continue soon.
thanks for pm..
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 18th Sept 2025
HEALING SHUROO 18.9
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
Akash Ambani constantly holding radhika's hand and waist
Deepika Removed From Kalki 2
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 18, 2025 Episode Discussion Thread
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
The Ba***ds Of Bollywood - Reviews
Abhishek reminds me of young Puneet Issar
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
Buddhiya ki Nautanki
ABC Pulls Jimmy Kimmel Off Air for Charlie Kirk Comments
Anupamaa 18 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
How quickly time changes
Alia bhatt special topic
Pari's hate for Tulsi
Armaan has always been the victim
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Appreciation Post for Ruheen
Shree: WHAT THE...???...
sab us direction mein dekhte hai aur us scene se shock ho jaate hai...waha sofa par Arjun aur Riya... Riya ka sar Arjun ki chest par aur Arjun use apne hathon mein wrap karke baitha hai...dono so rahe hai... aur dono ke chehre par chotisi smile hai...idhar koi kuch samajne ki state mein nahi hai, Sakshi ko bahut gussa aata hai
Sakshi: ARJUUNN!!!!!!
sab uski chillane se presence mein aate hai, udhar dono ki achanak aankh khulti hai aur alag hokar khade hote hai woh bhi unhe dekhkar thoda chauk gaye lekin Riya bahot irritated hai
Riya: kyun subah-subah chilla rahi ho?
Sakshi bhi gusse mein hai: mein kyun chilla rahi hu? is sawaal ka jawaab mujhse behtar tum de sakti ho Riya...ek gair mard ke saath...
ab Arjun ko gussa aata hai: THATS ENOUGH!!! tumhe koi haq nahi Riya ke khilaaf kuch bhi kehne ka, hum kya karte hai aur kya nahi ye humara personal matter hai ...tumhe beech mein padne ki zaroorat nahi hai
Sakshi: personal matter? kal tak toh tum sirf apni biwi se pyaar karte the na? toh fir aaj achanak Riya ke paas jaane ki kyun zaroorat aa padi tumhe?
Rathore situation control karne ki koshish karta hai: Sakshi kya keh rahi ho tum? pls shaant ho jaao
Sakshi: main shaant nahi hone waali ...kyun ho main shaant ? kal tak toh Arjun ko apni biwi ke ilawa nahi dikh raha tha toh fir ab ye bewafai...woh aage nahi bol paati Riya use tightly slap karti hai, ab tak woh chup thi lekin koi Arjun ke pyaar par ungli uthaye use bilcul bardaasht nahi, uska gussa aasmaan chu raha hai...idhar sabko 440 volts ka jhatka laga hua hai Arjun ko bhi, usne nahi socha tha Riya is tarah se react karegi
Sakshi: tumne mujhe thapad mara? HOW DARE YOU!!!
Riya (bahot gusse mein) :HOW DARE I? HOW DARE YOU !!!TUMHARI HIMMAT KAISE HUI ARJUN SE IS TARAH BAAT KARNE KI??kisne haq diya tumhe uske pyaar par ungli uthaane ki?? apne senior se kaise baat karni chahiye ye tak nahi pata tumhe?? TUMNE APNE AAP KO SAMAJ KYA RAKHA SAKSHI??? ye mat bhulo ki tum yaha sirf aur sirf home ministry ki wajahse ho apni kabiliyat ki wajah se nahi, TUM ETF KE LIYE SIRF EK LIABILITY HO AUR KUCH NAHI, agar main chahu toh do minute ke andar-andar tumhaara transfer kisi registaan mein karwa sakti hu isliye behtar hoga ki tum apni had mein raho SAMJHI??? reporter ho, toh reporter ki tarah raho WARNA WOH HAAL KARUNGI KI APNE PAIDA HONE PAR BHI AFSOS KAROGI
sab wahi ke wahi stun hokar khade hai, Sakshi use dekhkar hi itna dar gayi hai ki use jawaab dena toh dur ki baat hai woh apni nazre tak nahi hila paati, Riya abhi bhi dangerously glare kar rahi hai...tabhi Vikram waha aata hai...use dekh kar sab apne chehre normal karte hain
Vikram: good morning
sab: good morning sir
Vikram: I assume report complete ho gayi hogi?
Rathore: ji sir ...Shree file lekar aao
Shree nod karta hai aur file lekar aata hai, Vikram file kholkar upar-uparse use check karta hai
Vikram: well then, main chalta hun...you guys take the day off!!!
Arjun: mujhe kuch din aur chutti chahiye sir
Vikram: fine, application bhej dena main sign kar dunga
Arjun nod karta hai
Rathore (somehow smile karke) : thank you sir
Vikram nod karke chala jaata hai...Riya ke chehre par firse gussa aata hai woh ek baar Sakshi ko glare karke apna feet stamp karte hue baahar chali jaati hai, Arjun bhi uske piche chala jaata hai...Riya gaadi mein baithkar darwaaza slam karti hai...Arjun bhi driver ki seat par baithta hai
Arjun: Riya pls calm down
Riya: I AM NOT GOINGTO CALM DOWN
Arjun: ok don't calm down
Riya abhi bhi gusse me bol rahi hai: tumhara dimag kharab hai? waise toh tum naak par gussa lekar ghumte rehte ho use kuch bol nahi sakte the?
Arjun koi jawaab nahi deta hai woh jaanta hai uske kuch bhi kehna ka koi faayda nahi bas chup chap sun raha hai
Riya: ekto neend puri hui nahi uparse koi sone nahi deta...huh...shaanti naam ki toh koi cheez hi nahi hai
woh jerk se seat recline karti hai...Arjun flinch karta hai... aur Riya let jaati hai, kuch hi pal mein woh neend mein chali jaati hai...Arjun gaadi apne ghar le jaata hai...Riya ko sota hua dekh woh use apni baahon mein utha kar andar bedroom mein le jaata hai aur use bed par lita deta hai...fir woh bhi uske paas letkar dono par blanket cover karta hai aur Riya ko hug karta hai...Riya bhi use apne paas mehsoos karke snuggle karti hai...Arjun uski forehead par kiss karke apni aakhein band karta hai...
kuch ghante baad
Riya ki neend khulti hai, woh stretch karke yawn karti hai aur aas paas dekhti hai...us room ko dekhkar uske chehre par smile aati hai...woh apne haath upar karti hai aur wrist watch par time dekhti hai...shaam ho chuki hai...Riya apni middle finger ki ring nikaalkar use ring finger mein daal kar ring ko kiss karti hai. tabhi
Arjun(smiling): kabhi-kabhi itna pyaar hum par bhi luta do
Riya turn hokar dekhti hain. waha Arjun doorway par lean hokar khada hai
Riya: luta denge, luta denge itni bhi kya jaldi hai
Arjun: jaldi? nahi , nahi itna intezaar kiya hai toh thoda aur hi sahi
Riya hasti hai: acha sunooo
Arjun: sunao
Riya: mujhe bahot bhook lagi hai
Arjun: pizza ka order ready hai, fresh hokar aa jao
Riya : yaha le aao na
Arjun: ha taaki jab bed kharab ho toh tum mujhpar chilla sako right?
Riya: ha
Arjun: very funny, jaldi taiyaar hoka aao mein plate ready karta hun. aur turn hokar kitchen ki taraf jaata hai
Riya na chahte hue bhi bed se uthkar fresh hone jaati hai...
Arjun table par uska wait kar raha hai, use dekhkar ek slice offer karta hai, Riya apna muh kholti hai aur woh use khilata hai...
agle din
ETF Office sab aise hi baithe hai pichle din ki baatein yaad kar rahe hai
Shree: yaar...ye achanak Ri ko kya ho gaya...maine kabhi bhi use itna gussa karte hue nahi dekha
Chotu: ha... aur abhi tak aayi bhi nahi
tabhi Rathore enter karta hai
Rathore: guys...ek ...ek buri khabar hai
Ayesha: kya hua? aap bahot pareshaan lag rahe hai
Rathore apni seat par baithte hue: Riya...
Choree: KYA HUA RI KO?
Rathore: Riya ko kuch nahi hua...uska...uska transfer ho gaya hai
sab: KYA???
Rathore: ha...
Shree: lekin...lekin kyun?
Rathore: pata nahi... commissioner sir ka phone aaya tha...maine unse pucha lekin unhone kaha ki higher orders hai
Chotu: par sir ...is tarah achanak...Ri ne bhi kuch nahi bataya...
sab upset hai usi waqt receptionist enter hota hai
receptionist: Sir, ek ladki aayi hai...aapse milna chahti hai
Rathore: mujhse...? kaun ? kya naam bataya usne?
receptionist: naam toh nahi bataya par kaha ki woh sirf aapse milna chahti hai
Rathore: theek hai...bhej do use
Receptionist: ji sir
woh jaata hai aur kuch pal baad ek ladki smilingly enter karti hai
ladki: good morning
Rathore ke pairo tale zameen khisak jaati hai woh ekdum se uth jaata hai
Rathore :ROSHNIII !!!!!...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
453