Hi it's from d film murder "Zindagi Is Tarah"(male and female version f d song)Originally posted by: Pooja1977
I want to now when Aastha enter in room with wear with wadding cloths I want to now that songs please tell me or tell me the movie name I be really thank fool to you
and that viode is 17 of this week
Lyrics |
Zindagi Is Tarah Se Lagne Lagi Rang Ud Jaaye Jo Deewaaron Se Ab Chhupaane Ko Apna Kuch Na Raha Zakhm Dikhne Lage Daraaron Se Ab Talak Sirf Tujhko Dekha Tha Aaj Tu Kya Hai Yeh Bhi Jaan Liya Aaj Jab Gaur Se Tujhe Dekha Hum Galat The Kahin Yeh Maan Liya - 2 Teri Har Bhool Mein Kahin Shaayad Hum Bhi Shaamil Hain Gunahgaaron Se Ab Chhupaane Ko Apna Kuch Na Raha Zakhm Dikhne Lage Daraaron Se Aa Mere Saath Milke Hum Phir Se Apne Khwaabon Ka Ghar Banaate Hain Jo Bhi Bikhra Hai Voh Samet Te Hain Dhoondkar Phir Khushi Ko Laate Hain - 2 Bojh To Zindagi Ka Kat Ta Hai Ek Duje Ke Hi Sahaaron Se Zindagi Is Tarah Se Lagne Lagi Rang Ud Jaaye Jo Deewaaron Se Ab Chhupaane Ko Apna Kuch Na Raha Zakhm Dikhne Lage Daraaron Se |
female version of d song.
Zindagi is tarah se lagne lagiRang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lagi daraaron se
Main tere jism ki hoon parchhaai
Mujhko kaise rakhoge khud se judaa
Bhool karna to meri fitrat hai
Kyoon ki insaan hoon main, nahin hoon khuda - 2
Mujhko hai apni har khata manzoor
Bhool ho jaati hai insaanon se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lagi daraaron se
Jab kabhi shaam ke andheron mein
Raah panchhi jo bhool jaate hain
Voh subaah hote hi milon chalkar
Apni shaakhon pe laut aate hain - 2
Kuch hamaare bhi saath aisa hua
Hum yehi keh rahe ishaaron se
Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage daraaron se