Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-8 Sept 2025| Teams DT note P.58
NASEEB vs BADNASEEB 7. 6
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 8, 2025 Episode Discussion Thread
BHAGODI MAIRA 8.9
Anupamaa 08 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
BALH Naya Season EDT Week #13: Sept 8 - Sept 12
Kareena Kapoor in London/ Birmingham for Malabar Gold and Diamonds
The ba****ds of bollywood trailer
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 9, 2025 Episode Discussion Thread
amazing update dear
loved itso ariya is behind someoneit seems they are part of any other organization alsoplz ek bat clear kr do kya isme bhi arjun married hai n roshni ka brutal murder hua hai.ek character sketch typeupdate soonthanks for pm
Next day ETF office
sab baate karte hue pending paperwork kar rahe hai, tabhi Rathore ka phone bajta hai
Rathore: jai hind sir...ji sir ...ok ho jaayega sir...ji sir... (phone cut karke), team hume raid maarne jaana hai
Chotu: kaha sir?
Rathore: kuch din baad ek badi drug deal hone waali hai, uske ek admi ko pakadna hai taaki hum us deal ko rok sake...sab achese taiyaar ho jao hume nahi pata waha kitne admi honge...hum har tarah ki situation se deal karne ke liye ready rehna hai
sab Arjun ke ilawa: Yes Sir!!!
woh log ek band factory mein pahunchte hain, dheere-dheere woh ek-ek admi ko thikaane lagate hue andar jaa rahe hai, Arjun apne informers ko piche ke raaste se nikalta hai
Arjun: dhyaan rakhna koi dekhne na paye, aur agar pakde gaye toh...
unme se ek: pata hai saab aapka naam nahi lena hai
Arjun: good abhi dafa ho jaao aur yeh lo(unhe kuch paise deta hai)
admi: saab sirf hazar rupay?
Arjun :itna time lagaya na? interest kaatke . aur aage chala jaata hai
idhar andar Ashfaq ke paas ek admi bhag kar aata hai: boss, boss police aa gayi
Ashfaq ekdum se uth jaata hai: KYA?
Admi: ha boss humaare aadhe admi toh already gaye
pichese : aur ab tumhari baari hai
dono mudte hai, puri ETF team ne unhe chaaro tarafse ghera hua hai
Ashfaq : itni bhi kya jaldi hai officer?
itna kehkar woh apni gun nikaalkar shoot karta hai, sab jagah se firing shuru ho jaati hai, kuch hi der mein Etf unhe overpower kar leti hain, Ashfaq pakda jaata hai
Rathore uski collar pakadkar: bol kiska admi hai tu?
lekin woh kuch nahi bolta, itne mein Arjun uske haath par shoot karta hai
Ashfaq: aaahhh!!!
Rathore (irritate hokar): RAWTE!!!...
Arjun uski haath ki taraf ishara karta hai, sab dekhte hai ki Ashfaq ke haath mein cyanide tha, Rathore relieve hota hai lekin appreciate nahi karta...karega bhi kaise, dono ko beech ego problem jo hai
Rathore: yaha jitna bhi saaman hai sab seize karo!!!
ETF office
Rathore aur Arjun Ashfaq ka interrogation kar rahe hai lekin woh kuch nahi bolta, thak kar dono firse conference hall mein baith jaate hai
Liza: Sir waha hume teen alag drugs mile hai jisme se do party drugs hain aur ek local
Shree: aur sir meri estimation ke hisaab se woh 4-5 crore ka maal hai
Chotu: iska matlab deal ka saara maal pakda gaya
Riya: nahi mujhe aisa nahi lagta, agar ye deal ka consignment hota tha waha itne kam log nahi hote...
Ayesha: yeah right...aur Ashfaq ke boss ka bhi kuch pata nahi chala, woh jo koi bhi hai sirf admi ke bharose toh saare drugs nahi chod deta
Sakshi: lekin yeh Ashfaq toh kuch bol hi nahi raha toh fir pata kaise chalega
Arjun mv" pata toh hai par majburi hai ki bol nahi sakta...koi toh aakhein kholkar dekho"
Rathore: Riya, aur kya pata chala tumhe
Riya apni aage rakhe papers check karti hai: ha sir meri research ke hisaab se...ye gang kaafi faila hua hai,...kuch beimaan officers aur politicians ka bhi support hai inhe aur...(woh ruk jaati hai)
Rathore: kya hua?
Riya: sir... woh (ek baar Arjun ki taraf glance karke)...sir ye symbol...ye symbol Sikandar ka hai
sab shock aur confuse hokar uski taraf dekhte hain
Shree : Ri tujhe kaise pata?
Riya: woh maine us file mein dekha tha...yaad hai tujhe? [ jab use Arjun ki daant padi thi ]
Rathore: Riya...Sikandar naam ka koi insaan nahi hai...main nahi jaanta ki Rawte ne tumhe kya patti padhayi hai...lekin Sikandar exist nahi karta
Rathore ki baat sunkar sab confuse ho jaate hain, sabko pata hai ki Arjun ki wife ka murder Sikandar ne kiya tha, on the other hand Arjun ko toh pata hai ki Rathore uspar vishwas nahi karta toh woh koi reaction nahi deta
Sakshi: Sameer tum aisa kyun keh rahe ho? agar Roshni ka murder Sikandar ne nahi kiya toh fir kisne kiya?
Rathore( irritate hokar) : apne Arjun sehi puchlo? ki kaun waha hote hue bhi use wahi chod aaya?
Arjun apni chai ka glass tightly grip karta hai aur calm rehne ki koshish karta hai, itne mein Riya bolti hai
Riya(sternly): SIR aap kya kehna chahte hain ki Arjun sir ne khud apni wife ka murder kiya?...agar unhe unse chutkaara hi paana tha (firse apni voice normal karte hue) toh divorce zyaada better option tha itna bada drama karne ki zaroorat nahi thi
Arjun apni chai par choke karta hai, aur sab use stare karne lagte hain sabse bada shock toh Rathore ko lagta hai
Riya unaffected bina kisi ki taraf dekhe continue karti hai: anyways jo bhi ho...(woh symbol upar laate hue) maine us file mein yahi symbol dekha tha toh zaahir si baat hai ki ye gang ka boss aur woh admi ek hi hai...fir chahe woh sikandar ho ya koi aur...humara kaam use pakadna toh usi par focus kare toh behtar hoga...kyun Rathore Sir?
Rathore shock se baahar aakar: huh?...ha...mein Ashfaq ko ek baar dekh aata hun. kehkar baahar chala jaata hai
idhar baakhi sab abhi bhi shock mein unhone kabhi bhi Riya ko itna rudely baat karte hue nahi dekha,
Arjun mv" ye ladki paagal hai"...
Shree :umm...ye Ashfaq ka muh khulwaana padega na, woh toh kuch bolne ko hi taiyaar nahi
Ayesha: ha.. actually mere paas ek idea hai par mujhe Liza ki thodi help chahiye hogi
Arjun: uski zaroorat nahi padegi Ayesha...uska muh kaise kholna hai mujhe pata hai, chalo
sab use follow karte hai,
Interrogation room ke andar- Ashfaq chair par baitha hai, puri tarah se pita hua, jagah-jagah se khoon nikal raha tha, bahar sab dekh rahe hai
Arjun: aakhri baar puch raha hun, tumhara boss kaun hai? aur kaha hai?
woh koi jawab nahi deta
Arjun: theek hai toh phir jaisi tumhaari marzi (woh kisiko phone lagata hai) ... ha...maar do use...nahi mujhe laash nahi chahiye gaad dena kahi par. woh jaane ke uthkar mudta hai
Ashfaq confuse ho jaata hai: kisse maarna hai?
Arjun(use face karke): tumhari biwi ko aur kisse
Ashfaq: KYA??
Arjun: ab kya kare tume kuch bolne mein interest nahi hai toh tum chut jaoge, lekin kisi gunehgaar ko saza na mile ye mujhe pasand nahi...samjhe ya samjhao?
bahar
Chotu: ye Arjun sir kya kar rahe hai?
Ayesha: tedhi ungli se ghee nikaal rahe hai...ab maza aayega
andar
Ashfaq(darkar): nahi..saab meri biwi ne aapka kya bigada hai?...uski kya galti hai?..saab...
Arjun: uski galti yeh hai ki woh tumhaari biwi hai
Ashfaq: nahi ...nahi saab pls...main sab batatu hun use kuch mat kijiye...
Arjun: lekin maine toh already order de diya
Ashfaq: saab main sab bataunga use jaane dijiye
Arjun: pakka?
Ashfaq : ha saab jaane dijiye use
Arjun firse phone karta hai: ha rehne do...waapis aa jao
Ashfaq chain ki saans leta hai: saab...Sikandar...Sikandar parso deal karne waala hai koi bahot bada seth hai woh dono Malad ke band cotton mill mein milne waale hai
Arjun: kitne baje?
Ashfaq: mujhe nahi pata saab sach mein...mera vishwas kjiye lekin...ha mujhe yeh pata hai ki subah 10 baje maal ready hokar apni jagah par pahunch jaayega toh usike aas paas woh log bhi aayenge
Arjun: hmmm...woh bahar jaata hai
Sakshi: Arjun tumhe kaise pata ki uski biwi kaha hai?
Arjun: mujhe nahi pata
Chotu: toh phir aapne use maarne ki dhamki kaise di?
Arjun: maine chance liya. aur apni cabin ki taraf chala jaata hai
Ayesha: main Rathore sir ko inform karti hun..woh bhi chali jaati hai
Sakshi aur Liza bhi apna kaam karne jaate hai
Shree: par agar woh shaadi shuda nahi hota toh?
Riya: Shree..usne engagement ring pehni hai kya tu bhi?
Chotu: ha woh toh maine bhi dekha tha, lagta hai tere chashme ka number bad gaya hai...kyun Ri?
Riya: ha...aur dono haskar hi-fi karte hai
Shree: has lo has lo dekhna mera bhi din aayega...aur melodramatically waha se chala jaata hai
idhar Ayesha Rathore ke cabin me jaati hai, Rathore apne khayalon mein khoya hai somehow Riya ki baatein use apna opinion par firse sochne ke liye majbur kar rahi hai
Ayesha: Sameer?
woh nahi sunta, Ayesha aage jaakar uske kandhe par haath rakhti hai
Ayesha: Sameer
toh woh presence mein aata hai
Sameer: ha...tum kab aayi?
Ayesha: aap kya soch rahe the?
Sameer: woh...kuch khaas nahi...tum batao, kuch kaam tha?
Ayesha : ha woh Ashfaq ne apna muh khol diya
Sameer: kya? kaise?
Ayesha use sab batati hai
Sameer: ye Rawte bhi... pehle ya sab nahi kar sakta tha..itne waqt tak kya kar raha tha
Ayesha: aapne meri baat suni par uspar dhyaan nahi diya Sameer
Sameer: kya matlab hai tum ...woh ruk jaata hai aur use ehsaas hota hai, woh ekdum se apni chair se uth jaata hai : SIKANDAR!!!!!
Ayesha nod karti hai: ha Sameer, Sikandar jisse aapne kuch hi der pehle non-existant declare kardiya
Sameer sigh karta hai use kuch samaj nahi aa raha hai: mujhe Arjun se maafi maangni hogi
Ayesha: agar aap sach mein unse maafi maangna chahte hai toh unki madad kijiye Sameer...woh bilcul akele hai, ab tak na sahi ab aage toh unhe akela mat jaane dijiye
Sameer: tum sahi keh rahi ho Ayesha...Arjun ka dost hokar bhi dosti nahi nibha paaya main...jabki main achi tarah se jaanta hun ki agar main uski jagah hota aur woh meri toh..woh mujhpar apni jaan bhi luta deta ...aur maine uspar vishwas bhi nahi kiya...main apni galti zaroor sudharunga...aur firse Arjun ka Sam banunga ...
By the way..chai choke hui kyu..isliye bcoz Ri ne Rathod se argue Kiya yaa..khulamkhulla divorce Lene ki baat krdi..hmm?? Hehehe
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
451