lovely story.pls cntinue soon
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 19th Sept, 2025
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
Deepika Removed From Kalki 2
🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
How quickly time changes
Armaan has always been the victim
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Baseer rental house
Appreciation Post for Ruheen
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 28
Happy birthday Namik Paul❤️🔥🩷
New pic of Katrina who is very pregnant
Now Nag Ashwin takes a dig at Deepika for the Kalki mess
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 20, 2025 Episode Discussion Thread
Deepika starts shooting for King
Aneet replaces Kiara in Shakti Salini
Singer Zubeen Garg Passes Away
Originally posted by: Bunny_honey
Hey hi how's u doing?
coming here after long time so read this story , well first of all I want to say sorry in advance because may be my comment or view will not be liked by u or writer or readers or others.Coming to this FF, Ram ne galti toh ki hi nahi hai jo uski mafi ho , woh gunah hai or uski mafi nahi hoti. After leap its shown that Ram has been changed ...really ????? well if he is changed then he will be ashamed of his doings and will not hold that much strength that he will face priya, pihu, his parents and this world. Har raat ko usse dreams toh aayenge hi jo usne kiya hai or unke baad he should hate himself. Moreover usse Priya ke pain ka ab bhi ahssas nahi hua hai that ki woh kis dard se gujri hai, agar hota toh woh bhi suicide karne ki koshish karta jasse priya ne ki thi. Priya ko ussne physical or mental torture dono diye hain aur usse abhi tak naa physical torture hua hai naa mental toh usse priya ke pain ka kaise ahsaas hoga, infact he was in attitude that ki ussne priya ko apni zindagi aur dimag se nikal diya hai(heart mein toh wo thi hi nahi kabhi) ...but does he really knows ki ussne priya ko nahi balki priya ne usse apni zindagi aur dimag se nikal diya hai.Really I'm only talking about the Character Ram of this story who is not a hero at all.Now comes to pihu, well jab woh apni maa ki aur biwi ki izzat nahi kar sakta tho beti ki kiya karega , Now i'm really very sorry for what I'm going to say but if we see the cases and crimes in today's world then the realty of life says this only that aise logo se har women ko bachke rahna hi chahiye aur agar priya apni beti ko bachana chahati hai toh ismein galat hi kiya hai, Iss man ka kiya bharosa ki jo isne priya ke saath kiya hai wo pihu ke saath nahi karega( sorry for this agar bura laga ho toh but if we see crimes in today's world then it's correct to say that ase logo se har lardki ko bachna chahiye) Ye ram pihu ko bhi toh torture kar sakta hai.Ek Daughter ke liye father sirf papa kehene ke liye nahi hote , father apni beti ko ek environment dete hai jisme woh save, secure aur happy and free mehsoos karti hai. Father apni beti ko na sirf financial security but har tharf se security dete hain, unhe humsha secure feeling dete hain aur freedom dete hain ki tum iss world ke saamne face karne ke liye kadhi ho sakti ho aur mein hoon tumhare saath tumhen har burai aur bure insaan se bachane ke liye. Iss Ram ke saath pihu kabhi save aur secure nahi ho sakti. Woh toh khud ek bura insaan hai toh pihu ko kaise buraion se bachayega. Toh agar priya iss se apni beti ko bachana chahati hai toh mere view mein woh sahi hai.Now about grandparents , Amar ji ne jo kiya priya ke liye woh bhot bhot kuch hai infact assa koi koi hi kar pata hai. But iska matlab ye toh nahi ki woh apni beti ko hi sonp de woh bhi ek ese admi ke hatoon mein jo emotions se konso dur hai. Krihnaji apne bete se pyaar karti hain because she is a mother similarly she has to understand that priya is also a mother. How can she say that come back home when she already knew that her son doesn't like priya at all and what he has done to her in the past. Yes Amar and krishna ji love Priya and pihu very much but their love for their son can't match anything. Atleast amarji has humanity in him that he has helped priya so much.Rahi Ram aur priya ke bich mein love ki baat toh woh abhi tak toh hai hi nahi . Infact Ram said to his dad that he don't want to work with priya , abhi bhi itna attitude hai , I mean change hone ke baad bhi itna attitude hai toh Ram mein changes aye konse hain? Agar Ram ashamed hota apni karni par toh priya ko face bhi nahi kar pata but woh toh priya se ulta question puch raha hai ki pihu kahan hai?I really feel is he really changed and ashamed of himself?I think agar pihu apne papa se milne ki jayada jidd karti hai ya ram ko pata chalta hai ki pihu uski beti hai aur woh pihu se milnne ki koshish karta hai toh naa chahate hue bhi Priya ko Pihu ko bata dena chahiye ki usske papa is not a good person not even a human being and he has done some criminal acts. Jisse pihu khud Ram se dur rahe and if legal actions has to be taken then also priya should say all things about Ram in court . Atleast she has to take this step for pihu's good and safe life and future.Agar story mein ye dikhaya gaya ki pihu ke liye Ram priya se pyaar karta hai toh woh galat hi hoga ya woh pyaar ka natak hi mana jayega. Atleast ram aur priya ko pihu ke liye ek nahi hona chahiye because it again shows how a woman always compromise in her life and here if priya reunites with ram because of pihu it will show that she has compromised with her prestige and self respect also and the man who has done criminal acts has got everything and a happy life without any pain and punishment of his acts.For the writer, well realty show karna achha hai par agar hero ko criminal dikhaya jaye aur usse aise acts karte dikhana jinki koi mafi nahi hoti toh ese mein story ke protagonist ko kisi bhi saja ke bina chodna apne app mein ek gunah hai. ( sorry if u felt hurt)Well ham sab ko angry young men pasand hote hai but unn logo ke pass anger ke saath saath ek heart of gold bhi hota hai. Ram ko hamne angry man ke roop mein khoob pasand toh kiya hai par iss story ke ram mein jo anger dusron par nikalne ka tareeka dikhaya gaya hai woh usse ek criminal bana deta hai jo aise criminal acts karta hai jiski koi mafi nahi hoti.Angry young men sab ko pasand hain anger dikhane ka ek tarika aur ek Haad hoti hai. Iss protagonist Ram ke anger dikhaane ka na toh ye koi tareeka hai na hi iss koi haad.Ye ram apne acts ko kaise sudharega , kiya woh Priya ko uski izzat wapis de sakta hai? Kiya woh past mein jaa kar woh sab sudhaar aur sahi kar sakta hai jo ussne galat kiya hai? Ya past mein jaa kar woh saab nahi kar sakta hai jo ussne gakat kia hai? Par abhi tak toh Time machine invent hui nahi hai toh past mein jaakar sab theek kaise karega.Kiya jiss dard se aur jitne dard se priya gujri hai utne hi dard se ram bhi gujr sakta hai ? agar nahi toh ram jo bhi karle aur jitna bhi karle woh kabhi bhi priya ke pain ka ehasaas nahi kar sakta. Jab tak Ram ko Priya ke pain ka eshsaas nahi hoga tab tak woh usse pyaar bhi nahi kar payega.Well for Kush , I think he is Amarji's daughter son, If I remember somewhere Amarji said that meri bhi ek beti hai while talking with priya, so I think kush is amarji's daughter son.In end Sorry again if any one is hurt whether it's writer or readers or other , Please don't take it personally it's only my view point about the story.
Originally posted by: luvsakshi
Hi dear, Actually I was away from forum because I was suffering from severe Hepatitis A(jaundice) along with Typhoid and was hospitalized. When I came back then I read this FF again.Yep every one holds different point of views and sometimes argument can take place because of that but that doesn't mean that friendship is broken, moreover I don't remember when we fought , its just that we share our thoughts.Yep you said right , infact my point is that only in my previous comments that why in Indian culture a women has to sacrifice whether she wants or don't want to do that. Why she has to do compromise whether its for her parents, children, husband or in laws. Yes every good person whether a man or a woman holds a power to forgive anyone , but does that mean they have to give the forgiveness on stake of their self respect and prestige ?Trust is very important in every relationship , but for a woman the most important thing for herself is her prestige and here Ram has taken that forcefully so how can trust be gained back after that. But may be as for fiction story it can be shown. Moreover Ram has broken Priya's trust not once but many times, so he not only has to work hard to gain trust back but also has to realize his mistakes and that needs he has to suffer the same amount of pain that priya suffered. More over if ram truly realizes his mistakes then will not be able to face himself.Well neel thanks for telling in advance ki shayaad muhje aage ke parts unlike lage , toh abb mein ye story soch samaj kar hi aage padhoongi.😆For writer: Yes galati ka realization hona jaruri hai. Infact meine previous comment mein indirect tarike se yehi kaha hai.Kisi bhi lardki se puch kar dekho jinke saath aisa sach main hua ho , kia wo uske case ke criminal ko mafi de payagi , agar us criminal ko jail bhi hui hogi na to bhi wo lardki kabhi usse maaf nahi kar payegi. Aise logo punishment karwana isliye jaroori hota hai taki woh log aisa kabhi kisi aur ke saath na kar payein apni punishment ko yaad karke. Par wo lardki jinke ke saath aisa already ho chuka hai wo kabhi usse maaf nahi kar payegi, may be not even on his death because usse toh death punishment mil jayegi but uss lardki ko hamesha unn khofnaak memory ke saath jeena padega. In my opinion Rape murder se bhi bada crime hai. Courts bas saja de sakti hain aur criminals kuch saal ki saja kaatne ke baad free bhi ho jate hain but uss lardki ka kiya jisko ussne zindgi bhar ke liye saja de di ho. Wo log uss lardki ke pain ka ehsaas kahi nahi mehsoos kar sakte , ye buri ghatna jo uske saath hui hai wo usse hamesha darati rahti hogi aur wo iss memory ko kabhi apne dil aur dimag se nikaal nahi pati hogi aur hamesha usse yaad karke roti raheti hogi.Ram priya ki prestige wapas kaise karega. Agar wo usse apni khushi aur priya ki razamandi se shadi karta hai aur tab ye kaha jaye ki priya ki prestige wapas agayi hai toh issmein koi nayi baat nahi hai , India main ye roodiwadi pratha barson se chali aa rahi hai jahan ek lardki jis ke saath ye sab hone par bhi usse uss insaan se shaadi karni padti hai jisne usske saath ye sab kiya ho, Kabi family ke dabav mein toh kabhi koi aur wajah se usse ye karna padta hai( A really weak and disease full Indian culture).Priya ki memory se wo kabhi unn khofnaak pallon ko nahi mita sakta jab ussne uske saath ye sab kiya tha, toh priya usse maaf kaise karegi? Agar Ram ek lardki hota toh usse shayad iss pain ka realization ho bhi pata but here abhi tak toh Ram ko koi realization hai hi nahi.Well I'm not saying ki Ram ko kabhi maafi naa mile but maafi ke liye usse realize hona bhot jaroori hai but realization toh tabhi hoga naa jab usse bhi usi pain ka, utne hi pain ka ehassas hoga jitna priya ko mila hai. Usse bhi unn bhayaank pallon se gujrna pade jinse priya ko ussne majboor kiya gujrne ke liye. If Ram realizes his mistakes then he will hate himself and will not be able to face himself.Aur atleast apni daughter ke liye priya ko Ram ko maafi nahi deni chahiye aur naa hi Ram ko sirf pihu ke khatir priya se pyaar karna chahiye. Well Pyaar Karne aur hone mein fark hota hai.Well Hum stories ko likhne mein kuch bhi show kar sakte hain aur readers bhi khoob maje se read kar lete hain, Infact agar kuch logon ko agar kuch na pasand bhi ho toh woh log ye soch kar read karte hain ki ye hamare favorite couple hain aur aage toh sab theek ho hi jayega aur aage Love bhi ho hi jayega aur end mein toh sab tihk ho hi jayega. But Ever they thought ki jin lardkjiyon ke saath ye sab hooya hai unke pain ka ehsaas hum kabhi nahi kar sakte. Not only a man even other women can't understand the pain of victim woman of such crimes.In end sorry again if u r hurt but its only my point of views, Plz don't take them personally , it's only for the story.