Basanti : Prabhu , sansaar mai aisi koi baat to hai nahi jo tumse chhoopi ho.
tum to sab jaante ho. Dekho mai ye nahi kahati ke tumhe yaad nahi
hoga , lekin phir bhi apni taraf se kah denaa achchaa hotaa hai.
Aaj somwaar hai. bas ek chhotisi binati hai prabhu. Dekho .. jaraa
Dekho ye taange ki lagaam khinchate khinchate haath aise ho gaye
hai jaise ghodi ke khoor. Arre tumhare liye kya mushkeel hai?
bas aisi jagaah baat lagaao prabhu ke basanti raani ban ke raaj
karay , yu ke majaa aa jaae jindagi kaa. aage jaisi tumhari marzi.
Veeru( Shivji ke murti ke pichche se bolta):
Kanyaa.
Basanti : Yu ke ye kaun bola?
Veeru : Ye ham bol rahe hai.
Basanti : Prabhu , TUM ? Chamatkaar ho gayaa.
Veeru : Hamne tumhare liye war dhoond liyaa hai , kanyaa.
Basanti : Ek hi somwaar me dhoond liya. waah prabhu. Yu ke tumne sochaa hai
to thik hi sochaa hoga. lekin phir bhi agar naam bataa dete ... yaa
agale somwaar aaoo. jaisa tum kaho prabhu.
Veeru : war kaa naam hai VEERU.
Basanti : VEERU? prabhu, ye meri jindagi ka sawaal hai. jaldi se kaam mat
lenaa. bhale chaar somwaar aur lag jaaye. ... dekhane me to
thik hai, lekin saalaa bahot hoshiyaari maartaa hai.
Veeru : CHOOP RAHO KANYAA.
Basanti : Befijul baat karne ki aadat to mujhe hai nahi prabhu. jo tumhaari
aagyaa.
Veeru : Yadi hamaari aagyaa ka paalan nahi kiyaa to saari umra kanwaari
baithi rahogi.
Basanti : (dar ke) haa prabhu.
Veeru : Aur suno..
Basanti :( Jay pichche se Basanti ki peeth thapthapaata hai aur basanti
pichche dekhate huwe) Yu ke ... ( Amitabhh use choop rahane kaa
ishaaraa kartaa hai aur use mandir ke pichche le jaataa hai)
Veeru : ( is sab baat se anjaan Veeru apne hi dhun me bolta hai)
Yu ke dhanno ke saath taangaa chalaati rahogi.(Jay Basanti ko mandir
ke pichche le jaake veeru kya kar rahaa hai ye dikhaa deta
hai aur nikal jaataa hai.) Hamaari aagyaa hai ke jaao aur apni
mausi se khule shabdon me kah do ke veeru ko hi tumhe jeewan saathi
banaanaa hai. Aur aaj se veeru kaa aadar karnaa tumhaaraa dharm hai.
is liye ke usi ke charano me tumharaa swarg hai.Yadi tumne use
prasanna kiya to ham prasanna ho jayenge. aur yadi tumne use krodheet
kiya to ham krodheet ho jaayenge.
Basanti : Achcha..
Veeru : (pichche dekh ke ) sh... ( phir bolnaa chaloo kartaa hai)
is liye jaao...( ab use pataa chal gayaa kya huwaa. phir)
(jooth hasate huwe) basanti ... ( phir thodi hansi) basanti.. maine
sochaa ... yunhi..
Basanti :(gussa hoke) tumne sochaa ye ke ham to gaaon ke rahanewaale hai.
is liye ham ko akal to hai nahi. aur tum hame bana loge ulloo. Tum
bahot hoshiyaar samazate ho apane aap ko magar basanti tum jaison ko
haat me bech kar aayegi.. haa. ab tum yahaa baith kar ramaao
dhuni , basanti chali apane ghar.
Veeru : Basanti .. Basanti , suno to...
( Aur phir gaanaa shuroo hotaa hai -
KOI HASEENA JAB ROOTH JAATI HAI TO...)