I was trying to visualize a situation where there is a possibility of A and M uniting after a conversation. Anandi and Nandini are out of Jaitsar for a day or two and are putting up in a hotel.
A : Nimboli, tum apni maa ke baare mein Kya jaanti ho?
N : Chokhi chudail, meri maa bohot buri thi. Usne mujhe kachre ke dabbe mein fek diya tha Jab main bohot chhoti thi. Aisi to koi maa na hogi.
A : Nimboli, tumhare saath tumhari maa ne aisa kiya, he tumhe kisne bataya?
N : Kundan ji ke baapu sa aur maa sa ne. Teesa ne bhi
A : Tum un logon par itna vishwas kyun karti ho. Tumne kabhi aisi koi maa Dekhi hai
N : nahi to
A : to fir...Jin logon ne tumhare saath hamesha galat kiya, tumhe kyun lagta hai ki wo log tumse ye baat jhooth nahi bolenge. Un logon ne agar tumhe kachre se uthaya to bhi kaun si achi zindagi di tumhe
N : ðŸ˜
A : Dekho beta, main tumse sirf ye kehna chahti hoon ki duniya hamesha Waisi nahi jaisi humein dikhai jaaye...Tum abhi bohot chhoti ho isliye main nahi chahti ki itni si umar mein tum apni maa ke baare mein itni galat baatein apne mann mein Rakho
N : shayad aap sahi keh rahi ho chokhi chudail
A : Tum jaanti ho na ki main khud apni bachi ko itne saalon se dhoondh rahi hoon
N : haan...jaanti hoon.
A : tumhe kuch batana chahti hoon aaj. Main apni beti se mili kuch waqt pehle.
N : sachi chokhi chudail. Kahaan hai wo...Maine aap Se kaha tha na ki Devi maa aapko aapki beti se bohot jaldi milwa dengi
A : ðŸ˜ðŸ˜
N : Kya hua chokhi chudail...aap kyun ro rahe ho
A : kyunki meri beti bhi mere baare mein aisa hi galat sochti hai jaisa tum apni maa ke liye sochti ho
N : par ye to galat baat hai...aap to kitni achi ho...jab main aapse pehli baar mili, mujhe aisa laga hi nahi ki main aapko jaanti nahi
A : Tum aisa kyun sochti ho ki main achi hoon?
N : kyunki aap achi ho. Aap sabka kitna khayal rakhti ho...aapne ladkiyon ke liye school bhi banaya hai aur aap apni beti se bhi kitna pyaar karti ho
A : Tum sach mein maanti ho ki main apni beti ke saath aisa nahi kar sakti?
N : haan chokhi chudail...aap aisa kabhi nahi kar sakti
A : to agar main kahoon ki jis beti se main kuch din pehle mili wo koi aur nahi tum hi ho, to tum mujhse naraaz to nahi hogi na?
N : matlab aap hi meri maa ho?
A : haan beta
N : main nahi maanti
A : main sach bol rahi hoon...Maine ye sach tumhe ab tak isliye nahi bataya kyunki tumhe apni maa ke baare mein sab galat bataya gaya tha...Main darti thi ki kahin main tumhe fir se na kho doon. Akhiraj me tumhe mujhse chheen liya tha. Humne bohot dhoondha par tum nahi mili aur jab mili to tumhare mann mein mere liye bohot kadwaahat thi.
N : main devi maa ko dhanyawad Dena chahti hoon ki aakhir unhone mujhe aapse mila diya aur aap bilkul bhi Waisi na ho jaisa main sochti thi...
And they hug tightly and cry with happiness...just hope this happens soon