🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Pak, 10th Match, Group A at Dubai🏏
BACK TO MUSSORIE 17.9
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 18th Sept 2025
HEALING SHUROO 18.9
Premiere - The Ba***ds Of Bollywood
Akash Ambani constantly holding radhika's hand and waist
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 18, 2025 Episode Discussion Thread
Soo EMA or SR?
Anupamaa 17 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
Deepika Removed From Kalki 2
Abhi-Ash Separation Rumours Is Garbage
Bollywood Celebrates Modi's 75th Birthday
The Ba***ds Of Bollywood - Reviews
Abhishek reminds me of young Puneet Issar
And Ranveer Singh was never the same anymore after that day
ABC Pulls Jimmy Kimmel Off Air for Charlie Kirk Comments
Who is more beautiful? Mariah Carey or Kareena Kapoor?
Buddhiya ki Nautanki
Anupamaa 18 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
late one night
ek desi bar mein kone ke table par teen log baithe hue hain. ek hoodie pehne apna chehra chupa raha hai.
woh admi: kya khabar hai
dusra admi: Arjun saab abhi tak kuch pata chala
Arjun ko gussa aata hai lekin woh apni awaaz nichi rakhta hai: tum log kisi kaam ke nahi ho!!! paise kis baat ke khaate ho, ek admi ki info nahi nikaal sakte
dono dar jaate hai aur apne aap ko defend karne ki koshish karte hai
Dusra admi: saab hum koshish kar rahe hai
Arjun: koshish? MY FOOT KOSHISH, dhai saal ho gaye lekin ek admi ki info nahi nikal sakte
teesra admi: par saab woh desh main nahi hai
Arjun: faaltu ke bahane mat banao pehle bhi desh ke baahar waalo ki information laate the tum log... (uthkar)...this is complete nonsense. woh jaane ke liye turn hota hai
dusra admi: saab...(Arjun mudta hai)...woh ...paise
Arjun: ab paise tabhi milenge jab tum log koi information laoge
Teesra admi: saab pls thode toh de dijiye...kal madam ne bhi nahi diye...
Arjun: matlab tum hum donose paise aith rahe ho..(dono uska gussa dekhkar dar jaate hain,)...EKTO KAAM HOTA NAHI HAI UPARSE...
dusra admi: saab...saab maaf kardo agli baar aisa nahi hoga...hum kahi se bhi uska pata dhundh lenge...pakka, hum Ashfaq par nazar rakh rahe hai sabse pehle usiko uske baare mein paata chalega jaise hi kuch pata chalta hain hum aapko aur madam ko khabar de denge
Arjun: pata chale toh hi behtar hai warna...samjhe ya samjhao
Dusra admi: samaj gaya saab
Arjun waha se baahar jaata hai seedhe lodge. woh dusra mobile nikalta hai aur message karta hai
Arjun: tum unse mili thi?
other side: ha, namune hai sab ke sab ek kaam nahi hota kisise
Arjun: seriously...waise tum haal filhaal mein office gayi thi kya? database update hua ?
other side: gayi toh thi par kuch nayi info nahi aayi database mein... matlab aise koi nayi info nahi jo humaare kaam ki ho...tum bahot dino se nahi gaye na? boss yaad kar rahe the tumhe
Boss: maine apna naam suna...gaaliyan de rahe dono milke?
Arjun: nahi-nahi Rishi Chachu aap toh humaare favourite ho hum aapko gaaliyan kyon denge?
Vikram: mujhe laga main tum dono ka favourite hun
Arjun mv "fas gaya" : ...
other side: Chachu aap dono humaare favourite ho...hum toh aapke pyaare bache haina?
Arjun: ha..ha hum dono aap donose bahut pyaar karte hain
Boss: hahaha...are bhai hum toh aise khichai kar rahe the kya tum log serious ho gaye
Vikram: aur nahi toh kya...aur ye humaare sabse bahadur officers mese ek... sorry do hai...
other side: kya Chachu aap bhi... jaao mai baat nahi karti...good night
Arjun: sweet dreams shonaaa, good night chachu bye-bye
aur woh phone band karke bed par let jaata hai...
aise hi din jaa rahe hai, idhar Arjun ke informers bahut dare hue hai woh jaante hai ki uski patience ab khatam ho gayi hai. unhe jaldi kuch karna hoga warna dono milke unhe zinda gaad denge. woh Ashfaq ke adde par hai
pehla : boss police ki checking bahot bad gayi hai
dusra: ha saab ayenge toh bahot chaukana rehna padega
Ashfaq: sahi keh rahe ho tum log, kal laala bhi bol raha tha ki saab aane waale hai consignment ke saath, itne saalon baad woh waapis India aa rahe hai, zaroor deal bahot badi hogi
pehla: kab?
Ashfaq: pata nahi, ek do din mein pata chal jaayega lekin ek baat ka dhyaan rakhna ki kisi ko is baat ki kaano kaan khabar nahi honi chahiye warna woh hum sab ko upar pahuncha dega
pehla: aap befikar rahiye kisi ko kuch pata nahi chalega
Ashfaq: are tum dono ho isliye toh hum befikar hai tumne humaari jaan bachai hai aur humara maal bhi, ek baar saab aa jaaye tum dono ki sifarish zaroor karunga
dusra: aapki badi meherbaani hogi saab
dono ek dusre ko meaningful look dete hain...
do din baad ETF office
Riya record room ki taraf jaa rahi hai itne mein woh ek admi se takraati hai. uske haathse file gir jaati hai aur kuch papers bahar girte hain.
Riya: hey...
Admi: sorry madam, mai uthata hu.
woh papers utatha hai aur Riya ke haath me dekar ishara karta hain. Riya nod karti hai.
Riya: koi baat nahi ho jaata hai.
woh admi chala jaata hai, Riya file kholti hai usme ek paper extra hai [jo us admi ne takraane ke bahane file me rakh diya], woh padhne waali hoti hai ki itne mein Shree waha aa jaata hai toh Riya use waapis andar rakh deti hai
Shree: Ri..ye file dena. kehkar use lene ki koshish karta hai
Riya file piche karti hai: kyun?
Shree: are Mehta murder case ki haina, Rathore sir ko chahiye
Riya: nahi ye toh dusri hai, woh file toh record room hain main wahi jaa rahi hu lekar aati hu
Shree: main hi lelunga tu yeh waali bhi dede main rakh deta hun
Riya: Nahi...mera matlab...dekh tu abhi ye file kahi bhi rakh dega toh baad mein mujhe dhundhne mein problem hogi aur Mehta waali case file bhi maine hi rakhi thi kal toh mujhe pata hain ki woh kaha hai tu kyun dhundhne mein time waste kar raha hai use better hai main jaati hun ok bye
Shree aage kuch kahe usse pehle Riya bhag jaati hai, woh record room me aakar darwaaza lock kardeti hai, aur fir woh paper nikaalkar padhti hai. padhne ke baad woh apna extra phone nikaalti hai aur message karti hai
Riya: woh aaj raat aayega 4 din baad bahot badi deal hai
woh wahi ka wahi us paper ko dispose karke apna kaam khatam karti hai aur fir nikal jaati hai...
us raat Arjun apne lodge mein baitha hai, uske dusre phone mein message aata hai
Other side: ek problem ho gayi hai
Arjun: no problem is worse than my life right now
other side: stop cribbing!!! we're in the same boat
Arjun: chill yaar main toh aise hi bol raha tha bhadak kyun rahi ho?
other side: mudde par aaye?
Arjun: ha bolo kya hua
other side: jo deal hone waali hai usmein woh nahi hai
Arjun : aisa kaise ho sakta hai? itni badi deal ke liye woh nahi hoga? is deal ke liye hi toh woh aaya haina?
other side: ha lekin abhi-abhi pata chala hai, ki woh apne client ke saath dusri jagah par hoga deal finalize hogi aur uske baad ek meeting point par maal transfer hoga aur paise bhi waha diye jaayenge
Arjun: iska matlab ki deal hogi ek jagah aur transaction hoga alag jagah?
other side: ha, aur hum dono jagah par ek saath nahi reh sakte hain
Arjun: you know what? hell with the deal, drugs baadme trace ho jaayenge, hum uske piche jaayenge
other side: use your brains
Arjun: kya matlab???
other side: Arjun ek kaam karo ek glass paani bharo, piyo aur assistant commissioner ke bajay Senior Officer ki tarah socho
kuch pal baad
Arjun: ya right... hum deal ki tip bhej sakte hain uski tip kya kehkar bhejenge woh bhi tab jab woh Rathore ka bacha mere sar par baitha hai...ab kya kare?
other side: Ashfaq ke adde par raid daal dete hai
Arjun: ye bhi sahi hai, uske muh se ugalwa lenge sabke saamne...Vicky Chachu ko kuch karna hoga
Vikram: main kar dunga tum dono uski fikar mat karo
dono: thanks Chachu
Vikram: hmmm...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent â no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
451