Maya's Dialogues Thread (up till 02 Jan 20, pg-12) - Page 4

Created

Last reply

Replies

85

Views

64.8k

Users

12

Likes

165

Frequent Posters

DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#31

Thank you guys! 😊

The onus still lies with the makers. Their dialogues are too impactful to let go. 😳

Peaceful_Haven thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 5 years ago
#32

I love Dadi's dialogues. Each and every interaction of hers with MJ has dual meaning in it. She executes her replies in the form of taunts or sarcasm but under the veil of fake humour, she always says something deep and meaningful. The dialogue writer/writers is/are truly doing brilliant job. 👏

DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#33

Episode: 11, A Close Encounter with the Past, 16 December 2019



1. Woh ansoo kab k khatam ho gye hai maa. Aur aap choti baat nhi hai, aap meri duniya hai.


2. Waqt k pehle koi mil jaye to uski ehmiyat nhi hoti, aur waqt k baad koi mil jaye to uski keemat nhi hoti.


3. Meri Geeta? Lagta hai upar hi bhool gyi.


4. Bharosa ek aisi cheez hai jisey dete hi insaan kamzor ho jaata hai. Aur kamzori haar ki pehli nishaani hai.


5. M: Suniye, aap na uss Rudra se door rahe. N: Kyu? Itna accha ladka hai. Usne tujhe sorry bulva diya!


6. Mujhe dost banane ka koi shauk nhi hai.

Meri mom ko hasane k liye thank you.


7. Garmi badh rahi hai, ghutan si ho rhi hai. Lag rha hai ki sansein ruk jayengi. Itni choti si jagah hai, thodi der mein lights band ho jayengi. Aur phir andhera sa ho jayega. Don't worry, marte waqt kuch dikhayi nehi dega.


Other Highlights


1. Ri: Chota hoon mai, kutta nhi hu tera.


2. Nandini

1. Agar meri Maya choti choti baat par ansoo bahayegi to badi baat k liye ansoo kam pad jayenge.

2. Raaste ka patthar kai baar insaan ki chaal badal deta hai. Meri Maya humesha aisi nhi thi. Bus duniya ne usey mauka nhi diya.

3. Sab paraye bharosa todte hai tab aasha toot-ti hai. Jab apne todte hai to insaan khud hi toot jaata hai.

4. Jab log toot-te hai tab unhe samet-te waqt kuch zakm khud ko bhi lag jate hai.

3. N-Ru

1. N: Aap Maya ke boss hai na? R: Boss? Haan, main Maya ka boss hoon.

2. N: Bas thodi si gusse wali hai. R: Thodi si? Jaane dijiye aunty, muh mat khulwaiye.

3. R: Dekha aunty, kaise baat karti hai apne boss se! N: Maya kalko naukri se nikal denge, maafi mango.

4. R: Are you sure ye aap hi ki beti hai? Kyunki aap dono mein koi similarity lagti nhi hai mujhe.

Aap itni sweet hai, aur ye... Khair chodiye.

Aap itni pyaar wali hai, aur ye... Khair chodiye.

Aap mamta ki moorat hai, aur ye... N: Khair chodiye.


4. Rudra:

8. Jab baat Maa ki ho to kisi pe bharosa karna acchi baat bhi nhi hai.

9. Actually mujhe kuch sunayi nhi de rha hai, koi kaan ka doctor hai kya yaha pe? *Maya glares* Haan, sunayi diya na mjhe sorry. It's okay.

10. Agar tum writer nahi banti to don bhi ban sakti thi. Matlab tum mein hai wo waali baat.

Antara123 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 5 years ago
#34

After reading the dialogue, I could get another symbolism. Maya forgot about Rudra too. And Rudra may become her moral compass, just like how one learns lessons from the Gita. So it could also mean she forgot Rudra who may become a guide for her.

DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#35

Originally posted by: Antara123

After reading the dialogue, I could get another symbolism. Maya forgot about Rudra too. And Rudra may become her moral compass, just like how one learns lessons from the Gita. So it could also mean she forgot Rudra who may become a guide for her.


She did not forget Rudra, she avoided him to not get caught by his mom. It's like, the moment Rudra's light fell on her life, she forgot the Gita at the hospital (her revenge). Then Rudra returns it to her and becomes her moral compass.

Antara123 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 5 years ago
#36

Originally posted by: tournesol


She did not forget Rudra, she avoided him to not get caught by his mom. It's like, the moment Rudra's light fell on her life, she forgot the Gita at the hospital (her revenge). Then Rudra returns it to her and becomes her moral compass.

That's pretty interesting too. But I saw it like, she left her moral compass (Rudra) back in there and went back for him (Gita). Yeah for her, the Gita is a potent weapon for her revenge, just like Rudra is. But the Gita isn't really a weapon for that, is it? We learn lessons from it for our betterment. Just like how Rudra would help her for her betterment.
DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#37

Originally posted by: Antara123

That's pretty interesting too. But I saw it like, she left her moral compass (Rudra) back in there and went back for him (Gita). Yeah for her, the Gita is a potent weapon for her revenge, just like Rudra is. But the Gita isn't really a weapon for that, is it? We learn lessons from it for our betterment. Just like how Rudra would help her for her betterment.


Of course, both Rudra and Gita are important. Interesting point. 👍🏼

DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#38

Episode: 12, Expectations Begin with Yourself, 17 December 2019


Image


1. Kehte hain ke marte huye insaan ki aankhen khuli hoti hai, jaise ek aakhri umeed ka intezaar ho. Par woh umeed kabhi nahi aati. Par jaante ho Rudra, yeh umeed kahin aur se nahi, sirf khud se aati hai.


2. Ye zindagi bhi iss band lift ki tarah hai. Har kone se hume band karne ki koshish karti rehti hai. Lekin inn deewaron ko torne ki umeed hum sirf khud se kar sakte hain. Aur tum mein ye umeed ki himmat hai, to zindagi ho ya lift, dono hadhe tumhare liye nahi hai.


3. Darr ko chor do. Insaan ka har darr uske kal mein chupa hota hai. Aur ye darr tumhe baar baar apne kal mein khichta rehta hai. Aur ek baar tum apne kal mein ulajh gaye to khud ko kabhi suljha nhi paoge.


4. Tod do apni hadhe. Beyhadh ho jao. We can do it.


5. Jab tak baat dil mein hai, apni takat rehti. Jab zuban par aa gyi, wo apki kamzori aur kisi aur ki takat ban sakti hai.


6. Tumhe bandhne ka haq sirf tumhe hona chahiye, kisi aur ko nhi. Phir chaahe woh koi yaad ho, koi dard ho, koi pyaar ho, ya phir koi nafrat. Jis din ye baat samajh jaoge, her bandhan se aazadi paoge.


7. Aage badhne ka waqt aa chuka hai.


Other Highlights:


1. MJ: Mera concern sirf unke liye hai jinse main pyaar karta hu. Jo meri poori duniya hai.

Aap aur mere bacche hi meri poori duniya hai.


2. Ri: Pyaar karti hai wo mujhse, pagal hai wo mere liye. Aur tujhe mai aaj ye dikha k rahunga.

Mai mar jaunga Maya, agar tum mjhse nhi mili. Mjhe milna hai tumse abhi ki abhi. Or else I will die.

I am Rishi Mrityunjay Roy.


3. Ru: Honestly, I'm quite impressed with her.

Kuch aur baat bhi hai usme, ek alag baat. Ek alag si mystery hai usme. She is like a book. Ek kitaab ki tarah hai jisey pare bagair neend nahi aati. Uske har chapter mein ek surprise hai, har end mein ek nayi shuruiat. Har kahani k peeche hazaron kahaniya. Jinhe jaanne ka mann karta hai.


4. An: Lagta hai Auntyji Auntyji bol kar, Mummyji tak pahuchne ka irada hai.

Edited by tournesol - 5 years ago
DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#39

Episode: 13, Maya's Progressive Step, 18 December 2019




1. Aaj se tumhare har zakhm ki zimmedari meri.


2. Agar rishte ki pehle kadam pe hi jhooth ho, to aakhri kadam to dhokha hi hogi na.


3. Tum jaante bhi ho mai kaun hu?


4. Jo tumhare samne hai usme kal ki parchayi hai. Jise tumhare apno ne jhooth, dhokha aur fareb diya tha, zindagi ki roshni churayi thi.


5. Wada karo mujhse, tum jab tak zinda rahoge mere sath rahoge.


6. Apni aakhri saans tak tumhare zabaan par sirf mera naam rahega.


7. Aur kab banungi mai Mrs. Roy?


8. Humare beech mein koi teesra nahi aana chahiye, koi parchayi nahi, koi sawal nahi.


9. Na hum marte hai, naa hum maarte hai. Hum to bus wo karte hai jo bhagwan humse karata hai. Kisiki zindagi ya maut humare hath nahi hoti, bhagwan k hath hoti hai. Aur bhagwan ka hath humesha mere hath hota hai.


10. Kabhi kabhi burayi ki larayi mei maasumo ki bali chadani padti hai. Yehi yudh ka niyam hai.


Other Highlights


Rishi

1. I am Rishi Mrityunjay Roy.

2. Kaafi lambi umr tak tumhara ban k rehne ka plan hai.

3. Tumhari haar meri haar hogi. Mrs. Rishi Mrityunjay Roy can never lose.

4. Ek baar pyaar ho to sabki aadatein ek jaisi ho jaati hai. Chahe wo 18 ki ho ya 80 ki.


MJ:

1. Ab ye game meri rules se kheli jayegi.

2. Tum to janti ho, mujhe door hone mein waqt nahi lagta.


Rudra:

1. What's wrong with me? Ye Daya mein Maya kyu dikh rahi hai mujhe?

2. Pyaar pehle pehle cool lagega, phir fool banayega phir dard dega. Phir ek din teri jaan bhi le lega.

3. Humari koi problem nahi hai. Teri shaadi cancel.

Edited by tournesol - 5 years ago
DreamOfEndless thumbnail
Posted: 5 years ago
#40

Episode: 14, MJ invites Maya to his Party, 19 December 2019


Image


1. Humari iss chchoti si duniya mein aapke-mere siwa kisi aur ki jagah nahi hai.


2. Subah kab ki ho gayi baby, tumhe apni Maya ka ek baar bhi khayal nahi aaya?


3. Chupate wo hai jinke irade jhoothe ho. Tumhara irada to saccha hai na? Baby.


4. 10-15 din mein tumhari jaan meri hone wali hai.


5. Zindagi mein bohut kuch saha hai, ek party to handle kar hi sakti hu.


6. I'm kidding.


7. Utna bhulo jitna aansu rokne k liye kaafi ho. Aur utna yaad rakho jitna khoon jalane k liye kam pade.


8. Iss chakravyuh se nikalne ka bus ek hi raasta hai, aap.


9. Beeta hua kal hum mein kaid hai, aur aane wale kal mein hum. Jo ye baat bhul jaye wo zindagi se kabhi azad nahi ho pata.


10. Aaj meri pehli jeet hogi, aur iss jeet ki keemat kisi ko haar k deni hogi.


Other Highlights:


1. Ri: Baby, tum na apna naam Maya se badalkar ACP Pradyuman rakh lo.


2. D: Antara, tum Mrs. MJ Roy ho. Tum dono power couple ho yaar.


3. Ant: Company ki annual party har saal koi na koi toofan zarur lekar aati hai. Sabke liye. D: Sabke liye nahi.


4. MJ: Purane zakham aur purane dost chchupaye nahi chupte.

Party mein investor aayga zarur Amir, lekin wapas lautkar nahi jayga.

Because we are one big happy family.


5. Rudra


1. Mujhe apna dard celebrate karne ka koi shauk nahi hai.

2. Maya tum seh nahi paogi, phir baad mein mat bolna.

3. Woh har koshish karenge, Maya ko mujhse door leke jaane k liye.

4. Mujhe uss Maya k sath uss party mein jaana hoga. Uss party mein jaha meri har ek buri yaad judi hai.


6. Ri: Kiska wait ho raha hai? Ru: Teri wali ka.

Edited by tournesol - 5 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".