pr ye kya Riya Arjun ko Arjun bhai q bol rhi he ye to Ariya ki story hena 😉
plz cont soon
thanx for pm
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 15th Oct '25
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 16th Oct 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 16, 2025 EDT
KARWA CHAUTH 15.10
NOODLES VRATH 16.10
Sonakshi Sinha Pregnancy Rumours
What will Yuvraj do?
Welcome Back 🥳
Pankaj Dheer Passes Away
Pari and Mitali
This is concerning.
Who is most loved character in gen 4?
Wanna see post leap trp ?????? Geetu vs Abhimaan romance who won??
Mental health club - Only Positivity allowed 🌟
Kyunki Detailed Written episode Oct 16. Pics attached (Hindi captions)
arre frends plz daro mat ...
Darasal baat ye hai ki ...riya hai sab se chooti ghar me ...or jis tarhan se uske liye sameer or karan hai ussi tarhan se arjun bhi hai...or abhi use pyar to hua nahi...is liye riya arjun ko arjun bhai bula rahi hai...bas is chapter ke baad wo arjun ko sirf or sirf arjun hi boole gi...ok...
Or haan meri is ss ko itna pyar den eke liye bht bht shukriya...
Luv u sooo much
Chapter 2
Karan: bhai...aap se ek baat poochun..
Karan sameer ke room me aagya..
Sameer: kya baat hai...
Sameer ne file ek taraf rakh di or karan ki taraf dekhne laga...
Karan: roshni aap ko pasand hai...
Ussne darted arte pooocha..
Sameer: karan ...pehle to tumhe ye sawal nahi krna chahiye tha...khair agr pooch hi liya hai to suno...chahat...pasand...or majboori...in sab main bht faraq hota hai...roshni ko baba sa ki pasand or meri majboori kehlo...
Sameer ne pehli baar karan se khool ker baat ki...or jaane kyun karan ke dil ko sukoon sa mil gaya...
"Ho sakta hai ki roshni ki pasand bhi koi or ho..."
Andhere main ek kiran chamki ...karan ki behad koshish thi ke sameer or Ayesha ki shaadi ho jaye...
Ittafaq se karan ne roshni ko 2-3 baar uske friend ke saath dekh liya...or kisi ko kuch kehne sunne ke wo khud roshni se baat karne chala gya...or roshni ne use sab kuch bata diya...ke wo or uska friend ek dosre ko pasand kerte hain...issi liye to sameer se khao ke wo shaadi se inkaar kerde...kyun ki mere mana kerne per mere baba naraz hunge...
Karan: aap samajh nahi rahi hai roshni dii...aagr lardka shaadi se inkaar kerde...to ye larki ke liye sahi nahi hota...issi liye aap hi inkaar kerden...or phir pasand ki shaadi kerna koi jurum to nahi...
Phir roshni ne darte darte inkaar ker diya...to uske baba bht naraz hue...ke aap ne dost ke ghar waalo ko kya jawab dunga...lekin gayatri devi ne kisi narazgi ka izhaar na kerte hue inki beti ko pasand ki shaadi ki ijazat de di...to doono gharo me khushi ki lehar doodh gayi...
Arjun...karan...or riya to bht khush the...sameer or Ayesha itni jaldi manzil pane ki khushi main khooye hue the...riya to titli ki tarhaan pure ghar me udhti phir rahi thi ...kam boolne waale riya aaj khoob gaane gaa rahi thi...mehendi ke function me dark green lehnge or khoob make up main goori ranghat waali riya khoob jach rahi thi
Arjun: yaar karan...dii ki shaadi main to chunti(ant) ke bhi per nikal aaye hain...
Arjun ne mehndi sajati hui riya ko dekha...uske dil main pata nahi kyun n agade baj rahe the...aaj riya ka ye roop dekh ker wo dil hi dil main pagal ho raha tha...lekin karan ke saath mil ker use braber cheedh raha tha...
Karan : haan yaar nikal to aaye hain lekin mujhe zara camera de...aaj to maza aaye ga pics lene main...
Karan ne uske haath se camera liya or aage badh gaya
Riya: arjun bhai aap baaz ajayen ...ayesha dii aap ko abhi bhi theek ker sakti hain...
Riya ne mehendi se bhara haath arjun ke face ki taraf badhaya hi tha ke arjun ne kamal hoshyaari se uska haath kaalayi se pakadh liya...
Arjun: mere qaatil..apne saza agr khud hi sooch lo to behter hai...
Arjun ne mascare se saji riya ki aankho main jhanka...to wo iski nigaho ki garmi se ghabra si gyi...
Riya: ek zara si mehendi to lagane nahi di itna bada ilzaam laga diya..
Riya ne apni kaalayi chudaate hue kaha
Arjun: ilzaam jhoota to nahi...
Bht gahri awaz main riya riya ke kaan me kaha or uske gore gaalo per laambi kaali palko ko larzte hue dekhta raha...
Sameer or Ayesha ki shaadi ke baad saare hangame thande padh gaye ...dono ek dosre ko pakar bbht khush the...
Arjun: yaar karan...dekhte hain ab dii or sameer bhai main se kaun kisko apne rang main rangta hain...
Usne muskurate hue kaha
Karan: Ayesha bhabi...aap bahi ko apne rang main rang lena...aesa na ho ke aap unke rang main rang ker un jesi serious ho jaayen..
Karan ko apne bhai ka itna serious rehna kuch zyada pasand nahi tha...
Riya: nahi bhab i...aap bahi ke rang main hi rang jana...
Riya ne muskura ker Ayesha ke gale main baahen daal di..
Arjun: tehro...tumhe to abhi batata hun bhai ki chamchi...
Ayesha: arjun...tum kyun iske peeche padhe rehte ho...or isme ladhne wali kya baat hai...jiska rang zyada gehra or pakka hogawo nahi utre ga...or jiska rang waqti hoga wo utar jaaye ga...ab to bas waqt ka intazar karo or dekho...
Ayesha ne riya ke gaal tahp thapaye or uth ker chali gayi..
Zindagi ka safar naye andaaz se shuru ho chukka tha...suryakant rawte iss poore time main bas ek baar aaye ... apni nayi biwi kw saath...or chaale gaye...ayesha ne apne baba ki dosri shaadi ka bht asar liya tha...apni maa ki jagha dosri aurat ko dekh ker arjun bhi tadapp utha tha...lekin wo mard tha bade hosle wala isliye wo khamosh raha ...lekin...ayesha bht naraz thi...phir sameer or gayatri devi ke samjhane per wo kuch behal gayi...
Suryakant rawte ko gye hue zyada time nahi hua tha ... ke gayatri devi ek lammbi bimaari ke baad is dunya ko alvida keh ker aapne paati ke paas chali gayin...or saara ghar...sab ki zindagi uthal puthal ho gayi...riya or karan to buri tarhan bikhar gaye...
Ayesha: riya...meri jaan roo mat ...main is dard naak azab se guzar chuki hun...dunya main agr..koi sachha rishta hai to wo maa ka hai..baqi sab rishte to jhoote hain fareeb hain...maa ki kami to kabhi poori nahi ho sakti..lekin phir bhi tum loog is tarhan dukhi mat ho...main jo hun...main hunt um logo ki maa riya...main hun tumhari maa karan..bas chup ho jao plz ...tum logo ke aanso main nahi dekh sakti...ye mere dil ko dard de rahe hain...plz chup ho jao meri jaan...
Ayesha ne riya or karan ko gale laga liya or khud bhi roo di...
Zindagi ek bhoojal sa ehsaas ban ker reh gayi thi...har koi khamosh apne kaam main laga rehta...sameer bhi apne business me uljha rehta...phir jab ahista ahista zakham bharne lage...to sab zindagi ki taraf lootne lage...
Ayesha ke lagan or pyar ne phir se sab ko jeena sikha diya...arjun or karan ki studies poori ho gyi thi or unki practice start ho gayi thi...sameer apne business main busy tha...aese main riya apne aap ko bht tanha or akela mehsoos kerti...phir baghwan ne use pyari si bhatiji de di to maano use khilona mil gya...wo har waqt uske saath hi laagi rehti...riya jahan bhi hoti nanhi pari riya ke paas chali jaati... or ye dekh ker karan arjun jal jaate...jab pari in donoko ignore karti hui riya ke paas chali jaati to un dono ko gussa ajata..
Arjun: kya musibat hai...tumne to pari ko property samajh ker isper qabza kara hua hai(usne chidh ker kaha)
Riya: aap loog pata nahi kyun jal rahe hain...jab dono ek the oe main akeli to bhagwan ne mere liye pari ko bheej diya...
Usne pari ki do choti choti pony tails banate hue kaha...
Arjun: theek hai aab hum pari ko bhi apni taraf kerke dikhayen ge..
Arjun ne pari ko utha liya...or use khoob bahar ghumaane or toys dilane ka laalch deta raha ...or masoom si pari..kabhi arjun ki baato main aajati or kabhi riya ko dekhne lagti...or phir wo arjun ke saath bahar jaane ko tayyaar ho gayi...or riya ka moonh utar gaya...
Riya: chala diya na is per apna jaadu...
Beechari ne rooti surat banate hue kaha
Arjun: iske mama ka jaadu kisi or per to chala nahi is per kya chale ga...
Arjun ne seedha riya ki aankho main jhank ker gehri awaz main kaha or bahar nikal gaya...riya hilte hue parde ko dekhti reh gayi...wo beechari har waqt karan arjun ka nishana bani rehti...is waqt bhi wo dono tv lounge main bethe tv dekh rahe the...or saath hi saath najane kis ko bewakoof banane ka programme bana rahe the..
Karan: yaar qasam se daar gayen thi wo dono...pehle to theek thaak rahin phir jese hi zara sunsan road kya aya...rang hi udh gaya tha unke face ka...
Karan coffee pete hue has ker bola..
Arjun: karan yaar ... Wo jo drive ker rahi thi na...thi badi cute yaar...ye larkiyan bhi bas badi darpook hoti hain..drive kerna kya seekh liya bas samjhti hain dunya jeet li...churiya(bird) se choote hote hain inke dil...darpook khain ki...bahala hum unko khha jaate kya...
Arjun ne chai ka khaali cup table per rakhte hue kaha...in dono ko bilkul bhi khabar nahi thi ke riya unki saari baate sun rahi hai...
Riya: achha...to ye chakker hai...qasam se aap loog kitne batameez hain...pehle bechaari larkiyun ko darate hain phir unka mazaq udate hain...abhi batati hun bhai or bhabi ko...main bhi kahun...
Karan : arre ye kya ho gya...ye chudail...kahan chupi hui thi...
Dono uchhal ker khade ho gaye...dono sach main dar gaye the...ke agr riya ne sach me bata diya to shaamat to ayegi hi ayegi...or future ke liye bina baat ghar se nikalna band ho jaaye ga...kyunki samer Ayesha ne sakhti se order diya tha ke kisi bhi halat main kisi bhi larki ko tangh nahi kerna...
Arjun: ye tumhari chup chup ker baate sunne wali adat nahi jaye gi..
Arjun ne ghoor ker riya ko dekha
Karan: nahi bhai sahib...gusse se kaam nahi chale ga...ye mammla kuch le de ker...pyar mohabbat se bhi solve kiya ja sakta hai...
Arjun: rehne de yaar isme itni aqal nahi ke pyar mohabbat ko samajh sake...
Arjun ne gehri nigaho se riya ko dekha
Karan: riya...meri pyari behan... wo us din tum kya keh rahe thi ke tumhe apni kisi dost ke gahr jana hai...
Karan ne riya ka haath pakdh ker sofe per baithate hue kaha...phir dono mil ker khoob maska malish kernel age...jaane kaun kaun se qisse lekar baith gaye...ke riya baat bhool jaye...wo jaane ke liye uthti to karan uska haath pakdh leta...
Riya: jee... main dono ki chalaki samjh rahi hun...aap loog mujhe baato main laga ker mujhe behlane ki koshish ker rahe haina...lekin main wo baat naho bhooli hun...abhi sab kuch jaa ker bhai bhabi ko batati hun...
tbc
Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...
Surprise!!! [NOCOPY] So before anybody asks; No, this is not the CID crossover story. That is still under writing and will hopefully be...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Naye Rishte The ETF office buzzed with an unusual energy that morning. The scent of freshly brewed coffee lingered in the air as Riya sat at her...
Prologue Raat ka aakhri peher tha. Mumbai ki galiyon mein aksar iss waqt shanti hoti hai, lekin ek ajeeb si khamoshi uss raat hawaon mein gungun...
66