Abhi ke time par bv2 ko progressive serial kehne ke reasons -
1) Aanandi - 10 sal tak regressive Anjariya family ke sath reh rahi hai. MB ne use bachpan se sikhaya hai ki pati ko bhagwan mano, patnidarm ka palan Karo, bahu ke sare farj nibhao. In sab ke bad bhi, Anandi me apne freedom ke liye ladne ki zid hai, apni studies complete karke wo life me kuch banna chahti hai. Dusro ke liye bina dare stand leti hai. 18 sal ki ladki me jo masumiyat honi chahiye, wo usme hai. Child marriage victim hone ke bad bhi face par hamesha smile rakhkar apni sari problems ko chhupati hai.apni problems khud solve karna chahti hai, kisi se bhi help expect nahi karti.
Patience hai usme is liye, jigar jaise ghatiya husband ko jhel rahi hai,lekin bechari abla nari nahi hai wo. Tabhi to suhagrat se bhag gayi. Mahan nahi hai, lekin apni marti hui maa ko diye promise ke karan NGO walo se jhuth bolkar Jigar ko bachaya. Lekin ghar aakar first time usne apne liye stand liya, " meri marji ke bina muze chhune ka right kisi ko bhi nahi hai, mere pati ko bhi nahi " 👏jaise hi sasurji ne permission di, clg join kar liya, kyunki apni studies complete karke life me kuch banna uska dream hai. Anjariya family ke sath rehkar bhi Anandi itni strong, progressive kaise ye bahut bada sawal hai🤔
2) Anand. - sirf 21 yrs ka hai, but emotionally bahut mature hai. 10 sal USA me rehkar aaya hai fir bhi ladke me attitude to nahi hai, par sanskar hai. Waise to bada practical hai,lekin apni sis aur friend (FL) ke case me emotional hai. Unke liye dil se sochta hai, aur baki sab ke liye dimag se. Is liye Anand ko emotional blackmail karna impossible hai. Smart hai ladka Tit for tat ke rule se chalta hai. Gentleman hai, women empowerment ke liye work kar raha hai. Anand ne jab, MB sanskaro ke nam par speech de rahi thi , tab mythological reference dekar unhe chup kara diya tha,ye kehkar ki "sanskaro ki bate aap ke muh se achhi nahi lagti"
Hamesha Anand regressive old thoughts wali MB ko ulta jawab dekar chup kara deta hai, tab wo ye nahi sochta ki ye age me badi hai. In short Kisko kitni respect deni chahiye ye use achhe se pata hai. Jigar ke sath uska tashan worth watching hai, right VS wrong types.
Girls ki respect karta hai, but jab uspar ladki ke sath battmizi karne ka blame laga tha, tab usne kitne strongly apne liye stand liya tha.in short Anand achha hai par mahan nahi 👍🏼
Anandi ke liye uske dil me deep feelings hai ,Kyunki wo use bachpan se apni best friend manta hai. Is liye use hamesha khush dekhna chahta hai. Aanandi ke liye Anand ka dil dukhta hai, wo use taklif me nahi dekh pata. Ab ye sirf friendship hai ya kuch aur... Ye to Anand hi bata sakta hai 😜
3)Chaturwedi Family - most realistic family. Kisi bhi angel se nahi lagta ki ye itv se belong karte hai 😆 Anand ki mummy social worker hai, independent woman hai ,kitni sweet hai. Aanandi ko apni beti Diya se kam nahi samjhati, kitni care karti hai dil se Anandi ki❤️Anand ke papa bhi achhe hai, jab Anandi unke per chhukar aashirwad lene gayi thi, tab unhone kaha tha ki "Betiya per nahi chhuti, gale lagkar dhher sara aashirwad leti hai " aur kitne pyaar se Aanandi ko hug kiya tha, bilkul apni daughter ki tarah Diya Di bhi bahut achhi hai, Anandi ki khushi ke liye hamesha Anand ki help karti hai. Anandi married hai ye janne ke bad bhi, Anand ko uski family ne kabhi bhi Anandi se dur rehne ko nahi kaha, ulta hamesha encourage kiya hai use Anandi ki help karne ke liye.
Aur aage bhi Anandi ki child marriage break karne ki journey me Anand & uski family Aanandi ko full on support karenge.
Ab itna achha ML uski itni pyari family aur strong FL hai is serial me, to hui na ye serial progressive 🤗