Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 17th Oct 2025
GREENE FLAG ⛳
KUJILI STARTED 18.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 17, 2025 EDT
What will Yuvraj do?
i support farhana
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 18, 2025 EDT
Alia and Ranbir to move to their new house - Krishna Raj
Kyunki Detailed Written episode Oct 16. Pics attached (Hindi captions)
Mental health club - Only Positivity allowed 🌟
Debate between Kareena-Ranbir fans about who's better?
Anupamaa 17 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Story- Tortoise to Rabbit😜
Alia channeling Gangubai in this scene from RRKPK!!!
Acha wala gunda
Deja vu ? Do you get Deja vu ?
Mera Armaan toh Green Flag Hai😌✅
Buddhiya Ka Naya Roop
Zora Releasing On Trimurti Films YouTube Channel
Chapter 3
Karan ne riya ka haath pakdh ker sofe per baithate hue kaha...phir dono mil ker khoob maska malish kernel age...jaane kaun kaun se qisse lekar baith gaye...ke riya baat bhool jaye...wo jaane ke liye uthti to karan uska haath pakdh leta...
Riya: jee... main dono ki chalaki samjh rahi hun...aap loog mujhe baato main laga ker mujhe behlane ki koshish ker rahe haina...lekin main wo baat naho bhooli hun...abhi sab kuch jaa ker bhai bhabi ko batati hun...
...
Riya ek dum uth ker bhaag gyi or wo dono...or wo dono to derte hi reh gye ke abhi unhe bulaya jaye ga or achhi tarhan khaber li jaye gi...mgr dinner tak kuch nahi hua...khatra talta raha...khane ki table per bhi koi baat nahi hui...dono khamoshi se khana khate rahe or thichi nazro se sameer or Ayesha ka face dekhte rahe...lekin sab normal raha roz ki tarhan...
Karan: to is ka Matlab hai bhai or bhabi aap loog hum dono se naraz nahi hain...
Karan ne bht sukoon se kaha...
Hain...kyun bhai naraz kyun hona hai...?
Sameer Ayesha ne ek saath hairangi se kaha...
Riya: bhai jab choor ki daari main tinka hota haina to wo in dono ki tarhan kerta hai..hai na bhabi...
Riya ne dono ki halat se maze lete hue kaha...
Arjun: tum apni zubaan band rakha karo choor kahin ki..
Arjun ne riya ko danta
Ayesha: arjun buri baat hai(gusse se arjun ko dekhte hue kaha)
Dinner ke baad Ayesha or sameer tv lounge main aa gye...arjun or karan study room main chale gaye...dono riya se badla lene ka plan bana hi rahe the ke wo aa gyi...
Arjun: dekha udher naam liya or idher hazir
Arjun ne riya ko dekhte hi apni eyebrows chadha li...karan khamosh raha...riya ne bhi dono se koi baat nahi ki...bas papers ulat pulat kerti rahi...wo jaanti thi ke is waqt dono bhare baithe hain...zara bhi isne kuch kaha to dono chadh paren ge...
Karan: kya musibat hai...kyun saare room main aandhi toofan macha rakha hai...mere saare charts kharab ker diye..
Karan ne bina baat hi riya ko daant diya..
Riya: aapne newspaper to nahi dekha arjun bhai aaj ka ...wo sameer bbhai maang rahe hain..
Riya ne darte darte arjun se poocha...
Arjun: lawn main padha hai aam ke pedh ke paas ...
Arjun ne laperwahi se kaha
Riya: thank u arjun bhai...
Riya jaane ke liye palti to arjun ne karan ko dekh ker aankh se ishara kiya..
Karan: kahan chali tum itni raat ko..
Karan ki awaz per riya ruk gayi..
Riya: lawn main jaa rahi hun..
Wo aahista se booli
Karan: suna tumne is waqt jaa rahi hain lawn main madam..
Karan ne arjun ki taraf dekhte hue kaha..
Arjun: to jaane dona ...achha hai rooz rooz ke jhagro se aram mil jaye ga...
Arjun ne laper wahi se kaha...
Riya: kya baat hai karan bhai ...koi khaternaak baat hai kya..
Riya bbht zyada dar gyi thi..
Arjun: nahi koi khaas khaternaak bhi nahi bas zara jaan ka khatra hai...
Arjun ne taang per taang rakh ker bht aaram se kaha to wo iske qareeb aagyi...
Riya: saach saach bataye arjun bhai...main to isi terhan andho ki tarhaan chali jaati hun..
Arjun: arre kuch nahi ...wo jo gulabo ke poodho ke paas jo aam ka pedh haina bas whain kuch gadh badh hai...
Arjun ne use or daraya...
Riya:kesi gadh badh ...main din main wahin baith ti hun..
Arjun: arre ji gadh badh kya hooni hai...bas wahan bhooto ka basera hai...
Riya: nahi ye jhoot hai...aesi to koi baat nahi hai..
Riya ka dil dark e mare zor zor se full speed main bhagne laga...
Karan: jee nahi...bilkul sach hai..abbhi jhaank ker dekho...moonh khole kisi shikaar ke intazar main hain...
Karan ne use or darane ki koshish ki...
Arjun: rehne de yaar jaane de...jab tak ye khud unke darshan nahi ker leti ..hamari baato per yaqeen nahi ayega..
Arjun ne chidh ker kuch is andaz main kaha ke riya ko yaqeen ho gaya ke koi khaternaak baat zaroor hai...warna ye dono is terhan serious nahi hote...
Riya: achha to arjun bhai aap lade newspaper wahan se
Riya ne darted arte arjun se kaha to wo use ghoorne laga..
Arjun: kamal hai meri hi gardn nazr aati hai tumhe...choori(knife) chalane ke liye...apne bhai se kaho...
Arjun ne kaat khane waale andaz se kaha to riya wahan se aahista se uth ker aagyi or apne room main chali gyi
Next day sab breakfast ker rahe the..riya dar rahi thi ke khain sameer pooch na baithe ki maine newspaper mangwaya tha or tum layin kyun nahi raat ko...sab khamoshi se nashta ker rahe the...or sameer ke face se to lag hi nahi raha tha ke use raat ki koi baat yaad bhi hai...lekin arjun karan cahh rahe the ke riya ko daant padhe
Arjun: haan yaad aya riya...raat ko tum newspaper ka pooch rahi thi na ke bhai maang rahe hain...tumhe mil gaya tha news paper...
Arjun ki aankho main sharart naach rahi thi..
Riya ki chehre(face) ki rangt udh gyi...sameer Ayesha uski tarf dekhne lage to wo or thandi padh gayi...
Riya: jee who...who jee...bhai bhoot
Riya boori tarhan ghabra gayi...
Karan: riya ye kya hota jar aha hai tumhe...bhai ko bhoot keh rahi ho..
Karan ne use danta to wo or ghabra gayi..
Riya: asal main bhabi..ye dono keh rahe the ki bhabi ...bhabi chudail..
Karan: lu...ab bhabi chudail ho gayin...tumhara dimagh to theek hai ke nahi...
Karan ne phir use danta..to riya ki aankho se aansu nilklne ko tayyar ho gaye...pink suit main ghbaryi hui si sehmi hui si riya bht pyari lag rahi thi...arjun tirchi nigaho se use dekh raha tha..or wo uske dil main uterti jaa rahi thi
Arjun: (in mind) ye larki ek din mujhe pagal ker degi
Riya: bhabi main newspaper lene jaa rahi thi ..lekin in dono ne kaha ke wahan lawn main raat ke time mat jana...us waqt bhoot ka basera hota hai...or aaj unh eek larki ki zaroort hai..ab main...main kya kerti...
Riya ne tap tap girte aanso ke saath sara sach bata diya...or un dono ne ser jhuka liye..sameer Ayesha dono unhe ghoor rahe the..
Ayesha: ye har waqt tum dono iske peeche kyun padhe rehte ho...kitna kaam kerti hai wo tum dono ke ..
Ayesha ne daanta magar muskura ker
Sameer: ye tum dono se chooti hai...iska khayal rakhne ke bajaye or use tang kerte rehte ho...sharam nahi aati...tum logo ko...ayenda agr tum dono ne riya ko pareshan kara to mujhse bura koi nahi hoga samjhe...
Sameer ne bht seriously un dono ko daanta or uth ker chale gaye
Riya...ye shikayat to tumhe bht mehngi padhe gi...
Jese hi Ayesha wahan se uthi to dono ne phir use dhamkhi de daali...
Riya: agr aap dono baaz nahi aaye na to abhi cheenkh cheenkh ker bhai bhabi ko bula lungi...
Riya bhi sameer Ayesha ki side pa ker sher ho gyi
Karan: achhha...cheenkhoo main abhi tumhara gala dabata hun
Karan uski taraf badha hi tha ke wahan sameer aa gya
Sameer: kya ho raha hai..
Karan: kuch nahi ...kuch bhi to nahi...hai na riya
Karan ne ser jhukate hue kaha or foorn wahan se baher chala gya..phir sara din normal guzra...wapes aaker wo dono riya se khoob baate kerte rahe..subha waali baat ko bhool gaye...raat main saare kaam poore kerne ke baad riya apne room main aagyi..neend to aa nahi rahi thi to wo bed per laith ker novel padhne lagi...use abhi zyada deer nahi hui thi ke door per knock hua..usne novel pillow per rakha or is khayal se ke darwaze per aysha hogi darwaza khool diya..mgr un dono ko (karan arjun) dekh ker ghabragyi ke najane ab ye kya gul khilayen ge..riya ne foorn novel chupa diya...kyunki wo dono uske novel padhne ke khilaaf the..or is baat ka to sameer bhi bht khilaaf tha...isis liye wo in dono ke saamne bht sawdhani se kaam leti..ke ye dono ja ker bhai kona bata de...
Arjun: arre nahi ise chupane ki koi zaroort nahi hai..yahi to umer hai novel padhne ki..phir kya bbhala bhurape(old age) main padho gi..
Riya : nahi nahi who..main padh thodi rahi thi bas dekh rahi thi..
Riya ne jaldi se jhooti safayi peesh ki jis per in dono ko kabhi belive nahi ho sakta tha..
Karan: arre pagal larki..dekh ker hi to padha jata hai...khair koi baat nahi...or sunao kisi cheez ki zaroort to nahi..kisi dost ke ghar to nahi jana..
Karan window ke paas khada isse pooch raha tha...or wo in dono ki sharat se gabra rahi thi... lekin riya ke khayal jhoote sabit hue..jab wo dono bht sharaft se bahar chale gaye..
Sardi kuch zyada hi badh gayi thi...riya ne blancket lapeta or soone ki koshish kerne lagi...abhi wo poori tarhan soyi bhi nahi thi ke use aesa laga ke koi window hila raha hai...ek to sunsaan raat..upper se teez chalti hawa or ye awaze...riya to poori ki poori pasine main naha gayi..is ki to itni bhi himmat nahi ho rahi thi ke uth ker dekh le..phir ek dum window khul gayi..riya ne darted arte dekha to window main ek skeleton lehraha raha tha...bas phir kyat ha...riya to poori kaanpne lagi or poori taqat se chillane lagi..itni zoor se ke sameer Ayesha apne room se bhage hue iski taraf aaye...sameer ne aaker jab window main skeleton dekha to ussi waqt un dono ke room main gya..dono haath per haath maar maar ker bht has rahe the..
Yaar maza aagya ...kasam se ..riya ki to halat hi buri thi...lagta tha ke bas abhi the end ho jaye ga...
Tbc
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
What will happen when Arjun and Riya works with cid team.
Rain, Coffee aur Thoda Pyaar One the occasion of my birthday 🫶🏻 The ETF office buzzed unusually early that morning. The smell of freshly...
Zindagi Ke Us Paar The ETF office hummed with its usual rhythm—phones ringing, keyboards clattering, files opening and shutting. But there was...
1.2k