Jee acharya. Aap sahi bol rahe hain. Hamara kharcha hi kitna hai? Khane-peene ke liye to koi kharcha nahi hai kyunki ham poori tarah manav nahi hain. Aur rahi mere vastron ki aur baki zarurat jaise ki bijli cheezon ki baat...[Rushi had told him abt such daily need expences..] usmein bhi zyada pareshani nahi hai kyunki jaise ki aapne kaha ki mujhe koi uchch pad milne wala hai, to tankhva bhi zyada hi hogi. To bachat bhi bahaut ho jayegi. Aur main 8 mahinon mein, hamare liye chota sa 2-3 kamron ka ghar le lunga. Chanakya- Achchi baat hai Chandragupt.
Suddenly the telephone there rings... Chandragupt picks it up but doesn't know what to do with it. A low sound of hello hello comes from it, so he holds it close to his ears and says "kaun bol raha hai??" The voice says- "Hello! Bhaiyya! Main Ashika bol rahi hun?? Chandragupt was shocked
Chandu- Are!! Ashika!? Tum kya is yantra ke andar ghus gayi??
Ashika-Are nahi nahi!! Main apne ghar mein baith kar baat kar rahi hun.
Chandu-Hain! Ye kaisa yantra hai? Tum apne ghar mein baith kar isse mujhse kaise baat kar paa rahi ho?
Ashika-Ye telephone hai. Aur ye kaise kaam karta hai ye main aapko baat mein samjhaungi... Par aapke liye khabar hai.. Aapko ye naukri mil gayi hai, Sagar Arts mein, wo bhi ek high post!! Aapko parson se join karne ko kaha hai. Ham aapko unke office tak chod denge. Wow!! ye kaise hua??
Chandu-Hahahaha!! Ye sab bhagvan ka kamal hai!
Ashika-Achcha, main phone rakhti hun. Mom aa rahin hain!! Bye!!
Chandu-Bye? Ashika? Ashika??
He puts the phone down...
Chandu- Kya yantra hai!! Are haan Acharya! Mujhe naukri mil gayi! Uchch pad par. Paron se aane ko kaha hai.. Ashika hame unke karyalay chod degi..
Chanakya-Achchi baat hai. Ab isse pehle hame koi aur yantra chaukade... ham sone chalte hain.. Ham baaki manushyon ki tarah nahi hain jo raat mein der se sokar, subha jaldi uthte hain. Ham abhi jaldi sokar, jaldi uthenge... In aaj kal ke manushyon ke hisab se, subha chaar baje. Ab so jaayo Chandragupt.
Chapter 5 over. Wait for Chapter 6!!!