Ramanand Sagar's Ramayan & Shri Krishna CC#2 DONE! - Page 99

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

377.1k

Users

21

Frequent Posters

MagadhSundari thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
A small pic updt of Swapnil at his absolute best in SK, during his later epis when he's all grown up and divine'd up... the scenes they're from include his analysis of the events in Hastinapur after Akrur returns from there without their help against Jarasandh, his explanation to Balram of how he will use his bhakt Muchukund to destroy Kaalyavan, and his divine visit to Muchukund... there are actually many more pics but I have to try to clear them up more like these... until then, hope you like!

MagadhSundari thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
And last but not least, two new sigs - one is a Ramayan-SK combo of Arun and Swapnil with the Gita quote "dharma santhapanaarthaya, sambhavaami yuge yuge" in devnagari script, and one is SiyaRam banvaas pics and Agnipariksha chhand text - the most gorgeous line from it which describes the sight of their reunion as a golden lotus seated next to a budding blue one... such a beautiful description, I esp love how it echoes the many descriptions of RadheShyam by poets like Jayadev as a pair of lotuses gold (her) and blue (him)... here they are, hope you like!


arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
@ Shivang Bhaiya-
Saadar pranaam bhratashree! Humari lekhan shaili ki prashansha karne ke liye kotishat dhanyawaad! Aapki likhayi bhi sarvottam koti ki hai, atah aise sundar lekhan ko bhala koi prerna kaise de sakta hai, kyunki aapke lekhan me pehle se hi aganit rang apni upasthiti darz karwa chuke hain! Humara aayu ganit ka uttar apni or se dene ka dhanyawaad!Thik hai bhrata hum paraspar namaskaar karenge Wese neetisangat rivaazon ki hum sada se hi prashansha kartein hain....aur aadatein agar acchi ho to nahi badalni chahiye...aap apne se 'aayu' me tucch...(ab to uchit hai?)😆 logon ko bhi bada maan dete hain ye ati gaurav aur harsh ki baat hai...is baat ke liye humara sadhuvaad!
Ye jaankar antar me ati aanand hua ki aap bhi Arun Govilji ke prashanshak hain...wese unke chalchitra 'Swan ko aane do' aur shreni 'Vikram aur Vetaal' to humne bhi ati priya hain...parantu humne bhi unhe sarvapratham Ramayan me hi dekha aur fir dekhte reh gaye😆 He bhrata aapke aho bhagya ki aapne Ramayan ko pratham prastuti me hi dekhaHumare paas bhi Ramayan ke Darshanpaatra Sthaayee Chakra sahej kar rakhe huye hain...parantu wo 'Moserbaer' wale hain aur sambhav hai aap jante honge ki usme kayi mahatvapurna drishyon ko sampadit😆 kar rakha hai- jaise Ram Lakhan Mithila me.....Kushdhwaj ji ka Mithila me aana aur Mandvi ShrutKirti ka Seeta-Urmila se milan.....Ahilya-uddhar bhajan me parivartan...Luv-Kush ke bhaut se madhur geeton ko sankuchit karna ya purnataya hata dena jaise 'Sita Ram daras' jo humara pasandeeda bhajan hai use hataya gaya hai....Manthara se Shri Ram ki bhent...Kaikeyi-Bharat ka punah vaartalaap aadi......to ShriRam charit ka purna roop se rasaaswadan karne se hum vanchit hain! Ye baat hume bahut krodhit kar deti hai...fir hum Ramayan se hi seekh lete huye (Rosham karoti dosham) shaant ho jaate hain aur jo hai usi main santusht ho jaate hain! Hum shabdo me nahi batla sakte bhrata ki aap dwara varnit Ram-Lakhan-Siya (Arun-Deepika-Sunil) ke pratham darshan aur 'Mumbai' me van-gaman😆 ki ghtna ne hume kitna romanchit kiya hai?Humye kadaapi na jaan paate ki wo tat Gangaji ka nahi apitu Narmada nadi ka tha...Badrikashram.....Wah hum abhihuit huye!JEE namak patrika ke vishay me batlaakar aapne hume kritarth kiya um kab se aisa kuch shravan karna chahte the jisme parde ke peeche ki tasveere ya baate ho! Kya aapko Parde ke peeche ki koi baat ya kisi chitra ki smriti hai jisme Arun ji ya Deepika ji ho? Hum iska uttar paane ko utsuk hai ki koi to hume parde ke peeche ki koi ghatna ya baat bataye jisse hu abhi tak anbhigya rahe ho?
Waaaaaahhhh.... Seeta-Ravan😆 julus aapke vistaar se nikla tha...ye gaurav ka vishay hai! 👏⭐️Jahaan tak chunaav ki baat hain humne bhi suna hai ki Arunji ne Sunil Shashtri ke liye Congress prachaar kiya tha....to kahin ye bhi padha hai ki wo apne kisi mitra ke sahyog hetu BJP rath me bhi aaseen huye the! Dhanya hain aap ki aapse Ramayan shreni ki bahut si smritiya judi hain!
Arvind Trivedi ji ko hune bhi kayi dharmik chalchitron me dekha hai jaise 'Mahasati Tulsi' jisme we Jalandhar bane the! Deepika ji ko hum matr Hindi chalchitron (Ghar-Sansaar, Ghar ka chiraag, Rupaye dus karod.... aadi....) me dekhne ka saubhagya prapt kar paaye. Parantu 'Raat ke andhere me'aisi unki ek daraavna chalchitra bhi hai Thik hai thik hai bhrata....aapse vartalaapchahe kaise bhi ho bhav to samaan hi honge... Bhavishya me aap aise vaartalaap ki kripa hum par kab barsayenge...yehi vichaar kar rahein hain!
Aapki in sunhari, ati sundar panktiyon ka dhanyavaad
Thax for giving ur Best wishes......I feel frm my soul that they r working on me bhaiya! Really so veryyyyyyy kind of U!
Aapki medha shakti ka kya kahein aapne gyat kar hi liya ki humara drishtigochar pehchaan ka naam Arun-Deeps kyun hain?????
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
@ Lola Di!
Hi Loleshwari Di!Missing U too lol! But Ur exams r more important........ .n I know U'll do great.........becoz Ramji z with U! Peeda ho tab Ram pukaro sab aasaan ho jayega.....Humein purna vishwaas hai ki humari behna apne karma path par agrasar hoti rahengi!
I dunno much abt Ur subject.........But I know that U r ossum in passion n if U decide 2 do a thing U do that.........So I'm confident that U will score with flying colours in ur exams...
specially in calculous!All d veryyy Best! Awwwww...really ! Its amazing U come for Ur daily doze!!!😆 It'll help in Ur exams honnnn 😆 U'll practice with more power!!!😆 Thanx for liking d sigs n pics Ramji bane sasurji....yaaaaaaaa fantastically said by U!!!!!😆 Awwww...U make me feel special with all that praise n support U provide with d off-screen pics! 😍My heart plays an accordianhearing all that! Ahhhhaaa...Thanx for all d claps n LOVESSSS hon
He bhagini! Humari priya Loleshwari! Aapne uchit kaha......Hume shuddh bhasha ke vakta pyaare Shivang bhaiya mil gaye hain.....aap Vilayti balika😆 hain par fir bhi aapka is divya bhasha par niyantran prashansha ka patra hai!Aapki koi vyakran truti humein to spasht huyi nain....aur yadi umse koi aisi truti huyi to humare Shivang bhrata hai na.....😉 Laajawaab vakta, gyata, bhrata! Kshama ka to prashna hi kahaan??? Koi paraaya ho to use khshama kiya jaye na....aap jaisi abhinn sakhi aur pyari behna se kshama sweekar karna humari dhrishtta hi hogi! Wooooooooooooooooooooooooooooowwwwwiiiess...d pic updts. r beyond ossum! 👏
Swapnil looks sooooooooooooooooo divine here!
Absolutely great creations..... n great texts used..... Swapnil n Arun combo z fabulous great imagination!👏 Both look sooooooooooooooo adorable!⭐️

I too luv whole of d lyrics n music in d Agnipareeksha scene! N U chose d best lines abt Seetaji!!!!
Lots of Luv n All d Best!
Edited by arun-deeps - 15 years ago
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
1 creation! Hope U all will like!😛
Hey bt have I posted it earlier???? If yes then ...plzzzzzzz forgive!
ShivangBuch thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Pranaam.👏
In taaliyon ke badle, haathon ko abhi judaa hua samajh lo.😃


@Arun-Deeps

Hame aapka sambodhan punah madhur laga aur dhanyavaad ke badle punah saadhuvaad. Waise yaadachhik roop se (Randomly😆) kabhi kabhi adhik anaupachaarikta aur premvash ham 'Tum' sambodhan par bhi aa hi jaayaa karte hain (Yadi hriday se nikala ho to - aur waise iska ye arth bhi nahi ki 'Aap' hriday se nahi nikala hota hai aur keval aupachaarik hi hota hai). Jaise kabhi ham Ram to kabhi Ramji likhte hain. Ek me prem hai to ek me aadar. Dono samruddh hain aur Gun ki khaan hain dono (Sambodhan - Love or Respect - both different yet equally rich - Ek me sakha bhaav aur ek me shishya bhaav 😊). Aap hamare kis gyaan ki baat kar rahe ho? Kya aapne mere koi vichaar Orkut ki kadi (link 😆) me padh kar aisa keh rahe ho? Yahan is Gapshap mandali (Chat club 😆) me to hamne abhi tak keval geeton ke yathavat bol hi prastut kiye hain aur keval ek Vali vadh ke sanvaad me chhota sa fakraa (Paragraph) hi hamaari tippani athva vishleshan ka prastut kiya hai. Kahin aap ye mat bolna ki "Aap shuddh Hindi ke sambhaashano dwara apne paanditya ka prabhaav jo ham par jama rahe the, ham to usi se darr gaye bhaiyaa." Phir hame kehna padega ki "Yahi to bhool ho gayee bhagini ki ek bhakt ne doosre bhakt ke saamne apne gyaan ka pradarshan kiya. Wahin bhakton ki mandali us par hansne lagti hai ki jaao aur apni gyaan aur vaktrutva (Debate) ki mandalion me jaa kar hamaari prastution ko dhundho aur hame wahin par sambodhit karo." 😊

Hamaare paas Darshandaayak (I have changed the word to make it more appropriate 😊) Sthaayee Chakra 'Sony music' ka hai aur usme bhi kai saaraa badlaav kiya gaya hai. Mere paas bhi 'Dekhan nagar bhoop sut aaye' geet nahi hai. Kya aapko yakeen hoga mere paas to 'Ram darbaar hai jag saaraa' bhi nahi. Keval 'Raja Ramji ki jay Siya Ramji ki jay' pankti ke baad seedha 'Hari Anant Hari katha ananta' aa jaata hai.😡😭 Ye dono hi geet mere darshan sangrah (Video Cassettes) me the. Vanvaas ke pashchaat ka Manthara aur Ram ke milan ka madhur prasang bhi usi me tha. Par dono hi Cassettes aur CDs me maine shuru se aaj tak suna hua Ahalya ka geet tha - "Shri Ram charan ke sukhad sparsh se" jo mool Door darshan par dikhaya gaya tha (Cassettes usi samay samaantar banaayee thi uske yantra VCR par). Vaastavikata ye hai. "Parasat pad paawan" shabdon wala geet hamne abhi tak kabhi jaanaa hi nahi tha. Wo to keval hamne Ramayan Chaahak Mandali ke Vishnu Stuti ke bol wale panne par hi hamne aankhon se drashya aur bolon ko saath me dekha jis din Lalitaji ne Vishnu ka chitra prastut kiya tha. Kuchh din pahele yahi bol ki MP3 hamko hamare Orkut Ramayan shreni vichaardhaaraa/sangh (community) ke mitra Harishprasad ne bheji thi tab mai dang reh gaya tha. Mujhe laga tha unse koi galti hui lagta hai. Ye geet to kahan Ramayan me hai hi???!!!! 😲😕

Deepikaji ko maine ek do Hindi chalchitron me bhi dekha. Ek me Rajesh Khanna ki naayikaa ke roop me (Naam to gnyaat nahi) aur ek me Jeetendra tatha Gulshan Grover ki behen ban ke (Jiska naam aapke likhe hue pehle do naamo me se hi koi ek hoga kadaachit).

Aur abhi ki rachna bhi bahut sundar hai. Phoolon ke beech phoolmaalaa pehenaane ka drishya. Aur sundar baag ke path ke madhya me mangal vivaahjeevan ke path par pair rakhne se pehle ka drishya. 👏 👏 👏 Pativrataa mahaabhaagaa, chhaayevaam gataa sadaa. Lola ki agniparikshaa rachnaa se atyant susangat. Adbhoot. Kari lok Ved vidhaanu kanyaadaan nripbhooshan kiyo.

Aur haan. Arun Govil aur Mausami Chatterjee ki tasveer par to tippani karna mai bhool hi gaya. Sitaji (Of the movie Bajarangbali) with Ramji (Of the serial Ramayan). Mother in the movie 'Justice Choudhary' with the son in the same movie. Aur Ravan Ram ko congratulate karte hue.😆 Aur chunaav me Sitaji Ravan ke sath aur Ram ke khilaaf.


@Lola

Ham to jaan hi chuke hain ki aap kuchh kuchh samayaantar me vichaarpatra/prastuti kiye bina bhi nahi reh paaoge. Aur aap jaisi bhakti evam gyaan, bhaavna evam tark dono hi me sapramaan aur samtulit behen paa kar tatha Orkut ki samasya ka swayam samaadhaan hua dekh ham bhi bahut prasann hai. Usme se pehelewali prasannata sadaa ke liye hai. Aur aap apne har kaaryakshetra me uchcha sthaan praapt karo ye hamaare liye bhi atyant khushi aur garv ki baat hogi. Aap apne MR-MC, TR-TC-TFC-TVC aur dy/dx, dP/dQ ke khayaalon (Concepts[lol]) me bhi pragati praapt karo ye hamaari shubh kaamnaayen.

Aur aaj ki rachna bhi uttam hai. 👏 👏 👏 Muchkund ke darshan me Swapnil abhinay me bahut paripakva dikhaayee deta hai. Jarasandh ki sena ke sath ladate hue Saarang se baan chhodte samay bhi lagta hai waise hi. And brilliant selection and posting of Uttar Ramayan scene. Now same can be properly posted on Orkut also. I also liked this scene very much although I have seen that only once (Uttar Ramayan itself is watched at the most 3-4 times in parts as you know). In Orkut thread, some member also wanted to post Sumant-Lakshman dialog in Vashisth aashram regarding knowledge of future. That scene was also there in my memory to be very beautiful scene. But I couldn't post the dialogs as I had watched that scene only once before.


@Both

Kevat prasang wala drashya dekh paanaa sambhaavnaa ke ganit ke hisaab se atyant hi jooj (rare) akasmaat (coincidence) kahaa jaa sakta hai. Ek to Ramayan ke juth (Team) ka hamaare raajya Gujarat me aanaa. Wo bhi usi din hamaaraa usi tirth sthaan ke darshan ke liye jaanaa. Aur upar se tab to hamne keval Bal Kand tak ka hi shreni ka aanand liya tha. Phir bhi chaahnaa itni badi ho jaanaa hi badi baat hai.

Jee Ramayan Visheshaank ko Google dwara hamne kal hi apni prastuti ke pashchaat dhundhne ki koshish ki. Hame to keval abhi ka aakhri taazaa ank hi mil paayaa chitralekha.com par. Mai tab itna chhota tha ki ab usme se adhik smriti me hona aur uska ghar me mil pana bhi lagbhag asambhav hai. Mujhe Arun Govil, Mukesh Rawal (Vibhishan) aur Arvind Trivedi ka chitra bhojanaalay (Studio canteen) me khaate hue nazar ke saamne aa raha hai. Shyaam Sundar Kaalaani ke interview ki tasveer 'Har Har Mahadev' chillati hui thi. Rajshekhar (Jambuvan) ki parde ke peechhe ki tasveer thi. Sunil Lehri aur Dara Singh ke bhi panne bhar ke sawaal jawaab the. Phir Ravan ki Yahi Rat Antim wale ghaavon se bhari parantu off screen hansti hui - hath me dhanush liye bina mugut ki prasann chhabi thi. Hanumanji ki Refrigerator par khadi hui aur phir uske baaju ki hi Refrigerator gaayabwali tasveer thi ye samjhati hui ki kaise unko udaayaa gaya tha. Bandaron ke mukh ke mohare aur punchh rubber ke hote the aur chipakaaye jaate the. Apsarawala magarmachchh. Har chhoti badi nirmaan se judi hui baaten. Unka aur shastron aur faaltu (extra) sainikon ka andaajit aankadaa bhi kadaachit diya gaya tha. Ab kya karen? Hame kya pata tha ki wo kho jaayega.😭 Waise hamne Cassettes (useless now), dialog audio cassettes, songs audio cassettes, hamari khud ki recorded (selected songs-scenes) audio cassettes - wo sab abhi tak rakha hai. Ab jo kaam ka hai wo hai VCDs aur usme se mobile ke memory card me daalaa hua hai wo. Waise dimaag me hi ab to itna hai ki uski aavashyaktaa bhi nahi padti.


Waise nahi hamko adhik, swaabhaavik hi moh;
Ramayan shreni ko par, baat na laagu woh, baat na laagu woh.
Edited by ShivangBuch - 15 years ago
sitakshii thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
HAPPY HOLI to all on this fans club 😃
& thanks a lottt...guniya for the wedding pics of ARUN GOVILS SON 👏
the pics r awesome 👏👏👏
wow !!! loving all the pics & moments sooooooooooooooo much !!!!!😃👏
RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 15 years ago

Hey Guys,

Found a few seconds to come online today...sorry to say it won't be frequent.😭 Will try to look over the past few pages late tonight after all my work is done and see if I can reply to all of you in detail. Love you guys, miss you so very much!🤗😭
HAPPY HOLI TO ALL OF YOU!!!!
Here are some new siggies I've been working on in my 5 min break periods the past few days....hope you guys like them......☺️
This is a Sitaji in Swayamvar siggie.....lovely Deepika, really love her a lot in this getup.😃
This is a Lord Krishna siggie from the gorgeous pic update Lola posted (thanks for that Loli!)....Swapnil...😍
Brighter Version
RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 15 years ago
This is my latest request from Ssaba (lol, I request way too much avis, don't I?😆)
The first avi is another sweet moment in the lovely Yashoda Maiyya feeding baby Krishna scene. LOVE the kid's expressions, such a heartbreaker!😉 The 2nd avi is another moment in the beautiful Soja Lalla song, with Devaki Maiyya looking very divine and natural and baby Krishna looking adorable! The 3rd avi is from Luv Kush's birth and Sitaji looking happy. Deepika is sooooo natural and motherly in this scene. From her expressions, it really seems like she's the mommy of those babies.😍 And finally, the 4th avi is a bit different, this time daddy/daughter themed with Janakji finding Sitaji in the Earth, another fav scene. The baby's adorable!😃
ShivangBuch thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
A VERY HAPPY AND COLOURFUL HOLI AND DHULETI TO ALL THE MEMBERS
Edited by ShivangBuch - 15 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".