Ramanand Sagar's Ramayan & Shri Krishna CC#2 DONE! - Page 98

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

377.2k

Users

21

Frequent Posters

arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
Hi guys! 😃One more sig! Hope U'll like!😛
Actually I used d words of RS's Shri Krishna - 'Lakshmi jaisi..', but I think it will suit with Ramayan too n used it......😳
Edited by arun-deeps - 15 years ago
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
And folks a good news....! Arun Govil ji has become father-in-law!!!
Presenting d info herein!!!

Ram (Arun Govil) becomes Father-in-Law

Amal and Divya with Shatrughna and Arun Govil Celebrities bless the newly married couple Amal and Divya.

You have not read about the marriage of Lav Kush in Ramayan but Ram (Arun Govil) of Ramayanhas become Father-in-Law in his real life. His son Amal was married recently with Divya. On this occasion a grand reception party was organized at seven star hotel Leela, Andheri (E), Mumbai. Many personalities from films and politics and stars of Ramayan were present there to bless the newly married couple Amal & Divya.

Arun Govil and his wife Shreelekha Govil welcomed the guests. BJP leader and actor Shatrughan Sinha, Congress Leader and M.P. Raj Babbar, Sanjay Nirupam, Dr. Sanjeev Ganesh Nike, Sanjay Diva Patil, MP Anurag Thakur (son of CM of Himachal Pradesh), Suresh Pachori, Anoop Jalota, Udit Narayan, Mausmi Chatterjee, Hariharan, Arvind Trivedi (Ravan), Suneel Lahri (Laxman), Tabassum, Govind Namdev, Anil Sharma, Surendra Pal, Gajendra Chauhan, Arjun, Dharmesh Tiwari, Goofi Pental, Liliput, Suresh Bhosle, Agam Kumar Nigam, Mushtaq Khan, Narendra Verma, Tej Sapru, Priti Sapru, PRO Shashikant Singh and many more were present on this occasion.

Team of Ramayan and Mahabharat were also present there to bless Amal and Divya.

Congtarulations to all d members of d CC!!!!!!!!!
Edited by arun-deeps - 15 years ago
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
A quick pic updt of Arunji's son's marriage:
Arun Govil's Son Wedding Reception
Arun Govil with Family n Shatrughna Sinha
Arun Govil's Son Wedding Reception
Happy Home team Arunji peeping frm bouquet😆
Arun Govil's Son Wedding Reception
Amal n Divya Arunji's son n bahu😛
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

More updt. contd.

Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010
Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010
Arun Govil with son, bahu n Maushmi Chaterjee
Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010
Ram ji with Mama Shakuni😉
Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010
Arun Govil with son, bahu n Anoop Jalota
Arun Govil at his son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010
Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010
Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010

Arun Govil's son Amal Govil and Divya Wedding Reception Party held at Hotel-Leela Kempinski Andheri on 19.Feb.2010

Edited by arun-deeps - 15 years ago
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
Updt. contd.
Ravan congratulating Ram😆Arvind Trivedi n Arun Govil
Arvind Trivediji
Arun with wife ShreeLekha, son n bahu
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
Updt contd.........................😛
Sunil Lahri with Arvind Trivediji dunno d name of 3rd one!
one more Ravan congratulating Ram😉
a sweeeet giggle with BRC's MB team😆
That's all folks! Think so Arun ji z also saying d same thing!😉
Amor. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
wowwwwwwwwwwww thnx for the pics arun deep
purani yaadein taaza ho gyi
ShivangBuch thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: arun-deeps



</div>
<div><font color="#cc0099" size="7">Hi every1!</font>

<em></em>

<font color="#0099cc" size="4">@Shivang bhaiya!Hi!!!!</font>

<font color="#0099cc" size="4">Bhaiya!Hum to aapse ati tucch hain, aapki choti behna hain fir ye pranaam to hume hi karna chahiye. Aapka to humare sheesh par aashish rehna chahiye, fir ye prati namaskaar kyu? Aapko Kushal bhaiya ki smriti ho aayi to humein bhi isi chahak mandali ki Lola Di ki madhu smrti ho aayi....yadi aapne bhi dekha ho to hum purntah to nahi anshtah isi tarah ka vartalaap karte the! Aap humari rachnao ki sarahna kar rahein hain ye humare liye bahut garv ki baat hai. Humari vyastata samajhne aur humari vyastata ke chalte ekad Ramayan samvaad prastut karne ka ashvashan dene ke liye kotishat dhanyavaad! </font>

<font color="#0099cc" size="4">Accha accha.....bhaiya.....hum bi aupcharikta se parhez karte huye aapka aakhiri naam nahi likhenge!</font>

<font color="#0099cc" size="4">Bhaiya! Hum Arun Govil ji ke bahut bade prashanshak hain....Ramayan jab pehli baar prasaarit huyi tab kya aapko wo Ramayan dekhne ka sauhagya prapt hua tha? Kya Arun Govil ji ke baare me Ramayan se judi koi yaadgaar gatna ka aapko samaran hai....yadi unke baare me kuch bhi naya pata ho to kripya hume bataiye....hum anugraheet honge!</font>



Hame tumhari ye unaupachaarikta atyant madhur lagi. Aur tumhari to likhaai bhi rachnaatmak aur aananddaayak hai. Ham aapse hi prerana le kar ab hamaari likhaai ko bhi thodi bahut rangeeniyat pradaan karke dekhte hain.😃 😃

Ab ek ek karke uttar deta hun. Pehli baat to yeh ki aap hamse tuchchh kaise ho gaye??? Ye to Ramayan shreni ke kisi bhi prashansak ke liye sambhav hi nahi. Doosri baat, ye sansaar ke kis ganit ne mujhe aapse bada bana diya? (Uttar mai jaantaa hun - "Aayu bhaiyaa"😆) Waise Kushal bhi mujhse aayu me chhota hai aur woh bhi hame sada Pranaam bhraataashree kar ke hi vaartaalaap aarambh karta hai aur mai uttar me pranaam hi kehta hun. Iska kaaran Yudhishthir - Gajendra Chauhan - hai jo sada isi prakaar Bheem-Arjun sabko saamne pranaam se hi uttar deta hai. Aur kabhi kabhi mai chhoton ko bhi 'tum' ki jagah 'aap' keh kar sambodhit kartaa hun iska kaaran hamaari 'gnyaati ka rivaaj' aur is kaaran se hamaari bachpan se rahi aadat hai.

Ham bhi Arun Govil ke bahut hi bade prashansak hai aur unka abhinay chalchitra 'Saawan ko aane do' aur shreni 'Vikram Vetaal' me bhi bahut hi pasand karte hain. Waise maine unko sarv pratham Ramayan me hi dekhne ka saubhagya praapt kiya tha jab ham 5 baras ke the. Ramayan hamne apne pratham prastuti me hi door darshan par hi dekhi thi aur usi prastuti ke sath sath uska kiya hua Darshan sangrah (Video recording - Video cassettes 😆 😆 😆 ) bhi ghar me bachpan se hazaaron baar dekhte aaye hain. Aur hamaare paas Ramayan ke Darshanpaatra Sthaayee Chakra (Video Compact Disk😆 😆 😆 ) hain. Arun Govil ke Ram ke roop me rote hue drashya hi hame keval thode kam pasand hain parantu hame unki shaant prakruti aur Ram ka paripakva abhinay atyant aahlaadkaari lagta hai. Adhik to nahi, parantu bachpan ki ek-do smriti avashya hai Ramayan se judi. Maine swayam apni aankhon se Kevat drishya ke baad ka sarjan (shooting) door se dekha hua hai (Nadi ke saamne ke tat se) - Ram-Sita-Lakshman ko nadi tat se vimukh avastha me door chalte jaate hue drishya upkaran (Camera) me bandh kiya ja raha tha. Ham unka chehra to nahi dekh paye the 😭 par itni chhoti aayu me bahut hi utsaahit hue the. Wo Ganga nahi parantu Narmada ka kinaaraa tha. Chanod ke paas Badrikaashram mandir ke saamne. Phir hamne jahan par 'Vidhna tere lekh' drashya ka sarjan kiya gaya tha wo chalchitra nirmaan sthaan (Studio) bhi Mumbai me dekha tha jab wahi chhoti aayu me pura Mumbai darshan kiya tha. Us samay hame ye pankti yaad aayee thi wahan ki dharti ko dekh kar "Phoolon se charano me kaante".

Ramayan shreni puri hone ke pashchaat ek 'JEE' naamak Gujarati maasik (Monthly magazine) me Ramayan ke samast abhinetaon aur anya sabhyon ke sath ke vaartaalaap (Interview) - Shyaam Sundar Kaalaani - Rajshekhar - Bashir - jaise har chhote bade kalaakaar ki pasand - napasand - Parde ke peechhe ki tasveeren.

Phir Ramayan ke Hanumanji ke udne ke aur teeron ke takaraane ke drashya kis prakaar ki rachnaatmaktaa se liye gaye the uske bhi lekh maine tab padhe the. Par ab wo maasik hamaare paas nahi hai. 😭

Phir ek aur smriti ho aayee. 1988 ke aaspaas jab hamaare hi nagar me hamaare hi vistaar me chunaav tha tab Arvind Trivediji aur Deepikaji ka sath me hi jhulus niklaa tha hamaare ghar ke hi paas se. Dono hi BhaJaPa ke liye khade the aur Arun Govil ji Uttar Pradesh me Congress ke liye umedwaar ban kar khade the.😃 Phir Arvind Trivedi ji hamaare vistaar me Sundar Kand ka path hota tha tab gaayak Ashwini Pathak ke baaju me Japiye ke jaise we bhi pathan karne logon ke gharon me athva sansthaaon me aate the. We swayam Ramji ke bahut bade sachmuch ke bhakt hai aur unko aur Deepika ji ko kuchh kuchh Gujarati chalchitron me kaam karte hue bhi maine dekha hai. Arvind Trivediji aur unke bhai Upendra Trivedi ne Kiran Kumar-Pran abhinit Hindi chalchitra 'Jangal me Mangal' me khalnaayak ki bhoomika ki thi.

Aur ab ant me aapke dhanyavaad ke uttar me kya likhen? Aapka swaagat hai???? (You are welcome😆). Waise ham aap par yeh vaartaalaap ke is prakaar ka pramaan thoda halka - anshatah rakhne ki bhi kripa kar sakte hain bhavishya me.😊

Agle mahine ki pariksha me saphal ho kar hame;
Parinaam sundar la ke dena suchanaa sankshep me;
Sanvaad prastut ham yahan karte rahenge prem se;
Seva me baheno ki sadaa anand dene ke nem se.

All the very best for the success in your academic career my little dear sister.



P.S.


WAISE AB BHOORIBATTI (TUBELIGHT😆) HUI DIMAAG ME KI MERI BEHEN KI YAHAN PAR DRISHTIGOCHAR PEHCHAAN KA NAAM ARUN-DEEPS KYUN HAI. YE BAHUT PEHLE MAALUM PAD JANA CHAHIYE THA 😃 MAI SK FC1 KE 75-80VE PANNE TAK PAHUNCH PAYA HUN.
Edited by ShivangBuch - 15 years ago
MagadhSundari thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
@ Gunia - awwwww I'm also missing you soooooooooooo much behna... kya karein, yeh calculus 3 padhaai kam aur atyachaar adhik lag raha hai 😭 baaki sab theek hai, sirf yeh calc aur tumhaara virah hamein atyant peeda de rahe hain... but thanks a million bazillion for liking that couples creation, so happy you did cuz I felt it was too crowded at first 😆 And your latest ones are toooooo sweet also, even if I don't have time to post I do check IF every morning for my daily dose of your posts... and you never let me down 😉 The new "Lakshmi jaisi hamari..." Ramayan-SK combo is brilliant, as was the one you did with the Surpnakha pic updt SiyaRam pic... you're really rocking at this, ek se badhkar ek banaati rehti ho... I LOVE LOVE LOVE them all 👏 And can't thank you enough for those Ramji bane sasurji pics... they're brilliant... lol "Ravan congratulates Ram" 🤣 Tooooooo good, can't wait to see more offscreen gems you find... esp since no one else can find them like you!!! And lolz... lagta hai hamein ek aur shuddh bhaasha baanchne waala bhaiya mil gaya hai, yeh dekhkar hum ati prasanna huye ... kintu main thehri vilaayati baalika, sambhav hai mujhse sampurna samvaad mein is prakaar ka vartalaap karna kathin lage aur mujhse koi bhool bhi ho... aap dono mujhpar uphaas karke hi sahi kintu mujhe kshama bhi karein, to badi kripa hogi 😉

@ Sita - thank you sooooooo much for liking the sig, honeybunch... made my day once again 🤗 And your Rukmini Devi avi is soooo gorgeous, haven't seen your masterpieces in a while so it was a really sweet surprise... can't wait to see more 👏

@ Shivang - haha Aapne sahi pahechaana bhaiya, mujhse apne RS CC/community waale bhaiyon aur behnon ka yantra-dwaara darshan kiye bina raha nahin jaata... pariksha ka samay ho, tab bhi aap sabke vichaar-patra (posts 😕) dekhe bina mujhe shanti nahin milti... aur aapka yeh pichla post dekhke maine aur bhi anand paaya... aapki jis prakar se apni Ramayan se judi huyi madhur smritiyaan prastut ki aur is baat se bhi augat karaaya ke aapne SWAYAM APNI AANKHON SE kevat samvaad ke paschaat waala "sarjan" dekha 😲 What a surprise!!! Sounds like a huge highlight of your childhood... I'd be on cloud nine after seeing that 😍 Aur kabhi avsar mile to hamaare liye woh Jee maasik phir se haath karke hamaare saath chitra-pratikaarak yantra (scanner/ copy machine 😆) dwaara baantle... hamein isse itni prasannata milegi, aap kalpana bhi nahin kar sakte!!! vaise bhi aap hamaare in samvaadon mein sammilit hai aur hamein itne gyaani aur uchya-vichaaron waala bhraata mila hai, yeh koi kam prasannata ki baat nahin... can't wait to see/hear more from you!!! and yayyyyy the orkut problem's fixed I'll get a bunch of stuff together and post it tomorrow... can't wait to discuss!!!

@ Lali - first off those latest SiyaRam sigs were gorgeous honeybunch, I'm once again confused at what to snag for my upcoming slideshow... the new MB one and the Lakshmi-Vishnu ones are in for sure, but what else to choose when you're churning out one masterpiece after another 😕 And awww we'll miss you a ton, but good luck with the seminar, I know you'll rock it 😉
MagadhSundari thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
A quick dialogue update -this one is a favorite exchange of mine from Lav Kush, in which Sita Maa and Valmikiji discuss the power of astrology versus that of faith in God... I really really love it because I truly believe in what Sita Maa says in that scene! Enjoy:

Sita: Yeh aap saadharan jyotishon ki bhaanti kya bata rahe hai? Maine to suna hai ki aapko sab pata hota hai? Aapne to bhavishya ka bhi likh rakha hai!
What is this you're telling me, like some ordinary astrologer? I've heard that you know everything, and you've even written about the future already!

Valmiki: Likh rakha hai, parantu usse samay par hi prakat hona chahiye.
I've written about it, but it should only be revealed at the right time.

Sita: Phir jyotish ki bhavishya-vaani ka kya laabh?
Then what's the point of an astrologer's forecast?

Valmiki: Itna hi, ke manushya mein saamna karne ka saahas rehta hai. Usse pata ho ke is andhere ke us paar roshni hai, to woh chalta rehta hai. Yeh vishwaas bada sahaara hai. Vishwaas ki laathi tekta hua maanav aage chalta rehta hai. Ghabraakar girta nahin.
Just this, that it gives man the courage to face what it predicts. When he knows that at the other end of this dark tunnel there is indeed light, he keeps moving on. This faith can give him great support. Relying on it like a walking stick, man can move on instead of falling in fear.

Sita: Yahi vishwaas prabhu ki bhakti mein ho, to uska bhi yahi laabh hai.
This kind of faith in devotion to God can also give the same benefit.

Valmiki: Putri, jinhe prabhu par vishwaas hai, un bhakton ko jyotish ki kya aavashyakta? Unke raksha to prabhu swayam ek maa ki bhaanti karte rehte hai!
My child, for those who have faith in God, what need is there of astrologers? God himself takes care of them like a mother under all circumstances! 👏

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".