sir ye unki complaint copy aur yeh hai unka IMEI number... Sir tajoob ki baat yeh hai Iss phone me ye Sim Card ded (1.5) din ke liye operate ho raha tha... Phone chori hone ke baad use deactivate hone me 12 ghante lagte hai, isi chiz ka fayda uthaya gaya... Yeh wahi number hai sir jisse Raj ke saath woh aadmi poore ek din tak touch me tha uss ke maut se do din pehle... Us ke baad uss ke baad Iss mobile me yeh Sim Card dala gaya sir (pointing at next number) yeh woh number hain jis se Raj ke maut se ek din pehle tak woh touch me tha aur fir woh last message jo Vardhan saab ke mobile pe gaya tha... Uss ke baad woh card out if service ho gaya...
Sachin: Woh phone abhi bhi use ho raha hai?
Purvi: Yes sir... Woh phone pass ke hi slums ke Pinku naam ke 15 saal ke baache ke pass hai...
Sachin: (shocked) Baccha?
Purvi: haan sir... Pehle toh main local police ko saath lekar gayi thi usse pakadne... Par woh SI Pandey uss bacche ko torture karne laga Iss liye maine aur Freddy sir ne uss baache ki custody le li... Freddy sir usse le kar aaa rahe hai...
Freddy (enters with Pinku) aaa rahe hai nahi aaa gaye... (Takes him to the interrogation room) Aaja beta baith jaa...
Daya: Iss ka kehna kya hai?
Purvi: Sir yeh kehta hai ki isse phone basti ke pass wali sadak par pada hua mila... Aur isse kuch nahi pata...
Dr. Salunkhe: Abhijeet, agar meri zarurat ho toh main lab mein hoon...
Abhijeet still lost in thoughts
Daya: Kya Baat hai boss? Kya soch rahe ho?
Abhijeet: Daya, agar yeh attack kisi terror group ne kiya hai! Toh tumhe such much lagta hai woh yeh IMEI number wali baat bhool gaye hoonge? Ab yeh baat rocket science toh rahi nahi... Baccha Baccha jaanta hai IMEI number se Sim ka pata lagaya jaa sakta hai...
Daya: tum kehna kya chahate ho?
Abhijeet: Aaree... Khair pehle interrogation kar le?
Everyone heads towards interrogation room...
Abhijeet: Pinku, Paani piyoge beta? (Boy nods disapprovingly) Tumhe pata hai hum tumhe yahan kyun laaye hai?
Pinku: Saab main police ko bhi bata chuka hoon...woh phone mujhe basti ke pass pada mila kal shaam ko...
Daya: kitne baje?
Pinku: cha.. cha... Char baje...
Purvi: Accha? Tumhe phone Char baje mila aur tumne naya Sim uss me 4.15 baje dala? Sim lekar tayyar the? Tumhe pata tha tumhe yeh phone milne wala hai?
Pinku: Sorry yaad aaya chaar nahi teen baje mila tha...
Freddy: Par beta yeh Sim toh tumne chaar din pehle kharida tha naa... Bas activate do din pehle karvaya... Kyun?
Pinku: Maine woh aahhh aahhh
Daya: achha woh sab chodo Tumhe pata hai... Vardhan Saab jinke maut bomb blast me hui thi Airport ke pass.. Unke mobile par aakhri message tumhare mobile se gaya tha... Iska matlab samjte ho? (Boy is scared now) Sarkari wakil ko yeh sabit karne me waqt nahi lagega ki bomb tum hi ne fit kiya hai... Aur khoon ki sazza toh tum jaante hi ho... Zindagi bhar ki jail...
Abhijeet: Ab tumhe sochna hai ki kisi aur ke jurm ki sazza katoge ya hum se sach bol kar apna bhavishya banaoge???
Pinku: Main batata hoon sir... Main trains me bheed ke dauran logon ke mobile churata hoon... Kuch din pehle jub main ek aadmi ka mobile chura raha tha toh uss ne mujhe pakad liya... Fir police station le jaa raha hoon keh kar platform par le gaya...Aur kaha mujhe ek mobile churana hai... Woh chura ke mujhe use Dena hai... Woh do din tak istemaal karega fir mujhe lauta dega... Fir mujhe wahi istemal karna hai... Uss ne mujhe Sim Card bhi lekar diya... Aur kaha ki mujhe yeh handset hi use karna hai... Issi wade par uss ne mujhe 10000 rupayee diye... Maine wahi kiya jo uss ne kaha...
Purvi: tum bata sakte ho woh kahan milega?
Pinku: naahi, dono baar woh mujhe Andheri station ke pass mila...
Sachin: Tumne usse dekha tha naa? Uss ka sketch banva sakte ho? (The boy nods) Main sketch artist ko bulvata hoon...
Purvi: Sir par uss ne aisa kiya kyun hoga? Aapne aap ko pakadwaneki koshish hai yeh toh...
Daya: Chunauti de raha hai Purvi CID ko chnauti de raha hai...
Sketch artist: Sir Sketch ready hai...
Everyone watch the sketch
Abhijeet: Yeh Vasudev hai Daya... Main ise kabhi nahi bhool sakta... Yeh wahi hai Daya...
Daya: Matlab Vasudev sachmuch wapis aa gaya hai...
Scene 3
Pinku is taken to the custody by Purvi as Abhijeet still fears that Vasudev might attack him... Sachin and Freddy are analyzing the sketch with old criminal. Daya and Abhijeet are discussing the case...
Abhijeet: Ab tum samjhe! Yeh IMEI number yeh ladke Pinku ke saamne aana aur woh bhi uss hi roop me jis roop me yeh Vasudev mujh se mila tha... Yeh sab kuch...
Daya: ek trap hai?
Abhijeet: hmm ya toh trap ya Challenge...
A voice: kya main andar aa sakti hoon?
Duo, Sachin and Freddy turns towards the door and to their surprise its Asha...
Freddy: Asha tum? yahan? kaise?
Asha: Woh ACP sir bata rahe the... Tum mujhe bahut miss karte ho... Toh bas tum se milne aa gayi...
Daya: Asha mazak chodo yaar... Batao tum yahan kaise?
Asha: Aaree matab aap log sach me mujhe miss nahi karte? (Makes a sad face)
Abhijeet: (annoyed) Asha yaar...
Asha: okay okay... Batati noon Naraz mat hoyiye sir... Woh yahan ki saari team specialized training ke liye Delhi me hai aur ACP sir defense meet me... So ACP sir ne Delhi ke commissioner Rathiji se request ki kuch officers ko Mumbai bhejne ke liye... Mera purana record aur aap logon ke saath ki tuning dekte huve mujhe yahan bhej diya...
Purvi: Aur Iss liye bhi kyun ki you are the best Ma'am
Asha: (laughs) ohhh Really? Thank You dear.. (Shakes hands with Purvi) By the way case ki kya development hai?
The team explains her all the details. Daya also reminds her about the Vasudev case.
Sachin: Ek kaam karte hai sir, hum uss jagah par jaate hai jahan iss Pinku ko Vasudev mila tha...
Abhijeet: Theek hai chalo...
Duo, Freddy and Sachin along with Pinku leave for Andheri Station while Purvi and Asha are still in the office. They are studying the initial investigation report. Meanwhile something strikes Asha she asks Purvi to do something Purvi leaves while in sometime All the four officers return with a CD...
Daya: Aaree Asha Purvi kahan hai?
Asha: Batati hoon... Pehle tum batao kuch pata chala?
Abhijeet: (laughs sarcastically) yeh CD mili hai... Jahan woh Pinku se mila wahi pass me Axis bank ka ATM tha... Wahin se yeh CD mili hai.. jisme woh saaf nazar aa raha hai... Itna hi nahi Camera ki taraf dekh kar has bhi raha hai...
Purvi enters with some files
Daya: yeh kya? yeh kaunsi files le kar aayi ho Purvi?
Asha: yeh Wahi Wilcox wale case ki files hai... Aap logon ko yaad hai? Wilcox ko bachane ke baad hum iss case ko further investigate kar rahe the jiss me hume Southern Express ke office se hadbadahat me chooti yeh kuch files mili thi... Neena ne hume bataya tha ki yeh woh press releases hai jin ke reports bana kar Neena Vasudev ko diya karti thi... Maine socha ek baar isse naye sirre se dekhte hai shayad kuch pata chal paaye... Waise bhi uss waqt hum isse study nahi kar paayee the aap ko yaad hai achanak ek khoon ka case aa gaya tha...
Abhijeet: theek hai dekhte hai...
Purvi scatters the file on the table, one by one each officer pick up a file.
Sachin: yeh toh aam si PTI reports lagti hai...
Daya: Aam nahi Sachin, Khaas hai... Gaur se dekho... lag bhag saari reports Bomb explosions ya bomb diffusions se related hai yeh dekho...
Purvi is shuffling the papers when a chit fall downs near Abhijeet's feet.
Abhijeet: (picking it up) Yeh kya Hai? (Opens it and reads it aloud) Sr. Inspector Abhijeet... Kehte hai tum bahut Smart aur Sharp officer ho... Par yeh sach nahi hai... Agar hota toh main tumhare haathon se bach kar nahi nikalta woh bhi do baar... (Keeps the chit on the table) Do baar? Kab? Daya kya tumhe yaad hai... Kya hum Iss se pehle bhi deal kar chuke hai?
Daya: (chuks) Naa... I don't think so... Purvi iss ke sketch ko database se match kiya?
Purvi: kiya sir... Par Wilcox wale case ke alava koi results nahi...aur woh sketch bhi toh Abhijeet sir ne hi banvaya tha... Asha ma'am bata rahi thi...
Freddy: Sir ho sakta hai yeh Vasudev Abhijeet sir se uss hadse se pehle bheeda ho?
Asha: Possible Matlab Abhijeet sir ki yaadasht jaane se pehle... Ek kaam karte hai 1990 se lekar 1997 tak har woh case study karte hai jis me Abhijeet sir ki involvement thi...
Abhijeet: Nahi... Yeh bahut time consuming hoga...
Daya: par ek baat meri samaj me nahi aati yeh chit uss ne file me daali kab hogi?
Purvi: (trying to recollect) Shayad tab jab meri takkar uss aadmi se hui thi... Main headquarters se saare details lekar aa rahi thi tab car ke pass uss se takrayi thi... Files giri thi mere haath se aur uss ne mujhe uthakar bhi di thi... Ho sakta hai shayad tab...
Asha: Tumne dekha tha usse?
Purvi: haan ma'am par clearly nahi... Par jitna yaad hai main sketch banva sakti hoon..
Abhijeet: theek hai magar hume uss se bahar jaane se pakadna hai... Iss case pe pehle gaur karte hai... Hum yeh maankar chal rahe the ki kisi ne Raj ko wahan Malad ke pass wale jungle me bulaya aur maar diya... Issi liye hume Raj ki Activa bhi waha mili... Par Raj toh ek raat pehle mara shayad apne garage me hi aur usse uss Activa me hi rakh kar laya gaya hoga...
Daya: shayad bori me bhar kar... Katil hume yeh jataneki koshish kar raha tha ki Raj ko wahin mara gaya hai Iss liye Activa bhi wahin chod di.. Ek kaam karte hai Activa dobara check karte hai...
Sachin: ek aur baat sir Raj ka mel jol achanak ek aise shaqs se hone laga tha jo kuch theek nahi tha... Achank uss ke pass bahut paise bhi aane lage the... Aur uss ka holiya lagbhag Iss Vasudev se milta hai... Shows a sketch.. Humne uss ka sketch saare police stations internet or akbaaron me pehle hi de rahka par ab tak koi result nahi hai...
Asha: Iss initial investigation report Raj ki maut wale din ki saari gaadiyon ki list hai... Par inn me se ek gaadi abhi tak track nahi hui hai?
Freddy: Woh black Scorpio naa? Woh nakli number plate ka case hai...jo gaadi ka number hume diya RTO office ke anusaar woh koi Zen hai Scorpio nahi... Kya pata uska color black hai bhi ya nahi...
Sachin: Magar fir bhi uss gaadi ko surveillance pe daal diya hai...
Abhijeet: Filhaal hum log woh Activa check kar ke aate hai... Kuch pata chale toh call kar dena... Chalo Daya...
Duo leaves... Rest are focusing on the case... Freddy still feels there is a need to search Vasudev from Abhijeet sir's past... He with Sachin still analyze the past records of Abhijeet related cases... Purvi primarily helps her sketch artist in creating the sketch of the man she had bumped while bringing old records from the headquarters. Asha then asks Purvi to match Vasudev's face with certain government records like Pan Card, Driving license, Passport, etc... Meanwhile she takes the chit they have got to Dr. Salunkhe for fingerprint analysis...
In the Forensic Lab
Asha: kya main andar aa jao Doctor saab?
Dr. Salunkhe: Aaree Asha tum yahan?
Asha: ji woh ACP sir ne bhijwaya hai... Staff kum hai aur case crucial hai naa Iss liye... Khair...
She explains Salunkhe what happened and hands over the chit for fingerprint analysis... He matches but fingerprint doesn't match...
Meanwhile duo reach Raj's house his parents provides them with Activa keys... Duo are checking the bike now
Abhijeet: Iss par se fingerprints uthane padenge... Isse CID Garage le chalte hai... Chalo...
Daya is about to sit on it when he notices a paper coming from the driver seat... He pulls it off...
Daya: lo Boss tumhare naam ek aur sandesa... (Opens the chit) abhi bhi humari pehli mulakat ko yaad nahi kar paaye Sr. Insp. Abhijeet? Kisne tumhe CID officer banaya? Khair main hi yaad dilata hoon... Main wahi jisne tumse tumhari duniya hi begani kar di... Yaad Karo Abhijeet kaise maine tumhe haara kar... Maar Maar kar... (Halts) uss gaadi me daala tha! Yaad Karo! (He is about to crumble the paper when Abhijeet takes him from his hand)
Abhijeet: Iss par se finger prints mil sakte hai yaar... Thande dimag se kaam lo... Yeh hume issi tarah chidana chahata tha... Par hume use harana hai... Her kimmat pe harana hai... Chalo pehle CID garage chalte hai...
Scene 4
In the bureau Sachin and Freddy is still working on Abhijeet's past cases. Purvi has finished with her identification analysis which had no results and finally is now working on some terrorist relevant search with Asha... She finds some names and wishes tell them to Abhijeet...
Duo had just reached near the Bureau...
Abhijeet: Daya tum yeh bike CID garage le jao main yeh chit Salunkhe saab ko dekar aata hoon...
Daya nods while Abhijeet reaches lab
In the lab
Abhijeet: Doctor saab...
Dr. Salunkhe: Aaree Abhijeet... Kuch pata chala kaun hai jo tumhe challenge kar raha hai?
Abhijeet: Nahi Doc saab Abhi toh nahi... Par ek aur chitthi mili hai... (Recites entire Activa incident near Raj's house) aap ko woh Activa bhi check Karna hogi...
Dr. Salunkhe: (opening the chit) iska sambhandh toh ussi case se hai...
Abhijeet: ji Doctor saab... Aap ko uss case ke baare me kuch yaad hai?
Dr. Salunkhe: (while picking up the finger prints) Nahi Abhijeet Yeh toh April 1997 ki baat hai naa! Un dino main Mumbai CID ke saath kahan kaam karta tha?
Abhijeet: (disappointed) Okay Doc saab
Dr. Salunkhe: yeh finger prints records me toh nahi hai... Pehli wali chitthi pe hume 3 set of fingerprints mile hai uss me se ek se match karte hai...
Abhijeet: theek hai Doc saab... Thank you... (He moves to leave)
Dr. Salunkhe: Abhijeet
Abhijeet: ji Doc saab??
Dr. Salunkhe: Khayal rakhna yaar...
Abhijeet smiles, nods and leaves...
Duo enters bureau...
Purvi: Sir mili Raj ki Activa?
Daya: haan mili! CID garage chod kar aa raha hoon...
Freddy: Par sir aap dono itne tension me kyun ho?
Daya: Ek aur chitti mili hai!!
Asha: ek aur?
Abhijeet: (laughs sadly) haan ek aur... Aur yeh shaqs mere ateet se juda hai...
Sachin: Matlab?
Daya: Matlab Abhijeet ka woh accident jis ki wajah se woh apna ateet bhool gaya... Jis ne woh accident karvaya yeh wahi hai...
Everyone shocked...
Asha: tumhara matlab Vasudev wahi shaqs hai jisne 17 saal pehle Abhijeet sir ke saath woh...
Abhijeet: haan lagta toh kuch aise hi hai... Khair kuch pata chala?
Purvi: Sir, Yeh uss aadmi ka sketch hai jo headquarters ke bahar mujhse takraya tha... (Shows Sketch) par records me nahi hai...
Asha: aur ek cheez pata ki hai humne... Hume pata hai ke Vasudev Explosion expert hai... Kabhi pakda nahi gaya Kya pata Vasudev uska asli naam hain bhi yaa nahi. Iss liye maine apne intelligence ke dosto se similar profile ke terrorists ka pata kiya hai jo 2000 se 2014 tak aaaye aur ubhare hain... Well kuch terrorist organisations ka pata chala hai Aur saath hi ek aise terrorist ka pata chala jo bilkul Vasudev jaisa hi lagta hain... Yeh Akele operate karta hain... Iska success rate 99% bataya jaata hai yaani issne jitne bhi missions liye unme se 99% successful rahe hai...In 14 saalon me yeh ek badi terrorist organisation ke barabar ka mana gaya hai... Waise toh iss ke kai naam hai.. Magar Terrorism circle me isse kai naamon se pukara jaata hai ... Koi isse Haydes (Greek god of death) kehta hai, koi Maut ka Farishta toh koi Yamraj... Iska khauf bahut mashoor hai sir... Pichle kuch saalon se yeh kai jagah ghoomta raha hai... Mujhe seriously lagta hai yeh hai woh jisse hum dhoond rahe hai...
Abhijeet: Theek hai Asha tum apne intelligence ke doston se aur madat lekar pata karo iss gumnaam shaqs ke baare me kuch aur pata chalta hai kya! Sachin tum aur Purvi humare khabriyon ke network ko activate karo... Agar yeh Banda yahan India me kisi mission pe aaya hai aur toh zarur kuch log hire karega apna kaam nikalvane ke liye... Dekho kuch pata chalta hai ya nahi..
As everyone get to work and Abhijeet is flipping the file absentmindedly. Daya approaches him
Daya: Mujhe pata hai tum kya soch rahe ho!
Abhijeet: Daya, kya uss case ke baare me maine tumhe bhi kuch nahi bataya?
Daya: (laughs) tab main ek sub inspector tha aur tum Senior Inspector.. Aur tumhe toh pata hain tab main thoda kam hi bolta tha...
Abhijeet: (raising an eyebrow) Toh kya tab tum mujhse darte the?
Daya: (laughs) Kya boss tum bhi! Khair... Uss waqt tumne mujhse saari Baatien nahi kahi thi... magar... Kuch details share ki the... Aur kaha tha jub poora saboot haath me aayega toh uss terrorist ko expose karoge... Darasal baat 17 saal poorani January 1997 me hume tip mili thi ke Mumbai me ek bahut hi bada Bomb blast hone wala hai... 1993 ke bomb blast aur riots ke baad hume double alert rehna tha... Tabhi khabar mili ki Golwadi me ek bahut bada mela laga hai jahan lagbhag aadha sher maujood hai.. Investigations aur tumhari sooj bhooj se hum Golwadi pahunche aur bomb defuse ho gaya magar mujrim ki kismat kaho yaa humari badkismati hum uss mujrim tak nahi pahunch paayee... Case lagbhag closed tha... (Ref: Stolen Dynamite) Fir bhi tum iss case par underhand kaam kar rahe the... tumhe kuch baatien pata chali thi jin me se kuch details tumne mujhe bhi bataye the.. Mujhe yaad hai uss hadse se theek do din pehle tumne mujhse kaha tha ki tum uss mujrim ko Kanoon ke samne le aaoge... Jub tumhare us khabri ka phone aaya tabhi bhi mujhe laga ki koi gadbad wali baat hai... Par tum maane nahi... khabar lene uss bar me chale gaye... Main bhi tumhare picche aaya tha par... tumne mujhe daant diya ki khabar lene tum akele hi jaaoge... Tumhare picche koi nahi aayega...(In moist Voice) Kaash uss waqt maine tumhari baat naa maani hoti yaar... Tum gaye.. Fir woh goli ki awaz aur fir tumhara kidnap... Aur fir 5 din baad tum mile ussi gaadi me jiss me tumhara kidnap huva tha uss Gorai bridge par.. (Daya becomes sad while Abhijeet just pats on his back, smiles and nods his head)
Abhijeet: Accha, Kya woh details abhi bhi tumhare pass hai?
Daya: Ofcourse hai! Tumhare life ka itna important case hai Yaar... Infact Tumhare CID join krne tak yaani kul 2 saal tak unn details ke zariyee jo tumne mujhe diye the maine Uss mujrim tak pahunchne ki bahut koshish ki par... (Sad Tone) kuch bhi nahi kar paya...Khair... Tum Chalo mere saath mere ghar... I'll give you the details...
Abhijeet: (loud enough so that eveyone could hear) Main aur Daya kisi kaam se bahar jaa rahe hai... Thodi der me laut aayenge..
605