Santo did the surya narayan puja through the little window in the store room then heads down to the tulsiji.
Taruben had a cow seeing Santo giving water to Tulsi. As soon as she screams her singature "OYE", Santo gets so scared, the water pot falls from her hands.
T: "Dafor. Bhikhari. Tara baap nu ghar che" and throws a chappal at the poor girl.
As she comes running down she meets "Thakeli" (aka dantmanjan!). scolds her and continues to stride towards Santo.
T: Itna bhi nahi jaanti ke tum neechi jaati ke log hamare baghwan ko chhuna toh door, dekh bhi nahi sakte.
poor Santo, scared as a kitten. Not ready to utter a word
T: Kitni besharam hai tu. Itne kadwe bol sun ne ke bawjud udhar hi khadi hai. Ek baat yaad rakh na..Meri yeh tulsi maa ke paudhe ke aas pas teri parchay bhi dikhay di na, tere yeh tange kaat ke tere haathon mein de doongi.
Taruben calls Chipkali to get ganga jal from the "rasoda" (kitchen).
T: to Santo -- potane Aishwarya samjhe che kya? Hmm...pata nahin bhai ne tujme aisa kya dekha. Na rang hai, na roop hai. na sanskar. Tujhse toh achi hamari chipkali hai.
Chipkali comes and stands there with the ganga jal pot in her hand.
T: Kyun? aakhri sans le rahi hoo? mooh mein dalegi? Chal rakh.
Turns to Santo and says
T: Pata hai, mera bhai hai na, usne aaj tak resham ke siway kisi aur kapde ko chhua bhi nahin hai. Pata nahin yeh pocha usko kaise bha gaya. (sneers)...achhi chaal chali tere nana ne. Aye bhikhari, chatai pe sote sote saari zindagi gayi hai teri. Resham ke gadde per sone ka sapna dekhne ka bandh kar. Aur ek baat kaan khol ke sun le. Tu kabhi Maalkin nahin banegi yahan ki.
Santo says nothing yet says a lot through her expressions.
T: Aaj toh ganga jal chidak ke jaban ko pavitra kar liya. Agar dobara aise hua na toh ganga jal nahin chidkungi. Jaban katungi. Meri nahin, Teri.
As Motiben leaves, there was this anokha bond between Santo and chipkali. Oh yes, friendship in the making!!
NOW THE BEST SCENE OF THE EPI ---
DM looking a hunk in his black shawl! comes to Baa who is visibly upset.
DM: Baa yeh shaadi keen paristhitiyon mein hui yeh toh Guruji aapko bata chuke hain.
Mein sirf itna kehna chahta hoon ki is chokri se mera koi sambandh nahin, koi nata nahin.
Mere liye yeh shaadi bas ek samjhota hai, ek sauda hai, aur kuch nahi.
Baa: Aaj tak mein yeh soch rahi thi ki Subhadra ka ghar hai. (nods her head, waves her hand) Bhram toot gaya.
DM: Aavi vaton kem karo cho baa (why are you talking like this baa). Yeh tere bete ka ghar hai aur hamesha rahega. Samjhi ne tu.
DM gets a little more emotional....
DM: Meine hamesha mere mata pita se jyada tujhe aur baapuji ko chaha hai. Pehle bhi beta samjh kar danta hai ne tune mujhe. Toh bol na. Dil mein jo baat hai bol de. Dantna hai dant le. Marna hai toh maar le. Lekin aisi dil ko chubhne wali baat mat kar baa.
Baa: kya samjhu mein. Hmmm? Beta bahu laya ki damat beti? Subhadra ki chitah jalne ke baad bhi woh is ghar mein zinda thi. Tere dil mein thi. Lekin aaj woh chal basi. Kyunki tumne subhadra ki jagah woh ladki ko de di.
DM: Nahin baa. (tears rolling down his cheeks) Subhadra ki meri zindagi me kya jagah hai, tu achi tarah janti hai. Yaad hai mujhe...lagan kar ke jab subadhra ko pehli baar is ghar mein laya toh usne mujhse pucha tha ki tujhe jyada chahu ya tere mata pita ko? Tab meine kaha tha ki hamare mata pita. (more tears) Maa gujri toh Subhadra ka haath unke haathon pe tha baa.
DM reaches out to hold Baa's hands. She reciprocates by entwining their hands.
DM: Eh baa, (more emotions and tears!) woh chokri ka meri zindagi mein koi astitva nahin.
Woh subhadra ki jaga kaise le sakti hai?
Mein aaj bhi, Subhadra ko diye hue vachan ka palan kara raha hoon.
Aaj bhi kuch nahin badla baa. Aaj bhi mera har ristha kayam hai.
Har rishte ki utni hi ehmyat hai jitni kal thi.
Subhadra ne aaj tak kabhi mujhe galat nahin samjha.
Ane mane vishwaas che ke tu bhi mujhe galat nahin samjhegi.
Kyunki tu subhadra ki janamdata hai aur meri mata.
Che ne baa? Heh?
Baa and DM are both way too emotional.
DM: Chalo have radwanu bandh karo. (Ok, now stop crying)
Bau thayi gayu (enough).
Hoon jau karkhana ma, modu thay che (can I go to the factory, it's getting late)
Bau kaam che baa (have lots of work, Baa)
Baa: Jaa, lekin jaldi aana. Aaj grahan hai na.
Grahan ke baad, brahmin log ko daan karna hai.
Dekh, raat ka khana saath khayenge, haan bete,
DM is overcome by Baa's love. Gets up and hugs her tight. Baa chokes up with tears. DM pats her head. She touches his face. Awwww....such a sweet love.
DM: Chal jau havey (ok, shall I go now)
Baa: Jaa
DM leaves wiping the tears with his shawl.
Ok, I don't think I can write anything after this beautiful scene.
The Santo-Chipkali scene was cute. Nice bonding.