Mausi : Arre beta, bas itna samaz lo ke ghar me jawaan beti seene par
pathhar ke sil ki tarah hoti hai. Basanti ka byaah ho jaaye
to chain ki saans loo.
Jay : haa sach kaha mausi aapne. bada bojh hai aap par.
Mausi : Lekin beta, is bojh ko koi kunwe me to phaik nahi deta.Bura nahi
maananaa , itanaa to poochhanaa hi padataa hai ke ladke
kaa khaandaan kyaa hai uske lachhchhan kaise hai, kamaataa kitnaa
hai?
Jay : Kamaane ka to ye hai mausi,..,ke ek baar biwi bachhon ki jimmedaari
sar pe aa gayi to .. kamaane bhi lagegaa.
Mausi : To kya abhi kuchh bhi nahi kamaataa?
Jay : Nahi nahi ye maine kba kahaa mausi, kamaataa hai lekin,... ab roj
roj to aadmi jeet nahi sakataa na. .. kabhi haar bhi jaataa hai
bechaaraa?
Mausi : haar jaata hai?
Jay : haan mausi ab ye kambakht juwaa cheej hi aisi hai ab mai kyaa
kahoon ?
Mausi : heynnn. to kya juwaari hai?
Jay : chhi chhi chhi chhi mausi, woh aur juwaari na na. woh to bahot hi
achchha aur nek ladka hai.Lekin mausi, ek baar sharaab pi li na phir,
achchhe bure ka kahaa hosh rahataa hai. Haath pakad ke bitha liyaa
kisi ne juwaa khelane. ab isme bechare Veeru ka kya dosh?
Mausi : Thik kahate ho beta. juwaari woh sharaabi woh lekin, uska koi
dosh nahi.
Jay : Mausi aap to mere dost ko galat samaz rahi hai. woh to itanaa
seedha aur bhola hai. aare basanti se uski shaadi karke to dekhiye,
ye juwe aur sharaab ki aadat to do din me chhoot jaayegi.
Mausi : Arre beta, mujh budhiyaa ko samaza rahe ho. ye sharaab aur juwe ki
aadat kisi ki chhooti hai aaj tak.
Jay : Mausi aap Veeru ko nahi jaanati , wishwaas kijiye wo is tarah kaa
insaan nahi hai. Ek baar shaadi ho gayi to woh us gaane-waali ke ghar
jaanaa band kar degaa. bas, sharaab apne aap chhoot jaayegi.
Mausi : Hi hi, bas yehi ek kami raha gayi thi. to kya kisi gaane-waali ke
ghar bhi aanaa jaanaa hai?
Jay : To isme kaunsi buri baat hai mausi. arre , gaana soonane to raajaa-
mahaaraajaa unche unche khaandaan ke log jaate hai, haan.
Mausi : Achchha ! to beta ye bhi bataate jaao ki tumhare yeh gunwaan dost
kis khaandaan ke hai?
Jay : Bas mausi, khaandaan ka pataa chalate hi ham aap ko khabar de
denge.
Mausi : Ek baat ki daad doongi beta. bhale sau buraaEyaa hai tumhare
dost me ,phir bhi tumhare munh se us ke liye taareefe hi nikalti hai.
Jay : ab Kya karoo mausi.. mera to dil hi kuchh aisa hai.(pause)...
To.. mai ye rishtaa pakkaa samazoo?
Mausi : Pakkaa? . bhale saari jindagi ladaki kuwaari baithi rahe. lekin
mai aise aadami se Basanti ko nahi byaahanewaali. Sagi mausi hoon.
koi sautelee maa nahi.
Jay : Ajeeb baat hai. mere itane samazaane par bhi aap ne inkaar kar
diyaa.. Bechaaraa Veeru... naa jaane kya karega?
(Veeru unchi paani ki taanki pe chadh gaya hai, nashe me hai, aur haath
me daaru ki botal hai.)
Veeru : Kood jaaoonga, phaan jaaonga, mar jaaoonga.. Hat jaaOO...
log : Are are .. ye kya kar rahe ho?
Veeru : Wohi kar rahaa hun bhaiya jo majanoo ne lailaa ke liye kiyaa tha,
raanzaa ne heer ke liye kiya tha romeo ne juliet ke liye kiya
tha soosaaEt... SOOSAAET...
shankar : Arre bhai, ye soosaat kya hota hai?
ek aadmi: angrej log jab marate hai to use soosaat kahate hai.
shankar : lekin ye angrej lok marate kyun hai?>
aadmi : woh.. ,(veeru se) arre bhaai , baat kyaa hai, tum soosaat kyun
karanaa chaahate ho?
Veeru : Yeh mat puchho chaachaa , tumhaare aasoo nikal aayenge. Ye badi
dukh bhari kahani hai. Is storee me emotion hai, drrraamaa hai
trrragedy hai. Yeh Basanti hai naa is se mera lagan honewaalaa tha
chaachaa. Lekin iski buddhi mausi ne bich me bhaanji maar di.
Ab mai is dooniyaa me nahi rah sakata. Gaanw-waalo tum ko mera
aakhari salaaam, good bye , GOOD BYE.
Shankar : Arre bhai ye good baae kya hota hai?
aadmi : Angrej log jab jaate hai to good baae kahate hai.
Shankar : Lekin ye angrej log jaate kaha hai?
Veeru : Gaanw-waalo mai jaa raha hoon, Bhagwaan mai aa raha hoon.
log : arre , arre ruk jaao, ruk jaao..
Veeru : ruk jaaoo? tum log... jor dete ho to .. thodi der ruk jaata hoon.
Basanti : Arre wah .. arre,Tum Kaise Dost ho ( Jay ke paas basanti jaati hai.)
tum yahaa baithe ho...
Jay : kyun, kya huwa?
Basanti : mujhe kya maaloom kya huwa? woh dekho tumhaaraa dost kaha chadh gaya
dekho ...( Jay dekhata hai).. dekha dekha tumne?
Jay : Haa, dekha. kuchh nahi hoga. Jab daaru utaregi to ye bhi utar
aayega.
Basanti : yun ke maine ek se ek jaalim dekha magar tum jaisa patthar dil
dost nahi dekha jo .. (she runs towards Veeru).. Arre Sambhaalo.
Veeru : Mera koi nahi is duniyaa me na yaar na dost. is liye mai jaan
dekar rahoonga. lekin ek baat sun lo gaanw-waalo, jaha koi premi
jaan deta hai, waha bhayankar kisam ki musibatey aati hai.
log : Kaisi musibatey aayengi ?
Veeru : Akaaal , sukhaa , charchak , haijaa, aur ye sab is boodhiyaa ki
wajah se aayengi is budhiyaa ki wajah se.
Mausi : he ram
Veeru : Dekh lena gaanw-waalo, when i death pulice coming. pulice coming,
budhiyaa going jail. In jail ,budhiyaa chakki pising and pising
and pising and PISING(he is about to fall)
log : Arre mausi haa kar do nahi to ye jaan de dega.
Mausi : arre kaise haa kah doo Deenaanaathji.
Veeru : Arre gaanw-waalo, is budhiyaa se darkhwast ki koi jaroorat nahi
hai. ab mai rukanewaalaa nahi hoon. mai jaan dekar rahoonga hmm.
1..2..3..4..5..6..7
Basanti : Mausi ,Haa kah do mausi.
log : agar mar gaya to court kachery ka chakkar ho jaayegaa mausi.
Mausi : arre bhaiyaa mai to kabhi court kachery nahi gayi.
log : to phir haa kah do muasi.
Mausi : (small pause) VEERU THAHAR JAA ,THAHAR JAA. mai taiyaar hun.
log : Arre mausi ne haa kah di bhai niche aa jaao.
Veeru : Mausi se kaun shaadi karega saalo, mujhe to woh dhanno.. o ..
Basanti se shaadi karani basanti se.
Basanti : Veeru, mai tum se shaadi karane ke liye taiyaar hoon, ab nichhe
aa jaao.
Veeru : He He he he, arre gaanw-waalo sunaa tumne bhaaeyo, mausi bhi
taiyaar hai basanti bhi taiyaar hai.is liye marna cancel. Mai
nichhe utarataa hoon mausi, mausiji, mai nichhe utrungaa.