Pata nahin y cvs juhi par itne meherbaan kyun hain saare log forum pe ho ya facebook pe sab oose hate karte hain.Waise km ki history mein kabhi bhi haqdaaron ko haq nahin milta hai.Juhi km mein raaj kar rahi hai aur priya jo k km ki malikan hai bahar job karrahi hai.Ram ne toh kabhi bhi 4 months mein ye nahin socha k priya kaise zindagi guzaar rahi hai magar khush ko dekha toh kaha k priya ki wajah se iska yeh haal hai.Juhi ko priya k sab share dene ka baad ram ne apni wife ko secure karne k liye kuch nahin kiya its ok jab tak priya km mein thi toh zaroorat nahi padi magar jab priya km chor kar gayi toh ram ko kuch toh sochna chahiye tha.Log apni divorce wife ko bhi elimony dete hain priya toh phir bhi ram ki wife hai.Ulta priya se naaraz hai priya ko dosh de raha hai chor k jaane ka khud mein toh itni himmat nahin thi k beti ko sahi karta na k biwi ko jaane deta.Aur jab priya ne ram ko hug kiya tha toh kyun pihu k kehne par priya ko hata diya hug karne se no doubt priya ki bhi thodi mistake hai oose bhi km chor kar nahin jaana chahite tha oose by hook or by crook wahan reh kar ladai ladni chahiye thi but cvs ko kuch aur hi batana tha.