Hello everyone! 😊I know you all are waiting for my updates but i haven't finished yet with the other story so i wasn't able to update.But now for some days,i will come on to this ss.
Chand kanwar came heaving and panting to her room,where her sister maan was trying to stitch something for herself. She was struggling to put the thread into the needle hole and was exhausted of wetting it again and again.She had finally succeeded in her job when an excited chand came in calling for her and the needle escaped from her hands,much to her disappointment.
chand:jija!
maan(getting irritated):kya hai chand?aapko dikhayi nahi deta hum ek atyawashyak karya karne ka prayas kar rahein hain aur aapne sab kuch bigad diya.
chand(catching up with her breath):jija,aap janti hain,dajiraj aur dadabhai aapke vivah ki baat kar rahein hain.
maan(without listening):toh usme hum kya karein...ek kshana rukiye,aapne abhi-abhi jo kaha kripya dohrayiye.
chand:jija,dajiraj aapke vivaah ke vishay mein soch rahein hain.ve aapke vivah ke liye gwalior naresh se baat kar rahe the.
maan:kya humara vivah??
It was as if an entire world had broken down on her.Like most other teenagers,she didn't want to get married at this point of time.She considered herself too young to shoulder such responsibilities.And most importantly she didn't want to leave this home-the only home she knew.She wanted to spend her whole life with her parents and her siblings.She wasn't ready for marriage-atleast not now.
maan(shocked):kintu unhone humse toh kuch kaha hi nahi iss baare mein.aur dadabhai vo humare saath aisa kaise kar sakte hain?
chand:jija,aapko toh prasanna hona chahiye na.aapka vivah ho raha hai,gwalior ke kunwar shalivahan ke saath.
maan:ek baar dadabhai ko aane dijiye phir hum unhe batate hain.ve bhi iss sab mein dajiraj ke saath samilit ho gaye?
At the same time ajabde and Kunwar pratap entered the room to inform maan about this.
kp(hearing half of what she just said):kya?hum kisme samilit ho gaye?
maan:dadabhai,aap yahaan se chale jayiye.humme aapse koi baat nahi karni.aap yahi chahte hain na ki hum yahan se chale jayein.kintu hum aisa nahi karenge.aur ek baat,humme vivah nahi karna,nahi karna,nahi karna.
kp:kintu kyun maan?
chand:humme bhi toh yahi samajh nahi aa raha hai dadabhai.pata nahi jabse humne inse kaha ki aap aur dajiraj inke vivah ki bat kar rahein hain toh...
kp(understanding):accha toh ye baat hai.
ajab:aap apne dadabhai se rusht hain na.humse toh nahi?
maan:ji nahi bhabhisa.bhala hum aapse kaise rusht ho sakte hain.
ajab:toh hum aapse kuch akele mein baat karna chahte hain.
maan:kintu aap vachan dijiye ki aap vivah ke vishay mein humse koi baat nahi karengi
ajab:accha thik hai vachan..(signalling kp and chand to leave)
ajab(when they left):haan toh ab batayiye ki aap vivah kyun nahi karna chahti?
maan:ye toh galat hai bhabhisa,aapne humse kaha tha ki aap iss vishay par koi baat nahi karengi.
ajab:maan,jab tak kisi samasya ka karan nahi pata chalta bhala uska samadhan kaise nikal sakta hai.
maan:bhabhisa,hum toh abhi chote hain na.humme iss samay vivah nahi karna.humme aap sabko,dadabhai ko,chand ko chodkar , iss mahal ko chodkar nahi jaana.ye humara ghar hai na.
ajab:accha toh ek baat batayiye, humari kya aayu thi jab humara vivaah hua tha?
maan:humare mat se..aap 17 baras ki thi.
ajab:sochiye yadi humne uss samay aisa hi socha hota toh?yadi humne ye socha hota ki humme humare parivar se alag nahi hona toh?toh kya humme itna accha parivar milta,kya humme aap aur chand jaisi pyari nanand milti?
maan:nahi bhabhisa.
ajab:dekhiye maan,jivan mein kabhi-kabhi kuch paane ke liye kuch khona bhi padta hai.
maan:kintu hum aap sabko chodkar kahin nahi jaana chahte hain.
ajab:maan,aap hum sabko chodkar kahin nahi jaa rahin hain.aap jab chahe yahaan aa sakti hain.hum sab sadaiv aapke apne hi rahenge.
maan:aap shayad thik keh rahin hain bhabhisa.
ajab:toh ab boliye,kya aap ab bhi vivah nahi karengei?
maan:thik hai...
ajab(excitedly):kp,chand aap dono bhitar aa jayiye.
kp:toh maan,kya socha hai aapne?
maan(hugging him and chand):dadabhai hum aap sab ko chodkar kahin nahi jaana chahte hain.
ajab:aapko aisa karne ko koun keh raha hai?humne abhi-abhi aapko kya samjhaya tha?
kp:maan,hum bhi nahi chahte hain,ki aap humse door ho jayein.kintu hum keval itna chahte hain ki humari behen sadaiv prasanna rahe.aur dekhiyega,ks aapko sadaiv prasanna rakhenge.
maan:dadabhai,hum toh yahan bhi bahut prasanna hain.aur phir kaise reh payenge hum aapke bina?
kp:kehte hain ki mata-pita ka kartavya hota hai apni santano ka vivah karna.aur vaise hi ek bade bahi ka bhi.
maan:kintu dadabhai..
ajab:maan,ks aur unke pita parson apse milenge.
maan:accha thik hai dadabhai,yadi aap kehte hain toh, hum unse mil lete hai,kintu vivah par antim nirnay keval humara hoga.
kp:accha thik hai,humari pyari behena.nirnay aapka.
maan's pov(smirking):keval dadabhai ki santushti ke liye hum unse milenge,aur baad mein keh denge ki humme unse vivah hi nahi karna.ve humme acche hi nahi lage.
I hope that you all like this story as it is based on something slightly different.Waiting for your reviews to continue sooner.😃