Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aabeer Gulaal reviews and box office
The 71st National Film Awards are September 23 in Delhi
PARAYI AURAT 13.9
Tanya was fab today👏🏻
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
It was Riya who discovered Arjun's injury when her hand accidently brushed past his. Confused at the moisture she looks at him in a questioning manner. Arjun gestures her to keep quiet. Riya glares at him and threatens silently she would complain. Arjun gives her a challenging look...
Riya shouts just loudly enough for Sameer to hear: Arjun Sir! Ye Kya Hai???
Sameer stops in his tracks: kya hua Riya?
Riya(innocently): wahi toh main bhi puch rahi hun sir...lekin Arjun sir kuch bol hi nahi rahe
Sameer glares at Arjun who is glaring at Riya.
Sameer: kya hua hai?
Arjun: kuch nahi
Riya continues her act( holding his hand and showing it to Sameer): toh ye kya hai sir?...are sleeve thodi fat gayi hai... lekin sleeve fatne se toh sab geela kyun hai? OMG! Ye toh khoon hai!!!
If looks could kill Arjun would have murdered her by now. Riya smirks and gives him a "maine toh pehle hi warn kiya tha look!
Sameer(angrily): Arjun! Ye sab kya hai?
Arjun: kuch nahi Sameer choti chot hai
Sameer(sternly): itni hi choti thi toh chupaane ki kya zaroorat thi
Arjun tries to defend himself: are choti thi isliye toh...warna main kya aisa karta?
Sameer: ha!
Arjun feels himself at a loss of words.
Sameer: Riya! First aid kit lekar aao aur tu!.. tu chal apne cabin mein
Arjun tries to convince him: dekh Sam...
Sameer: CHAL!
Sameer drags him inside and forcefully makes Riya treat him despite his protests. After she is done.
Sameer: thank you Riya!
Riya(cheerfully): your welcome sir!
Sameer smiles and leaves not before warning Arjun to take care of his wound. Arjun on the other fumes seeing Riya reply to Sameer in the manner she did and due to the forceful treatment.
Arjun(annoyed): khadoos kahin ka!!
Riya (mutter): waah! hitler khud kisi aur ko khadoos bol raha hai
Lekin Arjun sun leta hai
Arjun: kya kaha tumne?
Riya: Hitler Khud Kisi Aur Ko Khadoos Bol Raha Hai !!!
Arjun: what? Hitler? Aur woh bhi main?
Riya: ji ha!!!
Arjun: oh really??
Riya: oh yes!! Ekto aapko chot lagi hai, upar se aap hi Rathore sir ko suna rahe hai?!?! woh bhi unke peeth peeche...kaise dost hai aap? Kya kiya unhone? Woh toh sirf yahi chahte the na ki aap dressing karwa lo taaki baat aur na bigde aur aap hai ki...huh!
Aur aise hi sunakar chali jaati hai, peeche Arjun statue bana hua hai
Arjun mv "what the hell? Mera dost hai kuch bhi karu ise kya... (fir determinedly) hitler lagta huna main tumhe...ab dekho Riya is hitler ki asli hitlergiri nahi dikhayi na toh mera naam bhi Arjun Suryakant Rawte nahi aur mischievously smile karta hai
Conference room
Sab din ki wajahse thake hai, Rathore unhe jaldi off de deta hai. lekin tabhi Arjun enter karta hai
Arjun: Riya mujhe ye saari files chahiye...Abhi!!! aur use ek list thamata hai
Riya list padhti hai: ye sab humare records mein nahi hai
Arjun: toh jaha hai waha se nikalo, aur mujhe do...tumhare paas kal subah tak ka samay hai
Riya(shocked): kyaa??? Lekin ...
Arjun: of course! Agar tum nahi kar sakti toh...
Riya use glare karti hai
Rathore: Arjun ye sab kya hai? aisa kaunsa urgent kaam hai tumhe? Woh bhi thaki hai, ye sab baad mein...
Riya : rehne dijiye sir, main kar lungi aap log jaiye
Arjun slyly smile karta hai: lo... Riya ko toh koi problem nahi Sam...tum tension mat lo
Sameer sigh karta hai, jab Riya khud hi keh rahi toh woh bhi kuch nahi kar sakta
Sameer: theek hai... chaho toh kal leave le lena
Riya: thank you sir!
Sameer nod karta hai, sab ghar chale jaate hai. Arjun apne cabin mein. Riya wahi conference room mein baithkar laptop se files dhundhne ki koshish kar rahi hai.
Riya mv "ye Arjun sir bhi na...zaroor hitler bola isliye ye 25 30 saal purani filen dhundhne ke liye pakda di... Aur Rathore sir ko khadoos bol rahe the, khud ko kabhi dekha hai? kitne ache hai Rathore sir...bina maange leave bhi de di aur ye...ugh!!! unhe kya lagta hai? main files nahi dhundh paungi? Aise hi research specialist nahi bani...ab toh ek ek file dhundh kar unke haath mein nahi thamayi toh mera naam bhi Riya Mukherjee nahi...fir bhale hi woh zameen ke neeche hi kyun na gadhi ho!!!
Woh man laga kar files dhundhne lagti, der raat ho jaati hai. Riya yawn karke time dekhti hai...12:30
Riya mv "itna late ho gaya? Aur abhi tak sirf aadhi files haath lagi hai...yeh Arjun sir bhi na...meri baari aane do, aisa maza chakhaungi ki dobara meri taraf aankh uthane ki bhi himmat nahi karenge
Woh firse concentrate karne ki koshish karti hai...usi waqt lights chali jaati hai
Riya(annoyed): what the hell!!! Bas yahi baakhi tha
Riya laptop ki battery check karti hai
Riya: oh god! Sirf 40% itne mein mujhe saari files dhundhni hogi, aur light ka bhi koi thikaana nahi...ab kya karu?
Tabhi ek shadow door se guzarta hai
Riya: kaun hai??
Koi jawab nahi aata...Riya cautiously apni seat se uthkar darwaaze ke paas jaati hai
Riya: kaun hai??
Riya aage steps le rahi hai, itne firse koi peeche se move hota hai, Riya immediately turn hoti hai par use koi nahi dikhta
Riya: saamne aao!!!
Fir kuch footsteps ki awaaz aati hai...Riya us direction mein turn hoti hai. Riya apni gun aur phone ki torch nikaal kar use apne saamne point karti hai
Riya: baahar niklo!!!
Arjun mv " tough nut!! Abhi tak nahi dari, mujhe toh laga andhere mein parchaaye se hi kam chal jaayega...time to level up!
Achanak kuch tutne ki awaaz aati hai, Riya bhagkar waha jaati hai, lekin waha bhi koi nahi bas farsh par...ek tuta vase
Riya mv "ye office mein kaun ghus gaya? Watchman kaha gaya?''
Riya window ki taraf jaati hai, lekin compound mein watchman ke cabin mein koi nahi hai
Riya mv "ye kaha chala gaya? Duty ke time pe? Aane do Rathore sir ko, shikayat karungi...(tabhi uski nazar aaspaas jaati hai) ye kya? Sirf humare building ki light kyun gayi hai? kahi fuse mein toh problem nahi...check karti hun
Sochte hue woh meter box ki taraf jaati hai
Riya mv " yaha toh zaroorat se zyaada andhera hai phone pakdu ya meter check karu? Candle le aati hun
Woh pantry ki taraf jaane lagti hai, achanak background mein music play hone lagta hai
Gumnam Hain Koi Badnam Hain Koi
Kisko Khabar Kaun Hain
Woh Anjan Hain Koi
Gumnam Hain Koi Badnam Hain Koi
Kisko Khabar Kaun Hain
Woh Anjan Hain Koi
Gumnam Hain Koi
Kisko Samaje Ham Apna
Kal Kaa Nam Hain Ek Sapna
Kisko Samaje Ham Apna
Kal Kaa Nam Hain Ek Sapna
Aaj Agar Tum Jinda Ho Toh
Kal Ke Liye Ke Liye Mala Japna
Gumnam Hain Koi Badnam Hain Koi
Riya ki cheekh nikalti hai woh immediately apne kaan band karti hai mv "he bhagwaan nafrat hai mujhe is gaane se, band karo ise!!!!!!
Riya bhagkar Shree ke drawer mein se headphone nikalkar pehan leti hai. woh finally chain ki saans leti hai. apne aap ko compose karke, Riya firse pantry ki taraf jaati hai
Arjun mv "are isne toh headphones pehan liye...smart girl!
Riya kisi tarah drawer se candles aur matchstick dhundhti hai. woh song ko bhulkar apne haathon ki cheezon par concentrate karne ki koshish karti hai. Riya matchstick light karti hai aur jaise hi who candle jala kar turn hoti hai...ek rakshas ka chehra uske saamne aakar roar karta hai!!!
Riya cheekh kar candle se uske chehre par attack karti hai, is baar normal admi ki awaaz aati hai jo candle aur uske haath dono ko dakhelta hai
Admi: Riya!!!
Lekin Riya ko sunayi nahi deta (headphones ki wajahse) woh immediately use pet mein punch maarti hai. achanak waar ki wajahse woh zameen par gir jaata hai aur uska mask uske chehre se utar jaata hai. Riya firse attack karne waali hai tabhi use uski shakal dikhayi deti hai
Riya: Arjun sir?!?!?!
Arjun uthne ki koshish karta hai: ha ma...lekin agle hi second Riya use tightly hug karti hai aur woh firse zameen par pahunch jaata hai
Arjun(concerned): Riya?...kya hua?. Par woh kuch nahi bolti hai.
Arjun uske headphones nikalta hai
Riya: Nahi...!!!!!!woh apne kaan band kar deti hai
Arjun: Riya listen to me!!!
Riya (Dari hui): please ye gaana band kijiye!!! Mujhe dar lag raha hai
Arjun: ha...ek minute!
Woh fatafat Riya ko apne se dur karke, music band karne ke liye chala jaata hai. kuch pal baad music band ho jaata hai. Riya apne kaano se haath hatati hai silence se relief hoti hai. woh apne aapko compose karke seedhe khade hoti hai...lights on hoti hai, uski nazar zameen par pade candle aur mask par padti hai...
Tabhi Arjun enter karta hai(concerned): Riya?...are you okay?
Riya use glare karti hai
Arjun mv " mujhe aisa kyun lag raha hai ki yeh mujhe kacha chaba jaayegi?
Arjun(half afraid): Ri...
Riya(angrily): What The Bloody Hell Is Wrong With You??? Ye Sab Aapne Sirf Isliye Kiya Kyunki Maine Aapko Hitler Bola? Unbelievable!!! You Know What? Main Galat Thi Aap Hitler Nahi Ho, App Usse Bhi Battar Ho!!!!!
Arjun: Ri...
Riya: Mujhe Aapse Koi Baat Nahi Karni!!!
Arjun: par ma...
Riya: Go To Hell!!!!
And she storms out of the office. Arjun uske peeche jaane ki koshish karta hai
Arjun: Riya!!! Riya...ruko!!! Riya meri baat toh suno...Riyaaa!!!!
Lekin woh nahi sunti aur taxi lekar nikal jaati hai
Arjun frustrate hota hai: what the hell!!! Itni raat ko bhi ise itni jaldi taxi mil gayi??? Damn it!! kya zaroorat thi mujhe aisa mazaak karne ki? Khamakha naaraz ho gayi... maine hi use daraya fir bhi madad ke liye mere hi paas aayi...(use guilty feel hota hai) nahi, maine sahi nahi kiya...mujhe usse maafi mangni hogi!
Arjun use phone karta hai lekin Riya phone nahi utathi
Arjun mv " ab yeh mera phone bhi nahi utha rahi!!!...koi baat nahi kal office toh aayegi na? kal nahi toh parso, kab tak mujhe avoid karegi? Main tabhi use pakad lunga sochte hue woh bhi ghar chala jaata hai...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
451