*~H.G.O.R.C. #546~*- $~Invites Only~$ - Page 34

Created

Last reply

Replies

1k

Views

22.6k

Users

4

Likes

149

Frequent Posters

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

main na duniya se thora alag sochta hoon, main jab kisi se pyaar karon ga, wo bete wala ho, bhai wala ho ya koi bhe to koi kami rehne nahi deta, jo main kar sakta hoon os se zeyada karne ki koshish hoti hai,

koi matlab nahi hota, bus dil se karta hoon, or badle me yehi chahta hoon ke samne wala zeyada nahi bus 5 % he mujhe thora sa pyaar de wohi kafi hai...


mere dost bhe zeyada nahi, internet ki duyniya main maloom hai mere friends kon kon se hain? is CC ka 1st page dekh lo wohi hain mera sab kuch❤️ main chahta to 1000 bana leta, but kya zaorat thi on ki,? jo mile wohi dil ke kareeb hain ke on ki jaga koi le nahi sakta...

isi liye to Ap se kaha tha ke Ap pehli insaan ho jin se itni achi or jaldi dosti ho gayi warna main eysa karta he nahi.


or mere itna pyaar dene ki waja se mere friends mere bina rehte nahi.. meri Sis ki beti hai wo daily baat karti hai os ko nend nahi ati... jo pyaar kiya main ne wo wapis bhe milta hai, lekin har taraf se nahi. lol

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox

Aapki baatein sunke lagta hain aapke dad bohot hi jyda caring hain jinhone life bohot ache se dekha hain isiliye self made person jaise laga. Aapki parvarish bohot achi hain Ansar. Aap khud apna kaam karte ho bohot badi baat hain.


Apne apne dad ka naam roshan hi kiya. Jo log aap se interact karte hain woh toh definitely khush naseeb hain. Jab mauka mile aap bhi apne dad k liye kuch karlo aap. Unke saath time spend karna unko bhi acha lagega. :)


bohot zeyada. main ne kisi ko kisi ki itni care karte dekha he nahi kabhe. You know mere Dad ko meri Mama ne pasand kiya tha, lool pyaar ho geya tha on ko or dono mil gaye. or on ki akhri sans tak wo khush thin :) jo kabhe fight nahi karte they onhon ne happy he hona tha na, lol


main indonesia main khud karta tha, mujhe addat hai, meri sis kaha karti thin ke bhai tum ne bhabi ko kharab kar dena hai apni harkaton se, lool.


indonesia main to cooking karne ka 1 or reason bhe tha, mujhe na dar lagta hai anjaan logon se ke pata nahi ye kese banayein ge khana, mujhe eysa lagta hai ke shayed wo log hand bhe wash nahi karte honge jo pese kamane keyliye eysa karte hain, sab 1 jese nahi hote but maybe.. main na safai ka bohot kheyal rakhta hoon, cooking karon to har step ke baad hand wash karta hoon. or kya karna main to tea ke baad hand wash karta hoon, lol os se kon sa hath gande hote hain :)


mere sath jo insaan bhe raha na os ko koi problem nahi hoi kabhe, bus 1 cheez ka kheyal hota hai ke room ki seting kharab nahi karni, or jo cheez jis jaga pe rakhni hai wahan he rakhni hai warna mujh se bura koi nahi hota.


Dad ki tarhan meri bhe addat wesi he hai, juice/water kuch bhe chahiye kisi se nahi kehta apna kaam khud karne ki adat hai na,

main to kapre bhe khud press karta tha or Mama kehti thin ke ye kaam to mujhe karne do :x

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox

Apne apne dad ka naam roshan hi kiya. Jo log aap se interact karte hain woh toh definitely khush naseeb hain. Jab mauka mile aap bhi apne dad k liye kuch karlo aap. Unke saath time spend karna unko bhi acha lagega. :)


funny baat hai main na Mama se kaha karta tha jab mere bache honge na to main ne on ko ulte kaam sikha dene hain, wo bahir ja kar larkiyon ko chera karain ge or mera naam roshan hoga, lool,

or mujhe kaha kartin thin tum ne zindagi main koi seedha kaam kiya hai jo agey ja kar karoge acha koi?lol


wo log nahi main khush naseeb hoon ke mujhe ache log mile , insaan ke paas kuch bhe ho dost ache hone chahiye Sandy jee, becoz wohi on ki pechaan hoti hai...


wo kuch karne dain to na :( kaha to hai wo abhe bhe kehte hain main hoon na beta jani :( bhala ab main kya karon :(

wo abhe maan nahi sakte warna on ko kehta Ap USA a jao. lol dekhta hoon shayed maan jayein :)

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox


Actually main bhi yeh yakeen karti hu ki parents sabse ache friends hote hain. Main toh apne dad se baatein karti hu life ki jo bhi issues hote unko lekar. Mann halka hota hain.


Unse aapki takleef dekha nhi gya na isiliye sad hue. Bohot compassionate insaan hain aapke dad, acha laga sunke yeh aap bata rahe hain. Duniya main empathy, compassion bohot kum log dikhate hain. Woh kaise kum hain ? Jo emotions dikhate hain woh dusron ka dard toh thoda bohot samjh lete haina, toh aap main insaniyat kaise kum hain ?



bus or kya chahiye ager parents se Ap ki dosti ho to,? Ap bhe lucky ho then..


kese dekhte mera dard,? jitne bhe strong hain wo main on ka beta hoon mere ansu dekh kar on ka dil bhe sad ho geya tha,


ary insaniyat hai mujh me :) but mere Dad se kam hai, wese to bohot hai mere andar lekin mere Dad se bohot kam hai, jitna kuch wo karte hain main kuch nahi ,, mera ye matlab tha, lol

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox

Pata nhi bohot saalon se yeh adath hain, stress main neend jaldi aati hain. Baki time toh time lagta hain sone k liye lol. Hopefully aapko bhi neend jaldi ajaye, meditation kiya hain aapne ? Shyd usse kuch ho.

meri nend bohot ajeeb hai.. bus kya btaon Ap ko. or ager so bhe jaon to thore he time ke baad uth jata hoon. 3 hours ki nend bhe a jaye na to main khush ho jata hoon ke thank GOD nend mili thori si.

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox

Oh wow that's really cool. Kaunsa aap batao main bhi dekh lungi. Acha hain koi na koi kaam karna, mind fresh rehti hain. Meri IF main sirf aapse baat hoti rehti hain. Waise bhi bohot log gayab hain idhar.



wo app google play par bhe thi. abhe ka maloom nahi, kiyon ke jis ko di thi wo ullu hai koi 1 kaam theek se nahi karta, abhe bhe osi keyliye kar raha hoon ke kuch kar le woooo :x


ye 2011 se eysa he hai, jo karta hai phir mind change kar ke kahin or a jata hai, mujhe bhe ghuma raha hai sath sath.

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Cursed

ye dekho, or please kisi ko bhe na batana ok,


Nhi kisi ko nhi bataungi. Yeh coding mere samjh k bahar hain. Bohot saal hue c c++ bhi seekh ke.


Originally posted by: Cursed

wait, ye SS dekh lo ap ko yakeen ho jayega, KSA type kiya is me main ne is liye, :)



Haanji dikha aap ka hi hain.


Degree se nhi yaar iska logic samjh ayegi toh coding asan hogi. Byheart karte hain log program likhne ke liye exams pass jo hona jo hain lol. Agar logic samjh ayi toh time jyda nhi lagegi seekhne ke liye. Basics bohot important hain.



computer mera dost hai, mujhe tang nahi karta ye, jo seekhna chahon araam se samjh a jata hai :)

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox


Hardware ka bhi itna asaan nhi. Yeh software bhi aap jaldi se seekh loge. You're very intelligent.


wo to mujhe ata hai na is liye keh raha hoon, blv me ye main ne khud note kiya ke hardware zeyada hard hai yaar. software to mujhe bachon wala or boring kaam laga, main kisi ko target nahi kar raha khud jo feel kiya wo btaya, coding karna matlab kya kaam hova,? computer ke samne dimaag kharab karte raho,?


hardware ke kaam me main to kabhe pareshan nahi hova, ya eysa nahi hova ke dil na lage, main khushi se karta hoon,, but blv me hardware bohot mushkil kaam hai..


kuch saal pehle na 1 software engineer mere samne a geya jo German se degree le ke aya tha, main ne os ko rula diya tha almost, lol degree thi na os ke paas,? to samna karta mera :P


main khud ko kuch samjhta nahi but main ne na 18 se 19 saal mehnat ki is cheez me.. is liye main bohot kuch janta hoon, jab mujhe laga main ne sab seekh liya to main 2000 se piche geya, 1975 se le kar 2020 tak mujhe sab kuch pata hai. tab ki technology, MS DOS. windows 1 se le kar windows 10 tak. sab A to Z,



u know hazarron processors ki detail mujhe yaad hai, or 1 processor main bohot kuch hota hai, for expample,


mere paas laptop me intel 7820hk hai, abhe ye kya hai,? ye intel i7 2.9 GHZ hai, 7th gen ka processor hai, but ye is ki 40% he detail hai, or bhe bohot kuch hota hai, like is ko run karne keyliye kon sa mother board chahiye, kon si Ram chahiye, DDR 3 ya DDR 4,? right,?


or processor me kitne micro transistor hote hain,? kitne MB cache hai.

ye sab detail main ne 1 processor ki btayi or mujhe on sab ki maloom hai jitne bhe aj tak intel ne duniya ko diye, wikipedia pe ja ke list check karo Ap ka dimaag dekh kar he kharab ho jayega,


ye meir mehnat hai. mujhe itna kuch ata hai, lol

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

thora sa BRB ye kha loon, wo kya hai jab se maloom hova mera cholesterol level high hai kasams e eysi chezain khane ka man hota hai jis se or zeyada ho,❤️




Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sandbox


Yeh program likhne main jaan jaati thi 🤣 aap bol rahe ho aapko jyda nhi aata, definitely mujhse jyda aata hain. Lol ek hatfa ho ya ek mahina unko toh roz ka kaam haina, toh jaldi karne ki adath hain. Aap seekh rahe hain toh time bhi laga toh koi baat nhi.



Ap samjh he nahi sakian abhe tak mujhe, ager mujhe ata hova to bhe nahi bolon ga ke ata hai bohot. main bus thora sa he ata hai yehi kehta hoon hamesha, lol


ary nahi Ap samjhi nahi.. mera matlab tha ke jo coding main kar raha tha wo jo Ap ki pics send kin wo kisi software engineer ko dikha kar bus ye pucho ke os level ki coding seekhne keyliye kitna time lagta hai,? 1 din,? 1 month,? ya 1 year,? becoz mujhe pata nahi na ke main kis level ka hoon, lool bhe samjhin Ap,?


wese mujhe or bhe bohot kuch ata hai, wo phir dikhaon ga, pehle ye to clear karo,


ye na ho mujhe masters level ki coding share karni pare,,looool


Ap pehle in ka btao na phir main Ap ko apna talent dikhata hoon software main bhe :P jo show kiya os din wo to kuch bhe nahi :)


Sandy ager main kabhe kahon na ke mujhe computer ki koi cheez seekhni hai, ya koi eysi baat, to plz blv na karna, kabhe kabhe main dosron ka test lene keyliye ye show karta hoon ke mujhe kuch bhe nahi ata ya main khud seekh raha hoon ya seekhna chahta hoon, lol

Related Topics

Chat Clubs Thumbnail

Posted by: naadanmasakalli

1 years ago

TrollBaaaz Corner#57 (Invites Only)

This CC is for discussions regarding IB + idhar udhar ki baatein .. Rules: NO Discussion of any other Fandom allowed in This CC in regards to...

Expand ▼
Chat Clubs Thumbnail

Posted by: Forgotten-Toy

4 years ago

*~H.G.O.R.C. #550~*- $~Invites Only~$

Rules for this CC This is a "NO ENTRY" CC. Meaning, don't dare set your foot in here because we WILL NOT allow anyone else into our CC anymore....

Expand ▼
Chat Clubs Thumbnail

Posted by: Sumaiya27

2 years ago

Deewani Type Girls #7 (Invites Only)

Welcome everyone to the SEVENTH CC thread where will share our dewaangi as pankhis (fangirls) of our fav itv shows, fav actors and actresses...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".